Loading Date...
﷽
Bahare Masail Header

Bahare Masail

Bahare Masail Ek Sunni Islami Sharai aur Fiqhi Website hai jahan Ahle Sunnat wa Jama'at Ke Maslak (Maslake Aala Hazrat) ke Mutabiq Qur'an-e-Kareem, Ahadith-e-Mubarakah aur Kutub-e-Ahle Sunnat ke Hawalon ke Saath Mukhtalif Islami Masaail, Fatawa Aur Sawal-o-Jawab Fiqhe Hanfi ki Roshani Main Pesh kiye jaate hain. Yahan Aqaaid,Namaz, Roza, Zakat, Hajj, Nikah-o-Talaq, Taharat, Jaise Rozmarra Aur Deeni Muamalat aur Deegar Zaroori Sharai Masaail se Muta'alliq Maloomat Roman Urdu Mein Pesh ki Jaati hai.

Hijri Date Adjustment

Latest Masail
Loading Latest Posts...

Maslake Aalahazrat Zindabad

Kya Sahaba E Kiram Fatiha W Qabro Par Nahiñ Jate The To Ham Bhi Na Kare ? | BahareMasail

 Kya Sahaba E Kiram Fatiha W Qabro Par Nahiñ Jate The To Ham Bhi Na Kare ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat, Ek Banda Hai Uske Baap Dada Sunni the Aur Vah Sule Kulli Wala Kam Kar Raha Hai Kahta Hai Ki Sahaba Ne Fatiha Nahiñ Kiya Hum Nahin Karenge, Sahaba Ikram Qabr per Nahin Gaye Ham Bhi Nahin Jaenge 

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sab Se Pahle to Ye Usool Kisi Sahabi Ne Nahi Banaya Ki Agar Koi Kaam Sahaba Na Kare'N to Wo Jayaz Na Hoga, Shareeat Me Aisa Kahiñ Maujood Nahi Ki Jis Kaam Ko Sahaba E Kiram Na Kare to Wo Jaaiz Na Hoga, Kisi Amal Ke Najayaz Hone Ke Liye Us Ke Adam E Jawaz Par Sareeh Daleel Ka Hona Zaroori Hai, Agar Ye Maan Liya Jaye Ki Sahaba Kiram Ne Jo Kaam Nahi Kiya Wo Jayaz Nahi Ya Bid'at Hai, to Phir Sahi Bukhari, Muslim Aur Siha Sitta Ye Sab Kitabe Sahaba Kiram Ne Nahi Likhi Jis Se Aaj Ke Daur Me Har Firqe Ka Aalim Istedlaal Karta Hai, Isi Tarah Sahaba Ne Madarse Nahi Banaye, Jo Qur'an Hamare Samne Maujood Hai Us Me Airab Kisi Sahabi E Rasool Ne Nahi Lagaye Balki Yusuf Hajjaj Ne Lagwaye the, Madarsa Kisi Bhi Sahabi E Rasool Ne Nahi Banaya, Aise Bahut Se Kaam Hai Jo Sahaba Ne Nahi Kiye to Kya Sab Bid'at Ho Gaye Nahi Bilkul Nahi Balki Jis Ne Deen Ke Fayde Ke Liye Koi Kaam Kiya Us Ka Use Bhi Sawab Hai Aur Uske Baad Use Karne Walo Par Bhi Sawab Hai,

Isaal E Sawab Karna Hadees Se Sabit Hai, Chunanche Hazrat Sa'Ad Bin Ubada Radiyallahu Ta'Ala Anhu Se Muta'alliq Ek Rivayat Mulahiza Ho, 
عن سعد بن عبادة رضي الله عنه قال:
قلت يا رسول الله إن أمي ماتت أفأتصدق عنها؟
قال نعم
قلت فأي الصدقة أفضل؟
قال سقي الماء
قال فحفر بئرا وقال هذه لأم سعد
Hazrat Sa‘ad Bin Ubadah Radiyallahu Anhu Ne Arz Ki:
Ya Rasoolallah ﷺ, Meri Maa Wafat Kar Gayi Hai, Kya Main Un Ki Taraf Se Sadqa Karun?
Farmaya: Haan.
Maine Poocha: Kaunsa Sadqa Afzal Hai?
Farmaya: Paani Pilana.
Raawi Kehte Hain: to Unhon Ne Ek Kuaan Khudwaya Aur Kaha:
Yeh Umme Saad Ke Liye Hai.
(Sunan Abi Dawud, Hadith 1681)

Ho Sakta Hai Is Se Koi Aitraz Kare Ki Ye to Sadqa Ka Hukm Hai Fatiha Ki Daleel Kaha Hai to Is Ke Mutalliq Ye Rivayat Mulahiza Ho:
عَنْ مَعْقِلِ بْنِ يَسَارٍ قَالَ قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ اقْرَءُوا يس عَلَى مَوْتَاكُمْ
Yaani Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Apne Marne Walo Par Soorah Yaseen Padha Karo.
(Sunan Abi Dawood Hadees 3121)

to Is Se Sabit Hua Ki Fatiha Aur Isaal E Sawab Ka Jawaz Ahadees Se Milta Hai, Ab Sahaba Kiram Ka Qabr Par Jana to Us Ke Muta'alliq Bhi Hadees Pesh Hai Sarkar E Do Aalam Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ka Farman Mubarak Hai:
 كُنْتُ نَهَيْتُكُمْ عَنْ زِيَارَةِ الْقُبُورِ فَزُورُوهَا
Main Tumhein Qabron Ki Ziyaarat Se Mana Karta Tha, Ab Tum Qabron Ki Ziyaarat Kiya Karo.
(Sahih Muslim, Hadith 977)
(Jami'a At-Tirmidhi, Hadith 1054)
(Sunan Ibn Majah, Hadith 1571)

