Hazrat Abubakar Siddiq Afzalul Bashar Baad Ambiya Hain
1
Hazrat Shafiq Bin Abdullah Farmate Hain
وَرُوِيَ عَنْ أَبِي بَكْرِ بْنِ عَيَّاشٍ، عَنْ عَاصِمٍ، عَنْ أَبِي وَائِلٍ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ، قَالَ: «حُبُّ أَبِي بَكْرٍ وَعُمَرَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا وَمَعْرِفَةُ فَضْلِهِمَا مِنَ السُّنَّةِ»
Sayedna Abubakar Siddiq ؓ Wa Sayedna Hazrat Omer Farooq ؓ Se Mohabbat Aur Aap Ke Fazal ki Marfat Ahle Sunnat Hone Ki Alamat Hai
Jame Bayan Ul ilm Wa Fazlehi Vol 2 Page 1178
2
Hazrat Moibbe Tabri Riwayat Naqal Farmate Hain
وعن فرات بن السائب قال: قلت لميمون بن مهران: أبو بكر الصديق أول إيمانًا بالنبي -صلى الله عليه وسلم- أم علي بن أبي طالب؟ قال: والله لقد آمن أبو بكر بالنبي -صلى الله عليه وسلم- زمن بحيرا الراهب, واختلف فيما بينه وبين خديجة حتى أنكحها إياه، وذلك كله قبل أن يولد علي بن أبي طالب, والمراد بهذا الإيمان اليقين بصدقه, وسيأتي ما يشهد له في الحديث بعده
Furat Bin Sa,aib Kehte Hain Main Memon Bin Mehran Se Pocha Syedna Abubakar Siddiq ؓ Huzoor ﷺ Pehle iman Laaye Ya Syedna Hazrat Ali Murtuza iman Laye? Tu Unaho Ne Jawab Diya Khuda Ki Qasam Syedna Abubakar Siddiq ؓTu Bahre Raheeb Ke Daur Mein Huzoor ﷺPer Laye Aur Uske Bad
Syedna Abubakar Siddiq ؓ Ne Hazrat Khudejatul Kubra ؓAur Huzoor ﷺKe Darmiyan Aamad Wa Raft Ki Yahan Tak Ke Hazrat Khudejatul Kubraؓ Ka Nikah Huzoor Se Karwa Diya Aur Ye Sab Baten Syedna Ali Ki Wiladat Se Qabal Waqe Ho Chuki Theen
Al Riyaz Un Nazra vol 1 page 418
3
Hazrat Huzail Bi Sharhabil Riwayat Karte Hain ke
عن ابن شرحبیل قال عمر بن الخطاب لو وزن ایمان ابی بکر بایمان اھل الارض لرجع به
Ameer Ul Mominin Hazrat Syedna Omer Bin Khatab ؓ irshad Farmate Hain Ke imam Ka Tamam Roye Zamin Mein Basne Walon Se Wazan Kiya Jaye Tu Syedna Abubakar Siddiq ؓ Ka iman {Sab Se } Bhari Hoga
Jame ul Uloom imam Ahmed Vol 3 Page 72,73
4
HazratAnas Bin Malik ؓne Farmaya
حَدَّثَنَا إِبْرَاهِيمُ بْنُ يَعْقُوبَ، وَمُحَمَّدُ بْنُ بَشَّارٍ وَاللَّفْظُ لاِبْنِ يَعْقُوبَ، قَالاَ: حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ حَمَّادٍ، قَالَ: حَدَّثَنَا عَبْدُ العَزِيزِ بْنُ الْمُخْتَارِ، قَالَ: حَدَّثَنَا خَالِدٌ الحَذَّاءُ، عَنْ أَبِي عُثْمَانَ النَّهْدِيِّ، عَنْ عَمْرِو بْنِ العَاصِ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ اسْتَعْمَلَهُ عَلَى جَيْشِ ذَاتِ السّلاَسِلِ قَالَ: فَأَتَيْتُهُ فَقُلْتُ: يَا رَسُولَ اللهِ أَيُّ النَّاسِ أَحَبُّ إِلَيْكَ؟ قَالَ: عَائِشَةُ. قُلْتُ: مِنَ الرِّجَالِ؟ قَالَ: أَبُوهَا.
هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ.
Arz Ki Gai Ya Rasool Allah ﷺLogon Mein Se Kaun Aapko Ziyada Mehboob Hai? Nabi Karim ﷺNe irshad Farmaya Hazrat Aisha ؓArz ki Gai Mardon Mein Se Kaun Ziyada Mehboob Hai? Irshad Farmaya Unka Walid Hazrat Abubakar Siddiq ؓ
Al Jame Ul Kabeer Nasai Vol 4 Page 186
5
Hazrat umro Bin Aas ؓNe Riwayat farmaya
حدثنا معلى بن أسد، حدثنا عبد العزيز بن المختار، قال: خالد الحذاء، حدثنا عن أبي عثمان، قال: حدثني عمرو بن العاص رضي الله عنه، أن النبي صلى الله عليه وسلم، بعثه على جيش ذات السلاسل، فأتيته فقلت: ” أي الناس أحب إليك؟ قال: «عائشة» ، فقلت: من الرجال؟ فقال: «أبوها» ، قلت: ثم من؟ قال: «ثم عمر بن الخطاب» فعد رجالا
Ke Uneh Huzoor ﷺNe Jaish Zaat al salasil Per Bheja Tu Aap Farmate Hain Jab Mein Hazir Khidmat Howa Tu Arz Ki Ya Rasool Allah ﷺ Aap Ko Sabse Payar Kaun Hai ? Huzoor ﷺ Ne irshad Farmaya Aisha Siddiqa Main Ne Arz Ki Mardoon Mein Aap Ko Sabse Payara Kaun Hai? Tu Huzoor ﷺNe Farmaya Unke Abba {Hazrat Abubakar Siddiqؓ} Phir Kaun ? Huzoor ﷺNe irshad Farmaya Hazrat Umer Bin Khttab ؓPhir AapNe Chand Shaksiayat Ke Naam Ginwaye
Sahih Bukhari Bab Fazail Ashab Un Nabi ﷺ Hadees Number 3662
6
Hazrat Zohri Se Marwi Hai Ke Rasool Allah ﷺNe Hazrat Hassan Bin Sabit ؓSe irshad Farmaya Ke Tum Ne Hazrat Abubakar ؓKi Madah Mein Bhi Khuch kaha Hai ? Hazrat Hassan ؓNe Kaha Ji Haan Huzoor ﷺNe irshad Farmaya Kaho Main Sunoo Ga Uanho Ne Kaha
وثانی اثنین ی الغار المنیف وقد
ظاف العدوبہ اذ صعد الجبلا
وکان حبّ رسول اللہﷺ قد
علموا من البریہ لم یعدل بہ رجلا
Frmaty Hain Wo Siddiq Gaar Mein 2 Mein Ke Dosre The Halanky Wo Jab Gaar Mein Utre Tu Dushman Un Ke ird Gird Phirte Rahe Na{Magar Unko } Dekh Sake
Wo Siddiqe Akbar Rasool Allah Ke Aise Muhib Mehboob The Ke Sab Log Jante Hain Makhlok Mein Koi Shaks Hazrat Abubakar Siddiq Ke Barabar Nahi Hai Huzoor Muskuraye Jisse Aapke Dandane Mubarak Nazar Aane Lage Aur irshad Farmaya “ Aye Hasan Tum Ne Sach Kaha Wo [Hazrat Abubakar Siddiq] Aise Hi Hain Jaisa Tumne Kaha Hai
Tabqaat Ibne Sa,ad Vol 2 Page 18
7
Hazrat Syedna amro Bin Aas Riwayat Karte Hain
أَخْبَرَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عِيسَى، عَنِ ابْنِ الْمُبَارَكِ، عَنْ إِسْمَاعِيلَ، عَنْ قَيْسٍ، عَنْ عَمْرِو بْنِ الْعَاصِ قَالَ: قُلْتُ: يَا رَسُولَ اللهِ، أَيُّ النَّاسِ أَحَبُّ إِلَيْكَ؟ ” قَالَ: «عَائِشَةُ» قُلْتُ: لَيْسَ مِنَ النِّسَاءِ، قَالَ: «أَبُوهَا»
Ke Main Ne Rasool Aazam ﷺSe Arz Ki Ya Rasool Allah ﷺAap Ko Logon Mein Sab Se Ziyada Mehboob Kaun Hai Nabi Karim ﷺNe irshad Farmaya [Hazart} Aaisha Siddiqa ؓ{Phir} Main Ne Arz Ki Mera Sawal Aurton Se Mutaliq Nahi Hai Balki Ye Farmayen Mardon Mein Sabse Ziyada Aapko Kis Se Mohabbat Hai? Tu Huzoor Ne irshad Farmaya Unke { Hazrat Aaisha Siddiqa ؓ} Ke Walid Abubakar Siddiqؓ
Al Sunana Ul Kubra Nasai Sharif vol 7 page 294
8
Hazrat Anas Bin Malik ؓFarmate Hain
خْبَرَنَا أَبُو عَرُوبَةَ بِحَرَّانَ، حَدَّثَنَا الْمُسَيَّبُ بْنُ وَاضِحٍ، حَدَّثَنَا مُعْتَمِرُ بْنُ سُلَيْمَانَ، عَنْ حُمَيْدٍ، عَنِ الْحَسَنِ*، عَنْ أَنَسٍ، قَالَ: سُئِلَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: مَنْ أَحَبُّ النَّاسِ إِلَيْكَ؟ قَالَ: «عَائِشَةُ»، قِيلَ لَهُ: لَيْسَ عَنْ أَهْلِكِ نَسْأَلُكَ، قَالَ: «فَأَبُوهَا»
Rasool Allah ﷺSe Arz Ki Gai Ya Rasool Allah ﷺLogo Mein Se Kaun Aapko Ziyada Mehboob Hai ? Huzroo ﷺNe irshad farmaya {Hazrat} Aaishaؓ Arz Ki Gai Mardon Mein Se kaun Ziyada Pasand Hai ? Irshad Farmaya Unke Wali Hazrat Abubakar Siddiqؓ…Sahih Ibne Hibban Vol 16 Page 40,41
9
Hazrat Syedna Ali ؓSe Riwayat Hai Ke
حَدَّثَنَا هِشَامُ بْنُ عَمَّارٍ قَالَ: حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، عَنِ الْحَسَنِ بْنِ عُمَارَةَ، عَنْ فِرَاسٍ، عَنِ الشَّعْبِيِّ، عَنِ الْحَارِثِ، عَنْ عَلِيٍّ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «أَبُو بَكْرٍ وَعُمَرُ سَيِّدَا كُهُولِ أَهْلِ الْجَنَّةِ مِنَ الْأَوَّلِينَ وَالْآخِرِينَ، إِلَّا النَّبِيِّينَ وَالْمُرْسَلِينَ، لَا تُخْبِرْهُمَا يَا عَلِيُّ مَا دَامَا حَيَّيْنِ»
Huzoor ﷺNe irshad Farmaya [Hazrat] Abubakarؓ Wa {Hazrat] Omer ؓ Awwalin Wa Aakharin Mein Se Tamam Badi Omer Wale Ahle Jannat Ke Sardar Hain Siwaye Ambiya Wa Mursalin Ke Aye [Hazrat]Ali ؓin Dono Ko jab Tak Wo Hayat Hain Na Batana
Sunan ibne Majja Vol 1 Page 63
10
Hazrat imam Tirmiz Riwayat Naqal Farmate Hain
حدثنا علي بن حجر أخبرنا الوليد بن محمد الموقري عن الزهري عن علي بن الحسين عن علي بن أبي طالب قال : كنت مع رسول الله صلى الله عليه و سلم إذا طلع أبو بكر و عمر فقال رسول الله صلى الله عليه و سلم هذان سيدا كهول أهل الجنة من الأولين والآخرين إلا النبيين والمرسلين يا علي لا تخبرهما
Hazrat Syedna Ali ؓ Farmate Hain Main Huzoor ﷺsath Tha Ke Achanak Syedna Abubakar Siddiq Wa Seydna Hazrat Omer Farooq ؓNamodar Howe Huzoor Ne irshad Farmaya Ye Dono [Hazrat Abubakarؓ Wa HazratOmer ؓ ]Awwalin Wa Aakharin Mein Se Pukhta umar Walon Ke Sardar Hain Aye [Hazrat]Ali ؓineh Mat Batana
Al Jame Ul Kabir Tirmizi Vol 6 Page 45,46
11
Hazrat Abuhuraira ؓSe Riwayat Kiya Hai Ke Aap Farmate Hain
حَدَّثَنَا هَنَّادُ بْنُ السَّرِيِّ، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ مُحَمَّدٍ الْمُحَارِبِيِّ، عَنْ عَبْدِ السَّلَامِ بْنِ حَرْبٍ، عَنْ أَبِي خَالِدٍ الدَّالَانِيِّ، عَنْ أَبِي خَالِدٍ، مَوْلَى آلِ جَعْدَةَ عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «أَتَانِي جِبْرِيلُ فَأَخَذَ بِيَدِي فَأَرَانِي بَابَ الْجَنَّةِ الَّذِي تَدْخُلُ مِنْهُ أُمَّتِي» فَقَالَ أَبُو بَكْرٍ: يَا رَسُولَ اللَّهِ، وَدِدْتُ أَنِّي كُنْتُ مَعَكَ حَتَّى أَنْظُرَ إِلَيْهِ، فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ «أَمَا إِنَّكَ يَا أَبَا بَكْرٍ أَوَّلُ مَنْ يَدْخُلُ الْجَنَّةَ مِنْ أُمَّتِي»
Huzoor ﷺ Ne irshad Farmaya Aye Abubakar ؓ Aap Meri Ummat Mein Sabse Pehle Jannat Jayen Ge… Abu Dawood Vol 3 Page 218
12
Hazrat amro bin sulami ؓFarmate Hain
عَنْ أَبِي أُمَامَةَ، قَالَ: قَالَ عَمْرُو بْنُ عَبَسَةَ السُّلَمِيُّ: كُنْتُ وَأَنَا فِي الْجَاهِلِيَّةِ أَظُنُّ أَنَّ النَّاسَ عَلَى ضَلَالَةٍ، وَأَنَّهُمْ لَيْسُوا عَلَى شَيْءٍ وَهُمْ يَعْبُدُونَ الْأَوْثَانَ، فَسَمِعْتُ بِرَجُلٍ بِمَكَّةَ يُخْبِرُ أَخْبَارًا، فَقَعَدْتُ عَلَى رَاحِلَتِي، فَقَدِمْتُ عَلَيْهِ، فَإِذَا رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مُسْتَخْفِيًا جُرَءَاءُ عَلَيْهِ قَوْمُهُ، فَتَلَطَّفْتُ حَتَّى دَخَلْتُ عَلَيْهِ بِمَكَّةَ، فَقُلْتُ لَهُ: مَا أَنْتَ؟ قَالَ: «أَنَا نَبِيٌّ» ، فَقُلْتُ: وَمَا نَبِيٌّ؟ قَالَ: «أَرْسَلَنِي اللهُ» ، فَقُلْتُ: وَبِأَيِّ شَيْءٍ أَرْسَلَكَ، قَالَ: «أَرْسَلَنِي بِصِلَةِ الْأَرْحَامِ، وَكَسْرِ الْأَوْثَانِ، وَأَنْ يُوَحَّدَ اللهُ لَا يُشْرَكُ بِهِ شَيْءٌ» ، قُلْتُ لَهُ: فَمَنْ مَعَكَ عَلَى هَذَا؟ قَالَ: «حُرٌّ، وَعَبْدٌ» ، قَالَ: وَمَعَهُ يَوْمَئِذٍ أَبُو بَكْرٍ، وَبِلَالٌ مِمَّنْ آمَنَ بِهِ
“Main Zamana Jahiliyat Mein Guman Karta Tha Ke Log Gumrahi Per hain Wo Kisi Bhi Achchi Chiz Per Nahi Hain Jabki Wo Buttun Ki ibadat Karte Thy Tu Main Ne Makka Mukarama Ke Ek Aadmi Se Suna Ke Wo Khuch Khabren Dete Hain Tu Main Apni Sawari Per Sawar Howa Tu Unke Paas Pahuncha Tu Wo Huzoor ﷺThy in Dino Wo Chupe Howe Thy Aur Aur per Unki Qaum Jareeh Hochuki Thi Tu Main Ne Narmi ikhtiya Ki Hila Bahana se Makka ukarama Mein Dkhil HoGaya Tu Main Ne Unse Pocha Main Ne Pocha Aap Kaun Hain ? Unaho Ne Farmaya Main Nabi Hun …Tu Main Ne Kaha Nabi Ka Matlab ? Huzoor ﷺne Farmaya Allah Ne Bheja Hai ..tu Main Ne Puvha Kis Xhiz Ko Dekar Usne Aapko Bheja Hai? Huzoor ﷺNe Silah Rahmi Buttun Ko Todne Allah Ki Wahdaniyat Ke Iqara Aur Uske Sath Kisi Ko Sharik Na Karne Ke Sath Bheja Hai Tu Main Ne Arz Ki is Baat Per Aapke Sath Kaun Hai? Huzoor Ne Farmaya Ek Aadmi Aur Ek Gulam {Raawi Farmate Hain}in Dino Momino Mein Hazrat Abubakar Siddiq Aur Hazrat Bilala Thy…Muslim Sharif Vol 1 Page 371
13
Hazrat imam Bukhari Hadees Shareef naqal Farmate Hain
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا سليمان، عن يحيى بن سعيد، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال: «كنا نخير بين الناس في زمن النبي صلى الله عليه وسلم فنخير أبا بكر، ثم عمر بن الخطاب، ثم عثمان بن عفان رضي اللہ عنهم»
ه Hazrat ibne omer Farmate Hain Ke Nabi Karim Ke Mubarak Zamana Mein Jab Hum Sahaba Kiram Ke Darmiyan Kisi Ko Tarjeeh Detey Tu Sab Per Hazrat Abubakar Siddiq Ko Tarjeeh Diya Karte Phir Hazrat Omer Bin Khattab Ko Phir Hazrat Usman Bin Affan Ko {Fazilat Diya Karte}
Bukhari Sharif Mutarjim Vol 2 Page 395
14
Sahih ibne Hibban Mein Hadees Naqal Ki Gai Hai
أَخْبَرَنَا الْحُسَيْنُ بْنُ إِسْحَاقَ الْأَصْبَهَانِيُّ، بِالْكَرَجِ، حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ سَعِيدٍ الْكِنْدِيُّ أَبُو سَعِيدٍ الْأَشَجُّ، حَدَّثَنَا عُقْبَةُ بْنُ خَالِدٍ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، عَنِ الْجُرَيْرِيِّ، عَنْ أَبِي نَضْرَةَ، عَنْ أَبِي سَعِيدٍ الْخُدْرِيِّ، قَالَ: قَالَ أَبُو بَكْرٍ الصِّدِّيقُ: «أَلَسْتُ أَحَقَّ النَّاسِ بِهَذَا الْأَمْرِ؟ أَلَسْتُ أَوَّلَ مَنْ أَسْلَمَ؟ أَلَسْتُ صَاحِبَ كَذَا؟ أَلَسْتُ صَاحِبَ كَذَا؟ »
Hazrat Abu Sae,id Khudri Bayan Karte Hain Hazrat AbuBakar Siddiq Ne Farmaya Kya Main is Muamle Ka Sabse Ziyada Haqdar Nahi Hun ? Kya Main Ne Sabse Pahle islam Qabool Nahi kya Tha? Kya Main Ne Fulan Kaam Nahi kiya Tha
Sahih ibne Hibban Mutarjim Vol 8 page 36 {Arbi Vol 15 page 279}
15
Hazrat Imam Ahmad Bin Hambal Riwayat Naqal Farmate Hain
حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ قَالَ: حَدَّثَنِي يَحْيَى بْنُ أَيُّوبَ قثنا ابْنُ أَبِي زَائِدَةَ قَالَ: حَدَّثَنِي شُعْبَةُ، عَنْ عَمْرِو بْنِ مُرَّةَ، عَنْ إِبْرَاهِيمَ قَالَ: أَبُو بَكْرٍ أَوَّلُ مَنْ أَسْلَمَ مَعَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ
“Hazrat Amar Bin Merra Ne Hazrat Ibrahim Se Riwayat Kiya Wo Kehte Hain Sabse Pahle islam Laane Wale Hazrat Syedna Abu Bakar Siddiq ؓHain
Fazail sahab Page 224
16
Mishqat Sharif Mein Riwayat Hai
وَعَن ابْن عمرٍ قَالَ: كُنَّا فِي زَمَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَا نَعْدِلُ بِأَبِي بَكْرٍ أَحَدًا ثُمَّ عُمَرَ ثُمَّ عُثْمَانَ ثُمَّ نَتْرُكُ أَصْحَابَ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَا نُفَاضِلُ بَيْنَهُمْ. رَوَاهُ الْبُخَارِيُّ
وَفِي رِوَايَةٍ لِأَبِي دَاوُدَ قَالَ: كُنَّا نَقُولُ وَرَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ حَيٌّ: أَفْضَلُ أُمَّةِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بَعْدَهُ أَبُو بَكْرٍ ثُمَّ عمر ثمَّ عُثْمَان رَضِي الله عَنْهُم
Hazrat ibne Omer ؓSe Riwayat Hai Ke Nabi Karim ﷺKe Zamana Mein Hum Kisi Ko Hazrat Abubakar Siddiq ؓKe Barabar Shumar NahiKarte Thy Phir Hazrat Omerؓ Ko Phir Hazrat Osman ؓKo Phir Hum Chhur Dete Aur Nabi Karim Ke Ashab Mein Se Kisi Dusre Per Fazilat Na Dete {Bukhari}Aur Abu Dawood Ki Ek Riwayat Mein Hai Ke Huzoor ﷺKi Hayat Mubaraka Mein Hum Kaha Karte Ke Nabi Karim ﷺKi Ummat Mein Aapke Baad Afzal Hazrat Abubakar Siddiq ؓHain Phir Hazrat Omer ؓPhir Hazrat Usman ؓHain ..—Mishkat Sharif Vol 3 page 224
17
Hazrat imam Tirmizi Hadees Shareef Naqal Farmate Hain
حدثنا قتيبة حدثنا محمد بن فضيل عن سالم بن أبي حفصة و الأعمش و عبد الله بن صهبان و ابن أبي ليلى و كثير النواء كلهم عن عطية عن أبي سعيد قال : قال رسول الله صلى الله عليه و سلم إن أهل الدرجات العلى ليراهم من تحتهم كما ترون النجم الطالع في أفق السماء وإن أبو بكر و عمر منهم وأنعما
قال أبو عيسى هذا حديث حسن روي من غير وجه عن عطية عن أبي سعيد
Hazrat Abu Sa,id Khdri ؓSe Riwayat Hai Ke Huzoor ﷺNe irshad Farmaya ‘Be Shak Jannat Mein Bulad Darjaat Walon Ko Kam Darjaat Wale Yun Dekhen Ge Jaise Aasmaan Ke Aafaq Mein Se Kisi UFaq Per Tuloo Hone Wale Taare Ko Dekha Jaata Hai Be Shak Hazrat Abu Bakar ؓWa Hazrat Umar ؓin Buland Darjaat Walon Mein Se Hain Balki inse Achche Hain
Sunan Tirmizi Hadees 3658 Vol 2 page 831
18
Ibne Asakir Apni Kitab Mein Hadees Naqal Karte Hain
أخبرنا أبو علي الحسن بن أحمد في كتابه وحدثني أبو مسعود الأصبهاني عنه أنا أبو نعيم الحافظ نا أبو محمد بن حيان نا عبد الله بن محمد بن إسحاق نا أسيد بن عاصم نا إبراهيم بن أبي يحيى نا أبو عمر الضرير نا حماد بن سلمة عن هشام بن عروة عن أبيه عن عائشة قالت قال رسول الله (صلى الله عليه وسلم) الناس كلهم يحاسبون إلا أبو بكر
” Ummul Mominin Hazrat Aisha Siddiqa irshad Farmati hain Ke Rasool Allah Ne irshad Farmaya Tamam Logon ka Hisab Kiya Jaaaye Ga Siwaye syedna Hazrat AbuBakar Siddiq Ke
Tareekh Madeena Damishq Vol 30 Page 152
19
Musnade Bazzar Mein Riwayat Hai
حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ أَبِي ثُمَامَةَ الْأَنْصَارِيُّ، قَالَ: نا الْحَسَنُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ الْمُقْرِئُ الْعِجْلِيُّ، قَالَ: نا حَسَّانُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ الْكَرْمَانِيُّ [ص:15]، قَالَ: نا إِبْرَاهِيمُ بْنُ مُحَمَّدٍ الصَّائِغُ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ عَقِيلٍ، قَالَ: خَطَبَنَا عَلِيُّ بْنُ أَبِي طَالِبٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ فَقَالَ: أَيُّهَا النَّاسُ أَخْبِرُونِي بِأَشْجَعِ النَّاسِ؟ قَالُوا: – أَوْ قَالَ – قُلْنَا: أَنْتَ يَا أَمِيرَ الْمُؤْمِنِينَ. قَالَ: أَمَا إِنِّي مَا بَارَزْتُ أَحَدًا إِلَّا انْتَصَفْتُ مِنْهُ، وَلَكِنْ أَخْبِرُونِي بِأَشْجَعِ النَّاسِ قَالُوا: لَا نَعْلَمُ، فَمَنْ؟ قَالَ: أَبُو بَكْرٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، أَنَّهُ لَمَّا كَانَ يَوْمُ بَدْرٍ جَعَلْنَا لِرَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَرِيشًا فَقُلْنَا: مَنْ يَكُونُ مَعَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَيْلًا؟ يَهْوِي إِلَيْهِ أَحَدٌ مِنَ الْمُشْرِكِينَ فَوَاللَّهِ، مَا دَنَا مِنْهُ إِلَّا أَبُو بَكْرٍ شَاهِرًا بِالسَّيْفِ عَلَى رَأْسِ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: لَا يَهْوِي إِلَيْهِ أَحَدٌ إِلَّا أَهْوَى عَلَيْهِ فَهَذَا أَشْجَعُ النَّاسِ فَقَالَ عَلِيٌّ: وَلَقَدْ رَأَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، وَأَخَذَتْهُ قُرَيْشٌ فَهَذَا يَجَؤُهُ وَهَذَا يُتَلْتِلُهُ وَهُمْ يَقُولُونَ: أَنْتَ الَّذِي جَعَلْتَ الْآلِهَةَ إِلَهًا وَاحِدًا قَالَ: فَوَاللَّهِ مَا دَنَا مِنْهُ أَحَدٌ إِلَّا أَبُو بَكْرٍ، يَضْرِبُ هَذَا وَيُجَاءُ هَذَا وَيُتَلْتِلُ هَذَا وَهُوَ يَقُولُ: وَيْلَكُمْ أَتَقْتُلُونَ رَجُلًا أَنْ يَقُولَ رَبِّيَ اللَّهُ ثُمَّ رَفَعَ عَلِيٌّ بُرْدَةً كَانَتْ عَلَيْهِ فَبَكَى حَتَّى اخْضَلَّتْ لِحْيَتُهُ ثُمَّ قَالَ: أُنْشِدُكُمْ بِاللَّهِ أَمُؤْمِنُ آلِ فِرْعَوْنَ خَيْرٌ أَمْ أَبُو بَكْرٍ فَسَكَتَ الْقَوْمُ فَقَالَ: أَلَا تُجِيبُونِي فَوَاللَّهِ لَسَاعَةٌ مِنْ أَبِي بَكْرٍ خَيْرٌ مِنْ مِلْءِ الْأَرْضِ مِنْ مُؤْمِنِ آلِ فِرْعَوْنَ ذَاكَ رَجُلٌ كَتَمَ إِيمَانَهُ وَهَذَا رَجُلٌ أَعْلَنَ إِيمَانَهُ. قَالَ أَبُو بَكْرٍ: وَهَذَا الْحَدِيثُ لَا نَعْلَمُهُ يُرْوَى عَنْ عَلِيٍّ، إِلَّا مِنْ هَذَا الْوَجْهِ بِهَذَا الْإِسْنَادِ
Hazrat Muhammad Bi Ali Se Marwi Hai Ke Ek Rooz Hazrat Aliؓ Ne Asnaye Khutba Mein Farmaya ..Batawo Sabse Ziyada Shuja Aur Bahadur Kaun hai? Logo Ne Kaha Aap Hain..Hazrat Ali ؓNe Farmaya Mera Haal Tu Ye Hai Ke Jis Kisi Ne Mera Muqabila Kiya Hai Main Ne Usse inteqam Liya Hai Sabse Shuja Tu Hazrat Abubakar Siddiq ؓThy EK Martaba Kuffare Ne Huzoor ﷺKo Narghe Mein Le Liya Ek idhar Khinch Raha Tha Tu Dusra Dhakel Raha Tha Wo Keh rahe Thy Tumne Kai Khudaun Ko Ek Khuda Bana Liya Hai? Tu Qasam Ba Khuda Koi Chhurane Ko Aage Na Badh Saka Hazrat Abubakar Siddiq ؓDaude Aaye Kisi Ko Thappad Rasid Kiya Kisi Ko Dhakel Diya Aur Huzoor Ko us Narge Se Nikal Kar Farmaya Tu Aise Shaks Ko Marna Chahte Ho Jo Kehta Hai Mera Khuda Ek hai uske Baad Hazrat Ali Ne Farmaya Main Tumhhe Allah Ki Qasam Deta Hun Batawo Aale Firaun Mein Se iman Wala Shaks Behtar Tha Ya Hazrat Abubakar Siddiqؓ? Qaum Khamosh Rahi Aapne Farmaya Bolte Nahi? Yaad Rakhkho Hazrat Abubakar Siddiq ؓKi Ek Ghadi Ka Amal Ek Taraf Aur Aale Firaun Ke Momin Shaks Jaise insano Se Agar Roye Zamin Bhar Jaye Tu Un Tamam Zindagiyan Ek Taraf is Momin Ne Tu Apna iman Chupa Rakha Tha Aur Hazrat Abubakar Siddiq Ne Aashkara Kar Diya
Musnad Al Bazzaar Vol 3 page 14,15
20
Hazrat imam Abdul Wahab Sherani Sufi Apni Kitab Mein Farmate Hain Ke Shaikh Taqiyuddin Bin Abi Mansoor Bayan Karte Hain Ke “Ye eteqad Rakhkha Jaye Ga Ke Syedna Abubakar Siddiq ؓTamam Ummat Muhammadiya Se Afzal Hain Aur Digar Tamam Ambiya Kiram Ki Ummaton Aur Unke Ashab Se Afzal Hain Kyun Ke Hazrat Abubakar Siddiq Huzoor Ke Sath Siddiqiyat Ke Sath Mutlazim Thy Jaise Saya Ka Sayadaar Ke Sath Hota Hai Hat,ta Ke Misaaq E Ambiya Mein Bhi Aapke Sath Thy isi Waje Se Aap Sab Se Pahle Huzoor ﷺPer imaan Laye……….
Al Liwaqiyat Al Jawahir page 438
21
Hazrat Mulla Ali Qari Umdatul Qari Sharah Bukhari Mein Ek Hadees Ki Sharah Mein Likhte hain
حدَّثنا مُعَلَّى بنُ أسَدٍ حدَّثنا عَبْدُ العَزِيزِ بنُ المُخْتَارِ قَالَ خالِدٌ الحَذَّاءُ حدَّثنا عنْ أبِي عُثْمَانَ قَالَ حدَّثني عَمْرُو بنُ العَاصِ رَضِي الله تَعَالَى عنهُ أنَّ النَّبِيَّ صلى الله عَلَيْهِ وَسلم بعَثَهُ عَلَى جَيْشِ ذَاتِ السَّلاسِلِ فأتَيْتُهُ فَقُلْتُ أيُّ النَّاسِ أحَبُّ إلَيْكَ قَالَ عائِشَةُ فقُلْتُ مِنَ الرّجَالِ فَقَالَ أبُوهَا قُلْتُ ثُمَّ مَنْ قالَ ثُمَّ عُمَرُ بنُ الخَطَّابِ فَعَدَّ رِجالاً.
مطابقته للتَّرْجَمَة ظَاهِرَة، وَذَلِكَ لِأَن كَون أحب النَّاس إِلَى النَّبِي صلى الله عَلَيْهِ وَسلم أَبَا بكر، يدل على أَن لَهُ فضلا كثيرا وَأَنه أفضل النَّاس بعد النَّبِي صلى الله عَلَيْهِ وَسلم
“is Ke tarjame Se Mutabiqat Zahir Hai Kyun Ke Hazrat Abubakar Siddiq ؓ Huzoor ﷺ Ko Sab Logon Se Mehboob Thy Aur is Baat Per Dalalat Karti Hai Ke Aap Ke Muqadar Mein Bahut Badi Fazilat Hai Balki Huzoor ﷺ Ke Baad Sab Logon Se Afzal {Siddiqe Akbarؓ} Hain
Umdatul Qari Sharah Bukhari Vol 16 Page 181
22
Hazrat Sirajuddin Abu Hafas Ansari Shafai Likhte Hain “Ahle Sunnat Wa jamat Ka ijma Hai ke Hazrat Abubakar Siddiq Sab Sahaba Kiram Se Afzal Wa Aala Hain
Al Tauzeeeh Sharah Al Jamee Us Sahih Vol 20 Page 250
23
Hazrat imam Abu Dawod Hadees Sharif Naqal Farmate Hain
حدثنا أحمد بن صالح حدثنا عنبسة حدثنا يونس عن ابن شهاب قال قال سالم بن عبد الله إن ابن عمر قال كنا نقول ورسول الله -صلى الله عليه وسلم- حى أفضل أمة النبى -صلى الله عليه وسلم- بعده أبو بكر ثم عمر ثم عثمان رضى الله عنهم أجمعين.
“Hazrat Bin Omer Farmate Hain Ham Nabi Karim Ke Zamana Mubarak Mein Kaha Karte Ky Ham Hazrat Abu Bakar Siddiq Ke Barabar Kisi Ko Nahi Samjhte Phir Hazrat Omer Ko Phir Hazrat Usman Ko Phir Ham Nabi Karim Ke Ashab Chhur Dete Aur Unmein Kisi Ko Fazilat Na Diya Karte
Sunan Abi Dawood Vol 3 Page 211
24
Imam Abu Dawood Hadees Sharif Naqal Farmate Hain
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ كَثِيرٍ، حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، حَدَّثَنَا جَامِعُ بْنُ أَبِي رَاشِدٍ، حَدَّثَنَا أَبُو يَعْلَى، عَنْ مُحَمَّدِ ابْنِ الْحَنَفِيَّةِ، قَالَ: قُلْتُ لِأَبِي أَيُّ النَّاسِ خَيْرٌ بَعْدَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ؟ قَالَ: «أَبُو بَكْرٍ» قَالَ: قُلْتُ: ثُمَّ مَنْ؟ قَالَ: «ثُمَّ عُمَرُ» ، قَالَ: ثُمَّ خَشِيتُ أَنْ أَقُولَ ثُمَّ مَنْ فَيَقُولَ عُثْمَانُ، فَقُلْتُ: ثُمَّ أَنْتَ يَا أَبَةِ؟ قَالَ: «مَا أَنَا إِلَّا رَجُلٌ مِنَ الْمُسْلِمِينَ»
__________
Hazrrat Muhammd Bin Hanafiya Ka Bayan Hai Ke Aap Apne Walid Majid {Hazrat Ali ؓ}Ki Khidmat Mein Arz Guzar Howe Ke Rasool Allah Ke Baad Behtar Shaks Kaun Hai ? {Hazrat Ali ؓ} Ne farmaya Ke Hazrat Abubakar ؓ{Hain} Main Arz Guzar Howa Ke Phir Kaun Hai? Farmaya Hazrat Omerؓ {Hain} Phir main Dara Ke Agar Kahun Phir Kaun Hai Tu Aap Farmayen Ge Ke Hazrat Usman ؓLihaza Main Arz Guzar Howa Ke Abba Jaan Phir Aap Hain Farmaya Main Tu Musalmano Mein Se Ek Fard Hun
Abu Dawood Vol 3 page 441
25
Hazrat Abad Khair Hamdani Se Marwi Hai Ke
حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ عَوْنٍ حَدَّثَنَا مُبَارَكُ بْنُ سَعِيدٍ أَخُو سُفْيَانَ عَنْ أَبِيهِ عَنْ حَبِيبِ بْنِ أَبِي ثَابِتٍ عَنْ عَبْدِ خَيْرٍ الْهَمْدَانِيِّ قَالَ سَمِعْتُ عَلِيًّا رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ يَقُولُ عَلَى الْمِنْبَرِ أَلَا أُخْبِرُكُمْ بِخَيْرِ هَذِهِ الْأُمَّةِ بَعْدَ نَبِيِّهَا قَالَ فَذَكَرَ أَبَا بَكْرٍ ثُمَّ قَالَ أَلَا أُخْبِرُكُمْ بِالثَّانِي قَالَ فَذَكَرَ عُمَرَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ثُمَّ قَالَ لَوْ شِئْتُ لَأَنْبَأْتُكُمْ بِالثَّالِثِ قَالَ وَسَكَتَ فَرَأَيْنَا أَنَّهُ يَعْنِي نَفْسَهُ فَقُلْتُ أَنْتَ سَمِعْتَهُ يَقُولُ هَذَا قَالَ نَعَمْ وَرَبِّ الْكَعْبَةِ وَإِلَّا صُمَّتَا
Main Ne Ek Martaba Hazrat Ali ؓ Ko {Daurane Khutba} Kehte Howe Suna Ke Kya Main Tumeh Ye Na Bataun Ke is Ummat Mein Nabi Karim ﷺKe Baad Sabse Behtreen Shaks Kaun Hai? Wo Hazrat Siddiq E Akbar ؓHain Aur Main Tumeh Bataun Ke Hazrat Siddiq e Akbar ؓKe Baad is Ummat Mein Sabse Behtreen Shaks Kaun Hai/ Wo Hazrat Omer Farooq ؓHain Phir Farmaya Agar Main Chahun tu Tumeh Teesre Aadmi Ka Naam Bhi Bata Sakta Hun Taham Khamosh Rahe Hum Yahi Samjhte Hain Ke Khud Hazrat Ali ؓHi The Main Ne Raawi Se Pocha Kya Waqai Aap Ne Hazrat Ko Ye Farmate Suna Hai? Unahu Ne kaha Rabbe Kaaba Ki Qasam Haan{Agar Main Jhoot Bolon } Tu Ye Kaan Behre Ho Jayen
Musnade imam Ahmad Bin Hambal Vol 1 Page 423
26
Hazrat Sufi Fareed Uddin Attar Farmate Hain “Jab Tum ثانی اثنین اِذھما فی الغار Ko Mante Ho Tu Phir Ye Bhi Taslim Karna Pade Ga Ke Huzoor Ke Baad Hazrat Abubakar Siddiq Hi Afzal Ul Ummat Hain Har Wo Chiz Jo Allah Ki Taraf Se Huzoor Ke Seena Aqdas Mein Daali Gai Wo Thi Wo Huzoor Ne Hazrat Abubakar Siddiq Ke Seena E Aqdas Mein Undeel Di Baghair Shak Wa Shuba Aur Ye Baat Bhaut Hi Zarori Baat Hai Ke Waqai Har Cheez Undeel Di
Manteq Ut Tair Page 22,23
27
Musnade Ahmad Mein Imam Ahmed Bin Hambale Hadees Naqal farmate Hain
حَدَّثنا عَبْدُ اللهِ، حَدَّثَنِي وَهْبُ بْنُ بَقِيَّةَ الْوَاسِطِيُّ، حَدَّثنا عُمَرُ بْنُ يُونُسَ، يَعْنِي الْيَمَامِيَّ، عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ عُمَرَ الْيَمَامِيِّ، عَنِ الْحَسَنِ بْنِ زَيْدِ بْنِ حَسَنٍ، حَدَّثَنِي أَبِي، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ عَلِيٍّ، قَالَ: كُنْتُ عِنْدَ النَّبِيِّ صَلى الله عَلَيهِ وسَلمَ، فَأَقْبَلَ أَبُو بَكْرٍ، وَعُمَرُ، فَقَالَ: يَا عَلِيُّ، هَذَانِ سَيِّدَا كُهُولِ أَهْلِ الْجَنَّةِ، وَشَبَابِهَا بَعْدَ النَّبِيِّينَ وَالمُرْسَلِينَ
Hazrat Ali ؓSe Marwee Hai Ke Nabi Karim ﷺKi Khidmat Mein Maujod Tha Ke Saamne Se Hazrat Shaikhain { Hazrat Abubakar Siddiq ؓAur Hazrat Omer Farooqؓ } Aate Howe Dikhai Diye Nabi Karim ﷺNe Farmaya Ali ؓYe Dono Ambiya Aur Mursalin Ke Alawa Jannat Ke Tamam Bodhaun Aur Jawano Ke Sardar Hain
Musnad imam Ahmed Bin Hambal Vol 1 Page 424,425
28
Sufiya Ke imam Hazrat Shaikh ibne Arabi Syedna Hazrat Abubakar Siddiq ؓKi Fazilat Mein Hadees Sharif Naqal Farmate Hain “isi Tarah Huzoor ﷺNe Hazrat Abubakar Siddiq ؓKe Bare Mein Farmaya Ke Wo Mere Razon Ke Ameen Hain
Fatuhaat Makkiya Vol 1 Page 156
29
Hazrat Data Ganj Baksh Ali hajweri Farmate Hain “ Hazrat Siddqe Akbar ؓKi Hasti Mubarak Wo Hasti Hai Ke افضل البشر بعد الانبیاء Hain Unse Aage Qadam Uthana Ye Rawa Nahi ..Phir Ek Jaga Aur Farmate Hain “Taslim Wa Raza Ke Masle Per Jitne Baad Mein Howe Sab Ke Sab Usi Hasti {Hazrat Abubakar Siddiq} Ko Apna imam Wa Peshawa Mante Chale Aarahe Hain aur Aap Tamam Arbabe Taslim Ke imam Aur Ahle Tariqat Ke Khaas Peshwa Hain
Kashful Mehjob Page 174 ,175
”
30
Hazrat imam Rabbani Ke Khalifa Hazrat Badruddin Sarhandi Likhte Hain “Khair Ul Ambiya Ke Khulfa Mein Aap {Hazrat Abubakar Siddiq ؓ} Sabse Pehle Khalifa Hain Aur Ne Uloom Zahiri Aur Batini Hazrat Syed Ul Awalin Wa Aakhirin Huzoor ﷺSe Hasil Kiye Hain “ Ek Jaga Aur Likhte Hain “Huzoor Ka Ye irshad Ke Agar Koi Shaks Maqame Khas Mein Mera Sharik Hota Tu Abubakarؓ Hota Ye is Amr Ki Dalil Hai Ke Hazrat Abubakar Siddiq ilme Batin Mein ilmBillah Ki Waje Se Awliya Ummat Mein Akmal Wa Afzal Aur Sabse Ziyada Alim Hain Balki Paighambaron Ke Baad Tamam Siddiqon Se Ziyada Kamil Aur Siddiqe Akbar Hain Akbire Ahle Basirat Ka is Per Ittefaq Hai…
Hazrat Ul Quds Vol 1 Page 36,,38
31
Hazrat Shah Wali Ullah Muhaddis Dehlvi izalatul Khifa Mein Likhte Hain “ Shaikh Junaid Bagdadi Farmaya Karte Thy Ke Tauheed E ilahi Mein Bahetrin Kalima Hazrat Siddiq ؓKa Hai Ke Paak Hai Wo Zaat Jisne Apni Marfat Ka Raasta Khalq Ko Bajuz is ke Nahi Batlaya Ke Wo is Haqiqat Dariyafat Karne Se Aajiz Rahe is Ke Baad Shaikh Junaid Bagdadi Farmate Hain Tariqat Dar Haqiqat Tariqat E Siddiq ؓHai Aap [Hazrat Abubakar Siddiq } imam Ahle Tariqat Thy
Shah Wali Ullah Ke Afkar Wa Nazriyat page 252
32
Hazrat Shaikh Yahiya Maneri Farmate Hain” Hazrat Muhammad ﷺTamam Makhloq Se Afzal Tareen Hain Aur Huzor ﷺKe Baad Tamam Khalayaq Mein Afzal Hazrat Ambiya Aur Rasool Hain Ambiya Aur Rasoolon Ke Baad Tamam Ummatiyon Mein Afzal Hazrat Rasol Allah ﷺKi Ummat Hai Aur Tamam Ummatiyon Mein Afzal Hazrat Siddiq E Akbar ؓHain Unke Baad Hazrat Omer Bin Khattab ؓAur Unke Baad Hazrat Usman ؓAur Hazrat Ali Murtuzaؓ Hain
Maadan ul Maani Page 133
33
Hazrat Meer Abdul Wahid bilgrami Farmate Hain “Aziz e man Ye Rasol Allah ﷺ Ke Ye Charon Khalifa Apni Tamam Kamiliyat Ke Sath Khulfa E Rashadin Khulafa E Barhaq Aur BarAsl Hain Ye Charon Hi is Ka Haq Rakhte Thy Ke Rasol e Khuda Ki Masande Khilafat Per Ek Ke Bad Digre Baithyen …phir Aage Likhte Hain “Rahi Ye Baat Ke Baiyat Ke Tamam Silsile Hazrat Ali Murtuza ؓTak Pahunchte Hain Aur Kisi Khalifa Tak Nahi Nahi Pahunchte iski Waje Ye Hai Ke in Hazrat Ne Kisi Shaks Ko Apna Khalifa Nahi Banaya Hai Ke usko Rasol Allahﷺ Ki Jaga Bithate is liye Ke Jab Tak Rasol Allah ﷺKe Khalifa Maujod Hain Khalifa Ke Khalifa Ko Ye Haq Nahi Pahunchta Ke Wo Rasol Allah ﷺKi Jaga Bahithe Aur Chunke Hazrat Maula Ali ؓ Per Khilafat Per Khilafat Khatam Howi Unaho Ne Majboran Hazrat Hasan Basri Ko Apna Khalifa Banaya Aur Apni Jaga Bithaya Phir Unse Ye Silsile Paida Howe Jo Sab Maula Ali Tak Pahunchte Hain Tu Hazrat Ali ؓKi Khilafat Ki Baari Ka Muakhar Hona Ye Sabab Bana TamamSilsilon Ke Aapki Janib Lautne Ka Aur Agar in Hazrat Mein se Koi Aur Mutakhir Hota Tu Tamam Silsilon Ka Marja Wahi Thaharta ,, Yahan Tak Tu Tumhe Malom Hogay Ke Tafzilli Rafzi isi Qism Ki BeHudgiyan Bakte Hain Lekin inke Baaz Muqtada Ye Kehte Hain Ke Hazrat Ali Murtaza Hamare Dada Hain is Waje Se Ham Uneh Tamam Khulafa Se Afzal mante Hain Aur Kisi Dusre Ko Unper Fazilat Nahi Dete Lekin Mere Bhai Fazal Dene Ki Fazilat Un Fuzla E Sadat Ke Hath Mein Tu Nahi Hai Ke Jise Chahen Fazal Dein Aur Ek Ko Dusre Se Afzal Janen Balki ذالک فضل اللہ یوتیۃ من یشاءa Ye Tu Allah Ka Fazl Hai Jise Chata Hai Ata Farmata Hai….
Saba Sanabil Sharif Page 77,78
InshaAllah Continue........
No comments:
Post a Comment