Taraweeh Parhane Wale Imam Ko Bagair Ujrat Ki Niyyat Kuchh Hadiya Ya Eidi Dena Kesa ?
*Taraweeh Parhane Wale Imam Ko Bagair Ujrat Ki Niyyat Kuchh Hadiya Ya Eidi Dena Kesa ?*
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamo Alaikum
Kya Farmate Hai Olmae Deen Is Masle Me Ki Taraweeh Ki Ujrat Par Jo Jawaz Ki Surat Hai Agar Is Par Amal Na Kiya Jaye to Nazrana Dene Wala or Lene Wala Donoñ Gunahgaar Hota Hai Arz Ye Hai Ki Kya Mai Apne Dil Me Ye Niyat Ker Ke Ki Hafiz Sahab Ko Eidi De Raha Hu Kya Ye Jayez Hai ?
Sael Mohammad Arshad Attari Jharkhand
*🌹JAWAB:-🌹*
وعلیکم السلام ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
الجواب بعون الملک الوھاب
Taraweeh Mein Qur’an Majeed Ki Tilawat Ki Ujrat Ijazat Mein Dakhil Nahiñ Hai, Lihaza Taraveeh Padhane Wale Ka Tay Karke Ujrat Lena Aur Masjid Intizamiya Wagairah Ka Yeh Ujrat Dena Najaaiz Wa Gunah Hai.
Isi Tarah Agar Tay Na Kiya Ho, Lekin Pata Ho Ke Khatm-E-Qur’an Par Kuchh Na Kuchh Rupaye Paise Ya Kisi Aur Surat Mein Zaroor Diya Jayega, to Yeh Bhi Najaaiz Wa Gunah Hai.
Agar Koi Chahta Hai Ke Gunah Bhi Na Ho Aur Ujrat Bhi Jaaiz Ho Jaye, to Us Ki Do Suratain Ho Sakti Hain:
(1) Ek Surat Yeh Hai Ke Taraveeh Padhane Wala Wazeh Taur Par Keh De Ke Main Kuchh Nahin Loonga, Ya Committee Wale Keh Deñ Ke Hum Kuch Nahin Denge, Phir Khatm-E-Qur’an Par Kuchh Na Kuch Khidmat Kar Dein, to Yeh Jaaiz Hai.
(2) Doosri Surat Yeh Hai Ke Taraweeh Padhane Wale Ko Do Ya Teen Ghante Ke Liye Ajeer Rakh Liya Jaye Aur Itni Der Ke Liye Us Ki Koi Tankha Muqarrar Kar Di Jaye. Masalan: Masjid Intizamiya Taraweeh Padhane Wale Se Kahe Ke Hum Ne Aap Ko Ek Mahine Ke Liye Rozana Teen Ghante Falañ Waqt Se Falañ Waqt Tak Ke Liye Itni Ujrat Par Ajeer Rakha, Is Mein Hum Jo Chahein Aap Ke Mansab Ke Mutabiq Aap Se Kaam Lenge. Wo Kahe Main Ne Qubool Kiya.
Ab Taraweeh Padhane Wala Itni Der Ke Liye Un Ka Ajeer Ho Gaya. Is Ke Baad Woh Us Hafiz Sahib Ko Taraweeh Ki Namaz Padhane Ka Keh Dein, to Is Surat Mein Ujrat Lena Dena Jaaiz Ho Jayega.
*📚(Fatawa Razvia, Jild 23, Safha 537)*
*📚(Bahare Shariat, Jild 1, Safha 692).*
Taraweeh Ki Ujrat Ki Niyat Na Ho Aur Na Pahle Hi Se Kuch Tay Kiya Gaya Ho Is Soorat Me Chahe Eidi Kah Kar Diya Jaye Ya Hadiya Ya Tohfe Ke Taur Par Kuchh Khidmat Kar Di Jaye to Harj Nahiñ Hai...
*Wallahu Alamu Bissawab*
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Saiyed Shadab Ali Qadri Razvi Sahab, Meerut, Up*
*🗓️5 March 2026, 15 Ramzanul Mubarak 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
Comments
Post a Comment