Kaba Shareef Ya Masjide Nabwi Ke Imam Ke Pichhe Namaz Parhna Kesa ?
*Kaba Shareef Ya Masjide Nabwi Ke Imam Ke Pichhe Namaz Parhna Kesa ?*
*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Farmate Hai Olama E Ikram Wa Muftiyaan E Deen
Is Time Jo Kaba Shareef Ka Jo Imam Hai Uske Piche Namaz Padhna Kaisa Jabki Duniya Ke Tamam Firqe Ke Log Uske Peeche Namaz Padte Hai Kya Ye Durust H ? (Hamare Ek Sunni Sahi Ul Aqida Bhaii Ne Kaha Ki Namaz Kisi Ke Bhi Peeche Padho Ho Jayegi Namaz Depend Hai Niyat per Isper Hame Pata Hai Namaz Bad-aqida Ke Peeche Nahi Hogii Lekin Isko Tafseel Se Hadees Ki Roshni Me Bata Dein Taki Usko Bataya Ja Sake ....
Aur Masjid E Nabawi Ke Imam Ke Peeche Namaz Padhna Kaisa?
Aur Ek Bhai Ne Kaha Ki Us Imam Ka Martaba Allah Ne Itna Buland O Bala Kardiya Ki Khana E Kaba Ka Imam Hai Uske Peeche Roj 50 Lakh Log Namaz Pad Rhe H Isko Bhi Tafseel Se Bayan Farma Dijiye
محمد سیفی رضوی
Jazak Allah Khair
*🌹JAWAB:-🌹*
*الجواب بعون الملک الوھاب*
Masjid E Haram Aur Masjid E Nabwi Shareef Ka Jo Is Waqt Imam Hai, Ye Log Apne Aqaaid E Batila Ki Wajah Se Kaafir Haiñ Kharij Az Islam Hai'n, Wo Log Muhammad Bin Abdul Wahab Najdi Ke Pairokaran Me Se Hai Jis Par Bahukme Shara'a Fatwa E Kufr Aaid Hai, Hatta Ki Khud Us Ke Bhai Suleman Bin Abdul Wahaab Ne Us Par Hukm E Kufr Lagaya Aur Us Ke Radd Me Ek Kitab Likhi, " Al Sawaiqul Ilaahiya Fi Radd Alal Wahabiya" Jis Me Us Par Hukm E Kufr Lagaya,
Allama Ibne Aabideen Shami Rahmatullah Alaih (Wafat 1252 Hijri) Raqam Taraz Hain:
“Yeh Un Logoñ Ki Misaal Hai Jinhoñ Ne Hazrat Ali Radhiyallahu Anhu Ke Khilaf Khurooj Kiya, Warna Un Ke Kharji Hone Ke Liye Sirf Yahi Baat Kaafi Hai Ke Unhoñ Ne Un Logoñ Ko Kafir Kaha Jin Ke Khilaf Unhon Ne Khurooj Kiya Tha.
Jaisa Ke Hamare Zamane Mein Muhammad Bin Abdul Wahhab Ke Pairokar Jo Najd Se Nikle Aur Haramain Sharifain Par Qabiz Ho Gaye. Aur Woh Khud Ko Hanbali Al-Mazhab Kehte the, Lekin Un Ka Aqeeda Yeh Tha Ke Musalman Sirf Woh Aur Un Ke Hamnawa Afrad Hain, Aur Aqeede Mein Jo Un Ke Khilaf Hain Woh Musalman Hi Nahin Balki Mushrik Hain. Isi Bina Par Unhon Ne Ahle Sunnat Aur Ulama-E-Ahl-E-Sunnat Ke Qatl Ko Jaaiz Rakha.”
*📚(Alama Ibn Abideen Shami, Mutawaffa 1252h — Urdu Tarjuma Raddul Muhtar, Jild 3, Safha 427–428)*
Sunan Abu Dawood Me Rivayat Hai,
حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ صَالِحٍ، حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ وَهْبٍ، أَخْبَرَنِي عَمْرٌو، عَنْ بَكْرِ بْنِ سَوَادَةَ الْجُذَامِيِّ، عَنْ صَالِحِ بْنِ خَيْوَانَ، عَنْ أَبِي سَهْلَةَ السَّائِبِ بْنِ خَلَّادٍ_ قَالَ أَحْمَدُ مِنْ أَصْحَابِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ_، أَنَّ رَجُلًا أَمَّ قَوْمًا فَبَصَقَ فِي الْقِبْلَةِ وَرَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَنْظُرُ، فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ حِينَ فَرَغ:َ >لَا يُصَلِّي لَكُمْ, فَأَرَادَ بَعْدَ ذَلِكَ أَنْ يُصَلِّيَ لَهُمْ، فَمَنَعُوهُ، وَأَخْبَرُوهُ بِقَوْلِ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَذَكَرَ ذَلِكَ لِرَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَقَالَ: نَعَمْ، وَحَسِبْتُ أَنَّهُ قَالَ: >إِنَّكَ آذَيْتَ اللَّهَ وَرَسُولَهُ
Sayyidna Abu Sahlah Saib Bin Khallad Se Riwayat Hai. Ahmad (Ahmad Bin Salih, Imam Abu Dawood Ke Ustad) Kehte Hain Ke Woh (Saib) Ek Sahabi Hain. Un Se Riwayat Hai Ke Ek Shakhs Ne Apni Qaum Ki Imamat Karai Aur Us Ne Qibla Ki Taraf Thook Diya Jabke Rasool Allah ﷺ Dekh Rahe the.
Jab Woh Namaz Se Farigh Hua to Aap ﷺ Ne (Us Ki Qaum Se) Farmaya: “(Ainda) Yeh Tumhein Namaz Na Padhaye.”
Is Ke Baad Us Ne Unhein Namaz Padhana Chaha to Unhon Ne Use Rok Diya Aur Rasool Allah ﷺ Ka Farman Suna Diya. Phir Us Ne Yeh Baat Rasool Allah ﷺ Se Zikr Ki to Aap ﷺ Ne Farmaya: “Haañ.”
Aur Mera Khayal Hai Ke Aap ﷺ Ne Yeh Bhi Farmaya: “Tum Ne Allah Aur Us Ke Rasool Ko Iza Di Hai.” *📚(Sunan Abu Dawood, Hadees 481)*
Is Hadees Se Pata Chala Ki Jab Qibla Ki Taraf Munh Karke Thokne Wale Par Sarkare Do Alam Sallallahu Alaihi Wasallam Is Qadar Mutashaddid Hue Jabki Us Ne Sirf Itna Jurm Kiya Ki Qibla Ki Taraf Munh Kar Ke Thooka Tha to Phir Us Ka Haal Kya Hoga Jo Sarkar E Do Alam Sallallahu Alaihi Wa Aaallihi Wasallam Ki Shan Me Gustakhiya Kare, Jo Sahi Hil Aqeeda Musalmano Par Kufr Ke Fatwe Lagaye, Aaqa Kareem Ko Bhi Yahi Kah Dena Chahiye Tha Ki Namaz to Niyat Par Hai, Aur Jis Shakhs Ka Ye Kahna Hai Ki Namaz to Kisi Ke Bhi Peeche Ho Jayegi to Use Chahiye Ki Namaz Wo Pandit Aur Padri Ke Peeche Bhi Padh Liya Kare, Jab Uski Namaz Sab Ke Peeche Ho Jati Hai, Kaseer Tadad Me Log Namaz Padhte Hai'N to Kasrat Ki Wajah Se Kisi Badaqeeda Ka Musalman Hona Sabit Na Ho Jayega, Kasrat Se Logo Ka Us Ke Peeche Namaz Padhna Koi Daleel Nahi Hai, Agar Kasrat Ka Hona Haq Hona Hai to Karbala Me 72 Ek Taraf the Aur 22000 Ek Taraf, Kya Unhe Haq Par Samjh Liya Jaye, Nahi! Aur Ek Shakh Jo Imam Kaba Aur Masjid Nabwi Hai Wo Is Wajah Se Aala Martabat Ho Gaya to Jis Shakhs Ne Sarkar Ka Zamana Paaya Ho Uska Bhi to Kuch Na Kuch Rutba Hoga Magar Sarkar E Do Alam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Saaf Saaf Mana Farma Diya Ki Aainda Ye Shakhs Namaz Na Padhaye, Chunanche imam E Haram Aur Imam E Masjid E Nabwi Jo Daur Hazir Ke Hai Un Ke Peeche Namaz Jaaiz Nahiñ.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Saiyed Shadab Ali Qadri Razvi Sahab, Meerut, Up*
*🗓️5 March 2026, 15 Ramzanul Mubarak 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
Comments
Post a Comment