KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ? Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ???


```KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ?👇🏻```

*🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ???

*🌹JAWAB:-🌹*

Hazrat imam ja'afar Sadiq radiallahu anhu ki fatiha kisi bhi tarikh ko kar sakte he lekin aap ke wisal ki tarikh 15 rajab he is lihaz Se15 Rajab ko kare ki hazrat ke wisal ki tarikh 15 rajab hi he to Afzal he. Or Jo Kunde Ki Niyaz Dilai Jaati He Vo 22 Rajab Ko Mash'hoor He, Or 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Ameerul Mu'amineen Hazrat Ameere Muawya RadiAllahu Anhu Ki Tarikhe Wisal He, Is Liye 22 Rajab Ko In Dono Hazraat Ke Naam Se Fatiha Kare Tab Bhi Afzal He.

Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 rajab ko kare ki hazrat ka wisal 15 rajab hi ko huaa he na ki 22 rajab ko...
*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-2,SAFA-265)*
*📚(MIRATUL ASRAR SAFA-213)*
*📚(SAWANEH BARAH IMAM SAFA-125)*

Mazkura kitab ke Mazkura safa par aap dekh sakte he ki hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki wisal ki tarikh 15 rajab likhi hui he,, *SHAWAHIDUN NABUWWA OR MIRATUL KAUNAIN* ,, Me bhi wisal ki yahi tarikh darj he..Lihaza afzal yahi he ki imame jafar Sadiq RadiAllahu Anhu ke fatihe ki niyaz 15 rajab ko dilae..

Or *22 Rajab* ko Sahabi e Rasool, hazrat ameer e mu'aavya radiallahu anhu ka wisal huva he to shiya is tarikh me hazrat ameer muaavya ke wisal  ki khushi me Eid manate he or Az raah fareb use hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz kahte he..Ki shiya o ka kahna he ki hazrat imame jafar Sadiq RadiAllahu Anhu ki tarikhe wisal 22 rajab he jo ki sunni o ko dhoka he. Aap ki tarikhe wisal 15 rajab hi he.

Or Zamane se mash'hoor bhi he Or Aulma e kiram ka kahna bhi he ki 22 rajab joke sahabiye rasool hazrat ameere muaavya radiallahu anhu ki tarikhe wisal bhi he to kunde ki niyaz is 22 rajab ko karna afzal he..
Jis me ahele sunnat w jama'at ke aqide ke mutabik in dono hazraat ke naam se fatiha dilaya jaye or unki rooh ko sawab bakhsha jaye. jiske badle hame bhi sawabo azr mile..
Ha is me jo shiya log khurafate karte he or awam me jo jahilana harkate paai jati he usse door raha jaae.
Or ahele sunnat w jama'at ke aqide ke mutabik niyaz w fatiha kiya jaae.

Wallahu aa'alam bis sawab...
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

3 comments:

  1. mujhe maloom krna h kese kiya jaye fatiha koi roza bhi rakhna hota h

    ReplyDelete
  2. 21 ko bhi kunde ki niyaz dilla shkte h kya

    ReplyDelete
  3. Kunde ki niyaz 22 ko hi hai iska detail me jawab Tajushsharia aur Huzoor Muhadisse Kabir ka maujud hai aap sun sakte hai
    https://youtu.be/Q8b68Q7v_Tw

    ReplyDelete

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts