ILME GAIB KA SABOOT QURAAN KI ROSHNI ME


ZAATI aur ATAAI Ilm e Ghaib


ZAATI :-
ALLAH taala ka Ilm Zaati hai,Yaani Khud ka Ilm,use kisi ne diya nahi,woh apni Qudrat se har chiz karta hai,use Har pal o zarre ki khabar pehle se hi maalum hai,ALLAH k liye ghaib kuch nahi yaani ALLAH k liye koi chiz chupi hui nahi hai.


ATAAI :-
Humare Sarkar صلى الله عليه و سلم ka ilm Ataai hai,Yaani k ALLAH se ilm e ghaib ataa hua hai,Humare Sarkar صلى الله عليه و سلم ka jo ilm e ghaib hai woh ALLAH ki ataa se hai,khud se kuch nahi aur ALLAH ne kitna Ilm e ghaib ataa kiya yeh baat toh lauh e mehfooz ko b khabar nahi,aap صلى الله عليه و سلم ko ALLAH ne Bepanha ilm ataa kiya hai. 


Aayat 1:

فَكَيْفَ إِذَا جِئْنَا مِن كُلِّ أُمَّةٍ بِشَهِيدٍ وَجِئْنَا بِكَ عَلَىٰ هَٰؤُلَاءِ شَهِيدًا


Tarjama: " To kaisi hogi jab ham har ummat se 1 gawah laayen aur Aur Ae MEHBOOB tumhen un sab par gawah aur nigahbaan bana kar laayen ".

(PARAH 5 ,Surah 4(Nisaa),Aayat 41)

Tafseer Nesha Poori main isi Aayat k MaTehet

hai.

" Is liye Huzoor ( صلى الله عليه و سلم )ki Rooh Mubarak tamaam Roohon aur Dilon aur Nafson ko dekhne waali hai , Q k HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ne farmaya k ALLAH ne jo pehle peda farmaya who mera NOOR hai ".

Tafseer ROOH UL BAYAAN main Isi Aayat k Ma Tehet hai 

" HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )par Aap ki ummat k Aamaal Subah-O-Shaaam pesh kiye jaate hain , Lihaaza Aap UMMAT ko Un ki Alaamaat se Jaante hain, aur In k Aaamaal ko Bhi, Is liye Aap in par GAWAHI denge ".

Tafseer Madarik main Isi Aayat K Ma Tehet hai .

" HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )Gawah hain, Mominon

par Un k Eemaan k Kaafiron par un k Kufar k Aur Munaafiqon par un k Naffaaq k ".

Is Aayat aur In Tafaaseer se Maaloom huwa k HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )Az Awwal ta Qayaamat tum logon k Kufr-o-Eemaan-o- Naffaaq-o-Aamaal wagera sab ko Jaante hain , is liye Aap sab ki Gawahi denge , Yeh hi to ILM-E-GAIB hai..

Aayat 2:

وَمَا كَانَ اللَّهُ لِيُطْلِعَكُمْ عَلَى الْغَيْبِ وَلَٰكِنَّ اللَّهَ يَجْتَبِي مِن رُّسُلِهِ مَن يَشَاءُ ٌۖ


Tarjama: "Aur ALLAH ki shan yeh nahin keh Ae Aam logon tumhen GAIB ka ILM de, haan ALLAH chun leta hai apne Rasoolon se jise chahe chahe" .

(PARAH 4 ,Surah Al-Imran, Aayat 179)

Tafseer E Be Zaawi main isi Aayat k Ma Tehet hai.


Tarjama: " Khuda Ta'ala tum main se har kisi ko ILM-E-GAIB nahin dene ka Muttala'a kare, is KUFR O EEMAAN par jo dilon main hota hai, Lekin ALLAH ne Pegambari k liye jis ko Chun leta hai , Pas Us ki taraf Wahi farmata hai , aur Ba'az Guyoob (gaib Ki jama) ki Un ko Khabar deta hai ,

Ya un k liye Aese Dalael farmata hai , jo GAIB par Rehbari karen " 

(Anwaar Ul Tanzeel, Jild 1, PAGE 308, Matbooa Mustafal Baabi, Misar)

Tafseer E Khazan main hai.

Tarjuma: " Lekin ALLAH chun leta hai , Apne ASOOLON main jise ko chahta hai , Pas Unko Khabardaar karta hai, Baaz ILM-E-GAIB par." 

(Al Baab Taweel fi Ma'ani Ul Tanzeel Ul Ma'aroof, Tafseer E Khazin, Jild 1, PAGE 308,Matbooa Daar Ul Ma'arfah, Beroot)

Tafseer E Kabeer main isi Aayat k Ma Tehet hai.

Tarjuma: " Lekin In Baaton ka Batareeq GAIB par Muttala'a hone, k Jaan lena, Yeh AMBIYA KARAAM Ki KHOOSOSIYAT hai" . 

(Tafseer Ul Kabeer, JILD 9, PAGE 111, Matbooa Daar ul Fikar, Beroot)

Tafseer E Jalalen main hai.

Tarjuma: " Maaenay (meaning) yeh hain k ALLAH apne Rasoolon main jis ko Chahta hai , Chun leta hai , pas In ko GAIB par Matla'a Kar deta hai "....

" KHUDA TA'ALA tum ko GAIB par Matla'a nahin karneka , Taa k Faraq karne se pehle Munaafiqon ko Jaan lo . Lekin ALLAH jis ko chahta hai , Chhaant leta hai, to us ko Apne GAIB par Matla'a fermata hai , jese NABI ( صلى الله عليه و سلم )ko Munaafiqeen k haal Par Matla'a farmaya ". 

(Tafseer-E-Jalaalen, Page 92, Matbooa Daar Ul Hadees Al Qaira)

Is Tafseer se simply maaloom hota hai, k ALLAH TA'ALA ne NABI ( صلى الله عليه و سلم )ko Apne Ba'az GAIB k ILM par Matla'a farmaya..

ROOH Ul BAYAAN main hai.

Tarjuma: " Q k Haqeeqaton aur Haalaat k GAIB Zaahir nahin hote Bager RASOOL ( صلى الله عليه و سلم )k Waastay se" . 

(Tafseer E ROOH Ur Bayaan, JILD 2, PAGE 162, Matbooa Daar Ul Ahya At Turaas Ul A'arabi, Beroot)



Aayat 3:

َ وَعَلَّمَكَ مَا لَمْ تَكُن تَعْلَمُ ۚ وَكَانَ فَضْلُ اللَّهِ عَلَيْكَ عَظِيمًا

(Surah Al-Nisaa,Aayat no 113)


Tarjama: "aur tumhen Sikha diya jo kuch tum na
jaante the , aur ALLAH ka tum par bada fazal hai".

Tafseer-E-Jalalain, Page 97 , main hai.


Tarjama: "Yaani Aahkaam sikhae , aur ILM-E-GAIB
sikhaya "


IMAAM Hussain Bin Mas'ood Bagwi 516 Hijri main
likhte hain:

Tarjama: " (Aur ALLAH ne aap ko woh sab Ilm Ata
kar diye jo , aap nahin jaante the ) Yaani Ehkaam
main sab , aur ILM-E-GAIB main se . 

(Tafseer Mo'allam Ul Tanzeel, Jild 1, Page 479, Matboo'a Darul Ma'arfa'a, Beroot)

Ab yeh jo baat likhi gai hai, yeh Tafseer aaj se Taqreeban 900 saal pelhle likhi gai , agar yeh
baat galat hoti, to Kiya in likhne waale sahab ko
roka na jaata???

Tafseer-E-Madarik main hai.

Tarjama: " Deen aur Shariyat k Umoor Sikhae,
aur chupi huwi baaten , Dilon k Raaz batae".


(Tafseer-E-Madarik, Jil 1, Page 282, Matboo'a
Maktab Ul Qura'an, Peshawar)


Jaame Al Bayaan main hai.


Tarjuma: " Yaani Aap ko woh sab baaten bata din,
jo Aap Qura'an k Nuzool se pehle na jaante the ". 


(Tafseer-E-Tibri, Jild 5, Page 270, Matboo'a Dar Ul Fikar, Beroot)


Is Aayat aur in Tafaseer se maaloom huwa
k HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ko tamaam Aaenda
aur Guzishta Waakiyaat ki Khabar di gai ,
Yaani ILM-E-GAIB..

Aayat 4:

مَا أَنتَ بِنِعْمَةِ رَبِّكَ بِمَجْنُونٍ


Tarjuma: 

" Tum Apne RAB k Fazal se Majnoon nahin". 

(PARAH 29, SURAH 68 (Surah Qalam),AAYAT 2)

Tafseer-E-ROOH UR BAYAAN main isi Aayat k Ma
Tehet hai.

Tarjama: " Yaani Aap se woh Baaten chuip huwi
nahin hain, jo Azal main thin, aur jo Abad tak hongi , Q K jann k Maaenay (Meaning) hain chupna, Aap us ko jaantay hain jo ho chuka, aur KHABARDAAR hain us k jo hoga ".

Is Aayat ki is Tafseer se Saaf Saaf ILM-E-GAIB k baaray main Maaloom hota hai..


Aayat 5:


وَلَئِن سَأَلْتَهُمْ لَيَقُولُنَّ إِنَّمَا كُنَّا نَخُوضُ وَنَلْعَبَُ


Tarjama: " Aur Ae MEHBOOB agar tum un se puchho to kahenge k hum to Yun hi Hansi Khel
main the ".

(PARAH 10, SURAH 9 Surah Tawbah, AAYAT 65)

Tafseer Durr e Mansoor O Tarbi main isi Aayat k Ma Tehet:


Tarjuma: " HAZRAT MUJAHID (رضي الله عنه) se riwayat hai, is Aayat k Nuzool k Baaray
main hai k Ek Munaafiq ne kaha k MUHAMMAD(Sallalaho Aleh Wassallam) Khabar dete hain , k
Falaan ki Oontni (Camel) Falaan JANGAL main Hai,

In ko GAIB ki kiya KHABAR ". 

( Al-Darar Al Masoorni Fi Tafseer, Al-Maasoor, SURAH TOBA, Aayat 65, Jild 3, PAGE 456, Matboo'a Darul Kutub Ul ILMIYA, Beroot)



Bad Aqeedah logon se Darkhuwast hai k Baar baar parhen, k Ek Munaafiq ne kaha tha k HUZOOR
( صلى الله عليه و سلم )ko GAIB ki Kiya khabar.. Arey hosh karo, GUSTAAKHON tum b Munaafiqon k
Aqaid pe chalte ho .. hosh karo.. ALLAH ka KHOF karo ..


IMAAM MUJAAHID Bin Jabar Al Makhzoomi At'Taba'i , 104 HIJRI main.. (Yaani Aaj se taqreeban 1300 saal pehle) likhte hain:


TARJAMA: " IMAAM MUJAAHID (REHMATULLAH ALEH) is Aayat ki Tafseer main Farmatay hain,
k Ek MUNAAFIQ ne kaha MUHAMMAD (ALEH SALAAM) humen yeh HADEES sunaate hain k FALAAN SHAKHS ki Oontni (Camel) FALAAN Waadi main FALAAN FALAAN din hai, Yeh GAIB ko Kiya Jaanen ". 

(Tafseer MUJAAHID, Tehet, Surah TOBA, Aayat 66, JILD 1,PAGE 283, Matboo'a Al Mansooraat, Ul ILMIYA, BEROOT)

IMAAM ABU JAAFAR BIN JAREER TIBRI 311

Hijri main IMAAM MUJAAHID ( رحمة الله عليه )se Riwayat nakal karte hain:

" Inhon ne farmaya k Munaafiqeen main se ek SHAKHS ne kaha k MUHAMMAD (ALEH SALAAM) hum se bayaan karte hain k FALAAN ki Oontni Falaan Falaan Waadi main hai, Bhala woh GAIB ki Baaten kiya jaanen ". 

(Jaamay Ul Bayaan, Fi TAfseer Ul Qura'an, Al Maaroof Tafseer Tibri,Surah TOBA, Aayat 65, Jild 10, PAGE 196,Matboo'a Daarul Haya, Beroot)



Is Aayat aur Tafseer se Saaf Maaloom huwa k HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )k GAIB se Inkaar
karna MUNAAFIQEEN ka Kaam tha, Jis ko QURA'AN ne Kufar qarar diya..

Aayat 6:


عَالِمُ الْغَيْبِ فَلَا يُظْهِرُ عَلَىٰ غَيْبِهِ أَحَدًا

إِلَّا مَنِ ارْتَضَىٰ مِن رَّسُولٍ

Gaib ka jaanne wala to apne gaib par kisi ko musallat nahin karata siwaa e apne pasandeedah rasoolon ke
(Paarah 29 sura e jinn aayat 26/27)

Tafseer Azeezi main Isi Aayat k Ma Tehet, Page 173 pe hai

:

Tarjuma: " Jo cheez Tamaam MAKHLOOQAAT se Gayab ho , Woh Gaib Mutlaq hai, jese Qayaamat k 
Aane ka Waqt, aur Rozaana aur har cheez ki Pedaaishi aur Shar'ai Ehkaam aur Jese  Parwardigaar ki Zaat-O-Siffaat Bar Tareeq tafseel, is Qisam ko RAB TA'ALA ka Khaas GAIB kehte hain. Pas Apne Khaas GAIB par woh kisi ko Muttal'a nahin karta, Is k Siwa Jis ko pasand farma Le, aur Woh RASOOL hote hain, chahey Farishtey
ki Jins se hon ya INSAAN ki jins se , Jese HAZRAT MUHAMMAD (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Apne
Ba'az GAIB Zaahir farmata hai

Tafseer-E-Khaazin main isi Aayat k ma Tehet hai Tarjama: " Siwae is k Jis ko apni Nabuwwat aur 
Risaalat k liye Chun liya , pas Zaahir farmata hai , jis par Chahta hai GAIB , Taa k unki Nabuwwat par
Daleel pakri Jaaway , un GAIBi cheezon se jis ki woh Khabar dete hain, Pas yeh un ka Mojaza hota hai

(Labaab ul Taaweel, Fi Maani U Tanzeel Ul Maaroof, Tafseer-E-Khazin, JILD 4, Page 319,
Matboo'a Darul Ma'arfatah Beroot )

ROOH Ul BAYAAN se yahi Aayat


Tarjama: " Ibn-E-SHIEKH ne farmaya k RAB TA'ALA is GAIB par jo is se khaas hai , kisi 
koMuttal'a nahin farmata siwae burgozeedah RASOOL k aur jo GAIB keh RAB se KHAAS nahin , us 
par Ger RASOOL ko bhi Matle'a farma deta hai ".

(Tafseer ROOH Ul BAYAAN, JILD 10, Page 236, Matboo'a Darul Haya, Beroot)

Is Aayat aur In Tafaseer se Maaloom huwa k KHUDA TA'ALA apne Pasandeedah RASOOLON ko ILM-E-GAIB Ata karta hai .. Aur Sab se Ziyadah MEHBOOB ALLAH k Nazdeeq, HAZRAT MUHAMMAD (Sallalaho Alehe Wassallam) hain.. to jo Bad Aqeedah log, HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ki Shaan kam karne ki koshish karte hain.. unko ALLAH TA'ALA k Azaab se darna chahiye



Aayat 7

وَمَا هُوَ عَلَى الْغَيْبِ بِضَنِينٍ

Tarjama: " Aur yeh NABI, GAIB batane main

Bukheel nahin ".



(Surah Takweer aayat 24)

Yeh jab hi hosakta hai, Jab HUZOOR (ALEH

SALAAM) ko ILM-E-GAIB ho , aur HUZOOR (ALEH

SALAAM) logon ko is se Muttal'a farma dete hon.

Mu'aalim U Tanzeel main isi Aayat ke Ma tehet hai:

Tarjama: "HUZOOR (ALEH SALAAM)

GAIB aur Aasmani Khabron par aur in Khabron aur

Qisson par Bukheel nahin hain . Muraad yeh hai

keh HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )k Pass GAIB aata hai ,

pas woh is main tum par Bukhl nahin karte ,

Balkey tumhen Sikhate hain , aur Tum ko KHABAR

dete hain, Jaise keh Kaahin chupate hain, wese nahin Chupaate".



(Mu'aalim U Tanzeel, JILD 4, PAGE 422, Matboo'a Darul Kitaab Ul Ilmiya, Beroot)



Tafseer-E-Khazin main hai:

Tarjama: "Muraad yeh hai k HUZOOR (ALEH

SALAAM) k pass ILM-E-GAIB aata hai , to tum par

is main Bukhl nahin farmate , Balkay tum

ko Sikhate hain".



( Lubaab U Taaweel , Al Tanzeel Ul Ma'aroof,

Tafseer-E-Khazin, JILD 4, PAGE 357, Matboo'a

Darul Ma'arfatah, Beroot)



Is Aayat o Ibaarat se Maaloom huwa k HUZOOR

( صلى الله عليه و سلم )logon ko ILM-E-GAIB sikhate

hain. Aur Sikhae ga wohi, jo khud jaanta hoga..Is aayat se sahaba ekiraam ka gaib daan hona bhi saabit hua keh Sarkar e aqdas صلى الله عليه و سلم ne unhen yani sahaba e kiraam ko gaib ka ilm ata farmaya.



Aayat 8:

َ وَعَلَّمْنَاهُ مِن لَّدُنَّا عِلْمًا

Tarjama: " Aur use apna ILM-E-LADUNNI Ata kiya, (Yaani HAZRAT KHIZR عليه السلام ko) ".
(Parah 15, Surah 18 Surah Kahf, Aayat 65)

Bai Zaawi main hai:

Tarjama: " HAZRAT KHIZR عليه السلام ko woh ILM sikhae jo, hamare saath Khaas hain, bager hamare batae koi nahin jaanta aur who ILM-E-GAIB hai ".
(Tafseer-E-Bai Zaawi, JILD 3, PAGE 510, Matboo'a Darul fikar, Beroot)

Tafseer IBN-E-JAREER main ABDULLAH IBN-E-

ABBAS se Riwayat hai:

Tarjama: "HAZRAT KHIZR عليه السلام ne farmaya tha, HAZRAT MOOSA عليه السلام se keh tum mere saath Sabr na kar sako ge, Woh KHIZR, ILM-E-GAIB jaante the, k Unhon ne Jaan liya ".

(Jaame Ul Bayaan, Fi Tafseer Ul Qura'an, AlMa'aroof, Tafseer Tibri, JILD 15, PAGE 323,Matboo'a Darul Haya, Beroot)

ROOH UL BAYAAN main hai:


Tarjama: " HAZRAT KHIZR ko jo Ladunni ILM sikhaya gaya, woh ILM-E-GAIB hai aur is GAIB k Muta'alliq Khabar dena hai , KHUDA k Hukum se , jaise is taraf IBN-E-ABBAS رضي الله عنه gae hain".
(Tafseer-e-ROOH Ul Bayaan, JILD 5, PAGE 321, Matboo'a Darul Haya, Beroot)

Tafseer-E-Madarik main hai:


Tarjama: " Yaani HAZRAT KHIZR ko GAIB ki khabren din , aur kaha gaya hai, k ILM-E-LADUNNI woh hota hai, jo banday ko ILHAAM k Tareeqay par haasil ho ".

