Badmazhab Se Rishta Bachane Ke Liye Sunni Se Bhag Kar Shadi Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Aleykum 

Mera Ye Masla Hai Ki Aek Gaon Hai Jaha Samjo Ki 95% Jahil Rahete Hai 

Sulehkulliyat Tipe Idar Ilm Bahot Kum Hai Jo Aalim Inke Matlab Ki Bat Kare Vo Sahi Yani Kawwali TV Rafzi Kharzi Se Mail Jhol Rakhna Vagera Vagera 

To Masla Ye Hai Ki Aek Sunni Ladke Ko Aek Ladki Usko Harroz Dekhti Thi Yani Ladka Uske Dost Ki Dukan Par Jis Time Jata Vo Bhi Us Time Nikalti 

Phir Aek Din Fk Id Se Ladke Ko Messages Karti Hai Saheli K Mo. Se Ladki Maldar Ghar Se Hai Maa Bap Pura Khandan Sulehkulli Hai 

Ladka Bola Tu Maldar Ki Beti Hai Mai Garib Hu Aur Tere Khandan Ki Aadat Hai Jara Si Bat Par Logo Ko Khatam Karne Ki Dhamkiya Dena To Boli Tu Phikar Mat Kar Mai Dekh Lungi 

Dono Ki Bate Hoti Aek Din Pata Chal Jata Hai Ladki K Ghar Walo Ko Aur Uska Bahar Nikalna Band Kar Dete Hai Ladke Ko Bulake Samja Diya Ki Ab Is Ladki K Samne Na Dekhe 

Ladka Bola Thik Hai Aur Sare Messages B Dikhaye Ki Ladki Nai Muje Samne Se Messages Kara Hai Maine Nahi Kiya Bole Thik Hai Ab Fariyad Nahi Aani Chahiye 

Kuchh Mahino Bad Is Ladki Ka Rista 24 Ladke Se Kar Diya Jata Hai Jab Ki Ladki Razi Nahi Hai 24 Hai Isiliye Nahi Kiyu Ki Ladki Ko Itna Ilm Nahi Umar B Jiyada Nahi Aur Jaise  Maa Bap Honge Jaisa Ilm Sikhayenge Waisa Hi Ye Sikhenge Bache 
Ladki Jis Ladke Ko Pasand Karti Hai Uske Sath Nikah Karna Chahti Hai 
Liking Maa Bap Nai Uska Rista Yani Sagai 24 Se Kara Di Hai 

To Kiya Ladka Us Ladki Ko Bhaga Sakta Hai 
24 Se Nikah Hone Se Bach Kaye Aur Dono Khus B Ho Aur Ladki Ka Iman B Bach Jaye 
Javab Inayat Farmaye
..
Or Shariyat Ke Roshni Me Bhag Kar Is Tarah Shadi Karna Hinda Ko Badmazhab Ke Nikah Me Jane Se Rokne Ke Kiye Durusyhiga ? Or Bhag Kar Bagair Maañ Baap Ki Ijazat Is Tarah Shadi Ki To Nikah Ho Jayega ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Waqaee Me Deobandi Ke Sath Jiske Aqaaid Kufriya He, Ya Fir Aulma E Deoband Ka Pairokaar He, Zabardasti Maañ Baap Ladki Ka Nikah Karana Chahte Hai, To Ladki Ko Chahiye Ki Vo Kulli Taur Par Inkaar Karde, Or Kisi Bhi Tarah Us Deobandi Ladke Se Nikah Na Kare, Uske Liye Vo Hattal Imkaan Koshish Kar Sakti Hai.. Ho Sake To Police Ki Bhi Madad Le Sakti He, Police Ke Zariye Se Walidain Ka Uska Badmazhab Ke Sath Nikah Karne Ki Jo Koshish He Vo Ruk Jayegi, Iske Liye Shariyate Mutahhara Me Bhi Ijazat He... 

Or Apne Imaan Ko Bachane Ke Liye Ghar Baar Chhod Dena, Ghar Se Bhag Jana, Business Tarq Kar Dena, Ye To As'haabe Kahaf Ki Bhi Sunnat He....

Suratul Kahaf Me As'haabe Kahaf Ne Jo Apne Ghar Baar, Zameen Jaaidad Ko Chhoda Or Chhod Kar Apne Imaan Ki Hifazat Ke Khatir Gaar Me Ja Kar Panah Li, Suratul Kahaf Ko Padh Kar Ye Baat Roze Raushan Ki Tarah Aashkaara Ho Jati He, Wazeh Ho Jati He Ki Apne Imaan Ko Bachane Ke Liye Ham Apne Ghar Baar Ko Chhod Kar Dusri Jagah Bhi Hijrat Kar Sakte Hai.. Or Yahi Sunnate Mustafa  ﷺ Bhi He, Ki Bahut Saare Sahaba E Kiraam Ne Pahle Habsa Ki Taraf Hijrat Ki Ba'adahu Makka E Muazzama Ki Taraf Hijrat Ki Or Khud Hamare Aaqa Muhammadur RasoolAllah ﷺ Ne Bhi Makka E Muazzama Se Madinatul Munawwara Hijrat Ki, To Imaan Ki Khatir Ghar Se Bhag Jana, Door Ho Jana, Hijrat Kar Jana, Yaqeenan Ye Jaaiz He Or Baaise Ajro Sawab He, 

Lekin Iske Liye Kisi Sunni Ladke Se Bhag Jana Jisse Pahle Se Hi Ta'alluq Ho To Ye Munasib Nahiñ He, Or Kahiñ Na Kahiñ Ye Is Baat Ki Taraf Ishara He Ki Ye Jo Bhag Ne Ke Bare Me Or Bhag Kar Shadi Karne Ke Bare Me Kah Rahe Hai Vo Shayad Is Wajah Se Ho Sakta He, Ki Imaan Ki Khatir Na Hi Sahi Balki Ishqo Muhabbat Ke Chakkar Me Pad Kar Us Ladke Ke Sath Bhagne Ka Bahana Bata Rahe Ho, Fir Bhi Agar Koi Shadi Wagairah Ke Liye Ghar Baar Chhod Kar Ishqo Muhabbat Me Bhaag Jata He To Ye Allah Or Uske Rasool Ki Taraf Hijrat Nahiñ He, Balki Nikah Ke Liye Hijrat He To Isme Ghar Baar Chhodne Hijrat Karne Ka Sawab Na Milega... 

Jaisa Ki Hadees Shareef Me,
عن عمر بن الخطاب رضي الله عنه مرفوعاً: «إنما الأعمال بِالنيَّات، وإنما لكل امرئ ما نوى، فمن كانت هجرتُه إلى الله ورسوله فهجرتُه إلى الله ورسوله، ومن كانت هجرتُه لدنيا يصيبها أو امرأةٍ ينكِحها فهجرته إلى ما هاجر إليه».
Umar Bin Khattab Radiallahu Anhu Se Riwayat He Ki RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: Aa'amal Ka Daaro Madaar Nayyatoñ Par He Or Har Aadmi Ko Wahi Milega Jiski Usne Niyyat Ki..  Jiski Hijrat Allah Ta'ala Or Uske Rasool Ke Liye Ho To Uski Hijrat Allah Ta'ala Or Uske Rasool Ke Liye He, Or Jiski Hijrat Husoole Dunya Ke Liye Ya Kisi Aurat Se Shadi Karne Ke Liye Ho To Uski Hijrat Usi Cheez Ke Liye He Jiske Liye Usne Hijrat Ki..

Or Farmaya,
لا طَاعَةَ لِمَخْلُوقٍ فِي مَعْصِيةِ الخَالِقِ
Yaani Allah Ki Nafarmani Me Kisi Ki Ita'at Nahiñ..

To Agar Us Ladki Ne Apne Maañ Baap Jo Zabardasti Kisi Badmazhab Ke Sath Nikah Karwa Rahe Hai Unki Khilaf Warzi Karte Huve, Kisi Or Ladke Se Shadi Karli To Nikah Mun'aqid Ho Jayega, Fir Agar Kuff Me He To Walidain Ke Haqqe Fasq Hasil Na Hoga, Or Agar Gaire Kuff Me He To Walidain Ko Haqqe Fasq Hasil Zaroor Hoga.. Aysa Hi Majlise Sharai Ke Faisle Me He..

Or Sirf Usi Ladke Ke Sath Shadi Se Maañ Baap Naraz Hote Hai To Ladki Ko Chahiye Ki Aysa Kam Na Kare, Varna Maañ Bap Ka Dil Dukhane Ki Bina Par Gunahgar Hogi, Aur Agar Devbandi Badmazhab Ke Muqabil Us Se Shadi Karne Par Naraz Hote Hai To Ladki Gunah Gar Na Hogi ...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️28 Jan 2023, 4 Rajab 1444*

*_✅Al-Jawabus Sahih : Hazrat Allama Mufti Hashim Raza Misbahi._*
*📬Khadim Darul Ifta Ahle Sunnat W Jama'at, Khargone, MP (Sahibe Fatawa Simoga)*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?

 *Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?* *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Qurbani Kis Din Krana Zyada Afzal Aur Bhtr Hai

Popular Posts