Hazrat Ameer muaviya Fazail wa Manaqib
QIST:- 1
*Fazai’ Wa Manaqib Hazrat Ameer Muaviya*
*Fazai’ Wa Manaqib Hazrat Ameer Muaviya*
*Bukhari Shareef vol 2 page 436*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QIST:- 2
*Fazai’ Wa Manaqib Hazrat Ameer Muaviya*
Firqa Minhajul Quran Kay Baani Dr Tahir ul Minhaji Nay Apni Ek Takrir Mein Kaha Ki kisi Muhaddis Nay Hazrat Ameer Muaviya Ki Fazilat mein Baab Nahi Bandha niche Jame Tirmizi ka Sacan pesh Kiya Gaya Hai Jismein Imam Tirmizi Nay Hazrat Ameer Muaviya Ki Fazilat Mein Baab Bandha Hai Lihaza Dr Tahir ul Minhaji Nay Kizb Bayani Say Kaam lekar Sunni Awam Ko Dhoka Dene ki koshish ki Hai Hai
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QIST:- 3
*Fazai’ Wa Manaqib Hazrat Ameer Muaviya*
Nabi Karim irshad Farmate Hain meri ummat mein say Jo giroh Sab Say Pahle Bahri Jihad Kare ga Un kay Liye Jannat Wajib Hogai bukhari sahrif vol 2 page107 Bukhari sharif Hi mein Dusri Jaga Riwayat Milti Hai ki sahaba kiram Nay Hazrat Ameer Muaviya Kay Sath milkar Sab Say pala Bahri Jihad kiya Bukhari sharif vol 2 page 66,67
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QIST:- 4
*Fazai’ Wa Manaqib Hazrat Ameer Muaviya*
Huzoorﷺ Nay Hazrat Ameer Muaviya kay LIye Dua farmai ki “ aye Allah is {Ameer muaviya} ko ilm Ata Farma isko Hidayat Ka Rasta Dikhane Wala Aur Hidayat Yaafta Bana Aur Isko Hidayat Ata Farma Aur Iskay Zariye Dusron Ko Hidayat Ata Farma
*{kanzul umal vol13 page 349}*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QIST:- 5
*Fazai’ Wa Manaqib Hazrat Ameer Muaviya*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QIST:- 6
*Fazai’ Wa Manaqib Hazrat Ameer Muaviya*
Baani Firqa Minhajul Quran Dr Tahir ul Minhaji Nay Apni Ek Takrir Mein Kaha Ki
kisi Muhaddis Nay Hazrat Ameer Muaviya Ki Fazilat mein Baab Nahi Bandha Dr Minhaji Sare Aam Jhot Kaha Hai jabki imam Ahmad Bin Hambal Nay Apni Kita Fazail Sahaba mein Fazail Hazrat Ameer Muaviya Ka Baab Bandha Hai Aur Imam Tirmizi Nay Jame Tirmizi Mein Hazrat Ameer Muaviya KI Fazilat Mein Baab Bandha Hai Lihaza Dr Tahir ul Minhaji Nay Kizb Bayani Say Kaam lekar Sunni Awam Ko Dhoka Diya Hai
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QIST:- 7
*Fazai’ Wa Manaqib Hazrat Ameer Muaviya*
{Al Muajjam ul Kabeer vol 19 page 439}
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QIST:- 8
*Fazai’ Wa Manaqib Hazrat Ameer Muaviya*
{Al Riyaz Ul Nazra Page 218}
is Hadees Ko Imam Ibne Hujar Haitmi Nay Apni Kitab Tathir ul Jinan mEin Bhi Naqal kiye Hain
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QIST:- 9
*Fazai’ Wa Manaqib Hazrat Ameer Muaviya*
*Al Mukhtar Fi Usol sunnah page 154)*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QIST:- 10
*Fazai’ Wa Manaqib Hazrat Ameer Muaviya*
Ki Arwa bi Roveem say kaha
Ek Airabi Nabi karim ﷺ kay paas aaya aur bola kay mujh say khushti lado Tu ussay Hazrat Ameer Muaviya Radi Allah Anha Nay kaha main Tujh say Khushti Ladta hun tu (isper) Nabi karim ﷺ Nay irshad Farnaya kay(Hazrat Ameer) Muaviya Kabhi Maglob Na hun gay chunancha Hazrat Ameer muaviya Nay us Airabi Ko pachad diya Jab Jange siffain Ho chuki Tu Hazrat Ali Radi Allah Anah Nay (Arwa say) kaha kay Agar tum is Hadees zikar Kar Detay Tu Main Muavuya radi allah anah say Jang Na karta
*izalatul khulafa vol 4 page 516*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QIST:- 11
*Fazai’ Wa Manaqib Hazrat Ameer Muaviya*
Hazrat Ali ki wafat aur imam Hasan ki khilafat say Daatbardari Kay baad Hazrat Ameer muawiya Kay liye khilafat Bilitefaq Sahih Sabit Hai Kiyun Kay Hazrat Hasan Radiallahuanha Nay khoon Rezi Say Bachaw Ki Maslihat Ko Madden Nazar Rakhtay howe Khilafat Hazrat Ameer Muaviya Kay Sapurd kardi Aur is Tarah Rasool Allah Ki Hazrat Hasan Kay Bare Mein Peshangoi Bhi Sahih Hogai Kay mera ye Beta Sardar Hai Aur Allah iskay Zariye 2 Jamaton mein Surah Farmaya Day Ga istarah Hazrat Hasan Radiallahuanha Ki Dastbardari Say Hazrat Ameer Muaviya Radiallahuanha ko Khilafat Tafweez Howi Aur is Saal Ka Naam Hi Aam ul Jamaa ( ijtema wa itefaq wala saal) Mashoor Hogaya Kiyun Kay is saal Tamam Sahaba Kay ikhilafat Kahatam hogaye Aur Sab Nay Hazrat Ameer Muaviya Radiallahuanha ko Khalifa Taslim Kar Liya Kiyun Kay is wafat (Hazrat Ameer Muaviya aur Hazrat imam Hasan Radiallahuanha Kay Alawa ) Koi Teesara Mudai Khilafat Nahi tha
MAZEED Aage Irshad Farmate Hain
*”Ahle sunnat Ka muttafiqa Faisal Hai kay sahaba Kiram Kay Bahami Ikhtelafat per Bahas Wa Mubahisa Na kiya Jaye unki Burai Say Zubane Rok li Jayen unaky Fazail Wa Mahasin Ka izhar Kiya Jaye jo Waqiyat Aur ikhtelafat Ronuma Howe Uneh Allah Kay Sapurd Kiya Jaaye jaisa kay Hazrat Ali Hazrat Talha Hazrat Zuber Hazrat Aaisha Hazrat Ameer muaviya Radi allah anha wagera kay ikhtelafat ka zikar kiya gaya hai*
*_Ghuniyat ul Talibeen _*
*Note* Sarkar Ghause Azam ki Talim tu ye Hai kay sahaba kay Apasi ikhtelafat mushjirat per Zuban band rakhi jaaye magar Afsos kay baaz log Sahaba kiram ko radi allah anah bhi kehte Hain Aur Unki Zaat per Aitraz Bhi kartay Hain Afos Hai Aise logon per Jamate Ahle sunnat Ki Rawish Say Hat kar Rafziyat Ki Taraf chal pade Hain
Allah Tala Hame Ghause Azam kay Rastay Per Chalne ki Taufiq Ata farmaye
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QIST:- 12
*Fazai’ Wa Manaqib Hazrat Ameer Muaviya*
*Huzoor ﷺ Hazrat jiril Alehsalam kay Mashware say Hazrat Ameer Muaviya ko Apna katinmb Banaya*
Ibne Kaseer Albadaya Wan Nahaya {Tareekh Ibne kaseer} Mein Riwayat Naqal Farmate Hain
Hazrat Ibne Abbas Bayan farmate hain Kay Jiril Alehsalam Rasol Allaﷺ Kay Paas Tashrif Laye Aur kaha Ya Rasool Allah ﷺ Muaviya Radi allah Anah Ko Salam Kahiye Aur Uneeh Bhlai Ki Wasiat kijiye Bila Shuba Wo Katib Aur Wahi Per Ameen Hain Aur Bahut Ache Ameen hain
Mazeed Aage Ek Aur Riwayat Ibne Asakir say naqal Karte hain Kay “Rasool Allahﷺ Nay hazrat Amer muaviya Ko Apna Katib Banane Kay Liye Hazrat Jiril Alehsalam Say Mashwara Kiya Tu Unhaun Nay kaha Uneeh Katib Bana Lijiye
*Tareekh Ibne Kaseer Vol 5 page 158*
Scan page
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QIST:- 13
*Fazai’ Wa Manaqib Hazrat Ameer Muaviya*
“Hazrat Ameer muaviya ki khilafat aur unka musalmano kay umoor ki Nigrani karna aur Khilafat Kay Taqazon Kay Mutabiq Tasarrif Karna Dusrust Tha Aur Ye sab Batain us Sulah Per Muratib Hoti Hain (Jo imam Hasan radi allah anah Aur Hazrat Ameer muaviya Radialla anah) Pas Us waqat Say Hazrat Ameer Muaviya Ki Khilafat Ka Saboot Ban Gaya Aur iskay Baad wo Imam Bar Haq Aur Sache imam Ban Gaye”
*Al Sawaiq Ul Muharriqa mutarjim page 721*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QIST:- 14
*Fazai’ Wa Manaqib Hazrat Ameer Muaviya*
imam ul Hind Hazrat Shah Wali Ullah Muhaddis Dehlvi Rahmatullaha Aleh Riwayat Naqal Farmatay Hain
Hazrat Ali shere Khuda Radi allah anah say Ahle jamal kay Taluk say Sawala kiya gaya
Kaha ki
*kiya wo Mushrik Hain ye log(yani Ahle jamal Hazrat Ameer muaviya aur unki Fauj)?*
Hazrat Ali radi Allah anah nay farmaya Ye log Shirk Say Bhagtay Hain
*Pocha gaya kiya Munafiq Hain Ye Log?*
(Hazrat Maula Ali nay farmaya) Munafiq Allah Ka zikr Nahi Kartay Magar Kam(yaani Ahle jamal tu Allah ka zikr Kasrat say karnay wale hain Munafiq tu zikr kartay hain magar bahut kam kartay hain)
*Pocha gaya Phir Ye Log Kiya Hain?*
Hazrat Ali Shere Khuda Nay irshad Farmaya *Ye Hamare Bhai Hain* unaho nay Hus say Bagawat ki Aur Hazrat Maula Ali nay Farmaya main Umeed Karta Hun Hum Misal Un Logon kay Ho Jaayen Gay jin Kay Bary mein Allah Tala ka farman Hai ونزعنا ما فى صدورهم
Aur jo khuch Unkay Dilon mein Gubar Tha Hum usko Door karen Dain gay ki Sab Bhai Bahi Ki Tarah (Ulfat wa Muhabbat) Say Rahen Gay
*izalatul Khifa Vol 4 page 522*
Scan page
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QIST:- 15
*Fazai’ Wa Manaqib Hazrat Ameer Muaviya*
imam Rabbani Hazrat Mujaddid Alfe Sani likhtay hain
Qazi Ayaz Nay kitab Shifa Mein Likha Hai imam Malik Farmatay Hain kay Jis Shaks Nay Huzoor ﷺ Kay Ashab Mein Say Kisi Ko Yani Hazrat Abubakar Hazrat Omer Hazrat Usman Hazrat Ameer muaviya aur Hazrat Umroo Bon Aas Razi allah Tala anahum Ko Gali Di kah ki wo kufr Aur Gumrahi Per Thy tu wo Wajib ul Qatal Hai Aur iskay Alawa Aur Koi Sab wa shatam ka lafaz istemal kiya jis Tarah Log Ek dusre Ko kahtay Hain Tu isko Sakht Saza di Jaaye
*maktobat imam Rabbani Daftar Awal Hissa Duam page 188*
Scan page
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Masha'Allah bohot khub Masha'Allah
ReplyDeleteBohot khub
ReplyDelete