(Tafseer-E-Madaarik, JILD 2, Page 22, Matboo'a Maktab Ul Qura'an, Peshaawar)

Tafseer-E-KHAAZAIN main isi Aayat ke tehet hai:

Tarjama: " Yaani HAZRAT KHIZR ko ILM-E-BAATIN ILHAAM k Tareeqay par Ata farmaya".

Is Aayat O Tafseeri Ibaarton se Maloom huwa keh RAB TA'ALA ne HAZRAT KHIZR ko bhi ILM-E-GAIB Ata farmaya tha, jis se Laazim Aya keh HUZOOR Sarkar e aqdas صلى الله عليه و سلم ko bhi ILM-E-GAIB Ata huwa, kiyon keh Aap Tamaam Makhlooqaat-E-ILAHI main sab se ziyaada Afzal aur AALIM (Yaani ILM waalay) hain , aur HAZRAT KHIZR عليه السلام bhi Makhlooq hain..



Aayat 9:

وَكَذَٰلِكَ نُرِي إِبْرَاهِيمَ مَلَكُوتَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَِ


Tarjama: " Aur isi Tarah hum IBRAAHIM ko

Dikhate hain. Saari Baadshahi Aasmaanon ki aur

Zameen ki".



(Parah 7, Surah 6 Surah An-‘aam, Aayat 75)



Tafseer-E-KHAAZIN main hai:

Tarjama: " HAZRAT IBRAAHIM عليه السلام ko Sehra par khada kiya gaya, aur un k Liye Aasmaan khol diye gae, Yahaan tak k Unhon ne Arsh O Kursi aur jo kuch Aasmaanon main hai Dekh liya , aur Aap k Liye Zameen Khol di gai , Yahaan Tak keh Inhon ne Zameenon k neeche zameen aur un k Ajaibaat ko dekh liya jo Zameenon main hai ". 

(La BAab Taaweel Fi Tanzeel, Al Ma'aroof, Tafsser-E-Khaazin, JILD 2, PAGE 126, Matboo'a Darul kutub Ilmiya, BEROOT)

Tafseer-E-MADARIK main isi Aayat k MA TEHET

hai:

Tarjama: " Mujaahid ne HAZRAT IBRAAHIM عليه السلام k liye saaton (7), Aasmaan khol diye gae , aur Unhon ne dekh liya , jo Kuch Aasmaanon main hai, Yahaan tak keh Un ki NAZAR ARSH tak puhanch gai, aur un k liye, Saat (7), Zameen kholi gain keh Unhon ne Woh cheezen dekh lin, jo zameenon main hain ".


Tafseer-E-MADARIK, JILD 1, PAGE 373, MATBOO'a, MAKTABUL QURA'AN,PESHAAWAR)


ROOH-UL-BAYAAN main is Aayat k Ma Tehet hai:

Tarjama: " IBRAAHIM ko Aasman O Zameen ki

Ajaebaat O Garaebaat dikha diye, aurARSH ki

bulandi se Tehet-Suri tak khol diye ".

(Tafseer-E-ROOH-UR-BAYAAN), JILD 3, PAGE 72, MATBOO'A Darul Haya, BEROOT)


TAFSEER-E-IBN-EJAREER-ABI-HAATIM main hai:

Tarjama: " HAZRAT IBRAAHIM pe khuli posheedah

tamaam cheezen khul gaen, Pas in par Makhlooq k

Aamaal main se bhi kuch Posheedah na raha ".

(Jam-E-Ul-Bayaann-Fi-TAFSEER-Ul-Qura'an, Al-

Ma'aroof, Tafseer-E-Tibri, JIL safah 246, Matboo'a

Darul Haya, BEROOT)

Tafseer-E-Kabeer main hai:

Tarjama: " ALLAH TA'ALA ne HAZRAT IBRAAHIM عليه السلام k liye Aasmaanon ko Cheer diya , Yahaan tak k inhon ne, ARSH-O-KURSI aur jahaan tak Jismaani ILM ki Foqiyat Khatam hoti hai, Dekh liya. Aur Woh Ajeeb O Gareeeb cheezen bhi dekhlin, jo Aasmaanon min hain, aur woh Ajeeb-OGareeb cheezen bhi dekh lin, jo zameen k Pait main hai ".

(Tafseer-E-Kabeer, JILD 5, PAGE 35, MATBOO'A

Darul Haya, BEROOT)

IS Aayaat aur in Tafaaseer se maaloom huwa keh ARSH se le k ar Zameen k Andarooni Hissay tak

HAZRAT IBRAAHIM عليه السلام ko dikhae gae , aur HUZOOR Sarkar e aqdas صلى الله عليه و سلم ka ILM in se kahin ziyaada hai to Maanna padega , keh HUZOOR Sarkar e aqdas صلى الله عليه و سلم ko bhi yeh tamaaam ULOOM Ata huwe .

Khayaal rahe k ARSH ke ILM main LOOH-E-MEHFOOZ bhi aagaya aur (LOOH-E-MEHFOOZ

main tamaam ULOOM aur sab kuch likh diya gaya

hai, DUNIYA O AAKHIRAT ke tamaam Ma'aamlaat

is main likhe gae hain), Lihaaza yeh ILM-E-

IBRAAHIMI ki shaan hai to, aap khud sochen keh

NABI-E-PAK (Sallalaho Alehe Wassallam) ka kiya

ILm hoga, kiyin keh ILM-E-IBRAAHIM عليه السلام 

aur ILM-E-AADAM عليه السلام to HUZOOR صلى الله عليه و سلم k ILM ka ek Qatra hai..




Aayat 10:



يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَسْأَلُوا عَنْ أَشْيَاءَ إِن تُبْدَ لَكُمْ تَسُؤْكُمٌْ



Tarjama: "Ae Eemaan waalo, Aesi Baat na pucho ,jo tum par zaahir ki jaayen, to tumhen buri lagen



(Parah 7, Surah 5 Surah Maai’dah, Aayat 101)

Imaam Abu Abdullah Bin Ismail Bukhaari 256 Hijri

main Riwaayat karte hain:



Tarjama: " Ek Shakhs ne kaha Ae ALLAH k NABI صلى الله عليه و سلم mera Baap kon hai ?? To AAP

(Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya Tera

Baap Fulaan hai , aur phir yeh Aayat-e-Kareema

Naazil huwi , Ae Eemaan waalon Aesi baaten mat

pucha karo, k agar tumhare aage, bayaan kardi

jaen to tumhen bura lage ".



(Sahi Bukhari Kitaab Ul A'atasaam, JILD 2, PAGE 1083, MAtboo'a Qadeemi Kutub Khaana, Karachi)



Jab Mu'aanideen Haq ki Gustaakhiyaan hadd se

barh gaen, aur in ki Taraf Uthaae gae, sawaalaat ka

silsila tool Pakar gaya, to HUZOOR صلى الله عليه و سلم ke Rookh e Anwar par Naaraazgi k Aasaar Namoodaar huwe , Riwaayat main aata hai keh AAP (صلى الله عليه و سلم ) JALAAL main akarmimbar par Jalwa Afroz huwe, aur yeh Aelaaan farmaya, jis ka Zikar HAZRAT ABU MOOSA (رضي الله عنه) ki riwaayat main yun kiya gaya hai:



Tarjama: " HUZOOR صلى الله عليه و سلم se kuch

cheezon ke baaray main puchha gaya Jinhen AAP

(Sallalaho Alehe Wassallam) ne Na Pasand farmaya, Jab Sawaalaat ka silsila Tawaalat Aekhtiyaar kar gaya, To AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) naaraaz hogae , phir Logon se farmaya, tum mujh se jis Cheez ke baaray main chaho sawaaal karo, 

Ek Shakhs ne kaha MERA BAAP KON HAI???

AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya

TERA BAAP HUZAAFA hai ,



phir dusra shakhs khada huwa, aur us ne Kaha YA

RASOOL ALLAH! MERA BAAP KON HAI?? AAP ( (صلى الله عليه و سلم ) ) ne farmaya tera baap Sheeba ka Ghulaam Saalim hai .



Jab HAZRAT UMAR (رضي الله عنه) ne AAP ke Chehray par Naaraazgi ki Kefiyat dekhi to kaha YA RASOOL ALLAH! Hum ALLAH ki baargah main Toba karte hain" .

(Saheeh Bukhari, Kitaab Ul ILM, JILD 1, PAGE 19,

Matboo'a Qadeemi, Kutub khana Karachi),

(Al Beher Az Khaar, Al Maaroof, Bamusnad al Bazaar, JILD 8, PAGE 146, Raqam Ul Hadees 3165, Matboo'a Maktabul Uloom O Al Hakam, Ul Madina tul Munawwarah),


(Musnad Abi Ya'ALI, JILD 13, PAGE 288-289, Rakam Ul Hadees 7303),

(Muslim Shareef Baab Fil Fazail, Baaab Touqeer (Sallalaho Alehe Wassallam), JILD 4, PAGE 1834-1835, Rakamul Hadees, 2360)

Hazrat Anas (رضي الله عنه) se Marvi hai.
Tarjama: " HUZOOR صلى الله عليه و سلم (Mimbar par) Tashreef lae, aur Khutba diya, ABDULLAH BIN HUZAAFA ne khare ho kar Arz kiya.. MERA BAAP KON HAI?? AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya TERA BAAP HUZAAFA HAI?? .. Phir AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) baar baar farmane lage, mujh se Pucho... HAZRAT UMAR (Razi ALLAH Anhu) ne Do (2) Zaanon beth kr Arz ki HUM ALLAH TA'ALA ke RAB hone par, aur ISLAAM k Deen hone par, Aur MUHAMMAD (Sallaho Alehe Wassallam) k NABI hone par Raazi huwe , Aap ne yeh Kalimaat Teen (3) Martabaa Dohrae, Phir HUZOOR صلى الله عليه و سلم ne Sukoot Ekhtuyaar farmaya".


(Sahi Bukhari Kitaab Ul ILM, JILD 1, PAGE 20, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi)

Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri mai Riwayat karte hain:

Tarjama: " HUZOOR صلى الله عليه و سلم ne farmaya tum mjh se jis cheez k Muta'aliq Sawaal Karoge, main tumhen us cheez k Muta'aliq bayaan karunga".

(Musnad Ahmed, JILD 3, PAGE 177, Raqam Ul Hadees 12843,Misar)

Is Aayat aur in Tafaaseer se ILM-E-GAIB ka saboot milta hai , keh agar koi yeh Aqeedah rakhta tha, keh NABI صلى الله عليه و سلم ko ILM nahin hai, to NABI صلى الله عليه و سلم ke Chehrey Mubarak pe Naaraazgi k Aasaar aa jate the , aur HUZOOR صلى الله عليه و سلم ka Mimbar pe khare ho k Aelaan karna keh Jo puchna hai, jise Puchna hai, Puch le... AAP صلى الله عليه و سلم jawaab denge, Jis Par phir yeh Aayat Naazil huwi ...


Bad Aqeeedah Logon ko Chahiye k woh Apne Aqaid ILM-E-GAIB k Muta'aliq durust karlen, Q keh HAQ aur Baatil un ke Saamne hai, jis Raah pe chalna chahen chalay jaen .. Bas itna Zarur yaad rakhna.. HUZOOR صلى الله عليه و سلم ke liye ILM-E- GAIB na maanna Munaafiqon ka kaam tha..

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts