IMAN E ABU TALIB QUR'AAN HADISH W A'IMMA KE NAZDIK



*iman e Abu Talib Quran O Hadees Akabir Ki Nazar Mein*


Khuch Dino Se Social Media Per Dekha Ja Raha Hai Ke Baaz Log iman Abu Talib Ke Masle  Per Ulame Ahle Sunnat Ko Galiyan De Hain isharatan Tanqid Ka kar Rahe Hain Aur Keh Rahen Hain

Ke Abu Talib Ko Musalman Na Manne Wala Musalman Hi Nahi

Abu Talib Musalman Nahi Tu Koi Bhi Musalman Nahi

Aisi Aisi Baten Ki Jisse Akabir Ulame Ahle Sunnat Hi Nahi Balki inki is Jahilana Tanqid ka Nishana Bahut Door Tak Pahunch Raha Hai

Hum Abu Talib Ke Mauzo Per Ulame Ahle Sunnat Ka Kya Mauqaf Raha Hai Qistwaar Aap Rak Pahuncha Rahe Hai

Pehle Qista Aap Ke Mulaheza Karen


 🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌ 1
Hazrat imam Jalaluddin Siyuti  Sureh Tauba Ki Aayat

مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
Tarjam.Nabi Aur iman Walon Ko Layaq Nahi Ke Mushrikon  ki Bakshish Chahen Agarche Wo Rishtedar Hun Jabke Uneh Khol Chuka Ke Wo Dozakhi Hain
Ks Shane Nozul Farmate Howe Likhte Hain Ke “is Aayat Ke Nuzool Ka Taluk Huzoor ﷺKa  Apne Cha cha Abu Talib Ke Liye Astagfaar Aur Baaz Sahaba Ka Apne  Walidain Mushrikain Ke Liye Astagafar Karne Se Hai

📚Tafsir Jalalain vol 1 page 205



*Qist2⃣*
*_iman E Abu Talib Mufassire Quran imam Qurtabi Ki Nazar Mein_*



imam Qurtaba Sureh Tauba Ki Aayat
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
KI Tafsir Mein Likhte Hain” Maut ke Waqat Aadmi Ki Zahiri Halat Ke Mutabiq Usper Hukam Lagaya  Jaye ga Pas Agar Koi Halate iman Per faut Howa Tu Uske Liye is {iman} Ka Hukam Lagaya Jaye Ga Aur Agar Halate Kufar Per Faut Howa Tu Uske Mutabiq Hukam lagay Jaye Ga Aur Uske Batin Ki Halat Tera Rab Behtar Janta Hai Magar Ye Ke Huzoor ﷺ Ko Ko Hazrat Abbas ؓ Ne Kaha Ya Rasool Allah Kiya aap Ne Apne Cha Cha Ko Kisi Shaye Ka Nafa Diya Hai? Tu Huzoor ﷺ Ne irshad Farmaya Haan Aur wo Azaab Ki Takhfif Ke Baare Shafa,at Aur Sifarish Hai Na Ke Jahanam Se Nikalne Ke Baare Mein Jaisa Ke Hum Ne ise Kitab “Al Tazkira” Mein Bayan Kiya hai ...

📚Tafsire Qurtabi
 vol 4
page 757



*Qist3⃣*
*iman e Abu Talib imam jalaluddin siyuti ki Nazar Mein*


Hazrat imam Jalaluddin Siyuti  Sureh Tauba Ki Aayat
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
Tafseer Mein Likhte Hain “Jab Abu Talib Qareeb ul Maut Howe Tu Huzoor ﷺ Unke Paas Tashrif Legaye Us Waqat Unke Paas Abujahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Maujod Thy Tu Huzoor Nabi Karim ﷺ Ne Farmaya Aye Chacha Kaho لا الہ الا اللہ  Main iske Mutaliq Allah Ki Bargah Mein Tumhare Liye Shahadat Dun Ga Ye Sunkar Abu jahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Dono Ne Kaha Aye Abu Talib Kya Tum AbdulMutalib Ke Deen Se Eraaz Karo Ge? Huzoor ﷺ USper Kalma Shahadat Pesh Farmate Rahe Aur Abu Jahal Aur Abdullah Bin Umaiya Donno is Guftagu ke Bare Mein AbuTalib Ki Muawinat Karte Rahe Aakhiar kaar Abu Talib Ne unse Guftagu Karte Howe Kaha Ke Wo Abdul Mutalib Ke Deen Per Hain Aur لا الہ الا اللہ Kehne Se inkar Kar Diya Tu Huzoor ﷺ Ne Farmaya Mein Zaror Ba Zaror Tumhare Liye Astagfar Karon Ga Jab Tak Ke Mujhe Tere Liye isse Se Rook Na Diya jaye Pas Ye Ayat Nazil Howi
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾

📗Tafser Durres Mansoor

📚Vol 3 Page 853



*Qist4⃣*
*Abu Talib Ne islam Qabul Nahi Kiya Tafsir ibne Abbas*


Tafsir Ibne Abbas Sureh Tauba Ki Aayat 113 ki Tafsir Mein likha Hai
“Jab Abu Talib ki Maut Ka Waqat Qareeb  Tu Huzoor ﷺ Unke Paas Tashrif Legaye Us Abu Talib Ke Paas Abujahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Baitha Tha  Huzoor ﷺ Ne Farmaya Aye Chacha  لا الہ الا اللہ   padh lo Taaky Allah Ke Saamne Tumhari Sifarish Karsakub Ye Sunkar Abu jahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Kehne Lage  Aye Abu Talib Kya  AbdulMutalib Ke Mazhab Se Eraaz Karte Ho? Ye Dono Musalsal Abu Talib Se Guftagu Karte Rahe Bil Aakhir Unka Aakhri Kalam Yahi Tha  Ke Millate Abdul Mutalib Per Marta Hun isper
Huzoor ﷺ Ne Farmaya Mein Tumhare Liye Barabar Astagfar Kaaron Ga Jab Tak Ke Mujhe isse Rook Na Diya Jaaye Tab Ye Aayat Utri
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾

*📗Tafser ibnne Abbas*

*📚Vol 2 Page 1*


*Qist5⃣*
*Ibne Kasir Ke Nazdiq Abu Talib Ne islam Qabul Nahi Kiya*



Tafsir Ibne Kasir Mein  Sureh Tauba Ki Aayat 113 ki Tafsir Mein likha Hai
“Hazrat Musaiyab Se marwi Hai Ky Jab Abu Talib ki Maut Ka Waqat Qareeb Aaya Tu Huzoor ﷺ Unke Paas Tashrif Legaye Us Waqat Abu Talib Ke Paas Abujahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Baithe Howe Thy  Huzoor ﷺ Ne Farmaya Aye Chacha  لا الہ الا اللہ   keh Dein is Kalme Ki Badaulat Main Allah Ke Haan Aapki {Magfirat Ke Liye} Hujjat Pesh Karun Ga  Abu jahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Kehne Lage  Aye Abu Talib Kya Tum Abdul Muttalib Ke Mazhab Se Eraaz Karo ge ? Abu Talib Ne Jawab Diya Ke Main  Millate Abdul Mutalib Per Qayam Hun Tu Huzoor ﷺ Ne Farmaya Mein Aapke  Liye Us Waqat Tak Astagfar Karta Rahun Ga Jab Tak Mujhe isse Mana Na Kardiya Jaaye Tu Us Waqat Ye Aayat Karima Nazil Howi
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَa وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾

📗Tafser ibne Kaseer
📚 Vol 2 Page 668


QIST *6*
*Abu Talib Ka Iman Hazrat Ismail Haqqi ki Nazar Mein*


Tafsir E Rool Ul Bayan Mein Hazrat ismail Haqqi Riwayat Likhte Hain ky” Huzoor ﷺNe abu Talib  Se Farmaya Cha cha Aap Kalma E Shahadat Qaboul Farma Len Main Bargaah Rabbul e izzat Mein Aapke iman Ki Gawahi Dun Ga ..Abu Talib Ne Jawab Diya Agar Mujhe Nang wa Aar Ka Khayal Na Hota Tu Kalma Zaror Padh Leta Lekin Mujhe Apni Biradari Se Dar Lagta Hai Ke Wo Mere Baad Kehte Phiren Ge Ke Abu Talib Ne Maut Ke Khatre Se Kalma Padh Liya ..Jab Abu Talib Ne Kalma E islam Se Moon Moda Tu Usi Halat Mein Unki Maut Hogai Huzoor ﷺ Ne Farmaya Main Apne Cha Cha Abu Talib Ke Liye Dua e Magfirat Karta Rahun Ga Yahan Tak Ke Mera Allah Mujhe isse Mana Na Farmaye …

📗Tafsire Rooh hul Bayan
📚 para 9,10,11
📖page 789


*Qist7⃣*
*Hazrat Sana Ullah Pani Pati Ke Nazdik Abu Talib Ka Khatama Kufar Per Howa.. Tafsire Mazhari*



٘Mufassir Quran Wa Sufi Hazrat Qazi Sana Ullah Pani pati Sureh Tauba Ki Aayat 113 ki Tafsir Mein likha Hain
Abu Talib Ke Marne Ke Waqat Rasool Allah ﷺUnke Paas Tashrif Laye Abu Jahal Aur Abdullah Bin Umaiya Bin Mufaira Ko Wahan Maujod Paya Huzoor ﷺNe Abu Talib Se Farmaya Cha Cha Ek Baar لا الہ الا اللہ  Keh Dijiye Taake Alah Ke Samne Main Aapki Taaf Se isko Dalil Ke Taur Per Pesh Kar Sakun Abu Jahal Aur Abdullah Bole Abu Talib Kya Tum Abdul Muttalib Ke Deen Se Phir Jawo Ge Rasool Allah ﷺKalma Tauheed Pesh karte Rahe Aur Abu Jahal Aur Abdullah Apni Baat Barabar Kehte Rahe Aakhar Abu Talib  Ne Kaha Abdul Mutallib Ke Mazhab Per {Hun} Ek Riwayat Mein itna Aur Bhi Aaya Hai Ke Abu Talib Ne لا الہ الا اللہ Kehne inkar Kar Diya Tu Rasool Allah Ne Farmaya Wallah Jab Tak Mujhe Mumaniat Nahi Kar Di Jaye Gi Main Aapki Magfirat Ke Liye Dua Karta Rahun Ga is Per Ye Aayat Nazil Howi
“مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾

📗Tafser Mazhari
📚Vol 5
📖 Page 276


*Qist8⃣*
*Abu Talib Ka Khatima islam Per Nahi Howa ---Tafsir e Alhasnaat*


Syed Muhammad Ahmed Qadri Sureh Tauba Ki Aayat
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
ki Tasfir Mein Likhte Hain likhte Hain “ Pehla Qaul Tu Ye Hai Ke Jab Abu Talib Per Maut Ka Waqat Aaya Huzoor ﷺ Unke Paas Tashrif Le gaye Aur Abu Jahal Aur Abdullah Bin Umaiya Wahan Maujod Thy Huzoor ﷺ Ne Abu Talib Ko Farmaya Aye Chacha Aap Keh Len Taki Main Allah Ke Huzoor Aapki Bakshish Ke Liye Dalil Pesh Kar sakun Tu Abu Jahal Aur Abdullah Bin Umaiya Bole Abu Talib Kya Abdul Muttallib Ke Deen Ko Na Pasand Karte Ho Aur Bararbar Kalma Pesh Farma rahe Thy Abu Jahal Aur Umaiya Barabar Bakwas Kar Rahe Rahe Thy Abu Talib Ka Aakhri Kalma Jo Tha Wo Ye Tha Ke Main Abdul Muttalib Ke Deen Per Hun Aur Kalma Padhne Se inkar kiya Tu Huzoor ﷺNe Farmaya Jab tak Mera Rab Mana Na Farmaye Ga Main Tumhari Bakshish Ke Liye  Dua Karta Rahun Ga Tab Ye Aayat Nazil Howi Ke Nabi Aur iman Walon Ko layaq
Nahi Ke Mushriqon Ki Bakshish Chahen Agar Chey Wo rishtedar Hun Jabke Uneh Khul Chuka Ke Wo Dozakhi Hain..

📗Tafsir Al Hasnat

📚 Vol 3

📖Page 27


*Qist9⃣*
*Abu Talib Ne islam Qabul Nahi Kiya....Tafsir e Raufi*


Tafsir Raufi Mein Hazrat Ahah Rauf Mujaddadi Likhte Hain “ Huzoor Abu Talib Se Marze Wafat Mein Abu Talib Ke iman Na Laane Per Ye Farmaya Tha Ke Jab Tak Mujhe Rook Na Diya Jaaye Tab Tak Tumhari Magfirat Ki Dua Karta Rahun Ga Tu Nabi Karim Baad Wafat Abu Talib Ke Unki Magfirat Ki Dua Farmaya Karte  Tab Ye Aaayt Nazil Howi { Mafhoom }
“مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾

📗Tafser Raufi

📚 vol 2

📖page 5




*Qist🔟*
*Abu Talib Ka iman Sabit Nahi...Tafsir e Tibyan ul Quran*


Mufassire Quran Gulam Rasool Saidi Sureh Tauba  Ayat
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
Ki Tafsir Mein Ek Hadees Ke Aitraz Ke Jawab Mein Likhte Hain Ke”is Hadees Per Aitrza Kiya Gaya Hai Ke abu Talib ki Maut Hijrat Se 3 Saal Pehle Howi Hai Aur Sureh Tauba Un Suraton Mein Se Hai Jo Madina Mein Aakhar Mein Nazil Howin imam Waahidi Ne iska Ye Jawab Diya Hai Ke Hosakta Hai Ke Nabi Karimﷺ us Waqat Se Astagfar Karte Rahe Hun Hat,ta Ke Madina Mein is Surat ke Nazil Hone Tak Astagfar Karte Rahe Hun Aur jab Ye Aayat Nazil Howi Tu Aap ﷺNe Astagfar Tark Kar Diya is Jawab Ko Aksar Ajilla Ulama Ne Pasand Kiya Hai imam Raazi Aur Allama Aalosi  Aur Alama Abu Hafas Damishqi Wagerhum inmen Shamil Hain Allama Aalosi Ne Ek Aur Jawab Ye Zikr kiya Hai Ke Sureh Tauba Ke Madni Hone Ka Maana Ye Hai ke iski Aksar Aur Galib Aayat Madni Hain is Liye Agar Ye Aayat Makka Mein Nazil Howi Ho Tu Wo Sureh Tauba Ke Madni Hone Ke Munafi Nahi Hai., is Hadees Mein Tasreeh Hai Ke Abu Talib Ne Taa Dame Marg Kalma Nahi Padha Aur islam Ko Qubol Nahi Kiya….

📗Tafsir e Tibyan Ul Quran

📚Vol 5
📖Page 271


*Qist1⃣1⃣*
*Hazrat Mazhar Ullah Dehlvi Aur iman Abu Talib*


Mufassire Quran Mazhar Ullah Dehlvi Sureh Tauba Ayat
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
 Farmate Hain Shane Nozul Hasil Matlab Ye Hai Ke Kai Sabbaun Ka Majmua Mil Kar is Aayat Ki Shane Nozul HaiSahih Ye hai Ke Awal Sabab Abu Talib Ki Wafat hai Aan Hazrat ﷺAbu Talib Ke Paas Gaye Aur kaha Ke Aye Chacha is Waqat Bhi Tum lKalma Moon Se Kaho Ge Tu Mujh Ko Allah Ki Bargah Mein Tumhari Shafa,,at Ka Mauqa Mile Ga Lekin Us Waqat Abu Jahal ibne Umaiya Bhi Wahan Maujod Tha Usne Abu Talib Ko Bahqaya Aur Kaha Kiya Aakhri Waqat Aye Abu Talib Tum Abdul Muttalib Ke Tariqe Se Phirte Ho ? Is Liye Aakhir Waqat Per Abu Talib Ne Yahih kaha Ke Main Abdulmuttalib Ke Tariqe Per Duniya Ko Chhurta Hun is Per Aan Hazratﷺ Ne Farmaya Kahir Jab tak Allah Mujhko Manaa Na Farmaye ga Main Apne Cha Cha Abu Talib Ke Liye Magfirat Karta Rahun Ga is Per Allah Ne Ye Aayat nazil Farmai

📗Tafseer Mazhar Ul Quran

📚Vol 1

📖Page 586


🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌1⃣2⃣
*Abu Talib Ka Katama Iislam Pee Nahi Howa*


Mufasire Quran Mulla Moin Alkashifi Tafsire Hussaini Mein SUREH Tauba ki Aayat

مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾

is Ayat Ki Tafsir Mein Likhte Hain
"Is Ayat Ka Sabab E Nuzul Ye Bhi Likha Hai ke Janab RahmatullilAlameen Jab Apne Cha Cha Abu Talib ke Marzul Maut Mein abu Talib ke iman Laane se mayus  Howe Tu Huzor ﷺ Abu Talib se Waada Farmaya tha Ke Main Tumhare Waste Duaye Magfirat Karun Ga Jab Tak Allah Mujhe Mana Na Kar de Abu Talib Ki Wafat Ke Baad Huzor Ne Abu Talib Ke Liye Duaye Magfirat Talab Ki Shaba Ko Jab Ye Baat Maloom Howi Ke Huzor ﷺ Apne Chacha Abu Talib Ke Waste Duaye Magfirat Karte Hain Tu wo (Sahaba) Bole ke Ham bhi Apne Aaba Aur Aqarba ke Waste Duaye Magfirat Kyun Na Karen Halanki Hazrat ibrahi Ne Apne Baap(Chacha) ke Waste Duaye Magfirat ki Hai Aur Ab Hamare Huzor ﷺ Apne Chacha ke liye Duaye Magfirat Ki Hai Tab Ye Aayat Nazil Howi

📗Tafsir e Hussaini

📚Vol 1

📖page 415'416


🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌ 1⃣3⃣
*imam Razi Ke Nazid Abu Talif Ka Khatma kufar per Howa*


Tafsire Kabir Mein Sureh Tauba Ki Aayat “مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ
Ki Ke Shane Nuzul ke Taluk Se Hazrat  imam Raazi  Farmate Hain
رُوِيَ عَنْ سَعِيدِ بْنِ الْمُسَيَّبِ عَنْ أَبِيهِ قَالَ: لَمَّا حَضَرَتْ أَبَا طَالِبٍ الْوَفَاةُ قَالَ لَهُ الرَّسُولُ عَلَيْهِ الصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ: «يَا عَمِّ قُلْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ أُحَاجُّ لَكَ بِهَا عِنْدَ اللَّهِ» فَقَالَ أَبُو جَهْلٍ وَعَبْدُ اللَّهِ بْنُ أَبِي أُمَيَّةَ أَتَرْغَبُ عَنْ مِلَّةِ عَبْدِ الْمُطَّلِبِ. فَقَالَ: أَنَا عَلَى مِلَّةِ عَبْدِ الْمُطَّلِبِ فَقَالَ عَلَيْهِ الصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ: «لَأَسْتَغْفِرَنَّ لَكَ مَا لَمْ أُنْهَ عَنْكَ» فَنَزَلَتْ هَذِهِ الْآيَةُ
قَوْلُهُ: إِنَّكَ لَا تَهْدِي مَنْ أَحْبَبْتَ قَالَ الْوَاحِدِيُّ: وَقَدِ اسْتَبْعَدَهُ الْحُسَيْنُ بْنُ الْفَضْلِ لِأَنَّ هَذِهِ السُّورَةَ مِنْ آخِرِ الْقُرْآنِ نُزُولًا، وَوَفَاةُ أَبِي طَالِبٍ كَانْتْ بِمَكَّةَ فِي أَوَّلِ الْإِسْلَامِ، وَأَقُولُ هَذَا الِاسْتِبْعَادُ عِنْدِي مُسْتَبْعَدٌ، فَأَيُّ بَأْسٍ أَنْ يُقَالَ إِنَّ النَّبِيَّ عَلَيْهِ الصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ بَقِيَ يَسْتَغْفِرُ لِأَبِي طَالِبٍ مِنْ ذَلِكَ الْوَقْتِ إِلَى وَقْتِ نُزُولِ هَذِهِ الْآيَةِ، فَإِنَّ/ التَّشْدِيدَ مَعَ الْكُفَّارِ إِنَّمَا ظَهَرَ فِي هَذِهِ السُّورَةِ فَلَعَلَّ الْمُؤْمِنِينَ كَانَ يَجُوزُ لَهُمْ أَنْ يَسْتَغْفِرُوا لِأَبَوَيْهِمْ مِنَ الْكَافِرِينَ، وَكَانَ النَّبِيُّ عَلَيْهِ الصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ أَيْضًا يَفْعَلُ ذَلِكَ، ثُمَّ عِنْدَ نُزُولِ هَذِهِ السُّورَةِ مَنَعَهُمُ اللَّهُ مِنْهُ، فَهَذَا غَيْرُ مُسْتَبْعَدٍ فِي الْجُمْلَةِ.

 “Main Kehta Hun Ke is Ko Bai,ed Samjhna Bhi Aqal Se Ba,ed Hai kyun Ke Koi Harj Nahi Agar Ye Kaha Jaye Ke Nabi Karimﷺ Wafate Abu Talib  Ke Waqat se Nuzul E Aayat tak Astagfaar karte Rahe Be Shak Kuffar Ke sath Tashaddud is Surat Se Tu Biqul Zahir Hai Lekin Momkin Hai imandaron Ke Liye Apne Kuffar Walidain Ke Astagfar Ki ijazat  Rahi Ho Aur Nabi Karim ﷺ Bhi is Mein Dakhil {Yani Abu Talib Kii Duaye Mafirat Karne Mein }Hun Phir is Aayat Ke Nuzul Ke Waqat Allah Ne Nabi Karimﷺ ko Mana Kar Diya So Hargiz Ye Ba,ed Baat Nahi Hai
{ Yaan   Ye Aayat Abu Talib Ke Taluk Se Nazil Howi hai}

📗Tafsire Kabeer Imam Raazi
📚Vol 16
📖page 208,209


🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌1⃣4⃣
*Abu Talib  Ka Kahtama Kufr per Howa*
*Tafsir Abi Sauod*



Muffasire Quran Abu Saud Hanafi Sureh Tauba Ki Aayat “مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ
Apni Tafsir Mein Likhte Hain
روي أنه صلى الله عليه وسلم قال لعمه أبي طالب لما حضرتْه الوفاةُ يا عمّ قل كلمةً أحُاجُّ لك بها عند الله فأبى فقال صلى الله عليه وسلم لا أزال أستغفرُ لك ما لم أُنُهَ عنه فنزلت
” Riwayat Hai Ke Huzoor ﷺ Ne Apne Chacha Abu Talib Ko Uski Wafat Ke Waqat Farmaya Aye Chacha Kalma Padh Lo Ta Ke Main Allah Ke Huzoor Tumhare Haq Mein Hujjat Pakdon Pas Abu Talib Ne inkar Kar Diya Huzoor ﷺ Ne Farmaya Main Us Waqat Tak Tumhare Liye Astagfaar Karta Rahun Ga Jab Tak Mana Na Kiya Jaye

📗Tafseer Abi Saud
📚 Vol 2
📖Page 611


🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌1⃣5⃣
*imam Khazin Ke Nazdik Abu Talib Ne islam Qabol Nahi Kiya*


Muffasire Quran Hazrat imam Khazin Sureh Tauba Ki Aayat “مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ
Tafsir Mein Likhte Hain
الآية واختلف أهل التفسير في سبب نزول هذه الآية فقال قوم : نزلت في شأن أبي طالب عم النبي ( صلى الله عليه وسلم ) والد علي وذلك أن النبي ( صلى الله عليه وسلم ) أراد أن يستغفر له بعد موته فنهاه الله عن ذلك ويدل على ذلك ما روي عن سعيد بن المسيب عن أبيه المسيب بن حزن ( قال لما حضرت أبا طالب الوفاة جاء رسول الله ( صلى الله عليه وسلم ) فوجد عنده أبا جهل وعبد الله بن أبي أمية بن المغيرة فقال أي عم قل لا إله إلا الله كلمة أحاجُّ لك بها عند الله ) فقال أبو جهل وعبد الله بن أمية بن المغيرة : أترغب عن ملة عبد المطلب فلم يزل رسول الله ( صلى الله عليه وسلم ) يعرضها عليه ويعودان لتلك المقالة حتى قالوا : أبو طالب آخر ما كلمهم أنا على ملة عبد المطلب وأبى أن يقول لا إله إلا الله فقال رسول الله ( صلى الله عليه وسلم ) والله لأستغفرن لك ما لم أنه عنك فأنزل الله تعالى ما كان للنبي والذين آمنوا أن يستغفروا للمشركين ولو كانوا أولي قربى وأنزل الله في أبي طالب
 “Ahle Tafsir Ne is Aayat Ke Mukhtalif Shane Nuzul Bayan Kiye Hain Ek Jama,at Kehti Hai Ke Ye Aayat Nabi Karim ﷺKe Cha cha Hazrat Ali ؓ Ke Walid Abu Talib Ke Haq Mein Nazil Howi Hai Aur Sabab Hai Ke Nabi Karim Ne Abu Talib Ke Liye Abu Talib Ki Maut Ke Baad Astagfar Karne Ka irada Farmaya Pas Allah Ne Mana Farmaya is Ki Dali Sai.ed bin Musaiyab Waali Hadees  Hai

📗Tafsir E Khazin
📚Vol 3
📖Page 195

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌1⃣6⃣
*Abu Talib ka Khatma Kufr Per Howa*
Hazrat imam Neshapuri Apni Tafsir  Mein Surah Tauba ki Tafsir Mein Hadees Naqal Farmate Hain

روى الواحدي بإسناده عن سعيد بن المسيب عن أبيه قال: لما حضر أبا طالب الوفاة دخل عليه رسول الله صلى الله عليه وسلم- وعنده أبو جهل وعبد الله بن أبي أمية- فقال: أي عم قل لا إله إلا الله كلمة أحاج لك بها عند الله. فقال أبو جهل وابن أبي أمية: يا أبا طالب أترغب عن ملة عبد المطلب؟ فلم يزالا يكلمانه حتى قال آخر شيء كلمهم به أنا على ملة عبد المطلب. فقال النبي صلى الله عليه وسلم:
لأستغفرن لك ما لم أنه عنه فاستغفر له بعد ما مات فقال المسلمون: ما يمنعنا أن نستغفر لآبائنا ولذوي قراباتنا قد استغفر إبراهيم لأبيه، وهذا محمد يستغفر لعمه فاستغفروا للمشركين فنزلت ما كانَ لِلنَّبِيِّ الآيتان.

Tafseer Mein Likhte Hain “Jab Abu Talib Qareeb ul Maut Howe Tu Huzoor ﷺ Unke Paas Tashrif Legaye Us Waqat Unke Paas Abujahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Maujod Thy Tu Huzoor Nabi Karim ﷺ Ne Farmaya Aye Chacha Kaho لا الہ الا اللہ  Main iske Mutaliq Allah Ki Bargah Mein Tumhare Liye Shahadat Dun Ga Ye Sunkar Abu jahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Dono Ne Kaha Aye Abu Talib Kya Tum AbdulMutalib Ke Deen Se Eraaz Karo Ge? Huzoor ﷺ USper Kalma Shahadat Pesh Farmate Rahe Aur Abu Jahal Aur Abdullah Bin Umaiya Donno is Guftagu ke Bare Mein AbuTalib Ki Muawinat Karte Rahe Aakhiar kaar Abu Talib Ne unse Guftagu Karte Howe Kaha Ke Wo Abdul Mutalib Ke Deen Per Hain Aur لا الہ الا اللہ Kehne Se inkar Kar Diya Tu Huzoor ﷺ Ne Farmaya Mein Zaror Ba Zaror Tumhare Liye Astagfar Karon Ga Jab Tak Ke Mujhe Tere Liye isse Se Rook Na Diya jaye Pas Ye Ayat Nazil Howi
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾

📗Tafsire Gharaib ul Quran Maroof Tafsire Neshapuri

📚 vol 3
📖page 538


🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌1⃣7⃣
*Abu Talim Ka inteqal islam Per Nahi Howa*
*Tafsire Baizawi*



Hazrat imam  Bayezawi Sureh Tauba Ki Aayat 113
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
روي: أنه صلّى الله عليه وسلّم قال لأبي طالب لما حضرته الوفاة:
«قل كلمة أحاج لك بها عند الله» فأبى فقال عليه الصلاة والسلام: «لا أزال استغفر لك ما لم أنه عنه» فنزلت
Ka Shane Nuzul Likhte Hain “ Riwayat Ki Gai Hai Ke Huzoor Ne Abu Talib Se Us ki Wafat Ke Waqat Farmaya Kalma Padh Lijiye Taaki Main Allah Kie Huzoor Tumhare Liye Hujjat Pakadun  Bas Abu Talib Ne inkaar Kar Diya Ta Huzoor Ne  Farmaya Main Tumhare Liye Us Waqat Tak Astagfar Karta Rahun  Ga  Jab Tak Mana Na Kar Diya Jaun

📗Tafsire Bayezawi
📚 vol 2
📖page 456


🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌1⃣8⃣
*Hazrat Mufti Ahmad Yaar Kahan رحمتہ اللہ علیه Ke Nazdik Abu Talib Ka islam Sabit Nahi*



Hakim ul Ummat Mufti Ahmed Yaar Khan Naimi  Sureh Tauba Ki Aayat
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
  ka Shane Nuzul Bayan Karte Howe
Likhte Hain ‘Huzoor ﷺ Ne Abu Talib Ki Wafat Ke Waqat Jab {Abu Talib} Uneeh Kalima Taiyaba Zuban Se  Ada Na Kiya Tu Farmaya Cha Cha Main Tumhare Liye Duaye Magfirat Karun Ga Jab Tak Ke Mujhe Mana Na Kar Diya Jaye Tab Ye Aayat Utri

📗Tafsir Noor Ul Irfan

📖page 326


🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌1⃣9⃣
*Jamhoor Mufassarin Ke Nazdik Abu Talib Ne islam Qabul Nahi Kiya*


Tafsire Bahar ul Moheet Mein  Hazrat Muhammad Bin Yusuf Undlosi Sureh Tauba Ki Aayat
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
  Ka Shane Nuzul Bayan Karte Howe Likhte Hain
قَالَ الْجُمْهُورُ: وَمَدَارُهُ عَلَى ابْنِ الْمُسَيِّبِ، وَالزُّهْرِيِّ، وَعَمْرِو بْنِ دِينَارٍ، نَزَلَتْ فِي شَأْنِ أَبِي طَالِبٍ
 “ Jamhoor Ulamae Ahle Sunnat Ka Qaul Hai Aur is Qaul Ka Madar  Hazrat Sai,ed Bin Musaiyab ؓAur Hazrat Umer Bin Dinaar ؓ Per Hai Ke Ye Aayat Abu Talib Ke Mutaliq Nazil Howi Hai

📗Tafsir Bahar ul Moheet
 📚Vol 5
📖Page 107



  • 🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌2⃣0⃣
  • *Abu Talib Ka iman Sabit Nahi*
  • Hazrat imam Sharbeni  Sureh Tauba Ki Aayat

مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾
  ka Shane Nuzul Bayan Karte Howe
{ما كان للنبيّ والذين آمنوا أن يستغفروا للمشركين ولو كانوا أولي قربى} فقال سعيد بن المسيب عن أبيه إنه نزل في شأن أبي طالب
Hazrat Sai,ed Bin Musaiyab Apne Walid Se Riwayat Karte Hain Ke Ye Aayat Abu Talib Ke Mutalliq Nazil Howi Hai

📗Tafsir Siraj Ul Maneer
 📚vol 1
📖Page 657


🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌ 21
Hazrat imam Jalalluddin Siyuti
Quran E Sharif Ki Aayat انک لاتھدی   Ki Tafsir Mein Farmate Hain  “Hazrat Abu Huraira Se Rieayat Hai Ke Abu Talib Ki Wafat Ka Waqat Qarib Howa Nabi Karim Aapke Paas Aaye Aur Kaha Aye Chacha  لا الہ الا اللہ  Kaho Main Qayamat Ke Roz Tere Haq Mei Gawahi Dun Ga Tu Abu Talib Ne Kaha Agar Qurs=esh Mujhe Aar Na Dilate Tu Wo Kehte Hain Maut Ke Khauf Ne ise is Baat per  Aamaada Kiya  Hai Tu Main Teri Ankh Ko thandi Karta Tu Allah Ne Ye Aayat Aap Per Nazil Ki ,,Phir Likhte Hain Hazrat Ibne Abbas Se Riwayat hai Ke Ye Aayat Abu Talib ke Haq Mein Nazil Howi
Tafsir Durre Mansor Vol 5 Page 386



🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌ 22
Hazrat imam  Abu Haiyan Undlusi  Quran E Sharif Ki Aayat انک لاتھدی   Ki Tafsir Mein Farmate Hain


وَقَدْ أَجْمَعَ الْمُسْلِمُونَ عَلَى أَنَّهَا نَزَلَتْ فِي أَبِي طَالِبٍ، وَحَدِيثُهُ مَعَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، حَالَةَ أَنْ مَاتَ، مَشْهُورٌ

 “ Tahqiq Musalmano Ka ijma Hai Ke Ye Aayat انک لاتھدی   Abu Talib  Ke Haq Mein Nazil Howi Aur Abu Talib Ke Marte Waqat Ki  Huzoor Ke Sath Guftagu  tu Biqul Mash,hoor Hai

Tafsir Bahar Ul Moheet Vol 7 Page 126


🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌ 23
Mufassire Quran Allama Hasan Neshapuri Ayat Ki Tafsir Mein Likhte Hain


قال الزجاج أجمع المسلمون على أنها نزلت في أبي طالب
“ Hazrat Zujaj Kehte Hain ke Musalmano Ka ijam Hai Ke Ye Aayat Abu Talib Ke Haq Mein Nazil Howi

Tafsir E Nishapuri Vol 5 Page 353

Not.Jab Abu Talib Ne islam Laane Se Inkar Kiya Tab is Aayat Ka Nuzul Howa



🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌ 24
Mufassire Quran Allama Zamashkhari Ayat Ki Tafsir Mein Likhte Hain “ Hazrat Zujaj Kehte Hain ke Musalmano Ka ijam Hai Ke Ye Aayat Abu Talib Ke Haq Mein Nazil Howi


Tafsir E Kashaf  Vol 1 Page 806

Not.Jab Abu Talib Ne islam Laane Se Inkar Kiya Tab is Aayat Ka Nuzul Howa


🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌ 25
Hazrat Abdullah Bin Abdul Mutallib se Riwayat Hai


حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن سفيان، حدثنا عبد الملك، حدثنا عبد الله بن الحارث، حدثنا العباس بن عبد المطلب رضي الله عنه، قال للنبي صلى الله عليه وسلم: ما أغنيت عن عمك، فإنه كان يحوطك ويغضب لك؟ قال: «هو في ضحضاح من نار، ولولا أنا لكان في الدرك الأسفل من النار

Nabi Karim ﷺSe Pocha Gaya Ke Apne Chacha {Abu Talib} Ko Aap Ne Kya Nafa Pahunchaya Jabke Wo Aap Ki Himayat Kiya Karte Aur Aap Ki Khatir Logon Ka Ghussa Mol Liya karte Thy? Huzoor Ne irshad Farmaya Ab Wo Sirf Takhnon Tak Aag Mein hain Aur Agar Main {Darmiyan Mein} Na hOta Tu Wo {Abu Talib} Jahnam Ke Sabse Nichle Tabqe Mein Hote

Bukhari Sharif  Bab Qissa Abi Talib Page 950



🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌ 26
Hazrat Abu Sai,ed Khudri Se Riwayat Hai


حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، حدثنا ابن الهاد، عن عبد الله بن خباب، عن أبي سعيد الخدري رضي الله عنه، أنه سمع النبي صلى الله عليه وسلم، وذكر عنده عمه، فقال: «لعله تنفعه شفاعتي يوم القيامة، فيجعل في ضحضاح من النار يبلغ كعبيه، يغلي منه دماغه» حدثنا إبراهيم بن حمزة، حدثنا ابن أبي حازم والدراوردي، عن يزيد بهذا، وقال «تغلي منه أم دماغه

Ke Rasool Allah ﷺ Ke Saamne  Aap Ke ChaCha {Abu Talib }Ka Zikr Howa Tu Huzoor Ne irshad Farmaya Ke Shayad Qayamat Ke Rooz Meri Shifa,at Uneh Khuch Fayeda Pahunchaye Ke Uneh Dozakh Ke Darmiyani Darje Mein Kar Diya Jaye Jahan Aag Unke Takhno Tak Pahunche Lekin isi Baa,ees  Unka Dimag Kholne Lage ga

Bukhari Sharif  Bab Qissa Abi Talib Hadees 3885Page 950



 🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌ 27
Hazrat imam Bukhari Hadees shari Naqal Farmate Hain


حدثنا إسحاق بن إبراهيم، حدثنا عبد الرزاق، أخبرنا معمر، عن الزهري، عن سعيد بن المسيب، عن أبيه، قال: لما حضرت أبا طالب الوفاة دخل عليه النبي صلى الله عليه وسلم، وعنده أبو جهل وعبد الله بن أبي أمية، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: ” أي عم، قل: لا إله إلا الله أحاج لك بها عند الله “، فقال أبو جهل، وعبد الله بن أبي أمية: يا أبا طالب أترغب عن ملة عبد المطلب، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: «لأستغفرن لك ما لم أنه عنك» ، فنزلت: {ما كان للنبي والذين آمنوا أن يستغفروا للمشركين ولو كانوا أولي قربى، من بعد ما تبين لهم أنهم أصحاب الجحيم} [التوبة: 113

Hazrat Musaiyab Se marwi Hai Ky Jab Abu Talib ki Maut Ka Waqat Qareeb Aaya Tu Huzoor ﷺ Unke Paas Tashrif Legaye Us Waqat Abu Talib Ke Paas Abujahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Baithe Howe Thy  Huzoor ﷺ Ne Farmaya Aye Chacha  لا الہ الا اللہ   keh Dein is Kalme Ki Badaulat Main Allah Ke Haan Aapki {Magfirat Ke Liye} Hujjat Pesh Karun Ga  Abu jahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Kehne Lage  Aye Abu Talib Kya Tum Abdul Muttalib Ke Mazhab Se Eraaz Karo ge ? Abu Talib Ne Jawab Diya Ke Main  Millate Abdul Mutalib Per Qayam Hun Tu Huzoor ﷺ Ne Farmaya Mein Aapke  Liye Us Waqat Tak Astagfar Karta Rahun Ga Jab Tak Mujhe isse Mana Na Kardiya Jaaye Tu Us Waqat Ye Aayat Karima Nazil Howiمَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ

Bukhari Sharif Kitab Tafsir Ul Quran Page 389



 🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌ 28
Hazratimam Muslim kitab Ul iman Mein Hadees Naqal Farmat Hain


وحَدَّثَنِي حَرْمَلَةُ بْنُ يَحْيَى التُّجِيبِيُّ، أَخْبَرَنَا عَبْدُ اللهِ بْنُ وَهْبٍ، قَالَ: أَخْبَرَنِي يُونُسُ، عَنِ ابْنِ شِهَابٍ قَالَ: أَخْبَرَنِي سَعِيدُ بْنُ الْمُسَيِّبِ، عَنْ أَبِيهِ، قَالَ: لَمَّا حَضَرَتْ أَبَا طَالِبٍ الْوَفَاةُ جَاءَهُ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَوَجَدَ عِنْدَهُ أَبَا جَهْلٍ، وَعَبْدَ اللهِ بْنَ أَبِي أُمَيَّةَ بْنِ الْمُغِيرَةِ، فَقَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ” يَا عَمِّ، قُلْ: لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ، كَلِمَةً أَشْهَدُ لَكَ بِهَا عِنْدَ اللهِ “، فَقَالَ أَبُو جَهْلٍ، وَعَبْدُ اللهِ بْنُ أَبِي أُمَيَّةَ: يَا أَبَا طَالِبٍ، أَتَرْغَبُ عَنْ مِلَّةِ عَبْدِ الْمُطَّلِبِ؟ فَلَمْ يَزَلْ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَعْرِضُهَا عَلَيْهِ، وَيُعِيدُ لَهُ تِلْكَ الْمَقَالَةَ حَتَّى قَالَ أَبُو طَالِبٍ آخِرَ مَا كَلَّمَهُمْ: هُوَ عَلَى مِلَّةِ عَبْدِ الْمُطَّلِبِ، وَأَبَى أَنْ يَقُولَ: لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ، فَقَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «أَمَا وَاللهِ لَأَسْتَغْفِرَنَّ لَكَ مَا لَمْ أُنْهَ عَنْكَ» ، فَأَنْزَلَ اللهُ عَزَّ وَجَلَّ: {مَا كَانَ لِلنَّبِيِّ وَالَّذِينَ آمَنُوا أَنْ يَسْتَغْفِرُوا لِلْمُشْرِكِينَ وَلَوْ كَانُوا أُولِي قُرْبَى مِنْ بَعْدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُمْ أَنَّهُمْ أَصْحَابُ الْجَحِيمِ} [التوبة: 113]

Hazrat Musaiyab Se marwi Hai Ky Jab Abu Talib ki Maut Ka Waqat Qareeb Aaya Tu Huzoor ﷺ Unke Paas Tashrif Legaye Us Waqat Abu Talib Ke Paas Abujahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Baithe Howe Thy  Huzoor ﷺ Ne Farmaya Aye Chacha  لا الہ الا اللہ   keh Dein is Kalme Ki Badaulat Main Allah Ke Haan Aapki {Magfirat Ke Liye} Hujjat Pesh Karun Ga  Abu jahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Kehne Lage  Aye Abu Talib Kya Tum Abdul Muttalib Ke Mazhab Se Eraaz Karo ge ? Abu Talib Ne Jawab Diya Ke Main  Millate Abdul Mutalib Per Qayam Hun Tu Huzoor ﷺ Ne Farmaya Mein Aapke  Liye Us Waqat Tak Astagfar Karta Rahun Ga Jab Tak Mujhe isse Mana Na Kardiya Jaaye Tu Us Waqat Ye Aayat Karima Nazil Howi

مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَوَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳﴾

Muslim Sharif Kitab ul iman Vol 1 Page 33



🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌ 29
Hazrat imam Muslim apni Sahih Mein Hadees Naqal Farmate hain


وَحَدَّثَنَا عُبَيْدُ اللهِ بْنُ عُمَرَ الْقَوَارِيرِيُّ، وَمُحَمَّدُ بْنُ أَبِي بَكْرٍ الْمُقَدَّمِيُّ، وَمُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ الْمَلِكِ الْأُمَوِيُّ، قَالُوا: حَدَّثَنَا أَبُو عَوَانَةَ، عَنْ عَبْدِ الْمَلِكِ بْنِ عُمَيْرٍ، عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ الْحَارِثِ بْنِ نَوْفَلٍ، عَنِ الْعَبَّاسِ بْنِ عَبْدِ الْمُطَّلِبِ، أَنَّهُ قَالَ: يَا رَسُولَ اللهِ، هَلْ نَفَعْتَ أَبَا طَالِبٍ بِشَيْءٍ، فَإِنَّهُ كَانَ يَحُوطُكَ وَيَغْضَبُ لَكَ؟ قَالَ: «نَعَمْ، هُوَ فِي ضَحْضَاحٍ مِنْ نَارٍ، وَلَوْلَا أَنَا لَكَانَ فِي الدَّرْكِ الْأَسْفَلِ مِنَ النَّارِ»

Hazrat Abbas Bin Abdul Mutallib Bayan Karte hain Ke Unaho Ne Rasol Allah Se Pocha   Ya Rasol allah Kya Aapne Abu Talib Ko Koi Nafa Pahunchaya Wo Aap Ki Hifazat Karte Thy Aur Aap Ki Waje Se Logon Per Gazab Naak Hote Thy ? Rasol Allah Ne Jawab Mein Farmaya Haan Wo Jahanam Ke Sirf Baalai Tabqa Mein Hai Aur Agar Meri Shafa,at Se Usko Nafa Na Pahunchta Tu wo Jahanam Ke Sabse Nichle Tabke Mein Hota

Muslim Sharif Kitab ul iman Vol 1 Page 220



 🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌ 30
Hazrat Usam Bi Zaid ؓBayan Karte Hain


دَّثَنِي أَبُو الطَّاهِرِ، وَحَرْمَلَةُ بْنُ يَحْيَى، قَالَا: أَخْبَرَنَا ابْنُ وَهْبٍ، أَخْبَرَنَا يُونُسُ بْنُ يَزِيدَ، عَنِ ابْنِ شِهَابٍ، أَنَّ عَلِيَّ بْنَ حُسَيْنٍ، أَخْبَرَهُ، أَنَّ عَمْرَو بْنَ عُثْمَانَ بْنِ عَفَّانَ، أَخْبَرَهُ، عَنْ أُسَامَةَ بْنِ زَيْدِ بْنِ حَارِثَةَ، أَنَّهُ قَالَ: يَا رَسُولَ اللهِ، أَتَنْزِلُ فِي دَارِكَ بِمَكَّةَ؟ فَقَالَ «وَهَلْ تَرَكَ لَنَا عَقِيلٌ مِنْ رِبَاعٍ، أَوْ دُورٍ» ، «وَكَانَ عَقِيلٌ وَرِثَ أَبَا طَالِبٍ هُوَ وَطَالِبٌ، وَلَمْ يَرِثْهُ جَعْفَرٌ، وَلَا عَلِيٌّ شَيْئًا لِأَنَّهُمَا كَانَا مُسْلِمَيْنِ، وَكَانَ عَقِيلٌ وَطَالِبٌ كَافِرَيْنِ»

Ke Unaho Ne Huzoor ﷺSe Arz Kiya Ya Rasul Allah ﷺKya Aap Makka Mein Apne Makan Per Utren Ge? Huzor ﷺNe Farmaya Aqeel Ne Makka Mein Hamra Koi Makan Ya Zamin Chhuri Hai Aqeel Aur Talib،، Abu Talib Ke Waris Howe Thy Aur Hazrat Jafar Aur Hazrat Ali Ko Unke Tarka Se Khuch Nahi Mila Tha Kyun Ke Ye Dono [Hazrat Ali ؓAur Hazrat jafarؓ}Musalman Thy Aur Aqeel Aur Abu Talib Kafir Thy

Muslim Sharif Kitab Ul Haj Page 613,614



 🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌  31
Hazrat هibne Abbas Nabi Karim Ka Ye Farman Naqal Karte Hain

حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، حَدَّثَنَا عَفَّانُ، حَدَّثَنَا حَمَّادُ بْنُ سَلَمَةَ، حَدَّثَنَا ثَابِتٌ، عَنْ أَبِي عُثْمَانَ النَّهْدِيِّ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «أَهْوَنُ أَهْلِ النَّارِ عَذَابًا أَبُو طَالِبٍ، وَهُوَ مُنْتَعِلٌ بِنَعْلَيْنِ يَغْلِي مِنْهُمَا دِمَاغُهُ

Jahanam Mein Sabse Halka Azab Abu Talib Ko Hoga Uneh {Aag Ke} Jote Pehnaye Jayen Ge Jiski Waje se Unka Dimagh Khaul Jaya Kare Ga

Muslim Sharif vol 1 Page 223

Agar abu Talib Ne Marte Waqat Kalima Padha Hota  Tu Phir Uneh Azab Kyun Hota Malom Howa Ke Abu Talib Ka inteqal Halate Kufar Mein Howa Unaho Ne islam Qabul Nahi kiya



  🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌32
Hazrat imam Nasai Apni Sunan Mein  Baab Bandha Hai الْغُسْلَ مِنْ مُوَارَاةِ الْمُشْرِكِ


“Mushrik Murde Ko Dafan Karne Se Ghusal Ka Wajob” Phir isi Baab Ke Tahat Hadees Sharif Naqal Farmate Hain

أَخْبَرَنَا مُحَمَّدُ بْنُ الْمُثَنَّى، عَنْ مُحَمَّدٍ قَالَ: حَدَّثَنِي شُعْبَةُ، عَنْ أَبِي إِسْحَاقَ قَالَ: سَمِعْتُ نَاجِيَةَ بْنَ كَعْبٍ، عَنْ عَلِيٍّ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ: أَنَّهُ أَتَى النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ: إِنَّ أَبَا طَالِبٍ مَاتَ. فَقَالَ: «اذْهَبْ فَوَارِهِ» . قَالَ: إِنَّهُ مَاتَ مُشْرِكًا. قَالَ: «اذْهَبْ فَوَارِهِ» . فَلَمَّا وَارَيْتُهُ رَجَعْتُ إِلَيْهِ، فَقَالَ لِي: «اغْتَسِلْ»
“ Hazrat Syedna Ali ؓSe Marwi Hai Ke Aapp Huzorﷺ Ki Khidmat Mein Hazir Howe Aur Arz Kiya Ke Abu Talib Wafat Paa gaye  Huzor ﷺNe irshad Farmaya Jayen Uneh Dafan Kar Dijiye Main {Hazrat Ali ؓ] Ne Arz Kiya Wo Tu Mushrik Faut howe Hain Huzor ﷺNe irshad Farmaya Jayen Dafan Kar Dain Jab Main Uneeh Dafan Kar Ke Aap Ki Khidmat Mein Hazir Howa  Tu Huzoor ﷺNe Farmaya Ghuzul Kijiye  …

Sunan Nasail Vol 1 Page 57


  🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌33

Hazrat imam Nasai Hadees Sharif Naql Farmate Han“Hazrat Saeid Bin Musaiyab Se marwi Hai Ky Jab Abu Talib ki Maut Ka Waqat Qareeb Aaya Tu Huzoor ﷺ Unke Paas Tashrif Legaye Us Waqat Abu Talib Ke Paas Abujahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Baithe Howe Thy  Huzoor ﷺ Ne Farmaya Aye Chacha  لا الہ الا اللہ   keh Dein is Kalme Ki Badaulat Main Allah Ke Haan Aapki {Magfirat Ke Liye} Hujjat Pesh Karun Ga  Abu jahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Kehne Lage  Aye Abu Talib Kya Tum Abdul Muttalib Ke Mazhab Se Eraaz Karo ge ? Abu Talib Ne Jawab Diya Ke Main  Millate Abdul Mutalib Per Qayam Hun Tu Huzoor ﷺ Ne Farmaya Mein Aapke  Liye Us Waqat Tak Astagfar Karta Rahun Ga Jab Tak Mujhe isse Mana Na Kardiya Jaaye Tu Us Waqat Ye Aayat Karima Nazil Howi

مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَa وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ ﴿۱۱۳

Sunan Nasai Kitab ul Janaiz page 499



🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌ 34
Hazrat imam Tirmizi Apni Sunnan Mein Hadees Sharif Naqal Farmate Hain


حدثنا محمود بن غيلان و عبد بن حميد المعنى واحد قالا حدثنا أبو أحمد حدثنا سفيان عن الأعمش عن يحيى قال : عبد هو ابن عباد عن سعيد بن جبير عن ابن عباس قال مرض أبو طالب فجاءته قريش وجاءه النبي صلى الله عليه و سلم وعند أبي طالب مجلس رجل فقام أبو جهل كي يمنعه وشكوه إلى أبي طالب فقال يا ابن أخي ما تريد من قومك ؟ قال إني أريد منهم كلمة واحدة تدين لهم العرب وتؤدي لهم العجم الجزية قال كلمة واحدة ؟ قال كلمة واحدة قال يا عم يقولوا لا إله إلا الله فقالوا / إلها واحدا ما سمعنا بهذا في الملة الآخرة إن هذا إلا اختلاق / قال فنزل فيهم القرآن { ص والقرآن ذي الذكر } { بل الذين كفروا في عزة وشقاق } إلى قوله { ما سمعنا بهذا في الملة الآخرة إن هذا إلا اختلاق }

قال أبو عيسى هذا حديث حسن

Hazrar ibne Abbas ؓSe Riwayat Hai Abu Talib Bimar Howe Tu Quresh Unke Paas Aaye Nabi Karim ﷺBhi Tashrif Laye Abu Talib Ke Paas Sirf Ek Aadmi Ke Baithne Ki Jaga Thi Abu Jahal Uneh Mana Karne Utha Aur Un Logon Ne Abu Talib Se Aapki Shikayat Ki Abu Talib Ne Pocha Bhatije Aap Apni Qaum Se Kya Chahate Hain ? Huzor ﷺNe Farmaya Main Unse Ek Kalma Chahta Hun Jis Ke Sabab  Arab wale inke Matee Hun Jis Ke sabab Ahle Ajam ineeh Juziya Ada Karen Abu Talib Ne Kaha Bas Sirf Ek Kalma? Phir Huzor Ne Farmaya Aye Chacha  لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُKaho Quresh Ne Kaha Bas Sirf Ek Mabood ? Ham Ne Kisi Dusre Deen Mein Ye Baat Nahi Suni Ye Man Ghadat Baat hai Chunanchey is Per Un Logo Ke Bare Mein Quran Ki Aayat Nazil Howi

ص وَالقُرْآنِ ذِي الذِّكْرِ بَلِ الَّذِينَ كَفَرُوا فِي عِزَّةٍ وَشِقَاقٍ} [ص: 2 ]

Tirmizi Vol 5 Page 281,282



🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌ 35
Imam Nasai Sunan Ul Kubra Mein Hadees Naql Farmate Hain


أَخْبَرَنَا يُونُسُ بْنُ عَبْدِ الْأَعْلَى، قَالَ: حَدَّثَنَا ابْنُ وَهْبٍ، قَالَ: أَخْبَرَنِي يُونُسُ بْنُ يَزِيدَ، عَنِ ابْنِ شِهَابٍ، أَنَّ عَلِيَّ بْنَ حُسَيْنٍ، أَخْبَرَهُ أَنَّ عَمْرَو بْنَ عُثْمَانَ، أَخْبَرَهُ عَنْ أُسَامَةَ بْنِ زَيْدٍ، أَنَّهُ قَالَ: يَا رَسُولَ اللهِ، أَتَنْزِلُ فِي دَارِكَ بِمَكَّةَ، قَالَ: «هَلْ تَرَكَ لَنَا عَقِيلٌ مِنْ رِبَاعٍ أَوْ دُورٍ؟» وَكَانَ عَقِيلٌ وَرِثَ أَبَا طَالِبٍ هُوَ وَطَالِبٌ وَلَمْ يَرِثْهُ جَعْفَرٌ وَلَا عَلِيٌّ شَيْئًا لِأَنَّهُمَا كَانَا مُسْلِمَيْنِ، وَكَانَ طَالِبٌ وَعَقِيلٌ كَافِرَيْنِ، فَكَانَ عُمَرُ بْنُ الْخَطَّابِ مِنْ أَجْلِ ذَلِكَ يَقُولُ: «لَا يَرِثُ الْمُؤْمِنُ الْكَافِرَ»

“ Hajjatul Wida Ke Mauqe Per Makka Sharif Mein Dakhil Hone Se Ek Din Pehle Hazrat Usama Bin Zaid ؓHuzor ﷺKi Bargah Mein istafta Kiya Ke Ya Rasol Allah ﷺAap Apni Wiladat Makka Mukrama Mein Kahan Jalwa Farmayen Ge Mazid Farmaya Ke Kya Aqil Ne Koi Ghar Ya Makan Chhura Hai is ijmal Ki Tafsil Ye Hai Ke Abu Talib Ke 4 Bete Thy jin Mein Aqil aur Talib , Talib Ko Tu Abu Talib Ki Wirsat Mili Thi Magar Hazrat Jafar ؓAur Hazrat Ali ؓKo Koi Chiz Nahi Mili Thi Kyun Ke Ye Dono Musalman Thy Aur Aqil Wa Talib Kafir isi Waje Se Hazrat Omer ؓFarmate Thy Ke Koi Musalman Kafir Ka Waris Nahi Ban Sakta

Sunan U Kubra imam Tirmizi Vol 4 Page 248,249



🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌  36
Hazrat imam Abu Dawod Sunnan Mein Hadees Naql Farmate Hain


حَدَّثَنَا مُسَدَّدٌ، حَدَّثَنَا يَحْيَى، عَنْ سُفْيَانَ، حَدَّثَنِي أَبُو إِسْحَاقَ، عَنْ نَاجِيَةَ بْنِ كَعْبٍ، عَنْ عَلِيٍّ عَلَيْهِ السَّلَام، قَالَ: قُلْتُ لِلنَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: إِنَّ عَمَّكَ الشَّيْخَ الضَّالَّ قَدْ مَاتَ، قَالَ: «اذْهَبْ فَوَارِ أَبَاكَ، ثُمَّ لَا تُحْدِثَنَّ شَيْئًا، حَتَّى تَأْتِيَنِي» فَذَهَبْتُ فَوَارَيْتُهُ وَجِئْتُهُ فَأَمَرَنِي فَاغْتَسَلْتُ وَدَعَا لِي

Najiya Bin Ka,ab Se Riwayat Hai Ke Hazrat Ali ؓNe Farmaya Main Nabi Karim Ki Bargah Mein Arz Guzar Howa Ke Ya {Rasol Allah ﷺ] Aapka Bodha Chacha Gumraahi Ki Halat Mein Fauzt Hogaya {Rasol Allah ﷺNe irshad Farmaya} Jawo Aur Apne Walid Ko Dafan Kar Aawo Phir Mere Paas Aane Tak Koi Aur Kaam Na Karna Pas Mein Ne Jakar Uneh Dafan kiya Aur Aap ﷺKi Khidmat Mein Hazir Hogaya Huzoor ﷺNe Mujhe Hukam farmaya Ke Main Tumne Gusul Kiya Aur Apn ﷺNe Mere Liye Dua Framai…..

Sunan Abu Dawood  vol 2 page 422



🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌  37
Hazrt imam ibne Maaja apni Sunan Mein Baab Bandhte Hain “Musalmano Ke Liye Mushrikon Ka Waris Na Hone Ka Bayan” isi Baab Ke Tahat Hadees Sharif Naql Farmate hain


حَدَّثَنَا هِشَامُ بْنُ عَمَّارٍ، وَمُحَمَّدُ بْنُ الصَّبَّاحِ قَالَا: حَدَّثَنَا سُفْيَانُ بْنُ عُيَيْنَةَ، عَنِ الزُّهْرِيِّ، عَنْ عَلِيِّ بْنِ الْحُسَيْنِ، عَنْ عَمْرِو بْنِ عُثْمَانَ، عَنْ أُسَامَةَ بْنِ زَيْدٍ، رَفَعَهُ إِلَى النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «لَا يَرِثُ الْمُسْلِمُ الْكَافِرَ، وَلَا الْكَافِرُ الْمُسْلِمَ»
Hazrat Usama Bin Zaid ؓNe Arz Kiya Ya Rasol Allah ﷺKya Makka Mein Aap Apne Ghar Qiyam Farmayen Ge? Huzoor ﷺNe irshad Farmaya Bhala Aqil Ne Bhi Hamare Liye Koi Ghar Chhura Hai Jis Mein Hum Muqim Hun Ge {Aqil Abu Talib Ke Waris Howe Thy}aur  Talib Waris Howe Thy Aur na Hazrat Ali ؓKo Khuch Mila Tha Aur Na Hazrat Jafar ؓKo Kyun Ke Talib Wa aqil Kafir Thy Aur Hazrat Jafarؓ Wa Hazrat Ali Musalman Thy Aur Abu Talib Ka inteqal Kufar per Howa Tha is Liye Hazrat umer ؓsi Waje Se Farmaya Karte Thy Momin Kafir Ka Waris Nahi Ho Sakta Hazrat Usama ؓFarmate Hain Nabi Karim ﷺNe irshad Farmaya Momin Kafir Ka Aur Kafir Momin Ka Waris Nahi Ban sakta ..ibne Maja Vol 2 Page 103


🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌38
Hafiz Ahmed Bin Ali Apni Musnad Abu Yala


 Mein Hadees Sharif Naqal Farmate Hain “ Hazrat Ali Bin Abu Talib ؓFarmate Hain Ke Jab Abu Talib Ka Wisal Howa Tu Main Huzorﷺ Ke Paas Aaya Main Ne Arz Ki [Ya Rasol Allah ﷺ} Aapka Bodha Chacha Faut Hogaya Hai Huzoor ﷺNe Farmaya Jawo Fauran Kisi Ko Na Batana Yahan Tak Ke Mere Paas Awo Main Ne Aisa Hi Kiya Jo Mujhe Hukam Diya Gaya Tha Phir Main Aapke Paas Aaya Tu Muhje Farmaya isko Gusul Do Aur Mujhe Duayen Sikhayin Jo Mujhe Surkh Ont Sadqa Karne Se Ziyada Mehbob Hain

Musnad Abu Yala Vol 1 Page  335


🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌ 39
Hazrat imam Shafai Apni Musnad Mein Hadees Sharif Naql Farmate Hain


أَخْبَرَنَا مَالِكٌ، عَنِ ابْنِ شِهَابٍ، عَنْ عَلِيِّ بْنِ الْحُسَيْنِ قَالَ: ” إِنَّمَا وَرِثَ أَبَا طَالِبٍ عَقِيلٌ وَطَالِبٌ وَلَمْ يَرِثُهُ عَلِيٌّ وَلَا جَعْفَرٌ. قَالَ: فَلِذَلِكَ تَرَكْنَا نَصِيبَنَا مِنَ الشِّعْبِ

“ibne Shuhab Bayan Karte Hain Hazrat imam Zainul Aabedin Ne Ye Baat irshad Farmai Hai Aqil Aur Talib , Talib Ke Waris Bane Thy Hazrat Ali Aur Hazrat Jafar Taiyar unke Waris Nahi Bane Thy  Hazrat Zainul Aabdin Farmate Hain Yahi Waje Hai Hum Ne Shoyeb Abi Talib Mein Apna Hissa Tark Kardiya

Musnad imam Shafai Page 384



🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌4⃣0⃣
*imam Malik Ke Nazdik Abu Talib Ka iman Sabit Nahi*


Imam Malik Apni Mauta Mein Riwayat Naql Farmate Hain “Omer Bin Usman Ne Hazrat Usama bin Zaid Se Riwayat Hai Ke Rasol allah Ne Farmaya Musalman Kafir Ka Waris Nahi Hota ,ibne Shuhab Se Riwayat Hai Ke Hazrat Ali Ne Uneh Khabar Di Ke Abu Talib Ke Waris Aqil Aur Talib Howe Jabke Ali Nahi Howe Farmaya isi Liye Hum Shoyeb Abi Talib Mein Se Apna Hissa Chhur Diya Tha

📗Mauta imam Malik
🗒 Page 680

〰〰〰〰〰〰〰


🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌4⃣1⃣
*imam Ahmed Bin Hambal Aur iman Abu Talib*


Imam Ahmad Bin Hambal Riwayat Naql Farmate Hain
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ جَعْفَرٍ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، عَنْ أَبِي إِسْحَاقَ قَالَ: سَمِعْتُ نَاجِيَةَ بْنَ كَعْبٍ، يُحَدِّثُ عَنْ عَلِيٍّ، أَنَّهُ أَتَى النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ: إِنَّ أَبَا طَالِبٍ مَاتَ. فَقَالَ لَهُ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «اذْهَبْ فَوَارِهِ» ، فَقَالَ: إِنَّهُ مَاتَ مُشْرِكًا. فَقَالَ: «اذْهَبْ فَوَارِهِ» قَالَ: فَلَمَّا وَارَيْتُهُ رَجَعْتُ إِلَى النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَقَالَ لِي: «اغْتَسِلْ»

‘Ek martaba Hazrat Ali Nabi Karim Ki Khidmat Mein Hazir Howe Aur Abu Talib Ki Wafat Ki Khabar Di Nabi Karim Ne Farmaya Jakar Uneh Dafan Kardo Hazrat Ali Ne Arz Kiya Wo Tu Shirk Ki Halat Mein Faut Howe Hain Nabi Karim Ne Phir Yahi Farmaya Jakar Uneh Dafan Kardo Jab Main Abuu Talib Ko Dafan Kar Ke Nabi Karim Ki Ke Paas Wapas Aaya Tu Mujh Se Farmaya Jakar Gusal Karo

📗Musnad imam Ahmad
 📚Vol 1
🗒page 495

〰〰〰〰〰〰〰

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌4⃣2⃣
*imam ibne Jauzi Aur iman e Abu Talib*


Imam ibne Jauzi likhte Hain “Muhammad bin Ka,ab Se Manqol hai Ke Jab Abu Talib bimari Mei Mubtila Howe Jiske Andar Unka inteqal Hogaya Tu Quresh Ne Kaha Aye Abu Talib Apne Bhatije Ki Taraf Aadmi Bhej Kar Mutaliba Karo Ke Wo Tumeh is Jannat Mein Se Koi Chiz Mangwa Kar Dein Jiska Wo Har Waqat Tazkira Karte Hain Taki Wo Tumhare Liye Maujobe Shifa Ban Jaye Unaho Ne Aadmi Bhej Diya ,Jab Aapki Khidmat Mein Hazir Howa Tu Aaki Khidmat Mein Hazrat abubakar Siddiq Ko Bhi Hazir Paya Aapse Arz Kiya Aapke Chacha  Aapse Arz Karte Hain Ke Main Umar Rasida Hun Zaif Wa Na Tawan Bhi Hun Bimar Bhi Lihaza Aap Mere Liye Jannat Ke Kahane Aur Mashrobat Mein Se Koi Chiz Bhejen Jiska Tazkira Karte Rahte Hain Take Main Shifa Yaab Ho Jauon Hazrat Abu Bakar Siddiq Ne armaya is Jannat Se istefada Ke Liye iman Shart Awal Hai Kyun Ke Allah Ne iskoi Kuffar Wa Mushrikin Per Haram Farmaya Hai  …..

📗Al Wafa imam ibne Jauzi
🗒Page 257

〰〰〰〰〰〰〰

〰〰〰〰〰〰〰

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌4⃣3⃣
*imam Halabi Ke Nazdik Abu Talib Ka Khatima Kufar per Howa*


Hazrat imam Halbi iman Abu Talib Ke Masla Per Likhte Hain”Khuch Sakht Qisam Ke Hazrat Ne Dawa Kiya Hai Ke Abu talib Musalman Hogye Thy Ye Log is Ki Dalil Mein Be Buniyad Riwayaten Pesh Karte Hain Jin Ko Allama  ibne Hujar Ne Apni Kitab isaba mein Zikr  Kiya Hai Aur Likha Hai Ke Main Ne Khuch Aisi Riwayaten Dekhi Hain Jinko Shiyaun Ne Abu Talib Ke Musalman Hone Ki Dalil Ke Taur Per Jama Kiya Hai Magar Ye Sab Be Buniyad Riwayaten Hain Jin Se is Bare Mein Koin Dalil Nahi Li Jasakti
Hazrat imam Halbi Ek Aur Jaga Allah Ke Rasol Ka Farman Naqal Farmate  Hain “Har Us Shaks Ki Qabar Jisne Allah Ki Wahdaniyat Aur Ek Hone Ki Gawahi Nahi Di Jahannam Ka EHissa Hai Main Ne Apne Chacha Abu Talib Ko Dozakh Ke Sabab Nichle Hisse Mein Paya Phir Allah Ne Meri Waje Unki Wahan Se Nikala Aur Chun ke Unahon Ne Mere Sath Neek Saluk Kiya Tha is Liye Unko Dozakh Ke Uper Yani Payaab  Hisse Men Pahuncha dIya Gaya

📗Sirat Halbi
📚Vol 2
🗒Page 433,434

〰〰〰〰〰〰〰〰

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌4⃣4⃣
*imam Jazri Aur iman . Talib*


Hazrat imam ibne Aseer Jazri Huzor Ke Ke Chachaun Ka Tazkira Farma Kar Likhte Hain
 “Huzoor Ke Chachaun Mein Se Siwa Hazrat Hamza Aur Hazrat Abbas Ke Koi islam Nahi Laya

📗Usdul Ghaaba Fi Marifat ul Sahaba
📚 Vol 1
🗒Page 89

Kahan Hain Wo Log Jo Rafzi Shion Ke Baqawe Mein Aakar Ye Keh Rahe Thy Ke “Agar Koi Abu Talib Ko Musalman Na Mane Wo Musalman Hi Nahi “ Wo Ye Batayen Ki imam ibne Jazri unke Nazdik Musalman Hain Ki Nahi?

〰〰〰〰〰〰〰

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌4⃣5⃣

*iman e Abu Talib per imam ibne Hujar Ne kiya shia Riwayat ka Rad*

Hazrat imam ibne Hujar imane Abu Talib Ki Dalil per Shia Riwayat Ka Rad Karte Howe Farmate hain
”Rahi Dusri Hadees Jismen Abu Talib Ki Nabi Ki Tasdiq Karne ki Gawahi Hai iska Aur Abu Talib Ke Ashar Ka Jawab Ye Hai Ke iski Misaal Aise Hai Jaise Allah Ne Quresh Ke Kafiron Ka Haal Bayan Kiya Hai “Aur Unke Munkir Howe Aur Unke Dilun Mein Unka Yaqin Tha Zulm Aur Takabbur Se Dekho Kaisa Anjam Howa
{Namal 14}

Phir Aage likhte Hain
Rahi Teesri Hadees Johozni Ka Asar Hai Aur Mursal Hai iske Bawajod ismen Rishtedari Aapko Jode Rakhe Gi ,Abu Talib Ke Musalman Hone Ki Koi Baat Nahi  Balki iske Munafi Baat Maujod Hai Wo Ye Ke Huzor ﷺAbu Talib Ke Janaza Ki Taraf Mukhalif Simt Se Aaye Warna Aap Janaze ke Sath Chalte Aur Khud Namaze Janaza Padhte isse Ziyada Sahih Riwayat Mein Hai Jo Abu Dawod Aur Nasai Ne Naqal Ki Hai Aur ibne Khuzaima ne ise Sahih Kaha Hai Batariqe Najiya Bin Ka,ab Bahawala Hazrat Aliرضی اللہ عنہ ؓMarwi Hai Farmaya
 “Jab Abu Talib Ka inteqal Howa Main Nabi karim Ke Paas Aaya Ke Aaka Gumrah Chacha Chal Basa Aap ﷺNe Farmaya Jawo Unki Lash Dafan Kardo Ye Kaam Khatam karne Tak Mujh Se Koi baat mat karna

📚Al Asaaba Fi Tameez Ul sahaba
📚vol 7
🗒Page 217,218

〰〰〰〰〰〰〰

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌4⃣6⃣
*imam Qazi Ayaz Ke Nazdik Abu Talib Ne islam Qabul Nahi kiya*

Hazrat Qazi ayaz Kitabush Shifa Mein Hazrat Abubakar Siddiq ؓKa Waqaya Naql Farmate Hain” Hazrat Abubakar Siddiq Ne Qasam Ke Sath Bargaahe Risalat Mein Arz Kiya   Qasam Hai is Zaat Ki Jisne Aap ﷺKo Haq Ke Sath Maboos Farmaya Hai Mujhe Apne Walid Ke Musharraf Ba islam Hone Ke Muqable Mein Ye Ziyada Mehboob Tha Ke Abu Talib islam Le Aate Taake Aap ﷺKo Ziyada Masarrat Hoti

📗KitabUsh Shifa
📚Vol 2
🗒Page 61

Is Riwayat Se Bhi Saaf Pata Chal Raha Hai Ke Abu Talib iman Laaye Bagair is Duniya Se Chale Gaye Agar iman Le Aaye Hote Tu Hazrat Abubakar Siddiq Yun Na irshad Farmate

〰〰〰〰〰〰〰

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌4⃣7⃣
*Mulla Moin Kaashifi Aur iman Abu Talib*

Mulla Moin Kaashifi Likhte Hain” Baaz Ulama Ka Qaul Hai Ke Kufr Ki 4 Qismen Hain 1,Kufr e inkaar 2,Kufr e Jahud 3Kyfr e Nifaq 4,Kufr e inaad Phir Aage Abu Talib ke Kufr Se Mutaliq Likhte Hain “Kufr e inaad Ye Hai Ke Dil Se Allah Ko Pehchane Lekin Zuban Se Khuda Ka iqrar Na Kare Aur Na Hi Uske Ahkam Wa Faramin Ke Samne Sare Taslim Kham Kare Jaise Abu Talib Ka Kufr us ne Kaha ولقد علمت   بان دین محمد من خیر ادیان البریادبنا Aur Ye Taye Shuda Baat Hai Ke Jo Shaks Bhi Charon Aqsaam Mein se Kisi Ke Sath Bhi Mutassif Hoga Wo Magfirat Se Mehroom Rahe Ga

📗Muarij Un Nabowat
📚 Vol 2
🗒 Page 322

〰〰〰〰〰〰〰

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌4⃣8⃣
*imam Qustalani Aur iman e Abu Talib*


Hazrat imam Qustalani Mawahib Ul Luduniya Mein Farmate Hain” Ek Aur Riwayat Mein Hai Ke Aap ﷺNe Farmaya “Agar Main Na Hota Tu Abu Talib Dozakh Ke Asfal Tabqa Mein Thy” Sahih Bukhari Wa Muslim Mein Hai Ke Nabi Karim Ne Framaya “Yaqinan Meri Shafa,at Abu Talib Ko Qayamat Ke Din Nafa De Gi Wo Zohzaah Dozakh Mein Kiye Jayen Ge Unke Dono Takhno Tak Wo Aag Pahunche Gi Jis Se Unka Dimagh Josh Mare Ga

📗Mawahib Ul Luduniya
📚 Vol 1
🗒Page 179

Wo Log Jo Abu Talib Ke iman Ke Qail Hain Aur Ulame Ahlesunnat Ko Apni Tanqid Ka Nishana Banate Hain Kiya Wo imam Qustalani Ke Taluk Se Kya Kahen Ge? Aur Bhi Batayen Ke Abu Talib iman Laye Thy Tu Uneh Azab Kis Liye Diya Ja Raha Hai?

〰〰〰〰〰〰〰

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌5⃣0⃣
*iman e Abu Talib aur imam jalaluddin siyuti*


imam jalaluddin Siyuti ibne Asakir Se Ba Tariq Hasan Bin Amara Se Riwayat Ki Ke Rasol Allah Aur Hazrat Ali Qabre Abu Talib Per Gaye Taki Uke Liye Astagfaar Karen is Mauqa Per Allah Ne Ye Aayat Nazil Farmai
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ
Nabi Aur iman Walon Ko Layaq Nahi Ke Mushrikon Ki Bakshish Chahen Agarche Wo Rishtedar Hun Jabke Uneh Khul Chuka Ke Wo Dozakhi Hain {Kanzul iman}
Abu Talib Ki Kufr Ki Halat Mein Marna Nabi Per Bahut Shaq Guzra Tu is Baare Mein Allah Ne irshad Farmaya
انک لاتھدی من احببت ولکن اللہ یھدی من یشاء

📗Khasais Ul Kubra
📚Vol 1
🗒 Page 148

〰〰〰〰〰〰〰〰


🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌5⃣1⃣
*Sufi imam ibne Arabi Aur iman Abu Talib*


Mashoor Sufi Buzurg Hazrat imam ibne Arabi Ke Nazdik Bhi Abu Talib Ka iman Sabit Nahi Hai Wo Apni Kitab Fususul Hikam Mein Farmate Hai jiska Mafhoom Hai” Ke Huzoor Ki Lakh Koshis Ke Bawajood Abu Talib Ne islam Qabol Nahi Kiya jis Per Quran Sharif Ki Aayat
 انک لاتھدی من احببت ولکن اللہ یھدی من یشاء
Ka Nuzul Howa

📗Fususul Hikam
🗒Page 130

〰〰〰〰〰〰〰


🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌5⃣2⃣
*Hazrat Maulana Room Aur iman e Abu Talib*

Hazrat Maulana Room Ko Kaun Nahi Janta Aap Sufiya Kiram Mein Mashoor wa Marof Buzurg Hain Aap Ki Masnvi Sharif Ka Dars Salon Se Diya Jaraha Hai Aur Wo Log Jo Sufiya Ka Jhota Libaada odhkar Sunni Hone Ka Dawa Karte Hain Wo Bhi Aapko Maane Ka Dawa Karte Hain Magar Shayad Unaho Ne Masnvi Sharif Nahi Padhi Hazrat Maulana Room Ne Apni
 Masnvi Jild 6 Page 32,33
 Mein Abu Talib Ke islam Na Qabool Karne Ka Zikar Farmaya Hai Jo Aap Scan Page Mein BaKhubi Dekh Aur Padh Sakte Hain Wo Log Jo abu Talib Ke iman Wala Kehne Per Tashaddud Se Kaam Lekar Ye Keh Rahe Hain Ke Abu Talib Musalman Nahi Tu Koi Musalman Nahi Kiya Wo Yahi Baat Hazrat Maulana Room Ke Liye Kehne Ki Himmat Karen Ge?

〰〰〰〰〰〰

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌5⃣3⃣
*Sufi Meer Abdul Waahid Bilgirami Aur iman E Abu Talib*


Hazrat Sufi Meer Abdul Waahid Bilgirami Farmate Hain “Mere Bhai Agar Mustafaﷺ Ke Fazail Wa Sharf Ke Kamalat Ahle Marfat Ke Dilon Mein Nahi Sama sakte Aur Unke Nihaan Khano Mein Manzil Nahi Bana Sakte iske Bawajod unke in Nasab Walon Mein Apna Kamil Asar Nahi Dikha Sakte Khawa Aaba Ajdad Hun Ya Aulad Dar Aulad Chunanche Abu Talib Mein is Nasab Ne Koi Asar Nahi Kiya Halanki Rasol Allah ﷺUnke Baare Mein Baleegh Koshish Farmate Rahe Lekin Chunke Khudaye Quddus Unke Dil Per Roze Azal Hi Se Mohar Laga Di Thi Lihaza Jawab Diya “اخرت النار علی العار” Main Aar Per Naar Ko Tarjeeh Deta Hun Jaisa Ke Mashoor Hai Manqol Hai Ke Jab Abu Talib Ka inteqal Howa Maula Aliؓ Ne Rasol Allah ﷺKo Khabar Pahunchai Ke “مات عمک الضال” Huzor ﷺKe Gumrah Chacha Ka inteqal Hogaya  {Baet{ Kabhi Aise Gohar Paida Karne Wale Gharana Mein Abu Talib Jaise Ko {Khaliq Be Niyaz} Pathar Phenkne Wala Bana Deta Hai

📗Saba Sanabil Sharif
🗒 Page 90

〰〰〰〰〰〰〰〰


🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌5⃣4⃣
*Peer Mehar Ali Aur iman Abu Talib*

Hazrat Peer Sufi Mehar Ali Golarwi Apni Kitab Mein Likhte Hain “ Aanhazrat Ke Chachey Aur Phophiyan Haris,Quseem,Zubeer,Abbas,Abu Talib,Abdul Kaaba,Juhal,Zarrar,,Ghidaak,Abu Lahab,Sufeeya, Aatiqa,Arwi,Umme Hakim,Barra,umaima is Jamat Mein Se Hazrat Hamza Wa Abbas Wa Hazrat Sufeeya Rizwan Allah Alehim Ajmain iman Laaye

📗Tahqeeq Ul Haq Fi Kalimatul Haq
📚Page 153

Hazrat Sufi Peer Mehra Ali Ke Nazdik Bhi Abu Talib Ne islam Qaul Nahi Kiya jiska sabot Hazrat Ki is ibarat Se Pata Chal Raha Hai

➖➖➖➖➖➖➖

〰〰〰〰〰〰〰
🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌5⃣5⃣
*imam Behqi Aur iman Abu Talib*


Hazrat imam Behaqi Riwayat NaqalFarmate Hain”Jab Abu Talib Ki Wafat Aan Pahunchi Tu Nabi Karim ﷺUnke Paas Pahunche Abu Jahal Bin Hisham Unke Paas Baitha Tha Aur Abdullah Bin Umaiya Kehte Hai Ke Nabi Karim Ne Unse Kaha Aye Chacha Aap Keh Dijiye لا الہ الا اللہ.Main Tumhare Liye iske Zariye Allah Se Hujjat Karun Ga Udhar Abu Jahal Ne Aur Abu Umaiya Abu Talib Se Kaha Kya Millat Abdul Mutallib Se Eraaz Aur Roogardani Karo Gay Kehte Hain Ke Abu Talib Ka Aakhri Jumla Jo Moon Se Nikla Wo Yahi Tha Ke Main Abdul Mutallib Ki Millat Per Hun  Nabi Karimﷺ Ne Mazid Farmaya Ke Main Zaror Tumhare Liye Astagfaar karun Ga ?Bakshish Mangon Ga Jab Tak Ke Mujhe isse Rook Na Diya Jaye Lihaza Ye Aayat Nazil Howi  مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ  Kehte Hain Ke Jab Abu Talib Ka inteqal Kufar Per Howa Phir Ye Aayat Nazil Howi انک لا تھدی من احببت

📗Dalalil Ul Nabowat
📚 Vol 1 Page
🗒470,471

〰〰〰〰〰〰〰


🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌5⃣6⃣
*Fiqa  Hanafi Aur iman e Abu Talib*

Fiqa Hanafi Ki Mash,hoor Motabar Kitab Hidaya Mein Likha Hai
و اذا مات الکافر ولہ ولی مسلم فانہ یغسلہ و یکفنہ و یدننہ بذالک اممر علی رضی اللہ عنہ فی حق ابیہ ابی طالب
 “ Jab Koi Kafir MarJaye Aur Uska Wali Musalman Ho Tu Use Gusul De Aur Kafan De Aur Dafan Kare Ye Hi Hukum Diya Gaya Tha Hazrta Ali Ko Jab Unke Walid Abu Talib Ke Mutaliq

📗Hidaya
📚Vol 1
🗒 Page 173،174

〰〰〰〰〰〰〰〰〰


〰〰〰〰〰〰〰
🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌5⃣7⃣
*imam Humam Hanafi Aur Iman E Abu Talib*

Imam Hummam Hanafi Hidaya Ki Sharah Mein Farmate Hain

قوله بذلك أمر على روى ابن سعد في الطبقات أخبرنا محمد بن عمر الواقدي حدثني معاوية بن عبد الله بن عبيد الله بن أبي رافع عن أبيه عن جده عن علي رضي الله عنه قال لما أخبرت رسول الله صلى الله عليه وسلم بموت أبي طالب بكى ثم قال لي اذهب فاغسله وكفنه وواره قال ففعلت ثم أتيته فقال لي اذهب فاغتسل قال وجعل رسول الله صلى الله عليه وسلم يستغفر له أياما ولا يخرج من بيته حتى نزل عليه جبريل عليه السلام بهذه الآية { ما كان للنبي والذين آمنوا أن يستغفروا للمشركين
 “ibne Sa,ad Ne Hazrat Ali Se Basand Riwayat Ki Hai Ke Jab Main Rasol Allah Ko Abu Talib Ki Maut Ki Khabar Di Aap Roye Phir Farmaya Jaawo Usse Gusul wa Kafan Dekar Dafan Kar Do Pasa Main Gaya Phir Main Huzoor Ke Paas {Abu Talib Ko Dafan Karne Ke Baad} Aaya Aap Ne Farmaya Jawo Jakar Gusul Karo Aur Huzoor Ne Abu Talib Ke Liye Astagfar Shuro Kar Diya Chand Din Karte Rahe Aur Ghar Se Bahar Na Aate Thy Hatta Ke Jibrail Ye Aayat Lekar Nazil Howe  ما كان للنبي والذين آمنوا أن يستغفروا للمشركين
Tarjam.Nabi Aur iman Walon Ko Layaq Nahi Ke Mushrikon  ki Bakshish Chahen Agarche Wo Rishtedar Hun Jabke Uneh Khol Chuka Ke Wo Dozakhi Hain

📗Sharah Fathul Qadeer
📚Vol 2
🗒Page 138

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌5⃣8⃣
*Shaibe Kanzud Daqaib Hanafi Aur iman E Abu Talib*


 Fiqah Hanafi Ki Buniyadi Kutub Mein Se Ek Kitab Bahar ur Raeiq Sharah Kanzud Daqaiq Hai ismen Imam ibne Najeem Hanafi Farmate Hain
(قَوْلُهُ وَيُغَسِّلُ وَلِيُّ مُسْلِمٍ الْكَافِرَ وَيُكَفِّنُهُ وَيَدْفِنُهُ) بِذَلِكَ أَمَرَ عَلِيٌّ - رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ - أَنْ يُفْعَلَ بِأَبِيهِ حِينَ مَاتَ
 “Musalman Wali Kafir Ko Gusul De Aur Dafan Kare Hazrat Ali ؓKo Unke Walids {Abu Talib} Se Aisa Hi Karne Ka Hukum Diya Gaya Tha Jab {Abu Talib} Ka inteqal Howa Tha

📗Al Bahar ur Raeiq Sharah Kanzud Daqaiq
📚Vol 2
🗒page 337

〰〰〰〰〰〰〰〰〰

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌5⃣9⃣

*imam Tahataawi Hanafi Aur iman E Abu Talib*


Hazrat imam Tahtawi Hanafi Maraqi Al Falah Sharah Noor Ul eizah Mein Qaul ان کان  الکافر قریب مسلم حاضر ولا ولی لہ کافر غسلہ المسلم Yaani Agar Kafir Ka Qaribi Rishtedar Musalman Hazir Ho Aur Uska Koi Kafir Wali Na Ho Tu Musalman Use Gusul De “ is Ke Tahat Bataur Dalil Bayan Farmate Hain
عن علي رضي الله عنه قال لما مات أبو طالب انطلقت إلى النبي صلى الله عليه وسلم فقلت له إن عمك الشيخ الضال قد مات قال اذهب فوار أباك ثم لا تحدث شيئا حتى تأتيني فذهبت فواريته فجئته فأمرني فاغتسلت ودعا لي وفي حديث الواقدي عن علي أن رسول الله صلى الله عليه وسلم جعل يستغفر له أياما ولا يخرج من بيته حتى نزل عليه جبريل بهذه الآيات ما كان للنبي والذين آمنوا أن يستغفروا للمشركين الآية
“ Hazrat Ali ؓSe Riwayat Hai Ke Jab Abu Talib Ka inteqal Howa main Nabi Karimﷺ Ki Khidamat Mein Hazir Howa Aur Arz Kiya Ke Aap Ka Bodha Gumrah Chacha Margaya Aap ﷺNe Farmaya Jawo Apne Walid ko Dafan kardo ..Aur Waqadi Ki Hadees Mein Hai Hazrat Ali ؓFarmate Hain Ke Rasol Allah ﷺNe Khuch Din  Abu Talib  Ke Liye Astagfaar Kiya Aur Ghar Se na Nikle Yahan Tak Ke Jibrail Ye Aayat Lekar Nazil Howe
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ وَلَوْکَانُوۡۤا اُولِیۡ قُرْبٰی مِنۡۢ بَعْدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُمْ اَنَّہُمْ اَصْحٰبُ الْجَحِیۡمِ

📗Hashiya Tahtawi Ala Miraqi Al Falah
🗒page 601


➖➖➖〰〰〰➖➖➖
🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌6⃣0⃣

*Kifaya Sharah Hidaya Hanafi Aur iman e Abu Talib*

Hidaya Ki Sharah Kifaya Mein Likha Gaya Hai “ Jab Abu Talib Ka inteqal Howa Hazrat Ali ؓ  Nabi Karim ﷺKe Paas Pahunche Aur Kaha Ya Rasul Rasul Allah Aapa Gumrah Chacha {Abu Talib} inteqal Kar Gaye Hain Nabi Karim ﷺNe Farmaya Jakar Uneh Gusul Kafan Dekar Dafan Kar Do

📗Kifaya Sharah Hidaya
📚 Vol 1
🗒Page 455

➖➖➖〰〰〰➖➖➖

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌6⃣1⃣

*Sufi Hazrat Ashraf e Simna Aur iman Abu Talib*


Hazrat Sufi Syed Ashraf Jahangir Simnani Kachawchavi رحمۃاللہ علیہNabi Karim ﷺ Ke Chachaun Ka Zikr Karte Howe Likhte Hain “ inmen Ek Abu Talib Thy jinka Naam Abde Munaf Tha Wo Nabi Ke Walid Abdullah Aur Aatiqa Ke Jinhau Ne Waqaya Badar Khawab Mein Dekha Tha Maa Jaye Bhai Thy Walida Ka Naam Fatima Binte Umra Tha Abu Talib Ne Halate Kufr Mein inteqal Kiya ,

📗Lataife Ashrafi
📚Vol 2
🗒Page 315

➖➖➖〰〰〰➖➖➖

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌6⃣2⃣

*Sarkar Ghause Aazam Aur iman Abu Talib*

Imam ul Sufiya Piran Peer Syedna Ghaus Al Aazam Dastagir Abdul Qadir Jilani Framate Hain “Jab Abu Talib Ki Maut Ka Waqat Qarib Aur Duniya Ko Chhurne Ke Lamahat Qarib Hogye Tu Nabi Karim ﷺ Abu Talib Ko iman wa Tahud Se Aarasta Karne Ke Liye Unke Paas Tashrif Le Gaye Aur Abu Talib Se irshad Farmaya Ke Aye ChaCha Ek Martaba  لا الہ الا اللہ Keh Dijiye Main Apne Rab Ki Bargah Mein isko Bataur Hujjat Pesh Karun Ga Aur Aapko Mushrakin Ki Saf Se Nikal Lun Ga  Abu Talib Ne Kaha Aye Mere Bhai Ke Bete Allah Ki Qasam Main Janta Hun  ke in Tamam Umor Men tu Sachcha Hai Jo Tu Ne Laya Hai Magar Main  لا الہ الا اللہ Kehne Ko Na Pasand Karta Hun Aur Maut Ke Waqat jaza Kiya jis Per Allah Ne Ye Aayat .. Nazil Farmai Aur Apne Habib ﷺKo Abu Talib Ki Magfirat Talab Karne Se Mana Farma Diya

📗Tafsir Jilani
📚 Vol 3
🗒 page 457

Sarkar Ghause Aazam Ki is Tafsir Se Pata Chalta Hai ke Sarkar Ghase Aazam Bhi Abu Talib Ke iman Qabul Na Karne Ka Mauqaf Rakhte Thy

➖➖➖〰〰〰➖➖➖


🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌6⃣3⃣

*Shaikhul islam Hazrat Anwar Ullah Faroqiرحمۃ اللہ علیہ Bani Jamia Nizamia Aur iman E Abu Talib*

Shaikhul islam Hazrat Anwar Ullah Faroqi Bani Jamia Nizamia Likhte Hain “ Sirat Nabawiya Mein Riwayat Hai Aanhazrat Fatah Makka Ke Roz Kabatullah Se Nikalakar Masjid haram Mein Maa Sahaba Tashrif Farma Thy Abubakar Uthy Aur Jakar Apne Walid Abu Qahafa Ka Hath Pakad Kar Hazrat ﷺKi Khidmat Mein wo Bahut Bodhe Aur Nabina Hogaye Thy Hazrat ﷺNe  Unko Farmaya  Ke Unko Ghar Hi Mein Kiyun na Rahne Diya Main Khud Unke Paas Jaata Hazrat Abubakar Ne Arz Ki Ya Rasol Allah Unko Huzori Khidmat Ka Sharf Hasil Karne Ki Zarorat Thi iske Baad Hazrat Abubakar Ne Apne Baap Ko Hazrat ﷺKe Rubaro Bithaya Aur Hazrat Ne Unke Seene Per Apna Daste Mubarak Pher Kar Farmaya Aslam Taslim Yaani islam Lawo Tu Salamat Raho Ge Chunanche Wo islam Laye Aur Hazrat ﷺNe Hazrat Abubakar ؓKo iski Mubarak Baad Di Unahun {Hazrat Abubakar Siddiq } Ne Arz Ki Ya Rasol Allah Qasam Hai us Zaat Ki Jisne Aapko Nabi Banaya Apne Baap Ke Musalman Hone Se Ziyada Tar Abu Talib Ke islam Se Meri Ankhon Ki Dhandak Hoti Kiyun Ke Abu Talib islam Laane Ki Ziyada Tar Aap Khawahish Thi

📗Maqasid Ul islam
📚 Vol 9
🗒 page 56

〰〰〰➖➖➖〰〰〰

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌6⃣4⃣
*Hazrat Shah Wali Ullah Muhaddis Dehlvi Aur iman e Abu Talib*

Hazrat Shah Wali Ullah Muaddis Dehlvi Huzoor Ke Chacha Aur Phopiyun Ke Tazkira Mein Likhte Hain “Huzor Ke Chacha Mein 1,ihraas 2,Qusem 3,Zuber 4,Hazmza 5,Abbas 6,Abu Talib 7,Abdul Kaaba 8,Hujal, 9,Ghidak 10,Abu lahab 11,Mugera Gayara ChaCha Thy Aur 6 Phppiyan  1,Sufiya 2 Aatiqa 3,Arwa 4,Umme  5,Bara 6,Umema Thin in Tamam Mein Se Sirf Hazrat Hamza Aur Hazrat Abbas Aur Sufia Teen Hazrat Musharraf Ba islam Howe

📗Surur ul Mahzoon
🗒 Page 20,21

Imam Ul Hind Hazrat Shah Wali Ullah Ke Nazdik Bhi Abu Talib Ka islam Sabit Nahi jiska Sabut Scan Page Mein Aapke Samne Maujod Hain

➖➖➖〰〰〰➖➖➖
🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌6⃣5⃣
*Hazrat Sufi Sharaf uddin Yahiya Maneri Aur Abu Talib Ka iman*

Hazrt Sufi Shraf Uddin Yahiya Maneri رحمۃ اللہ علیہke Malofaz Sharif  Mein Ek Majilis ke Zikr Mein  Likha  hai Hazrat Ki Ek  “Majlis Sharif Mein Zikr Aise Kuffare Arab Ka Aagay Jo Rasole Khuda Ko Paighambar Barhaq Jankar Bhi iman Na Laye Hazrat Makhdom Jahan Ne Farmaya Ke Ahle Arab Sardare Qaum Aur Maal Wa Daulat Wa Aabo Mein Yakta E Rozgaar Thy Aur Huzorﷺ Ki Pawarish Yatimi Ke Sabab Se Abu Talib Ne Ki Thi is Liye Wo Log Aapko Pos Palak Samjhte Thy Ek Be Maadar Pidar Aur Parwarda Abu Jante Thy Aisi Shakhsiat Ke Samne Sare Tasilm Kham Karna Unke Liye Aar Tha Dil Mein Paigambar Samjhne Per Bhi Zuban Per Baat Na Laate Thy Agar Zuban Per Late Hain Tu Phir iman Laane Mein Uzr Kahan Baqi Rah Jata Hai Aur iman Laaye Tu Aaba Wa Ajdad Ke Deen Se Phirna Padhta Ye Baat Unke Khayal Mein Bade Nang Wa Aar Ki Thi Ke Apne Ghar Ka Aziz{Apne Baap Dada Ke Deen} Phirade Aur Hum Phir Jayen ,Khud Abu Talib Ke Bare Mein Mash,hoor Hai Ke Huzoor Namaz Mein Thy Aur Ba Aawaz e Buland Quran Padh Rahe Thy Aur Abu Talib Aap Ke Piche Hath Baandhe Khade Thy Aur Zaaro Qataar Ro Rahe Thy Khuch Log Ye Haal Dekh Rahe Thy Un Logon Ne Pocha  Ke Jab Aisa Jante Ho Aur Dekhte Ho Tu Phir iman Kiyun Nahi ley Aate Unaho {abu Talib} Ne Jawab Diya Ke Nang Wa Aar Ki Waje Se Naar Yani Dozakh Hum Ne Qabol Kiya Hai

📗Maadan Ul Maani
🗒 Page 45,46

〰〰〰➖➖➖➖〰〰〰

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌6⃣6⃣
*Tareekh ibne Khaldon Aur iman e AbuTalib*


Tarikh ibne Khaldun Mein Likha Hai Ke “Dusre Din Phir Quresh Maa Ashab Ke Abu Talib Ke Paas Aaye Aur is Amr Ki Khawahish Ki Ke Huzoorﷺ ko Unke Mawajeh Mein Bulakar is Jadeed Fa,al Se Roken Aur Unse Bahas Na Karen Chunanche Huzor ﷺHasbe Talab Abu Talib is Majma Mein Tashrif laye Quresh Ne Apne Dalail Pesh kiye Huzor Ne Quran Ki Chand Aayat Padhkar irshad Farmaya Aye Chaha {Abu Talib} Main Ye Kaam Na Chhuron Ga Abu Talib Ye Sunkar Khamosh Horahe Quresh Ka Majma Muntashir Hogaya us Waqat Huzor ﷺNe Phir Abu Talib Se Mukhatib Hokar Dawate islam Di Lekin Abu Talib Ne Kaha Aye Biradar Zaade Jo Tumhare Wahi Mein Aaye Kaho Lekin Main Bakhuda Kabhi iman Na Lawon Ga Aur na Apne Aabai Deen Ko Tark Karun Ga

📗Tareekh ibne Khaldon
📚 Vol 1
🗒Page 44

〰〰〰➖➖➖➖〰〰〰

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌6⃣7⃣
*Tareekh Tibri Aur iman Abu Talib*


Muhammad Bin Jarir Tibri Likhte Hain “Rasol Allah Ne Allah Ke Farman Se وَ انۡطَلَقَ الْمَلَاُ مِنْہُمْ اَنِ امْشُوۡا وَ اصْبِرُوۡا عَلٰۤی اٰلِہَتِکُمْ ۚۖ اِنَّ ہٰذَا لَشَیۡءٌ یُّرَادُ ۚ
  Tak اِلَّا اخْتِلٰقٌ   Tilawat Farmai Aur Abu Talib Ko Dekha Abu Talib Ne Kaha Aye Mere Bhatije Tum inke Sath Khuch Ziyadati Nahi Ki is Per Huzor Ne Abu Talib Se Kaha  Aap Sirf لاالہ  الا اللہ Keh Do Main Qayamat Mein usper Tumhari Shahadat Dun Ga Abu Talib Ne Kaha Agar Mujhe Ye Andesha Na Hota Ke Arab Mujhko Taana Dain Ge Ke Maut Se Ghabra Kar Main Ne iqrar Kiya Hai Tu Main Zaror Tumhari DawatMaan Leta Magar Ab Tu Apne Buzurgaun Ki Millat Per Jaan Deta Hun is Mauqa Per Ye Aayat Nazil Howi
انک لاتھدی من احببت ولکن اللہ یھدی من یشاء

📗Tareekh Tibri
📚 Vol 2
🗒Page 73

〰〰〰〰➖➖〰〰〰〰
🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌6⃣8⃣
*imam ibne Aseer Jazri Aur iman e Abu Talib*


Imam ibne Aseer Jazzri Apni Tareekh Mein Likhte Hain “Phir Rasol Allah Apne ChaCha Ke Paas Aye Aur Kaha Ke Koi Aisa Kalima Kaho Ke Qayamat Mein Tumhare iman Ki Shahadat Dun {Abu Talib Ne } Kaha Mujhe Arab Log Bura Kahen Ge Aur kahen Ge Ke Maut Ke Waqat Dar Gaya Agar Ye Baat Na Hoti Tu Zaror Jo Aap Kehte Hain  Wo Keh Deta Lekin Ab Tu Main Millat Ashiyakh  Per Hun is Per Ye Aayat Nazil Howi انک لاتھدی من احببت ولکن اللہ یھدی من یشاء

📗Tareekh E Kamil ibne Aseer Jazri
📚Vol 6
🗒Page 109

➖➖➖➖〰〰〰➖➖➖

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌6⃣9⃣
*Tabqat ibne sa.ad Aur iman Abu Talib*


Imam Mohammad Bi Sa,ad Wafat  230 Hijri Apni Kitab Mein Riwayat Naqal Farate Hain “ibne Shohab Se Riwayat Hai Ke Uneh Ali Bin Hussain Ne Khabar Di Ke Rasol Allah Ke Ahad Mein Abu Talib Ne Wafat Paai Tu Jafar {bin Abu Talib Ko Unka Abu Talib Ka} Warsa Wa Tarka Na  Mila Balki Talib Wa Aqeel {Farzandane Abu Talib } Unke Waris Howe  is ka Sabab Ye Tha Ke Na Musalman Kafir Ka Waris Ho Sakta Hai Aur Na Kafir Musalman Ka  {Waris Hosakta Hai}

📗Tabqat ibne Sa,ad
📚Vol 1
🗒Page 142

➖➖➖➖〰〰〰➖➖➖➖


🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌7⃣0⃣
*imam ibne Rushd Aur iman Abu Talib*

Imam ibne Rushd Apni Kitab Bidayatul Mujtahid Mein Likhte Hain
وَأَمَّا غُسْلُ الْمُسْلِمِ الْكَافِرَ فَكَانَ مَالِكٌ يَقُولُ: لَا يُغَسِّلُ الْمُسْلِمُ وَالِدَهُ الْكَافِرَ وَلَا يَقْبُرُهُ، إِلَّا أَنْ يَخَافَ ضَيَاعَهُ فَيُوَارِيَهُ. وَقَالَ الشَّافِعِيُّ: لَا بَأْسَ بِغَسْلِ الْمُسْلِمِ قَرَابَتَهُ مِنَ الْمُشْرِكِينَ وَدَفْنِهِمْ، وَبِهِ قَالَ أَبُو ثَوْرٍ وَأَبُو حَنِيفَةَ وَأَصْحَابُهُ. قَالَ أَبُو بَكْرِ بْنُ الْمُنْذِرِ: لَيْسَ فِي غُسْلِ الْمَيِّتِ الْمُشْرِكِ سُنَّةٌ تُتَّبَعُ، وَقَدْ رُوِيَ: «أَنَّ النَّبِيَّ - عَلَيْهِ الصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ - أَمَرَ بِغُسْلِ عَمِّهِ لَمَّا مَاتَ»
 “Kafir Wa Mushrik Ko Ghusal Dene Ke Silsile Mein imam Malik Farmate Hain Ke Musalman Apne Walid Kafir Ko Gusual Nahi De Ga Aur Na Qabar Mein Dafan Kare Ga Siwaye us Lash Ke zayad Hone Ka Andesha Ho Tu Usko Mitti Ke Niche Chupa De imam Shafai Farmate Hain Ke Koi Harj Nahi Ke Muasalman Apne Rishtedar Ko Gusal de Aur Dafan Kare Yahi Mauqaf imam Abu Saur imam Aazam Abu Hanifa Aur Unke Ashab Ka Maslam Hai Abubakr Munzari Kehte Hain Mushrik  Ki Maiyat Ko Gusal Dena Sunnat Se Sabit Nahi Hai Jiski Pairwi ki Jaye Riwayatun Mein Aata hai Jab Nabi Karim ﷺKe ChaCha {Abu Talib} Ka inteqal HoGaya Tu Aapne Uneh Gusal Dene Ka Hukam Diya

📗Bidayatul Mujtahid
📚Vol 1
🗒 Page 519

➖➖➖➖〰〰〰➖➖➖➖
🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌7⃣1⃣
*Tareekh ibne Kasir Aur iman e Abu Talib*

 Ibne Kasir Abu Talib Ki Wafat Ke Zikr Mein Likha Nasai Ne Muhammad  Bin Musanna Munzar Aur Shoyeba  Se Riwayat Ki Hai Aur Yahi Riwayat Abu Dawod Aur Nasai Ne Sufiyan Ki Hadees Ke Taur Per Abu ishaq Najiya Aur Hazrat Ali ؓرضی اللہ عنہKe Hawale Se Bayan Ki Hai Ke Jab Abu Talib Ki Wafat Howi Tu Hazrat Aliرضی اللہ عنہ ؓNe Rasol Allah ﷺSe jaakar Arz Kiya  “Aap Ke Chacha Ka inteqal Hogaya Hai Magar Wo Gumrahi Per Thy is Liye Ab Unke Paas Kaun Rahe Ga ? Is Per Nabi Karim Ne irshad Farmaya “jawo Tum Unke Pas Raho Aur Jab Tak Phir Mere Paas Na Awo Kisi Se khuch Na Kehna”

📗Al Bidaya Wa Nihaya
📚Vol 2
🗒page 125
1

➖➖➖➖〰〰〰➖➖➖➖


🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌7⃣2⃣
*imam Ghazali Aur iman Abu Talib*

. Hujatul islam Hazrat imam Gazali Likhte Hain “Abu Talib Khilaf e Marzi Shirk Per Qayam Rahe aur Apne Aaba Ke Deen Se Chimte Rahe Unka Saya e Atifat Zahir hai Ke Wo Apne Bhatije Per Meharban Thy

📗Fiqus Sirat
🗒page 103

〰〰〰➖➖➖➖〰〰〰

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌7⃣3⃣
*Abdurrahman ibne Khaldon Aur iman Abu Talib*

Ibne Khaldon Riwayat Likhte Hain “Dusre Qabilaye Quresh Ke Log Phir ineh Logon Ke Sath Aadamke Abu Talib Ke Paas Aakar is Baat Ki Khwahish Zahir Ki Ke Abu Talib Huzor Akram KoUnke Samne Bulakar is Dawate islam Ke Kaam Se Roken Aur Un se Bahas Wa Mubahisa Na Karen Chunanche Huzor Akram Abu Talib Ke Bulane Per Un Logon Ke Darmiyan Tashrif Laye Quresh Ke Logon Ne Marozaat Pesh Keen Huzor Akaram NeQuran Ki Chand Aayat Padh Kar Farmaya
یا عماہ لا اترک ھذا لا مرحتی یظہر اللہ او اھلک فیہ
Chacha Main Ye Amr Nahi Chhuron Ga Jab Tak Allah ise Galib Na Karde Ya Main is Raah Mein Maar Diya Na Jaun Ga, Abu Talib Ne Jawab Diya Aye Mere Bhatije Jo Tumhare Man Mein Aaye Karo Lekin Khda Ki Qasam Main Kabhi iman Nahi Laun Ga Aur Apne Aaba Wa Ajdad Ke Deen Ko Na Chhuron Ga

📗Seerat Un Nabi ibne Khuldon
🗒Page 64,65


〰〰〰〰➖➖➖〰〰〰〰

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌7⃣4⃣
*imam Badruddin Ayeni Aur iman Abu Talib*

 “in Sab Ahadeeson Se Zahir Ke Abu Talib Ki Maut Gair
islam Per Howi Agar Tu Kahe Ke Soheli Ne Zikr Kiya Hai Ke Unaho Ne Masoodi Ki Kisi Kitab Mein  Dekha Hai Ke Abu Talib islam Le Aaye Thy Main {Allama Ayeni} Kahon Ga Aisi Be Saro Paa Hikayat Ahadees  Saheeh Bukhari  Ki Muariz [Barabar]Nahi Ho Sakti

📗Umadatul Qari Sharah Bukhari
📚vol 17
🗒page 18


➖➖➖〰〰〰〰➖➖➖

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌7⃣5⃣
*Iman e Abu Talib Allama Alauddin Muttaqi ki Nazar Mein*

Allama Alauddin Muttaqi Apni Kitab Kanzul Ummal Mein Abu Nuaim Ke Hawale Se Riwayat Naqal
Farmate Hain Ke
انت مشيئة الله عز وجل في إسلام عمي العباس ومشيئتي في إسلام عمي أبي طالب فغلبت مشيئة الله مشيئتي." أبو نعيم - عن علي
Ameer ul Mominin Hazrat Se Rawi Rasol Allah Ne Farmaya Allah Ne Mere ChaCha Abbas Ka Musalman Hona Chaha Aur Meri Khawahish Ye Thi Ke Mera ChaCha Abu Talib Musalman Ho Allah Ka irada Meri Khawahish Per Ghalib Aaya Ke Abu Talib Kafir Rahe

📗Kanz ul Ummal
📚vol 2
🗒Page 152

➖➖➖〰〰〰〰➖➖➖

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌7⃣6⃣
*ibne ishaq Aur iman E Abu Talib*

Ibne ishaq apni Kitab Mein Riwayat Naql Farmate Hain
ونس عن يونس بن عمرو عن أبي السفيان سعيد بن أحمد الثوري قال:
بعث أبو طالب إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم فقال: أطعمني من عنب جنتك، وابو بكر الصديق جالس عند رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال أبو بكر: «إِنَّ اللَّهَ حَرَّمَهُما عَلَى الْكافِرِينَ»
 “Abu Talib Ne Huzoor  ﷺ Se Arz kar Bheja Ke Mujhe Apni Jannat Ke Angor Khilaeye  is Per Harat Abubakr Siddiq ؓNe Farmaya Be Shak Allah Ne ineeh {Jannat Ki Nematon ko} Kafiron Per Haram Kiya Hai

📗Al Sair Wa Magaazi ibne ishaq
🗒Page 233


➖➖➖〰〰〰〰➖➖➖

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌7⃣7⃣
*Musnad e Abi Yaala Aur iman e Abu Talib*

Musnad Abi Yaala Men imam Hafiz Ahmed Bi Ali Basanad Sahih Riwayat Naqal Farmate Hain
حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ سَلَامٍ، حَدَّثَنَا إِبْرَاهِيمُ بْنُ طَهْمَانَ، عَنْ أَبِي إِسْحَاقَ الْهَمْدَانِيِّ، عَنْ نَاجِيَةَ بْنِ كَعْبٍ، عَنْ عَلِيِّ بْنِ أَبِي طَالِبٍ، قَالَ: لَمَّا مَاتَ أَبُو طَالِبٍ، أَتَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقُلْتُ: إِنَّ عَمَّكَ الشَّيْخَ الضَّالَّ مَاتَ، فَقَالَ: «اذْهَبْ فَوَارِهِ، وَلَا تُحْدِثَنَّ شَيْئًا حَتَّى تَأْتِيَنِي» ، فَفَعَلْتُ الَّذِي أَمَرَنِي بِهِ، ثُمَّ أَتَيْتُهُ، فَقَالَ لِي: «اغْتَسِلْ» ، وَعَلَّمَنِي دَعَوَاتٍ، هُنَّ أَحَبُّ إِلَيَّ مِنْ حُمْرِ النَّعَمِ
إسناده صحيح
“Hazrat Ali Farmate Hain Jab Abu Talib Ka inteqal Howa Tu Main Huzor Ke Paas Aaya Main Ne Arz Ki Aapka Bodha Gumrah ChaCha Faut Hogaye Hain Huzor Ne Farmaya Jawo Fauran Kisi Ko Na Batana Yahan Tak Ke Mere Paas Awo Main Ne Aise Hi Kiya Jo Mujhe Hukum Diya Gaya Tha Phir Main Huzor Ke Paas Aaya Tu Muhje Farmaya Gusul Do Aur Mujhe Duayen Sikhai Jo Mujhe Surkh Ont Sadqa Karne Se Ziyada Mehboob Hain

📗Musnad Abi Yaala
📚Vol 1
🗒Page 335



➖➖➖➖〰〰〰➖➖➖➖
🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌7⃣8⃣
*Musnad Tiyalisi Aur iman Abu Talib*


هimam Suleman Bin Dawod Apni Kitab Musanad Abi Dawod Tiyalasi Mein Riwayat Likhte Hain Ke
حَدَّثَنَا أَبُو دَاوُدَ قَالَ: حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، عَنْ أَبِي إِسْحَاقَ، قَالَ: سَمِعْتُ نَاجِيَةَ بْنَ كَعْبٍ، يَقُولُ: شَهِدْتُ عَلِيًّا رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ يَقُولُ: لَمَّا تُوُفِّيَ أَبِي أَتَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقُلْتُ: إِنَّ عَمَّكَ قَدْ تُوُفِّيَ قَالَ: «اذْهَبْ فَوَارِهِ» ، قُلْتُ: إِنَّهُ مَاتَ مُشْرِكًا، قَالَ: «اذْهَبْ فَوَارِهِ وَلَا تُحْدِثَنَّ شَيْئًا حَتَّى تَأْتِيَنِي» ، فَفَعَلْتُ ثُمَّ أَتَيْتُهُ فَأَمَرَنِي أَنْ أَغْتَسِلَ

 “ Hazrat Abu ishaq Farmate Hain Ke Main Ne Naajiya Bin Ka,,ab Ko Farmate Suna Main Hazrat Ali ؓKe Paas Maujod Tha Aap Farmate Hain Ke Jab Mere Walid {Abu Talib}  Ka inteqall Howa Tu Main Ne Rasol Allah ﷺKi Baragh Men Aaya  Aur Main Ne Arz Ki Huzor ﷺKe ChaCha  Faut  Ho Gaye Hain Aap ﷺNe Farmaya Unko Kisi Gadhe ein Chupa Do  Main {Hazrat Ali ؓ} Ne Arz Ki Huzor ﷺWo {Abu Talib}Shirk Ki Halat Mein inteqal Kiye Hain Aap ﷺNe Farmaya Jawo Unko Kisi Gadhe MMen Chupa Do Aur Kisi Ko is Ke Mutaliq Na Batana Yahan Tak Ke Mere Paas Aaye, Main {Hazrat Aliؓ} Ne Aisa Hi Kiya Phir Main Huzor ﷺKe Paas Aaya Tu Mujhe Gusul Karne Ka Hukam Diya

📗Musnad Abi Tiyalasi
📚Vol 1
🗒 Page 113


〰〰〰〰➖➖〰〰〰〰

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌7⃣9⃣
*Tareek e Khumais Aur iman Abu Talib*

Hazrat imam Diyaar Albukri Likhte Hain
والصحيح من الحديث قد أثبت لأبى طالب الوفاة على الكفر والشرك كما رويناه فى صحيح البخارى
“Sahih Hadees Se Abu Talib Ka Kufr Wa Shirk Per inteqal Karna Sabit Hai Jaisa Ke Sahih Bukhari Mein {Hadees} Maujod Hai

📗Tareekh Al Khumais

 📚Vol 1

🗒Page 300


➖➖➖〰〰〰〰➖➖➖
🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌8⃣0⃣
*imam Zarqaani Aur iman Abu Talib*

Hazrat imam Zarqani Mawahib Ul Ludiya Ki Sharah Mein Likhte Hain
 والقول بإسلام أبي طالب لا يصح.قال ابن عساكر وغيرہ
Abu Talib Ka islam Maanna Galat Hai imam ibne Asakir Wagera Ne iski Tasreeh Ki Hai

📗Sharah Zarqani

📚 Vol 4

🗒 Page 488


〰〰〰〰➖➖〰〰〰〰
🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌8⃣1⃣
*Tawarikh e Habib e ilah Aur iman Abu Talib*

Tawarikh e Habib e ilah Mein Mufti Muhammad iniyat Ahmed Likhte Hain “:Aap ﷺAbu Talib Ko Dawat Taraf islam Ke karte Thy Aur Ba Wasfe Aanke Unke Dil Mein Khoob Haqiqat Milat islam Ki Sabit Thi isliye  Ke Baap Dada Ke Mazhab   ko Chhur Deena Aaar Samjhte Thy Unaho Ne {Abu Talib Ne} islam Qabol na kiya Hatta Ke zamana Unki Maut Ka pahuncha Aapne ﷺKaha Chacha Ek Baar  لا الہ الااللہKehlo Mujhe Khudaye Taala Se Tumari Shifa,at Ka Thikana Ho  Abu Talib Ne Na Maana Aur Aar Beja Se Bachne Ko Naar {Jahannam }Ko ikhtiyar ki Sahih Bukhari Mein Hai Ke Aan Hazrat ﷺSe Pocha Ke Abu Talib Ko Khuch Aapse Nafa Howa Wo Aapki Bahut Himayat Karte Thy Aapn ﷺNe Kaha Ke Wo Takhno Tak Aag Mein Hai Aur Agar Main na Hota Wo Dozakh Ke Tale Darje Mein Hote……

📗Tawarikh Habib e ilah
🗒 Page 26


〰〰〰〰〰〰〰〰
🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌8⃣2⃣
*Allama Noor Baksh Aur iman Abu Talib*


Allama No Baksh Tawakali Likhte Hain “Bukhari Muslim Mein Hazrat Aabbas ؓNe Rasol Allahﷺ Se Arz Kiya Ke Abu Talib Aapki Mura,Aat Madad Kiya Karte Thy Aur Aap Ke Liye Naraz Howa Karte Thy Kiya Ye Amal Unko Fayeda De Ga? Aap ﷺNe Farmaya Haan Main Ne Uneeh Badi  Aag Mein Paya Pas Nikal Kar Thudi Aag Mein Kar Diya Jo Unke Takhno Tak Pahunchti Hai “
Ye Tu Azab Kabar Mein Takhfif Hai Qayamat Ko Bhi Unki Yahi Halat Hogi Chunanche Abu Sa.eid Khudri Se Riwayat Hai Ke Abu Talib Ka Zikr Aaya Tu Rasol Allah ﷺNe Farmaya  “Mujhe Umid Hai Qayamat Ko Meri Shifa<at Uneh Kaam De Gi Pas Unko Thudi Aag Mein Kar Diya Jaye Ga Jo Unke Takhno Tak Pahunche Gi Jisse Unka Dimagh Josh Khaye Ga”
Baaz Ulama Ne Khilaf E Hadees Sehah Abu Talib Ka iman Sabit Karne Ki Koshish Ki hai

📗Seerat Rasol Arabi
🗒 Page 62,63


〰〰〰➖➖➖➖〰〰〰

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌8⃣3⃣
*Allama Muhammad Hashim Thatwi Aur iman Abu Talib*

Hazrat Allama Hashim Thatwi رحمۃ اللہ علیہAllama Shami رحمۃ اللہ علیہKe Hawale Se Naqal Farmate Hain “Abu Talib Ki Wafat Hijrat Nabawi Se 3 Baras Qabal Aur Shoyeb E Abu Talib Se Bahar Aane Ke 28 Roz Baad Howi Bawaqt Wafat Abu Talib Ki Umar 80 Baras Se Khuch Zaayad Thi ...Ahle Sunnat Ke Nazdik Abu Talib Ka iman Laana Sabit Nahi

📗Bazlul Quwat Fi Hawadis e Sini Al Nabowat Urdu Tarjama Sirat Syed ul Ambiya

🗒 Page 118



➖➖➖〰〰〰〰➖➖➖

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌8⃣4⃣
*imam ibne battal Aur iman e Abu Talib*


Shareh Bukhari inbne Battal Farmate Hain
فيه الدليل على أن الله تعالى قد يعطى الكافر عوضًا من أعماله التى مثلها تكون قربة لأهل الإيمان بالله؛ لأنه عليه السلام أخبر أن عمه أبا طالب قد نفعته نصرته إياه وحياطته له أن يخفف

“Allah Kafiron Ko Bhi Us ke Aamal Ka Khuch  Ewaz Deta Hai Jo Ahle iman Karen  Tu Qurbe ilahi aayen Dekho Nabi ﷺNe Khabar Di Ke Huzor ﷺKe ChaCha {Abu Talib} Ko Huzor ﷺKi Khidmat Wa Himayat Ne Takhfife Azab Ka Fayeda Diya

📗Sharah Bukhari ibne Battal
📚Vol 9
🗒Page 356



➖➖➖➖〰〰〰➖➖➖➖

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌8⃣5⃣
*imam Kashghari Hanfi Aur iman Abu Talib*


Allama ibrahim Halbi Likhte Hain”Musalman Ka Koi Qaribi Kafir Rishtedar Mar Gaya Uska Kafiron Mein Koi  Waris Maujod Nahi Hai Tu Musalman Use Ghusal De Jaise Palid Kapde Ko Dhoya Jaata Hai Ek Kapde Mein Lapetey Aur Ek Ghada Khodkar Usmein Dal De Aur is Silsile Mein Sunnat Ka Lihaz Na Kare Kiyun Ke Marwi Hai Jab Abu Talib Ka inteqal Howa Tu Hazrat Ali ؓ Ne Aakar Kaha Ya Rasol Allah ﷺAake Gumrah ChaCha inteqal Kar Gaye

📗Ghuniyatul Mutmali Shrah Muniyatul Musalla {Makhtota}



➖➖➖➖〰〰〰➖➖➖➖
🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌8⃣6⃣
*Allama Sibban Misri Aur iman Abu Talib*

Allama Sibban Muhammad Bin Ali Misri Likhte Hain

اما اعمامہ صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم فاثنا عشرۃ حمزۃ العباس وھما المسلمان وابوطالب والصحیح انہ مات کافرا

” Huzor ﷺKe 12 ChaCha Thy Hazrat Hamza ؓWa Hazrat Abbas ؓYahi 2 Musharraf Ba islam Howe Aur Sahih Yahi Hai Ke Abu Talib Ki Maut Kufar Per Howi

📗Assaf  ur Raghibeen
🗒Page 34



➖➖➖➖〰〰〰➖➖➖➖

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌8⃣7⃣
*imam Shahabuddin Khiffaji Aur iman Abu Talib*


Imam Shahbuddin Kaffaji Likhte Hain

حنونہ علی النبی صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم و محبتہ لہ امر مشہور فی السیروکان یعظمہ ویعرف نبوتہ ولکن لم یوفقہ اﷲ للاسلام

 “Nabi Karim Ke Sath Abu Talib Ki Mehar Wa Mohabbat Mashhor Hai Aur Tazeem Wa Marfat Nabowat Malom Magar Allah Ne {Abu Talib Ko} Musalman Hone Ki Taufiq Na Di

📗Naseem Ur Riyaz
📚Vol 1
🗒 Page 334



➖➖➖➖〰〰〰➖➖➖➖

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌8⃣8⃣
*imam Tabrani Aur iman E Abu Talib*


Imam Tabrani Hadees Naqal Farmate Hain
حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ عَمْرٍو الْبَزَّارُ، ثنا إِسْحَاقُ بْنُ سَلْمَانَ الْقلوسيُّ، ثنا إِسْمَاعِيلُ بْنُ أَبَانَ، ثنا عُمَرُ بْنُ ثَابِتٍ، عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ مُحَمَّدِ بْنِ عَقِيلٍ، عَنْ أَبِي بَكْرِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ الْحَارِثِ بْنِ هِشَامٍ، عَنْ أُمِّ سَلَمَةَ، أَنَّ الْحَارِثَ بْنَ هِشَامٍ أَتَى النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَامَ حَجَّةِ الْوَدَاعِ، فَقَالَ: يَا رَسُولَ اللهِ إِنِّي كُنْتُ عَلَى صِلَةِ الرَّحِمِ وَالْإِحْسَانِ إِلَى الْجَارِ وإِيواءِ الْيَتِيمِ وَإِطْعَامِ الضَّيْفِ وَإِطْعَامِ الْمَسَاكِينِ وَكُلُّ هَذَا قَدْ كَانَ يَفْعَلُهُ هِشَامُ بْنُ الْمُغِيرَةِ، فَمَا ظَنُّكَ بِهِ أَيْ رَسُولُ اللهِ؟، فَقَالَ: «كُلُّ قَبْرٍ لَا يَشْهَدُ صَاحِبُهُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ فَهُوَ جَذْوَةٌ مِنَ النَّارِ، وَقَدْ وَجَدْتُ عَمِّي أَبَا طَالِبٍ فِي طَمْطَامٍ مِنَ النَّارِ فَأَخْرَجَهُ اللهُ بِمَكَانِهِ مِنِّي وَإِحْسَانِهِ إِلَيَّ فَجَعَلَهُ فِي ضَحْضَاحٍ مِنَ النَّارِ»
 “Hazrat Umme Salma ؓSe Riwayat Hai Hazrat Haaris Bin Hishsham ؓNe Hajjatul Wada Huzor ﷺSe Arz Ki Ya Rasol Allahﷺ Main in Baton Per Amal Karta Hun Rishtedaron Se Nek Salok Hamsaya Se Acha Bartawo Yatim Ko Jaga Dena Mehman Ko Mehmani Dena Mohtaj Ko Khana Khilana Aur Mere Walid Hishsham Bhi Ye Sab Karte The Huzorﷺ Ka Unki Nisbat Kya Gumaan Hai? Huzorﷺ Ne Farmaya Jo Qabar Bane Jiska Murda لا الہ الا اللہ Na Manta Ho Wo Dozakh Ka Angara Hai Main Ne Khud Apne ChaCha Abu Talib Ko Sar Se Unchi Aag Mein Paya Meri Qarabat Wa Khidmat Ke Ba,es Allah Ne Uneh Wahan Se Nikal Kar Pairon Paaun Tak Aag Mein Kardiya Hai

📗Al Muajjam Ul Kabeer
📚 Vol 23
🗒Page 405



➖➖➖➖〰〰〰➖➖➖➖

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌8⃣9⃣
*imam Torpushti Aur iman Abu Talib*

Imam Torpushti Shia Nazariye Ka Rad Karte Howe  Likhte Hain “ Hadees Sahih Mein Waarid Hai Ke Aanhazrat ﷺNe Farmaya اھون اھل النار عذاب ابی طالب وھو متفل نعلین یقلی منھا و دماغہ. Yaani Sabse Halka Azab Abu Talib Ka Hai Wo Aag Ke Jote Pehne Howe Hai Jiski Garmi Se Us Ka Dimagh Khaulta Hai Aur AanHazratﷺ Ne Farmaya یا عمہ قل لا الہ الا اللہ کلمۃ احاج بھا عنک نابی ان یقول لا الہ الا اللہ yani Aye ChaCha لا الہ الا اللہ  Kehdey Main Kalme Ke Zariye Teri Janib Se Khuda Per Hujjat Karun Ga Tu Abu Talib Ne لا الہ الا اللہ  Kehne inkar Kiya Aur Marte Waqat Kaha Main Apne Baap Abdul Mutalib Ke Deen Per Marta Hun Aur hadees Mein Hai Ke Jab Abu Talib Ne Wafat Pai Tu Hazrat Ali ؓAnhazratﷺ Ki Khidmat Mein Aye Aur Kehne Lage  Ya Rasol Allah ان عمک  الضال قدمات  Yani Aapka Gumrah ChaCha Margaya Aap ﷺ Ne Farmaya اذھب فوارھYani Jawo Usko Dafan Kar Do Aur Aima E Mujtahidin Khosusan Janab Abu Hanifa ؓAur Shafai Ne Jawaz Dafan Kafir Ke Bab Mein Dafan Abu Talib Per Tamasak Kiya Hai Aur is Masla Mein Bhi Kafir Ki Miras Muslaman Ko Nahi pahunchti Hadees Abu Talib Se istadlal Kiya Hai Ke Abu Talib Ke Char Bete Thy Talib.Aqil.Jafar aur Ali Abu Talib Ki Miras Talib Wa Aqil Ko Pahunchi Jo Baap Ke Tarik Per Kafir Thy Aur Jafarؓ Wa Ali ؓKo Nahi Pahunchi Ke Ye Dono Musalman Thy Abu Talib Ka Kufr Ummat Mein Hade Tawatur Ko Pahunch Gaya Hai Agar Koi Jahil Enaad Wa Tasub Ki Raah Se Abu Talib Ke iman Ka Daawa Kare Tu  Uske Qaul Ka Rad Wajib Hai Aur Ahle islam Per Wajib Hai

📗Aqaid Torpushti
🗒 Page 304,305



➖➖➖➖〰〰〰➖➖➖➖

🇶‌🇮‌🇸‌🇹‌9⃣0⃣
*Riwayat ibne ishaq Aur imane Abu Talib*

Shia Aur Baaz Log Abu Talib Ke iman Laane per ibne ishaq Ki Riwayat Pesh Karte Hain Hazrat imam Zarqani ibne ishaq Ki Riwayat Ke Taluk Se Bukhari Sharif Ki Hadees likhte Hain
زاد في رواية: "ولولا أنا لكان في الدرك الأسفل من النار"، وصريح هذا الحديث أنه خفف عنه عذاب القبر في الدنيا، كما يومئ إليه كلام الحافظ ويوم القيامة يكون في ضحضاح أيضا؛ كما في الحديث الآتي، ففي سؤال العباس عن حاله دليل على ضعف رواية ابن إسحاق؛ لأنه كانت تلك الشهادة عنده لم يسأل لعلمه بحاله
 Ke Hazrat Abbas  Ne”Nabi Karim ﷺSe Pocha Gaya Ke Apne Chacha {Abu Talib} Ko Aap Ne Kya Nafa Pahunchaya Jabke Wo Aap Ki Himayat Kiya Karte Aur Aap Ki Khatir Logon Ka Ghussa Mol Liya karte Thy? Huzoor Ne irshad Farmaya Ab Wo Sirf Takhnon Tak Aag Mein hain Aur Agar Main {Darmiyan Mein} Na HOta Tu Wo {Abu Talib} Jahnam Ke Sabse Nichle Tabqe Mein Hote{Bukhari} Hazrat Abbas Ka Abu Talib Ke Taluk Se Huzor ﷺSe Sawal Karna ibne ishaq Ki Riwayat Ke  Zaif Hone Per Dalil Hai Kyun Ke Agar Abu Talib Ne Hazrat Abbas Ke Nazdik Kalima e Shahadat Padh Liya Tha Tu Wo Ye Sawal Hi Na Karte isliye Ki Unko uska Haal Malom Hota

📗Sharah imam Zarqani
📚 Vol 2
🗒Page 43



➖➖➖➖〰〰〰➖➖➖➖


*Hazrat Nizam uddin Chishti رحمة الله علیه  Ke Nazdik Abu Talib Ka khatma Kufr per Howa*
*Qist9⃣1⃣*

Hindustan Ke Azim Mubaligh Aur Sufi e Aazam Hazrat Nizam Uddin Mehbob e ilahi Chshti رحمۃ اللہ علیہ Ke Malfozat Sharif Fawaid Ul Fawad Mein Hai “Hazrat Nizam Ud Din Mehbob e ilahi  رحمۃ اللہ علیہ Ne irshad Farmaya Ke Wo {Abu Talib } Bimar Howe Tu Mustafa  ﷺ Unke  {Abu Talib Ke}  Qarib Tashrif Le Gaye Aur Farmaya Ke Aap  Ek Dafa Haq Ta,,ala Ki Wahdaniyat Ka iqrar Kar Leen Chahe Zuban Se Chahe Dil Se Taa Ke Main Khuda Ke Samne Dalil Ke Taur Per Arz Karun Ke ilahi Wo iman Le Aaye Thy ,HarChand  Rasol Allah ﷺNe Ye Baat Kahi Lekin  Khuch Asar na Howa isi Tarah Kufr Ki Halatt Mein inteqal Kiya Chunanche Ameer Ul Mominin Ali ؓNe Unke  inteqal Ki Khabar Rasol Allah ﷺKo in Alfaz Mein Sunai عمک الضال مات Yani Aap Ke Gumrah Chacha Ne Wafat Pai Uske Baad Rasol Alehsalam Ne Farmaya Ke Uneh Gusol Dain Aur Kafan Mein Lapeten  Aur Be Lahad Ki Qabar Khoden Aur Unko Uper Se Qabar Mein Daal Dain Yaani Riwaji Tadfin Na Ho

📙Fawaid Ul Fawad Urdu
 Mutarjim Khawaja Hasan Nizami
🗞 Page 314

==~=~====~~===~

*iman e Abu Talib Hazrat Daata Ganj Baksh Hajweri رحمة الله علیه  ki Nazar Mein*
*Qist9⃣2⃣*

Hindustan Ke Raja Ahle Sunnat Ke Khawaja Garib Nawaz ؓ رحمتہ الله علیہHazrat Data Ganj Baksh Ali Hajweri ؓرحمۃ اللہ علیه Ke Taluk Se irshad Farmate Hain

گنج بخش فیض عالم مظہر نور خدا
 ناقصاں را پیر کامل  کاملاں را رہنما

Ab Aayen Hazrat Data Ganjbaksh Ali Hajweri ؓعلیہ الرحمہ Abu Talib Ke iman Ke Taluk Se kya isrhsd Farma Rahe Hain Usse Baghaur Mulaheza Karen Hazrat Likhte Hain “ istadlal Mein Abu Talib Se Badh Kar Kaun Tha Aur Huzor Akaram ﷺ Ki Zaat E Girami Se Badi Dalil Aur Kaun Si Ho Sakti Thi Lekin Abu Talib Ke Liye Chunke Badbakhti Ka Hukam Jaari Ho Chuka Tha {Taufiq e ilahi Unke Muqaddar Mein Na Thi} is Liye{ Aur Tu Aur} Khud Huzor Ki Dalil Wa Rahnumai Bhi us { Abu Talib} Ke Liye Sood Mand Sabit Na Ho saki

📗Kashful Mehjoob
📖Page 432


➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

*Chisti imam Aur iman Abu Talib*
*Qist9⃣3⃣*

Hazrat Ameer Khusro رحمۃ اللہ علیہ Afzalul Fawaid Mein Hazrat Nizam Uddin Mehboob e ilahi ؓرحمۃ اللہ علیہKa Malfoz Sharif Lkhte Hain “Phir Khawaja Sahab Ne Farmaya Ke Abu Talib Ne Jo Khuch Mumkin Tha Kiya Lekin Chunke Unki Qismat Mein islam Na Tha is Liye is Nemat Se Mehrom Raha  ….. Baade izaan Farmaya Ke ibteda Mein janab Rasol Allah Ne Behtare Koshish Ki Ke Abu talib islam Laayen Lekin Chun Ke Allah Ki Marzi Na Thi Wo Koshish Be Faida Gai Chunanche KKehte Hain Ke Ek Roz Aan Janab ﷺKi Mulaqat Ek Kocha Mein Abu talib Se Howi Tu Farmaya Ke Aye Chacha Ek Martaba Meri Paighambari Ka iqrar Karen Taa Ke Qayamat Ke Din  Dozakh Se Aap Ki Rihai Ki Dalil Mere Paas Ho Jaye Abu Talib Ne Bahtare Koshish Ki Ke Kahe Lekin  Na Keh saka Aur kaha Ke Aye Jaane Gham main Kalima Taiyab Kehna Chahta Hun Tu Lakhon Taale Mere Moon Per Lag Jaate Hain Jinki Girani Ki Waje Se Main Nahi Keh Sakta

📗Hasht Bahisht( Afzalul Fawaid )

📖Page 96}

📍📍📍📍📍📍📍📍

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖


*Hazrat Khwaja Suleman Taunvi Aur iman Abu Talib*
*Qist9⃣4⃣*

Hazrat Khawaja Suleman Taunsvi Farmate Hain “ Rasol Allah ﷺNe Bahut Koshish ki Ke Abu Talib iman Le Aaye Aur Abu Talib Se Farmaya Ke Mere Kaan Mein Keh Do Ke Aap ﷺPaighambar e Haq Hain Main Qayamat Ke Din Tumhara Ek Hi Gawah Tumhare iman Ke Liye Kaafi Hun Ga Abu Talib Ne Kaha Ke Mujhe Sharam Aaati Hai Ke Log Kahen Ge Apne Biradar Zaade Ka Taabe Hogaya Aur is Per iman Le Aaaya Main Ne is Aaar Ki Waje Se Dozakh Ko ikhtiyar Kiya

📗Tazkira Hazrat Khawaja Suleman Taunsvi
📖 Page 357

📗Naafe Us Salikeen
📖 Farsi Page 151

📍📍📍📍📍📍📍📍


➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖


*imam e Aazam Abu Hanifa Aur iman e Abu Talib*
*Qist9⃣5⃣*

".Hazrat imam E Aazam Abu Hanifa Fiqah Akber Mein Tahrir Far,ate Hain
ووالدارسولﷺ ماتا علی الفطرۃ و ابوطالب عمہ مات کافرا
“Aur Walidain Huzor ﷺ Ke Fitrat {islam} per inteqal Farmaye Aur Chacha Abu Talib ka inteqal Kufar Per Howa  

Fiqah Akber 
page 15 


➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖


*Hazrat imam Yusuf Shami Aur iman Abu Talib*
*Qist9⃣6⃣*
Hazarat imam Muhammad Bin Yusuf Shami Likhte Hain “Agar Abu Talib Ne Kalma Padha Hota Tu Allah Apne Nabi Karim Ko Unke Liye Magfirat Talab Karne Se Na Rokta Abdurrazak Faryabi Aur imam Haakim Ne Hazrat ibne Abbas Se Riwayat Kiya hai ke Ye Aayat Abu Talib Ke Baare Mein Nazil Howi
 وَ ہُمْ یَنْہَوْنَ عَنْہُ وَ یَنْـَٔوْنَ عَنْہُ ۚ وَ اِنۡ یُّہۡلِکُوۡنَ اِلَّاۤ اَنۡفُسَہُمْ وَ مَا یَشْعُرُوۡنَ ﴿۲۶
Aur wo use Rokte Hain Aur us se Door Bhagte Hain Aur Halak Nahi Karte Magar Apni Jaano Ko Aur Une Shaor nahi
Abu Talib Mushrikin Ko Rokte Thy Ke  {Mushrikin Makka} Huzoor ﷺKo Aziyat Na Dain Lekin Huzoor Ke Paigham E Ha Se {abu Talib }Door Thy imam Ahmad ,,imam Abu Dawod imam ibne Khuzaima Ne Apni Sahih Mein Hazrat Ali ؓSe Riwayat Kiya Hai Ke Jab Abu Talib Ki Rooh Parwaz Kar Gai Tu Main Bargahe Risalat ﷺMein Hazir Howa Main Ne Arz Ki Ya Rasol Allah ﷺAapke Chcha Ka inteqal Hogaya Hai Aap ﷺNe Farmaya “Jawo Uneh Dafan Kar Do Unaho Ne Farmaya Jab Main Ne Uneh {Abu Talib Ko} Dafan Kardiya Tu Main Baargahe Risalat Mein Hazir Hogaya Aap Ne Farmaya Gusul Karo “ is Se wo Nazariya Bhi Batil Hogaya Jise Maurikh Masodi Ne Zikar Kiya Hai Ke Abu Talib iman Le Aaye Thy Lekin ye mauqaf Sahih Ahadis Ke Muqabile Mein Nahi Aasakta

📗Sublul Huda wa irshad
 📚Vol 2
📖page 950 '951


➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖


*iman e Abu Talib Aur Mishkat sharif ki Sahih Hadees*
*Qist9⃣7⃣*

Mishkat Sharif Mein Hazrat imBam Wali Uddin Khatib Hadees Sharif Naqal Farmate hain
عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «إِنَّ أَهْوَنَ أَهْلِ النَّارِ عَذَابًا أَبُو طَالِبٍ وَهُوَ مُنْتَعِلٌ بِنَعْلَيْنِ يغلي مِنْهُمَا دماغه
 “ Hazrat ibne Abbas Se Riwayat Hai Ke Rasol Allah Ne Farmaya Jahanamiyaun Mein Sab Se Kam Azab Abu Talib Ko Hoga Wo Do Jutey Pehne Howe Hun Ge Jin Se Un Ka Dimagh Khaul Raha Hoga

📗Mishkat Sharif
📚Vol 3
📖Page 98

*Ahle Sunnat Ke Nazdik Abu Talib Ka iman Sabit Nahi*


➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*Qist9⃣8⃣*

Hakim Ul Ummat Hazrat Mufti Ahmed Yaar Khan Naimi رحمۃ اللہ علیہLikhte Hain”Ahle sunnat Ke Nazdik Abu Talib Ka iman Sabit Nahi Hai Mirat ul Minajih Vol 7 Page 223 Phir isi Jild Mein Ek Jaga Aur Farmate Hain “Abu Talib Agarche Musalman Na Bane Magar Unaho Ne Huzor ﷺKi Bahut  Hi Khidmar Ki Hatta Ke Huzor Anwar ﷺNe Apni Yatimi Ka Zamana Abdul Mutallib Ke Baad ineh Ke Paas Guzara Rab Ne Farmaya الم یجدک یتیما فاویKe Natije Mein Unka Azab Halka Hoga Malom Howa Ke Huzor Ki Khidmat Wo Amal Hai Jo Kafiron Ke Bhi Kaam Aajata Hai Magar Bagair iman Laaye Jannat Ka Dakhila Muyassar Na Hoga

📗Mirat Ul Minajih Sharah Mishkat Ul Masabih
📚Vol 7
📖Page 407


➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

*Iman e abu talib Imam gazali ke nazdik*
*Qist9⃣9⃣*

Hazra Allama Abdul Mustafa Aazmi  رحمۃ اللہ علیہimam Ghazali رحمۃاللہ علیہ Ke Hawale Se Tahrir Farmate Hain Ke
“Dekho Huzorﷺ  Ko Abu Lahab Aur Abu Talib Ne Dekha Sohbat Bhi Uthai Qurbat Bhi Thi Magar in Dono Ko Khuch Nafa Nahi Pahuncha

📗Aayena e ibrat
📖Page 100


➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

*Abu Talib Ka islam laana sabit Nahi...Sahih ibne Habban*
*Qist1⃣0⃣0⃣*

Hazrat Musaiyab Se marwi Hai Ky Jab Abu Talib ki Maut Ka Waqat Qareeb Aaya Tu Huzoor ﷺ Unke Paas Tashrif Legaye Us Waqat Abu Talib Ke Paas Abujahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Baithe Howe Thy  Huzoor ﷺ Ne Farmaya Aye Chacha  لا الہ الا اللہ   keh Dein is Kalme Ki Badaulat Main Allah Ke Haan Aapki {Magfirat Ke Liye} Hujjat Pesh Karun Ga  Abu jahal Aur Abdullah Bin Abi Umaiya Kehne Lage  Aye Abu Talib Kya Tum Abdul Muttalib Ke Mazhab Se Eraaz Karo ge ? Abu Talib Ne Jawab Diya Ke Main  Millate Abdul Mutalib Per Qayam Hun Tu Huzoor ﷺ Ne Farmaya Mein Aapke  Liye Us Waqat Tak Astagfar Karta Rahun Ga Jab Tak Mujhe isse Mana Na Kardiya Jaaye Tu Us Waqat Ye Aayat Karima Nazil Howi
مَا کَانَ لِلنَّبِیِّ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَنۡ یَّسْتَغْفِرُوۡا لِلْمُشْرِکِیۡنَ

📗Sahih ibbne Habban
 📚Vol 2
📖Page 253


 ◾◾◾◾◾◾◾➖➖➖➖➖➖

*Dr Hamid Ullah Aur iman e Abu Talib*
*Qist1⃣0⃣1⃣*
Dr Hamidullah Jineh Suleh Kulli Wa Tafzilli Bahut Mante Hain Wo Apni Kitab Mein Likhte Hain “Ek Din Aan hazrat  ﷺNe Apne Rishte Daron Ko Jama Kar Ke Tabligh Ki Aur Kaha Ke Kon Hai Jo Musalman Ho ?Wo Mera Bhai Wasi {Nafiz Kunnda Wasiat} Aur Tum Mein Mera Khalifa {Nayab] Hoga ..Al Nasai Fi Khasais Ki Riwayyayat  Mein Jaisa Ke izalatul Khifa jild 2 page 282Mein Naqal Howa Alfaz Ye Thy Mera Ye Bhai Aur Sahab {Rafiq} Aur Tum Mein Mera Waris Hoga..Hazrat Ali Kehte Hain Kisi Ne {Abu Talib}  Bhi ise Qabul Karna Na Chaha Main Us Waqat Sabse Kamsin  Tha Meri AnkhonMein {Ashob e Chashm Ki Waje Se } Ziyada Gandgi Thi Aur Meri Pindliyan Sabse Ziyada Nahif Thin Main Utha Aur Bola Aye Allah Ke Nabi is Kaam Mein Aapka ﷺWazir {Bojh Uthane Mein Sharik} Rahun Ga is per Huzor ﷺNe  Meri garden Per Hath Rakha  Aur farmaya “Ye Mera Bhai Mera Wasi Aur Tum Mein Mera Khalifa Hai is Liye iski Baat Suno Aur iski ita,at Karo” is Per Hazarin Hansne Lage Aur kaha “Abu Talib {Mubarak Ho} Muhammad ﷺ Keh Rahe Hain Ke Ab Tumhe Bhi Apne Bete Ki Baat Sunni Aur Maanni Hogi is Tanz Ki Waje Se Abu Talib Ne islam Qabul Nahi Kiya

📗Hazrat Ali Bin Abi talib
📝 Page 4

Note
Mumkin Hai Sulleh Kulli wa Tafzilli is hawale per Ye Kahin ke Ye Dr Hamid ullah Sahab Ke Tafaruddat mein se hai Hun Nahi Mane Ge  Tu Hum is per Un Hazrat Se Kahin Ge Janab Bhale Hi Dr Hamid Ullah Sahab Ke Tafarudat Hun Magar Kiya Aap Dr Hamid ullah Sahab Per Bhi Laan Taan Gali Galoch Karna Pasand Karen Ge Jaise Aap Log Ulama e Ahle Sunnat Khususan Imam E Ahle Sunnat Imam Ahmed Raza khan Ke Taluk se Jo Gusatakhiyan Karte Hain Kiya Ab Aap Dr Hamid Ullah Sahab Ke Sath Bhi Yahi Khuc Karen Ge?


➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

*iman e Abu Talib Aur Ulama E Jamia Nizamiya Hyderabad*
*Qist1⃣0⃣2⃣*

Hazrat Shaikhul islam Anwar Ullah Faroqiرحمۃ اللہ علیہ  Bani Jamia Nizamiya Hyderabad  Ke Shagird Abdullah Shah Sahab Jo Deccan Mein Mohaddis e Daccan Ke Naam Se Bhi Maroof Hain Unki Kitab Zujajatul Masabih Hai Jiski Jild Number 10 Ka Tarjama Muhammad Khawaji Sharif Shaikhul Hadees Jamia Nizamia Hyerabad Ne Kiya Hai Muhaddis Daccan Bukhari Sharif Hadees Naqal Farmate Hain “Syedna Abdullah Bin Abbas Se Riwayat Hai Hazrat Rasol Allah ﷺNe irshad Farmaya Dozakhiyaun Mein Sabse Ziyada  Halke Azab Wale Abu Talib Hon Ge Jabkey Wo Do Joote Pehne Hun Ge Jiski Waje Se Unka Dimagh Khaul Raha Hoga

📒Noor ul Masabih Tarjaama Zujajatul Masabih
⏳ Vol 10
📋Page 239
Is Hadees Ki Tashrih Mein  Shaikhul Hadees Jamia Nizamiya  Hayerabad Khawaja Sharif Sahab  Likhte Hain
“{Dozakhiyaun ein Sab Se Ziyada Halke Azab Wale} Halka Pan Uske Uper Ke Azab Ki Ye Nisbat Hai Aur is Azab Mein Abu Talib Aur Dusre Mushtarik Hun Ge Jaisa Ke Guzishta Hadees Sharif Se Zahir Hai Aur Ho Sakta Hai Ke Abu Talib Ka Azab Digar Tamam Logon Ki Ye Nisbat Hala Hai Aur Ye Maana Ahle Sunnat Wa Jamat Ke Mazhab Ke Mutabiq Hai iske Khilaf Ek Hadees Riwayat Ki Jaati Hai Jo Zaif Hai {Lamat} Sahibe Mirqat Ne Kaha Ke Unke {Abu Talib Ke} Azab Mein is Takhfif Ki Gai Ke Unaho Ne Kuffar Ki Sakht Dushmani Se Huzor Akram Ki Himayat Ki Tu Jab Takhfif  Ki Jaye Gi Tu Pure Badle Ke Taur Per Takhfif Ki Jaye Gi

📙Noor Ul Masabih
⛓Vol 10
🗞Page 239

Wo Log Jo Apne Akabir Se Hat Kar Apna Mauqaf Rakhte Hain Aur iman e Abu Tallib Ke Mauzo Per imam Ahle Sunnat imam Ahmed Raza رحمۃ اللہ علیہ  Ko Apni Beja Tanqeed Ka Nishana Banate Hain Ab Wo Kya Kahen Ge Kya Ab Bhi Wahi Zuban istemal Karen Ge Jo Alahazrat Ke Taluk Se istemal Karte Hain Khuda Ke Bando  Kisi Aalim e Rabbani Ko Nishana Banane Se Pehle Ye Tu Dekh Liya Karo Ke Kahin is Mein Tumhara Apna  Hi Koi Buzurg Kahin Tumhari Tanqid ka Nishana Tu Nahi Ban Raha Hai .Allah Tala Aqle Salim Ata Farmaye

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

*Muhammad Swaleh sufi Aur iman Abu Talib*
*Qist1⃣0⃣3⃣*

Hazrat Maulana  Mohammad Swaleh Sufi Sahab Farmate Hain “ Aap ﷺDil Se Chahte Thy Ke kaash Abu Talib Musharaf Ba islam Hun Taa,key Akhirat Mein Unke Ehsanat Ki Talafi Allah Ki Taraf Ho sake Jo Unaho Ne Allah Ke Rasol Ke Sath Duniya Mein Kiye Hain Chunanche Aap Chacha Ke Paas iski Nazaa Ki Halat Mein Tashrif Legaye Aur Farmaya  Aye ChaCha Mujh Per Tumhara Haq Tamam Aadmiyaun Ke Haq Se Bahut Bada Hai Aur Tumhari Himayat Wa Ei,Aanat  Ka Hath Sabse Ziyada Hai Be Shak Mujh Per Aap Ka Haq Mere Baap Ke Haq Se Ziyada Hai  isliye Aap Apni Zuban Mubarak Se Ekbar Kalma E Shahada  لا الہ الا اللہ Padh Lijiye Taake Qayamat Ke Din Khuda Ke Saamne Shafaat Kar Sakun Abu Talib Ne Khuch Dair Sochne Ke Baad Jawab diya Ke Aye Bhatije Mujhe Tera Dil Khush Kar Dene  Mein Koi Taamul Na Tha Lekin Andesha Ye Hai Ke Zanan e Quresh  Mujh  Per Ta,,an Karen Gi Ke Abu Talib Maut Se dar Gaya  Aur Aakhri Waqat Mein Bhatije Ka Kalma Padh Liya Ye Kalimat Sunkar  Aap ﷺ Malol Hokar Uth Khade Howe Aur Abu Talib Ki Rooh 87 Saal Ki Umar Mein  Qufse Unsari Se parwaz Kar Gai  .Sahih Bukhari Mein Marwi hai Ke Kafiron Mein Sabse Kam Azab Abu Talib  Per Hai Ke Paaun Mein jahanam Ki Aag Ki Jutiyan Pehne Howe Hai Jiski Tapish Talwaun  Se Dimagh Tak Pahunchti  Aur Bheja Bhulas Deti Hai

📗Sawaneh Rasol E Maqbol  ﷺ
📋page 74,75


➖➖➖➖➖➖➖➡➡➡➡➡➡➖➖➖

1 comment:

  1. تفسیر روفی کا اگر پی ڈی ایف لنک ہے تو براہ کرم اس پر ای
    میل کر دیجیئے
    toobaa.elibrary@gmail.com

    ReplyDelete

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts