Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ?

Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
```Shabe meraj, shabe barat ya jitni bhi shab aati he usme awam ko bataya jata he ki us din nafl namaze padhni chahiye..
✅LEkin asl me ye nafl Namaze un ke liye he jiske zimme koi bhi Qaza namaz na ho yaani uski 5 waqto me se koi bhi farz namaz baaki na rahi ho.

Is raat Agar Namaz padhe to apne zimme jo farz namaz chhuti he(qaza e umri) use pahle ada kare..

Or isi tarah roza ka bhi he Agar nafl roze rakhe to pahle ye niyyat kare ki jo mera farz Roza chhuta use ada kar raha hu.

✍🏻Q ki Jb tk kisi shakhs ke zimma farz baqi rahta hai, uska koi nafl qabool nhi kiya jata.```

 Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid EDin O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi  *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua ( To Aapne) Ameerul Moamineen Farooqe Aazam Radiallahu ta'ala Anho ko bulakr farmaya :  "Aye Umar ! (Radiallahu ta'ala Anhu) Allah Azzwajalla ke kuch kaam din me hain ki unhe raat me kro to qabool na farmayega aor kuch kaam raat me hain ki unhe din me kro to maqbool na hongen aor *khbardar raho ki koi nafl qabool nhi hota jb tk farz ada na kr liya jaye.*

*📚(Hilytul Awliya, Volume 1/71, Hadees 83)*

 Huzoor purnoor Sayyiduna Ghaose Aazam, Maulaye Akram Huzoor Sheikh Mohiyyul Millat Walidain Abu Muhammad Abdul Quadir Jilani Rahmatullahi Ta'ala Alayhiapne kitab mustataab " *Futoohul Ghaib*" me Aise *shkhs ki misaal jo farz chodkr nafl bja laye* yun bayaan farmate hain : uski kahawat Aisi , jaise kisi shkhs ko *badshah apni khidmat ke liye bulaye ye wahan to hazir na hua aor uske ghulaam ki* *khidmatgari me maojood rhe.*

Neez (Aage) farmate hain : *Agr farz chodkr sunnat w nafl me mashgool hoga, yh qabool na honge aor khwaar (zaleel) kiya jayega.*

 *📚(Futoohul Ghaib,11)*

 Huzoor Shaikh-us-shuyookh Imaam shahabul Millat Walidain Suharwardi Rahmatullahi Ally*  *"Awarif Shareef"* me hazrat khwaas Radiallahu ta'ala anhu se naql farmate hain : hme khbar pahunchi ki *Allah Azzawajalla*  *koi nafl qabool nhi farmata yahan tk ki farz ada kiya jaye.*

*Allah ta'ala* ese logo se farmata hai : Kahawa tumhari, bd bandah (us bure shkhs) ki manind hai jo qarz ada krne se phle tohfa pesh kre.

 *📚(Awarifulm'aarif, Page Number 191)*

 Aalahazrat Rahmatullahi Alayhi farmate hain : *Jb tk farz zimma pr baqi rahta hai koi nafl qabool nhi kiya jata.*

 *📚(Almalfooz, jild 1/ Safa- 70)*

�� *Han!* jb wo banda apne zimme baqi tamaam farayez se bari ho jata hai to bargahe *Rabbulizzat Azzawajalla*se ummeed hai ki uske nawafil bhi maqbool ho jayenge ki qabooliyyate nawafil me jo cheez rukawat thi, wo zail ho gyee.

Aalahazrat Rahmatullahi Alayhi mazeed farmate hain : -
   "In sb ki bhi maqbool ki ummeed hogi ki jis jurm ke bais yh qabile qabool na the, jb wo zail hogya to inhe *Bi'iznahi ta'ala* sharfe qabool hasil ho gya."

*📚(Fatawa Razawiyya, Volume 10/ Page no.- 182)*


Sadrushshriyah Badruttariqah Hazrate Allamah Maulana Mufti Amjad Ali Aazmi Rahmatullahi Alayhi farmate hain*:  "Qaza Namaaze nawafil se ahm hain yani jis wqt nafl padhta hai unhen chodkr unke badle qazayen padhe ki bariuzzima ho jaye albatta taraweeh aor 12 rakaten (fajr ki 2 sunnate, zohar ki 6 sunnaten, maghrib ki 2 sunnaten, isha ki 2 sunnaten) sunnate muakkida na chode.

 *📚(Bahare Shariyat, Volume 1, Part 4/706)*

Khaleele Millat Hazrate Allamah Maulana Mufti Muhammad Khaleel Khan Quadiri Barakati Rahmatullahi Alayhi isi ke tahat farmate hain : "Aor lao lagaye rakhe ki *Maula Azzawajalla* apne karam e khaas se qaza Namaazon ke zimn me un nawafil ka sawaab bhi apne khazaine ghaib se ata farmade, jin ke awqat me yh qaza Namaazen padhi gyeen.

 *📚(Suuni Bahishti Zewar, Page 240)*

To jiske jimme farz baki hai (Qaza e umri)aap pehle use ada karein
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬khadim:- Pathan Moin Raza_*
📲8
==========➖➖➖➖======

1 comment:

  1. Assalamualikum ji mera ye sawal he ki jo saksh agar 5wakt ka namaj chhodh de to is Raat me wo kya padhega pahle

    ReplyDelete

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts