Kya Sahaba E Kiram Fatiha W Qabro Par Nahiñ Jate The To Ham Bhi Na Kare ?
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat, Ek Banda Hai Uske Baap Dada Sunni the Aur Vah Sule Kulli Wala Kam Kar Raha Hai Kahta Hai Ki Sahaba Ne Fatiha Nahiñ Kiya Hum Nahin Karenge, Sahaba Ikram Qabr per Nahin Gaye Ham Bhi Nahin Jaenge
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Sab Se Pahle to Ye Usool Kisi Sahabi Ne Nahi Banaya Ki Agar Koi Kaam Sahaba Na Kare'N to Wo Jayaz Na Hoga, Shareeat Me Aisa Kahiñ Maujood Nahi Ki Jis Kaam Ko Sahaba E Kiram Na Kare to Wo Jaaiz Na Hoga, Kisi Amal Ke Najayaz Hone Ke Liye Us Ke Adam E Jawaz Par Sareeh Daleel Ka Hona Zaroori Hai, Agar Ye Maan Liya Jaye Ki Sahaba Kiram Ne Jo Kaam Nahi Kiya Wo Jayaz Nahi Ya Bid'at Hai, to Phir Sahi Bukhari, Muslim Aur Siha Sitta Ye Sab Kitabe Sahaba Kiram Ne Nahi Likhi Jis Se Aaj Ke Daur Me Har Firqe Ka Aalim Istedlaal Karta Hai, Isi Tarah Sahaba Ne Madarse Nahi Banaye, Jo Qur'an Hamare Samne Maujood Hai Us Me Airab Kisi Sahabi E Rasool Ne Nahi Lagaye Balki Yusuf Hajjaj Ne Lagwaye the, Madarsa Kisi Bhi Sahabi E Rasool Ne Nahi Banaya, Aise Bahut Se Kaam Hai Jo Sahaba Ne Nahi Kiye to Kya Sab Bid'at Ho Gaye Nahi Bilkul Nahi Balki Jis Ne Deen Ke Fayde Ke Liye Koi Kaam Kiya Us Ka Use Bhi Sawab Hai Aur Uske Baad Use Karne Walo Par Bhi Sawab Hai,
Isaal E Sawab Karna Hadees Se Sabit Hai, Chunanche Hazrat Sa'Ad Bin Ubada Radiyallahu Ta'Ala Anhu Se Muta'alliq Ek Rivayat Mulahiza Ho,
عن سعد بن عبادة رضي الله عنه قال:
قلت يا رسول الله إن أمي ماتت أفأتصدق عنها؟
قال نعم
قلت فأي الصدقة أفضل؟
قال سقي الماء
قال فحفر بئرا وقال هذه لأم سعد
Hazrat Sa‘ad Bin Ubadah Radiyallahu Anhu Ne Arz Ki:
Ya Rasoolallah ﷺ, Meri Maa Wafat Kar Gayi Hai, Kya Main Un Ki Taraf Se Sadqa Karun?
Farmaya: Haan.
Maine Poocha: Kaunsa Sadqa Afzal Hai?
Farmaya: Paani Pilana.
Raawi Kehte Hain: to Unhon Ne Ek Kuaan Khudwaya Aur Kaha:
Yeh Umme Saad Ke Liye Hai.
(Sunan Abi Dawud, Hadith 1681)
Ho Sakta Hai Is Se Koi Aitraz Kare Ki Ye to Sadqa Ka Hukm Hai Fatiha Ki Daleel Kaha Hai to Is Ke Mutalliq Ye Rivayat Mulahiza Ho:
عَنْ مَعْقِلِ بْنِ يَسَارٍ قَالَ قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ اقْرَءُوا يس عَلَى مَوْتَاكُمْ
Yaani Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Apne Marne Walo Par Soorah Yaseen Padha Karo.
(Sunan Abi Dawood Hadees 3121)
to Is Se Sabit Hua Ki Fatiha Aur Isaal E Sawab Ka Jawaz Ahadees Se Milta Hai, Ab Sahaba Kiram Ka Qabr Par Jana to Us Ke Muta'alliq Bhi Hadees Pesh Hai Sarkar E Do Aalam Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ka Farman Mubarak Hai:
كُنْتُ نَهَيْتُكُمْ عَنْ زِيَارَةِ الْقُبُورِ فَزُورُوهَا
Main Tumhein Qabron Ki Ziyaarat Se Mana Karta Tha, Ab Tum Qabron Ki Ziyaarat Kiya Karo.
(Sahih Muslim, Hadith 977)
(Jami'a At-Tirmidhi, Hadith 1054)
(Sunan Ibn Majah, Hadith 1571)
Is Ke Alawa Ek Rivayat Aur Mulahiza Ho,
عن داود بن أبي صالح قال
أقبل مروان يوما فوجد رجلا واضعا وجهه على القبر
فقال أتدري ما تصنع؟
فأقبل عليه فإذا هو أبو أيوب الأنصاري
فقال نعم جئت رسول الله ﷺ ولم آت الحجر
Dawood Bin Abi Salih Kehte Hain:
Ek Din Marwan Aaya to Usne Ek Shakhs Ko Dekha Jo Qabr Par Apna Chehra Rakhe Hue Tha.
Usne Kaha: Kya Tum Jaante Ho Tum Kya Kar Rahe Ho?
Jab Usne Dekha to Woh Hazrat Abu Ayyub Ansari رضي الله عنه the.
Unhon Ne Farmaya:
Haan, Main Patthar Ke Paas Nahin Aaya, Main Rasoolullah ﷺ Ke Paas Aaya Hoon
(Al-Mustadrak Al-Hakim, 8571)
(Al-Muajam Al-Kabir)
Yani Sahaba Kiram Rauza E Rasool Par Ziyarat Ke Liye Jate Bhi the Aur Us Se Faiz Bhi Lete the..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Saiyed Shadab Ali Qadri Razvi Sahab, Meerut, Up
Date: 18 March 2026, 28 Ramzan 1447
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp* BahareMasail Bahare Masail
+918487928693
Khadim: Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare