Mobile Me Salam Sun Rahe Ho To Beth Kar Sunna Kesa ?
Mobile Me Qur'aan Shareef Ho to Bagair Wuzu Chhuna Kesa ?
Kya Mobile Game Khel Kar Paisa Kamana Jaaiz He ?
Naat Shareef Ko Mobile Ki ringtone Rakhna Kesa ?
Kaam Karte Waqt Shoes Pahan Kar Mobile Me Qura'an Sunna Kesa ?
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu
Phone Me Qur'an Shareef Lagakar
Dukaan Me Shoes Ya Sleeper Pehen K Reh Sakte Hai Kya
Mere Ek Dost Ka Barbar Shop Hai
Usme Wo Log Qur'an Shareef Lagakar Shoe Pehenke Kaam Karte Hai
Kya Aisa Kar Sakte Hai Kya
*🌹JAWAB:-🌹*
WaAlaykumusSalam WaraHmatullah WaBarakatuh. Jaaiz Hai. Lekin Quran E Paak Adab Se Sunna Chahiyye Bey Tawajjohi Se Nahi..
*✍🏻Masood Noori Sahab Jaipur Rajasthan*
*🗓️19 Dec 2021, 14 Jamadi Ul Awwal 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Mobile Screen Par Islamic Tasweer Rakhna Kesa ?
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Wa Rehmatullahi Ta'ala Wa Barkatahu, Mecca Ya Madina Ka Wallpaper Mobile Me Rakhna Kaisa Hai???
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Isi Tarah Ka Ek Sawal Ki Mobile Phone Or Computer Me Wallpaper Ko Koi Dargah Ya Gumbad Set Karna Kesa Jiske Jawab Me Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,
Isme Koi Harj Maloom Nahi Hota..
Http://jamiaturraza.com/session/7Nov10/16.mp3
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️7 Oct 2021, 29 Safarul Muzaffar 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Aitekaaf Me Mobile Istemal Karna Kesa ?
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum...Hazrat
Sawal-Etekaaf Me (Muattakif)ko Call Pe Baat Karna Kaisa Hai?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Jis Tarah Moatakif Bagair Mobile Ke Majboori Ke Waqt Sirf Zaroorat Ki Jaaiz Gufatagu Masjid Me Kar Sakta He Isi Tarah Mobile Par Bhi Call Ya Massage Ke Zariye Zaroorat Ke Waqt Sirf Jaaiz Gufatagu Kar Sakta He Basharteki Isse Kisi Namazi Ki Namaz Or Digar Ibadat Me Khalal Waqe'a Na Ho Or Naahiñ Ringtone Gaane Baaje Par Mushtamil Ho, Albatta Bahetar Ye He Ki Jab Tak Sakht Majboori Na Ho Mobile Ko Hargiz Istemal Na Kiya Jaye, Kyuñ Ki Jis Tarah Fee Zamana Hamare Yahañ Mo'atakifeen Mobile Istemal Karte Hai Ki Bila Zaroorat Dostoñ Se Or Digar Logoñ Se Gap Shap Ka Silsila Hota He Ye Aitekaaf Ki Roohaniyat Ke Khilaf Bhi He Or Shar'an Iski Ijazat Bhi Nahi Albatta Deeni Kaamoñ Ke Liye Mobile Istemal Karne Me Harj Nahi He.
*📚(Aitekaaf Ke Masail Or Unka Hal, S-21)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓5 May 2021, 22 Ramzanul Mubarak 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Social Media Par Deen Ki Baate Karna Kesa ?
*🌹SAWAL:-🌹*
ASSALAMUALAIKUM
Hazrat Aaj Kal Bahut Hi Log Social Media Ka Use Krte Lkn Koi Ache Kaam Ke Liye Yani Islamic Messge Ko Aage Badhane Ke Liye Bhi Krte Hai To Log Kehte Hai Ye Social Media Par Acha Nhi Krna Ye Talib Madraso Me Do Yaha Ye Sab Na Kro Kia Ye Kehne Wale Pr Koi Hukum ?? Aur Hazrat Hame Social Media Ke Kese Use Krna Chahiye Jaiz Tarika ? Aur Social Media Ka Use Kaha Mana Hai ??
Rahanumai Farmaye
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Social Media Ya Websites Par Paaye Jane Wale Mazaamin Kitabo Ki Hesiyat Rakhte Hai. Jin Me Achchi, Buri Mo'atebar Gair Mo'atebar Har Tarah Ki Kitabat Hoti He. Or Aaj Kal Sabse Zyada Jo Istemal Kiya Jata He Vo Internet, Mobile Or Social Media He, Lihaza Hame Chahiye Ki Iska Sahih Tareeqa Se Istemal Kare, Or Bure Najaaiz Kaamo Se Bach Kar Shariyat Ki Had Me Shariyate Mustafa Ki Jis Tarah Bhi Isha'at Ho Uski Koshish Kare, Social Media Ek Esa Platform He Jahañ Ham Apni Aawaz Aasani Se Sekdo Logo Tak Pahuncha Sakte He. Iska Istemal Karne Ka Bahetar Or Jaaiz Tareeqa Yahi He Ki Zyada Se Zyada Deen Ki Baat Logo Tak Pahuchaye. Social Media Ka Istemal Sirf Lahw Laeeb Or Jokes Or Betuki Baate Karne Ke Liye Nahi, Balki Deen Ki Isha'at Ke Liye Kiya Jaye To Ye Bhi Ek Sadqa Or Kaare Khair Or Baaise Sawab He. Deen Ki Baat Failane Se Rokne Wala Ya To Hasid He Ya Jahil.
Qura'an Majeed Me He,
وَقُولُوا لِلنَّاسِ حُسْنًا
Or Logo Se Achchi Baat Kaho.
*📚(Surah Baqrah, Aayat-83)*
Or Dusri Jagah Irshad Farmaya,
قَدْ أَفْلَحَ الْمُؤْمِنُونَ الَّذِينَ هُمْ فِي صَلَاتِهِمْ خَاشِعُونَ وَالَّذِينَ هُمْ عَنِ اللَّغْوِ مُعْرِضُونَ
Beshak Murad Ko Pahunche Iman Wale, Jo Apni Namaz Me Gidgidate He, Or Vo Jo Kisi Behuda Baat Ki Taraf Iltifat Nahi Karte.
*📚(Surah Muaminun, Aayat-1,2,3)*
Yaani Behuda Baato Se Bachne Walo Ka Iman Pukhta He.
Jo Ham Se Door He Hamare Paas Nahi Unko Mobile Ya Social Media Ke Zariya Deen Ki Baat Batana RasoolAllah ﷺ Ka Paigam Pahucha Ne Ka Saboot Hadees Shareef Se Bhi Milta He,
Hadees Shareef Ka Mafhoom He,
الا فلیبلغ الشاھد الغائب فانہ رب مبلغ یبلغہ اوعنی لہ من سامع۔
Hazrat Abu Bakar RadiAllahu Anhu Se Riwayat He Ki RasoolAllah ﷺ Ne Hujjatul Wida'a Ke Mauqa'a Par Farmaya, Jo Yahañ Hazir He Vo Isko Pahuncha De Jo Gaaib He, Khuñki Jo Hazir He Vo Shayad Ayse Shakhs Ko Khabar Karde Jo Baat Ko Usse Zyada Yaad Rakhe.
*📚(Bukhari Shareef, 67)*
*📚(Muslim Shareef, 1679)*
Isi Tarah Dusri Hadees Me He,
Abdullah Bin Umar RadiAllahu Anhu Riwayat Karte Hai Ki RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya,
بلِّغوا عنّي ولو آية
Yaani Agar Aapko Qura'an Ki Ek Aayat Ka Bhi Ilm Ho To Use Dusro Tak Pahuncha Do.
*📚(Sahih Bukhari, Hadees-3461)*
Yaani Jo Hazir He Vo Jo Gaaib He Un Tak Agar Qura'an Ki Ek Aayat Ka Bhi Ilm Ho To Pahunch De.
Huzur ﷺ Ne Farmaya Achchi Baat Kahna Sadqa He.
*📚(Bukhari, 2589)*
Or Hadeese Mubarika Me He,
RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya Fuzool Baatoñ Ko Chhod Dena, Aadmi Ke Islam Ki Achchai Ki Daleel He.
*📚(Musnad Ahmad, J-1, S-201)*
Lihaza Iman Walo Ki Ye Nishani He Ki Jab Logo Se Baat Kahe To Achhi Baat Kahe Or Buri Or Fuzool Baato Se Door Rahe, Fir Agarche Vo Social Media Ke Zariya Ho. Internet Ka Sahih Istemal Yahi He Ki Is Par Kitabo Sunnat Ki Roshni Me Deeni Baat Kahi Jaye, Or Fahash Baate Jese Faltu Jokes, Hasi Mazak, Be Hayai, Wagairah Se Door Raha Jaye.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Mobile Me Quraan or Islami Tasweer Ho to Baytul Khala Ke Jana Kesa
Mobile Me Naat Ya Azan Ko Ringtone Rakhna
Assalamu Alaikum, Mobile Me Naat Shareef Ya Azan Ko Ringtone Rakhna Kesa ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahma Se Sawal Hua Ki Kya Mobile Me Naat, Azan Ya Qura'ani Aayat As A Ringtone Rakh Sakte He,
Aap Farmate He, Not Allowed Yaani Iski Ijazat Nahi He.
http://jamiaturraza.com/session/21June09/9.mp3
Or Mobile Phone Ke Zaroori Masail Me He,
Ehtiyat Or Adab Ka Taqaza Yahi He Ki Mobile Ki Ghanti Me Hamdo Na'at, Or Salamo Azan Wagairah Set Na Kiye Jaye.
Call Kab Aa Jaye Or Us Waqt Mobile Ki Ghanti Bajne Lage Kuchh Nahi Kaha Ja Sakta.
Baar hañ Aysa Hota He Ki Aadmi Baytul Khala'a Ya Istenja Khana Me Hota He Or Mobile Ki Ghanti Bajne Lagti He, Ab Agar Mobile Ki Ghanti Me Hamdo Na'at, Or Azan w Salam Ya Qura'ani Aayat Wagairah Set Ho To Zaroor Un Muqaddas Kalimat Ki Be Adbi Or Yak guna Tauheen Hogi, Is Liye Bahetar Or Ehtiyat Isi Me He Ki Mobile Me Aam Qism Ki Saada Ghanti Lagaye Or Hamdo Na'at Qura'ani Aayat Ya Azan w Salam Set Na Kare.
*📚(Mobile Phone Ke Zaroori Masail, S-87)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+9184
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Mobile Me Quraan Ki Application Download Karna Kesa ?
Assalam Walikum Hazrat,
Agar mobile mein quran ka app download kar ke rakhna kaisa hai hadess se jawab de.
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Jaiz He, Or Usme Qura'an Shareef Bhi Padh Sakte He, Albatta Uske Sath Ya Apne Mobile Me Koi Gandi Cheeze Download Karke Na Rakhe, Or Yuñ Bhi Gandi Chizo Ka Rakhna Gair Zaroori Applicationo Ka Rakhna Sahih Nahi He, Lihaza Aap Qura'an Shareef Ki Application Download Kar Sakte He, Usme Qura'an Shareef Padh Bhi Sakte He, Sun Bhi Sakte He, Jab Ki Sunni Sahihul Aqida Ki Ho..
Or Qura'an Shareef Jo Screen Par Nazar Aata Ho Use Zubani Bhi Padh Sakte He Or Be Wuzu Ho To Screen Par Bagair Haath Lagaye Bhi Padh Sakte He, Usi Ke Sath Sath Sharai Council Baraily Shareef Ke Seminar Ka Fesla He Ki Screen Par Qura'ani Aayat Nazar Aati Ho To Us Par Bagair Wuzu Hath Lagana Jaiz Nahi He, Lihaza Wuzu Karke Vo Hath Laga Kar Bhi Padh Sakta He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Mobile Me Achanak Tasweer aati he kya mobile ka istemal karna jaiz hoga ?
Mobile me Jab WhatsApp status dekhte he to kai logo ke jandar ki tasweer wale status aate he to kya mobile ka istemal karnajaiz hoga ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Agar aapney najaiz tasweer e jandar dekhney ke qasd se mobile on kiya to yeh gunah hua. Aur agar kisi jaiz kaam ke liye mobile on kiya lekin advertisement ya news men zabardasti tasaweer aayin jinko dekhney ka iradah nahi tha sirf koi jaiz kaam ke liye mobile on kiya tha to yeh gunah nahi hai. Huzoor e Taajush ShariAh SaHib AlayhirRaHmah ne news paper ki tasaweer ke barey men aesa hi kuchh irshad farmaya tha jiski raushni men yeh jawab diya gaya hai..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
Mobile may jo tasweer hoti hain kia wo bhi manae nuzool-e-malaika kay hokum may shaamil hain ? Note may bhi tasweer hoti awr akhbaraat wagerah
http://jamiaturraza.com/session/12Jan09/16.mp3
*📬Pathan Moin Raza Khan, Petlad*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲
===========➖➖➖➖=========
KISI KI GAALI GALOCH WALI CALL RECORDING SHARE KARNA KESA
Assalamu alaikum
Hazrat mera 1 sawal hai.
2 sakhs ki guftagu ki call recording(audio clip) hai usme galiya bol rahe hai aur wo audio clip ZAID ke paas aai aur ZAID ne sab me forward kar di to ZAID par shariat ka kya hukum hoga ?
Hazrat tafsili jawab de.
Jazak Allah khair
*🌹JAWAB:-🌹*
W Alaikum Assalam W Rahematullah,
Pahle to ye ki bila ijazat kisi ki guftagu record karna kesa ? Iske muta'allik Huzur TajushShariyah Alaihir Rahma Farmate He,
Ye dhoka He, Or hamare yaha dhoke ki ijazat nahi he, Agar kisi ka kalam record karne ke kabil he to uski ijazat se us kalam ko record kiya jaae, be uski ijazat ke uske kalam ko record karna jasoosi he, or dhoka dihi he jo najaiz he.
(Link Me Jawab Sune👇)
http://jamiaturraza.com/session/13Dec09/6.mp3
_Or Mobile phone ke zaroori masail me he,,_
Aaj Kal Mobile par kisi ki guftagu tep karne ka maqsad yahi hota he ki waqte zaroorat qail ko uski galt guftagu ka maza chakhaya jaae or use zaleel or ruswa kiya jaae. Ye jahat se or is niyyat se mobile par bila ijazat kisi ki guftagu tep karna jaiz nahi he.
*📚(MOBILE PHONE KE ZAROORI MASAIL, S-95)*
Or Gali Galoch karna sakht gunah, fisq w Azabe Qabr ka shabab he, gaali galoch karne wala taubah w astagfar kare.
Or gaali galoch jo ki gunah he usko aam karna bhi ek gunah he.. ki buri baat ko nashr karna bhi bura hota he. Zaid Ko chahiye ki vo bhi apne is fe'al se taubah w astagfar kare or aaindah is tarah ki gaali galoch vali clip ya koi bhi buri baat ko aam na kare.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_📬Pathan Moin Raza Azhari_*
📲
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖==========
MOBILE ME PAISE DE KAR GAME KHELNA KESA
Assalamualaikum
👇Hazrat Mera Ek Sawal hai
Ek mobile ka app hai jis me ham ko entry fee Dekar Quiz game (Sawal O Jawab ka muqabla) me hissa lena hota hai , Tamam Sawalat k Jo Jo Log Sahi answers dete hain unko inam k Taur par kuch Paise diye Jate hain, inaam k Paise jis Hisaab de Diye jate hain Wo niche ke photo me dekh sakte hain, k jis shaqs ka rank Jo Aata Hai Uske mutabiq usko Utne Paise Diye jate hain,
Ye inaam ke Paise Lena Kaisa hai,??
👆Huzoor Rehnumai Farmaye
*🌹JAWAB:-🌹*
W alaikum assalam w rahematullah...
Aap ke sawal se samaj me yahi aa raha he ki ye ek tarah ka game he or usme dakhila fees yaani paisa de kar lena padta he,
In'aam lena dena jaiz he lekin jo soorat sawal me darj he ki fees de kar entry karni padti he
Jis se ek musalman ka nuqshan hone ka andesha he or ye ek game yaani khel he jo taz'ee awqaat ke alawa or kuchh nahi lihaza in soorato ke peshe nazar dusrust na hoga.
Wallahu aa'alam
*📝Al-Jawab:- HAZRAT ALLAMA MUKHTAR AHEMAD SAHAB FAIZI,*
*_📮USTAD DARUL ULOOM MUSTAFIYA, HALDARVA, GUJRAT_*
*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
==========➖➖➖➖=========
MOBILE COMPANY SE BALANCE LOAN LENA KESA
Mobile Company se balance loan lena kesa ? Kuchh companya balance loan deti he maslan 10 rupye ka loan deti he or 12 ya 13 rupye baad me kaatti he. Kya ye loan lena jaiz he or kya ye sood hoga ?
*🌹JAWAB:-🌹*
_Mobile company Se balance loan lena jaiz he, isme Koi Harj Nahi, or ye sood nahi hoga._
Ba'az Companya kuchh balance advance me deti he or use loan wagairah ka naam deti he, or jab balance lod karate he to jitna advance liya hota he company wale usse kuchh zaaid kaat lete he, sharai taur par ye jaiz he kyu ki phone ki kisi company ki service ko paiso ke badle istemal karna ijara he, bilkul isi tarah jis tarah dukan wagairah kiraya par lena. *📚Tanweerul Absar* me ijra ki ta'arif is tarah likhi he "تملیک نفع بعوض" tajama:- kisi cheez ke auz(Badla) nafa'a ka malik hona.
*📚(DURRE MUKHTAR MA'A RADDUL MUHTAR, J-9, S-32)*
Yaha 2 baate qabile gaur he,
1. Loan ke waqt service ke paise zyada hote he company par lazim he ki is baat ki logo ko aagahi de.
2. Ise ba'az log waqa'i sood samajte he halaki us ko sood samajna galat he. Company paise nahi service deti he vo bhi ek khas had tak or grahak agar istemal kare to is ke paise kate jate he. Is me sood ki koi wajah nahi paai jati.
*📚(MOBILE PHONE SHARIYAT KE AAINE ME, S-199,200)*
*_ ✍Pathan Moin Raza Azhari,Petlad_*
📲8487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖==========
MOBILE SE YA RECORDING SE BACHCHE KE KAAN ME AZAN DENA KAISA
Bachay ki Pedaish k baad ghar k kisi Buzurg ya kisi Aalim-e-Deen se Mobile k Zariye usay Azan Dilwa saktay hain?
*🌹JAWAB:-🌹*
Nahi, azan ke liye ye he ki vaha par jo shakhs swaleh deendaar nek maujud ho uske kaan me azan kahe.
http://jamiaturraza.com/session/01Nov09/25.mp3
*_🎙AL-JAWAB:- QAZI UL QUZZAT HUZUR TAJUSHSHARIYAH MADDAZILAHUL AALI_*
Pehli baat to ye ki recording ka hukm asli azan ka nahi hota, jis tarah agar tilawat kisi ne record karli he to asli tilawat ki tarah vo nahi he, koi achchi niyyat ke sath sunta he sawab milna ye alag baat he lekin ham ye kahe ki recorded ya live azan sunta he ya tilawat sunta he to jo asal ka sawab he uska vo nahi he. live (mobile ya internet se) ka mamla alag he or direct sunne ka mamla alag he. To ye recording ke uper asal ke ahekam nahi aate to is liye ye kifayat nahi karega. Bachche ke kaan me azan dena rasoollallah sallallahu alaihi w sallam ki sunnat he or ye sunnat tab ada hogi jab bachche ke kaan me vaha maujdud ho kar azan di ja sake. kaan par mobile lagane se ye sunnat ada na hogi..
Wallahu ta'ala aa'alam
==========➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan Azhari_*
📲
==========➖➖➖➖=========
