Huzur ﷺ Ke Ba'az Ilme Gaib Ka Inkar Karne Wale Par Kya Hukm He ?
SAWAL:-
Kya Koi Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Ilm E Gaib Jo Ki Ahle Sunnat Ke Nazdik Ilm E Kulli Hai... Uska Inkar Kare to Kya Hukm E Sharah Hoga.
JAWAB:-
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
1.. Allah Paak Ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Deegar Anbiya-e-Kiram Alaihimus Salam Ko Apne Baaz Ghaiboon Ka Ilm Ata Farmaya Hai. Is Liye Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ya Deegar Anbiya Ke Liye Mutlaqan Yani Sare Se Hi Ilm-e-Ghaib Ka Inkar Karna Kufr Hai.
2.. Allah Paak Ne Apne Mahboob Bandon, Khaas Taur Par Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Ghaib-e-Khamsa (Woh Paanch Ghaib Ke Uloom Jin Ka Zikr Quran Mein Hai) Mein Se Bahut Se Juz'iyaat Ka Ilm Bhi Ata Farmaya Hai. Is Ka Inkar Karna Gumrahi Hai.
3.. Ilm-e-Ghaib Mein Se Yeh Bhi Hai Ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Qayamat Aane Ke Muayyan Waqt Ko Bhi Jaante Hain. Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Lauh-e-Mahfooz Par Likhe Hue Tamaam Ma Kaana Wa Ma Yakoon (Jo Kuch Duniya Mein Pehle Hua, Jo Kuch Ho Raha Hai Aur Jo Kuch Aainda Hone Wala Hai, Us Sab) Ka Ilm Hai, Aur Is Se Bhi Bahut Zyada Cheezon Ka Ilm Hai.
Albatta Is Teesri Soorat Mein Zikr Kiye Gaye Ghaiboon Mein Se Kisi Ghaib Ka Koi Shakhs Inkar Karta Hai To Yeh Kufr Ya Gumrahi Nahi Hogi, Jabke Inkar Karna Dil Ke Kisi Bughz Ki Wajah Se Na Ho.
(Mulakhkhas Az: Fatawa Razawiyya, Jild-29, Safha 414, 415, Matboo'a Raza Foundation, Lahore)
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujarat
Date: 18 March 2026, 28 Ramzan 1447
+918487928693
SAWAL-O-JAWAB F.T.S grp BahareMasail Bahare Masail
Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare

Comments
Post a Comment
Jazak Allahu khair