Sajda E Sahw Wajib Tha Or Bagair Sajda E Sahw Ke Salam Fer Diya To Namaz Ka Hukm ?
*Sajda E Sahw Wajib Tha Or Bagair Sajda E Sahw Ke Salam Fer Diya To Namaz Ka Hukm ?*
*🌹SAWAL:-🌹*
Hajrat Ek Sawal Agar Namaz Padhte Padhte Koi Galti Ho Gayii Aur Sajda E Saw Wajib Gaya Aur Bhul Kar Sajda E Saw Nahiñ Kiya Salam Pher Liya to Kya Namaz Hogi ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وعلیکم السلام ورحمۃ اللہ وبرکاتہ
Sajda E Sahw Lazim Hone Ki Surat Mein Salam Pherne Se Sajda E Sahw Saqit Nahiñ Hota, Jabke Salam Pherne Ke Baad Namaz Ki Bina Ke Munafi Koi Fe'al Na Kiya Ho. Haañ Agar Bina Ke Munafi Koi Fe‘al Paya Jaye, Maslan, Salam Pherne Ke Baad Baat Cheet Karna, Qahqaha Lagana Ya Jaan Boojh Kar Hadas Taari Karna, Waghera Koi Fe'al Kar Liya Ho, to Phir Sajda Sahw Nahiñ Kiya Ja Sakta.
Lihaza Poochhi Gayi Surat Mein Agar Namaz Ke Munafi Koi Kaam Karne Se Pehle Yaad Aa Gaya to Us Surat Mein Yaad Aate Hi Sajda E Sahw Karein Aur Aakhir Mein Qa‘adah Karke Salam Pher Dein, Namaz Durust Ho Jayegi.
Sadrush Shariah Badrut Tariqah Mufti Amjad Ali Aazami رحمۃ اللہ علیہ Farmate Hain:
“Jis Par Sajda E Sahw Wajib Hai, Agar Sahw Hona Yaad Na Tha Aur Ba Niyyat Qata'a Salam Pher Diya to Bhi Namaz Se Bahar Na Hua Bashart Ke Sajda Sahw Kar Le. Lihaza Jab Tak Kalam Ya Hadas Amd Ya Masjid Se Khurooj Ya Aur Koi Fe'al Munafi Namaz Na Kiya Ho Use Hukm Hai Ke Sajda Sahw Kar Le.”
*📚(Bahar-E-Shariat, Hissa-4, Safha-717 , Maktabatul Madinah, Karachi)**
Aur Agar Aisa Koi Amal Kar Liya Ho to Phir Us Par Lazim Hai Ke Namaz Ko Dohraye.
واللہ اعلم بالصواب
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Saiyed Shadab Ali Qadri Razvi Sahab, Meerut, Up*
*🗓️7 March 2026, 17 Ramzanul Mubarak 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
Comments
Post a Comment