Gutna Khula Rakhne Se Wuzu Hoga Ya Nahi

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum, Mard Ka Wuzu Karte Waqt Patloon Itni Unchi Karna Ki Ghutne Nazar Aaye, Kya Isse Wuzu Ho Jayega ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Wuzu Karte Waqt Gutna Khola Rakhna Aadabe Wuzu Ke Khilaf He, Or Bila Wajah Satar Kholna Mana'a Or Dusro Ke Samne Satar Kholna Haram He, Magar Is Soorat Me Wuzu Ho Jayega.

Jaisa Ki Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Awam Mme Jo Mash'hoor He Ki Ghutna Ya Or Satar Khulne Yaa Apna Ya Paraya Satar Dekhne Se Wuzu Jata Rahta He, Mahaz Be Asl Baat He. Haañ Wuzu Ke Aadab Se He Ki Naaf Se Zaano Ke Niche Tak Sab Satar Chhupa Ho Balki Istenje Ke Baad Fauran Hi Chhupa Lena Chahiye Ki Bagair Zaroorat Satar Khola Rahna Mana'a He Or Dusro Ke Samne Satar Kholna Haram He.
*📚(Bahare Shariyat Application, H-2, S-31)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️28 April 2020, 4 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts