Huzur ﷺ Ke Ilme Gaib Ka Munkir Kafir He Ya Gumrah?
Agar Koi Shakhs Huzoor ﷺ Ke Ilm-e-Gaib Ka Inkar Kare To Us Par Kya Hukm Hoga? Kya Wo Kafir Hoga Ya Gumrah? Jawab Inayat Farmaye.
Huzoor-e-Akram ﷺ Ke Ilm-e-Gaib Ka Munkir Kaafir O Murtad Hai, Kharij Az Islam Hai. Kyunki Sarkar-e-Do Aalam ﷺ Ka Ilm-e-Gaib Nass-e-Qatai Se Sabit Hai, Aur Nass-e-Qatai Ka Inkar Kufr Hai.
Chunanche Qur'an-e-Muqaddas Me Hai:
Tarjuma: Gaib Ka Janne Wala To Apne Gaib Par Kisi Ko Musallat Nahiñ Karta Siwaye Apne Pasandeeda Rasoolo'n Ke.
(Soorah Jinn, Ayat 26-27)
Qur'an-e-Muqaddas Me Allah Tabarak Wa Ta'ala Irshad Farmata Hai:
Tarjuma: Aur Ae Mahboob Agar Tum Un Se Poochho To Kahenge Ke Hum To Yunhi Hansi Khel Mein The. Tum Farmao Kya Allah Aur Us Ki Aayaton Aur Us Ke Rasool Se Hanste Ho. Bahane Na Banao Tum Kafir Ho Gaye Musalman Ho Kar.
(Soorah Taubah, Ayat 65-66)
Chunanche Is Aayat Ki Tafseer Karte Hue Imam Tabri Farmate Hai'n:
Ek Shakhs Ki Oontni Gum Ho Gayi, Us Ki Talaash Thi, Wo Sarkar-e-Do Aalam ﷺ Ke Paas Aaya Aur Oontni Ke Muta'alliq Daryaaft Kiya. Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya Ke Oontni Falaañ Jungle Mein Falaañ Jagah Hai. Is Par Do Munafiqon Ne Aapas Me Kaha Ki Kya Ajeeb Shakhs Hai Agar Oontni Gum Ho Gayi To Jungle Me Dhoondhe, Bola: "Muhammad (ﷺ) Batate Hain Ke Oontni Falaan Jagah Hai, Muhammad Ghaib Kya Jaanen?" Is Par Allah Azzawajal Ne Yeh Aayat-e-Karima Utaari.
(Tafseer-e-Tabri at-Taubah, Taht Al-Aayah: 65; Durr-e-Mansoor, at-Taubah, Taht Al-Aayah: 65, 4/230)
Chunanche Maloom Hua Ki Sarkar-e-Do Aalam ﷺ Ke Ilm-e-Gaib Ka Inkar Karne Wala Kaafir Hai, Kharij Az Islam Hai. Is Par Aur Bhi Bahut Se Hawale Diye Ja Sakte Hai'n Lekin Itne Hi Par Bas Kiya Hai.
Wallahu Ta'ala Aalam

Comments
Post a Comment
Jazak Allahu khair