Is Ke Alawa Ek Rivayat Aur Mulahiza Ho, 
عن داود بن أبي صالح قال
أقبل مروان يوما فوجد رجلا واضعا وجهه على القبر
فقال أتدري ما تصنع؟
فأقبل عليه فإذا هو أبو أيوب الأنصاري
فقال نعم جئت رسول الله ﷺ ولم آت الحجر
Dawood Bin Abi Salih Kehte Hain:
Ek Din Marwan Aaya to Usne Ek Shakhs Ko Dekha Jo Qabr Par Apna Chehra Rakhe Hue Tha.
Usne Kaha: Kya Tum Jaante Ho Tum Kya Kar Rahe Ho?
Jab Usne Dekha to Woh Hazrat Abu Ayyub Ansari رضي الله عنه the.
Unhon Ne Farmaya:
Haan, Main Patthar Ke Paas Nahin Aaya, Main Rasoolullah ﷺ Ke Paas Aaya Hoon
(Al-Mustadrak Al-Hakim, 8571)
(Al-Muajam Al-Kabir)

Yani Sahaba Kiram Rauza E Rasool Par Ziyarat Ke Liye Jate Bhi the Aur Us Se Faiz Bhi Lete the..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab 
✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Saiyed Shadab Ali Qadri Razvi Sahab, Meerut, Up
Date: 18 March 2026, 28 Ramzan 1447
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp* BahareMasail Bahare Masail 
+918487928693
Khadim: Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare

Comments

Most Popular Posts

KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ? Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ???

KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ? SAWAL Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ??? JAWAB: Hazrat imam ja'afar Sadiq radiallahu anhu ki fatiha kisi bhi tarikh ko kar sakte he lekin aap ke wisal ki tarikh 15 rajab he is lihaz Se15 Rajab ko kare ki hazrat ke wisal ki tarikh 15 rajab hi he to Afzal he. Or Jo Kunde Ki Niyaz Dilai Jaati He Vo 22 Rajab Ko Mash'hoor He, Or 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Ameerul Mu'amineen Hazrat Ameere Muawya RadiAllahu Anhu Ki Tarikhe Wisal He, Is Liye 22 Rajab Ko In Dono Hazraat Ke Naam Se Fatiha Kare Tab Bhi Afzal He. Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He, Hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 rajab ko kare ki hazrat ka wisal 15 rajab hi ko huaa he na ki 22 rajab ko... (FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-2,SAFA-265) (MIRATUL ASRAR SAFA-213) (SAWANEH BARAH IMAM SAFA-125) Mazkura kitab ke Mazkura safa par aap dekh sakte he ki hazrat imam ja'afar sadiq radiall...

Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹* Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ? *🌹JAWAB:-🌹* ```Shabe meraj, shabe barat ya jitni bhi shab aati he usme awam ko bataya jata he ki us din nafl namaze padhni chahiye.. ✅LEkin asl me ye nafl Namaze un ke liye he jiske zimme koi bhi Qaza namaz na ho yaani uski 5 waqto me se koi bhi farz namaz baaki na rahi ho. Is raat Agar Namaz padhe to apne zimme jo farz namaz chhuti he(qaza e umri) use pahle ada kare.. Or isi tarah roza ka bhi he Agar nafl roze rakhe to pahle ye niyyat kare ki jo mera farz Roza chhuta use ada kar raha hu. ✍🏻Q ki Jb tk kisi shakhs ke zimma farz baqi rahta hai, uska koi nafl qabool nhi kiya jata.```  Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid EDin O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi  *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua (...

ISLAM ME GANA (MUSIC/SONG) SUNNA KAISA

SAWAL: Assalam O Alaikum.... Hazrat Jo Gana (Song/Music)Sunte hai unke uper Qur_Aan O Hadees ki Roushni me kya Hukm hai Tafsil me Jawab mile to Jayada Behtar hoga .... Hazrat Rahnumai Farmaye... Jazakallaho Khair. JAWAB Islam me Music sunna najaizo haram w sakht azab he. Quran-e-Paak main ALLAH عزوجل fermata hai: "Aur kuch loog khel ki baate khareedte hain k ALLAH ki rah se behka dein be sumjhe aur esse hassi bana lein, un k liye zillat ka azaab hai". (Sura Luqman, Ayat:6) Tafseer : Hazrat Syedna Abdullah Bin Abbas رضی الله تعالی عنہ ney es ayat ki tafseer yeh fermai k es sey muraad aalat-e-moseeqi hain. Aik aur jaga irshad hua:"Aur behka dey in main sey jis per qudrat paey apni awaz sey". ( Surah Bani Israeil, Ayat:64) Hazrat Syedna Mujahid رضی الله تعالی عنہ ney eski tafseer gaaney baajon k sath ki. Ahadees : AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"ALLAH عزوجل tanbura, saaringi, aur dugdugi bajany waly k illawa her gunahgar ko muaaf ferma d...