Jiske Paas Sona Girvi Rakha Ho (Murtahin) Par Zakat Ka Hukm ?
*Jiske Paas Sona Girvi Rakha Ho (Murtahin) Par Zakat Ka Hukm ?*
*🌹SAWAL:-🌹*
Zaid Ne Agar Sona Girvi Rakha Kuch Raqam Ke Badle Bakar Ke Paas, Tab Bakar Par Us Sone Par Zakat Dena Hoga?
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Surat-E-Mas'Oola Mein Rehan (Girvi) Rakhe Hue Sone Ki Zakat Na to Raahin (Girvi Rakhwane Wale) Ke Zimme Wajib Hoti Hai Aur Na Hi Murtahin (Jis Ke Paas Girvi Rakha Gaya Ho Us) Ke Zimme Par, Kyunki Zakat Ke Wujub Ke Liye Maale Zakat Ki Milkiyat Aur Us Maal Par Qabza Donoñ Hasil Hona Shart Hai, Jabke Raahin (Girvi Rakhwane Wale) Ko Girvi Rakhe Hue Zevarat Par Qabza Aur Tasarruf Ka Ikhtiyar Hasil Nahiñ Hota Aur Murtahin (Jis Ke Paas Girvi Rakha Ho) Ko Girvi Ke Zevarat Ki Milkiyat Hasil Nahiñ Hoti, Lihaza Jab Tak Sona Girvi Rakha Hua Tha Kisi Par Bhi Us Ki Zakat Lazim Nahiñ, Albatta Wapas Milne Ke Baad Zakat Ki Sharait Payi Jane Ki Surat Mein Zakat Ke Ahkam Lagu Honge.
Wallahu Aa'am Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Saiyed Shadab Ali Qadri Razvi Sahab, Meerut, Up*
*🗓️7 March 2026, 17 Ramzanul Mubarak 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
Comments
Post a Comment