Kisi Ko Application Me Course Bechna Is Shart Ke Sath Ki Kisi Or Ko Na De Jaaiz He Ya Nahiñ ?
*Kisi Ko Application Me Course Bechna Is Shart Ke Sath Ki Kisi Or Ko Na De Jaaiz He Ya Nahiñ ?*
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Warahmatullah
Kya Farmatey Hai Ulama O Muftiyane Keram Is Mas'Le Mai
Ek Shakhs Question Bank Exam Mai Zaroori Question ( Apni Application Mai Banakar Bechta Hai Usne Shart Lagai Hai Jo Usey Khareeday Sirf Wo Hi Is Question Bank Se Padhai Kar Sakta Hai Baki Dusro Ko Share Karne Ki Ijazat Nahi .)
Ab Zaid Ne Khareed Kar Free Mai Apne Nizam Ko Send Kardiya Ab
Nizam Ko Malik Se Muafi Mangna Hoga ? Aur Kya Uski Raqam Bhi Ada Karni Hogi
*🌹JAWAB:-🌹*
وعلیکم السلام ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
Shakhs-E-Mazkoor Ka Is Tarah Ki Shart Laga Kar Bai' Karna Najaaiz Hai Aur Agar Zaid Ne Aisi Shart Ke Sath Kharida Hai to Yeh Bai' Wajib-Ul-Radd Hai Aur Usko Tod Dena Laazim. Phir Bhi Agar Zaid Ne Use Kharid Liya to Use Har Tarah Ka Malikana Haq Hasil Hai, Woh Chahe to Beche, Hiba Kare Ya Apne Tasarruf Me Laaye, Shakhse Mazkoor Use Mana'a Nahi Kar Sakta. Is Liye Zaid Par Kuch Ilzam Nahiñ Aur Nizam Ko Muaafi Ki Bhi Zarurat Nahiñ..
Lekin Jis Kisi Ne Yeh Application Banayi Hai Us Ka Maqsad Chunki Paisa Kamana Hai Aur Open Rakhega to Maqsad Faut Ho Jayega, Lihaza Agar Woh Is Se Bachna Chahta Hai to Use Poora Haq Hasil Hai Ke Application Me Koi Aisa Password Ya Security Laga De Ke Log Us Ki Ijazat Ke Bagair Forward Na Kar Sakeñ..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Mufti Nizamuddin Razvi Amjadi Sahab Qibla*
*📬 Khadimut Tadrees Jaamia Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow*
*🗓️24 March 2026, 6 Zulhijja 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
Comments
Post a Comment