2 Talaq Ke Baad Ruju'a Kis Tarah Kare ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Ek Dost Ki Taraf Se Guzarish Thi K Agar Kisi Ne 2 Talak Dedi Hai Aur Baad Me Miya Biwi Ruju Karna Chahe To Kya Hukum Hai Shariat K Dayre Me Jisse 2 Talak Bhi Jati Rahe.

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Shohar Ne Agar Biwi Ko 2 Talaq Di Is Soorat Me Shohar Ne Agar Iddat Guzar Ne Se Pahle Yaani Aurat Ko 3 Haiz Aane Se Pahle Ya Hamila He To Waz'e Hamal Se Pahle Hambistari Karli Ya Shahwat Ke Sath Bosa Liya To Raj'at Ho Gai, Or  Raj'at Ka Sunnat Tareeqa Ye He Ki Biwi Se Qaul Se Raj'at Kare Or Us Par 2 Aadil Logoñ Ko Gawah Banale Or Biwi Ko Bata De Ki Mene Raj'at Ki... Or Agar Kisi Ko Is Par Gawah Nahiñ Banaya Ya Gawah To Banaya Magar Biwi Ko Nahiñ Bataya To Ye Sunnat Ke Khilaf He Lekin Raj'at Sahih He... Or Agar Iddat Guzarne Se Pahle Kisi Lafz Se Raj'at Na Ki Ya Hambistari Wagairah Se Raj'at Na Ki To Ba'ade Iddat Aurat Ki Raza Se Dubara Naye Mahar Se Nikah Kar Sakta He.. Halala Ki Zaroorat Nahiñ..

Jaisa Ki Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,

Agar Waqaee Zaid Ne Sirf 2 Baar Kaha Ki Me Talaq Deta Huñ Or Aurat Madkhula He To 2 Talaqeñ Rajaee Waqe'a Hui. Is Soorat Me Zaid Ne Agar Iddat Guzarne Se Pahle Hinda Se Hambistari Karli Ya Shahwat Ke Sath Bosa Liya To Raj'at Ho Gai Agarche Raj'at Ka Masnoon Tareeqah Ye He Ki Lafz Se Raj'at Kare Or Raj'at Par 2 Aadil Shakhsoñ Ko Gawah Bhi Karle. Or Agar Iddat Guzarne Se Pahle Kisi Lafz Ya Hambistari Wagairah Se Raj'at Na Ki To Ba'ade Iddat Aurat Ki Raza Se Dubara Nikah Kar Sakta He Halala Ki Zaroorat Nahiñ Or Agar 3 Talaq Di He To Aurat Par Talaqe Mugallaza Waqe'a Hogi Is Soorat Me Bagair Halala Shohare Awwal Ke Liye Halal Nahiñ Aurat Agar Hamila He To Uski Iddat Waz'e Hamal He Or Talaq Wali Aurat Agar Nabaliga Ya Pachpan Sala He To Uski Iddat 3 Maah He. Agar Mutlaqah Hamila Nabaliga Ya Pachpan Sala Nahiñ He Balki Haiz Wali He To Uski Iddat 3 Haiz He. Khwah Yaman Haiz 3 Maah, 3 Saal Ya Usse Zyada Aayeñ.
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-160)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓30 Jan 2023, 7 Rajab 1444*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?

 *Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?* *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Qurbani Kis Din Krana Zyada Afzal Aur Bhtr Hai

Popular Posts