Loading Date...
﷽

Hijri Date Adjustment

Latest Masail
Loading Latest Posts...

Maslake Aalahazrat Zindabad

Kalma Me Muhammadur Rasoolullah Or Azan Me Muhammadar Rasoolullah Kyuñ He ?

 *Kalma Me Muhammadur Rasoolullah Or Azan Me Muhammadar Rasoolullah Kyuñ He ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Azan Dene Mein Jo Sarkar Abd Karar Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Sallam Ke Naam E Paak Mein Jo Pesh Ka Jabar Ho Jata Hai Jaise Kalma Sharif Mein Muhammadur Rasoolullah Hai Magar Azan Mein Muhammadar Rasoolullah Kaha Jaata Hai Iski Wajah Ma Tafsir Ata Karde Barahe Meharbani

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kalma E Tayyaba La Ilaha Illallaahu Muhammadur Rasoolullah Me Muhammad Mubtada Hai, Aur Rasoolullah Khabar Hai, Yaani Muhammad Allah Ke Rasool Hai, Is Me Ism E Muhammad Mubtada Hai, Aur Allah Ke Rasool Hai Ye Khabar Hai, Aur Jab Ism Mubtada Hota Hai to Marfoo'a Hota Hai, Lekin Azan Ke Kalma Me Fark Ye Hai Ki Azan Ke Kalma Me Ashahadu Ke Baad "Anna" Lafz Hai, Aur Usool Ye Hai Ki Jab "Anna" Kisi Kalma Par Dakhil Hota Hai Ism Par Nasab Yaani Zabar Deta Hai, to Ye Qayda Samjh Lena Chahiye, Baharhal Ye Qayda Un Ko Samjh Ayega Jinhone Dars E Nizami Ka Thoda Bahut Ilm Hasil Kiya Hoga..

Baharhal Ye Ki Kalma Tayyaba Me Ism Muhammad Mubtada Hone Ki Wajah Se Us Par Pesh Aaya Aur Azan Ke Kalma Me Kalime Par Anna Dakhil Hone Ki Wajah Se Ism E Muhammad Par Zabar Aaya..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab 
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Saiyed Shadab Ali Qadri Razvi Sahab, Meerut, Up*
*🗓️5 March 2026, 15 Ramzanul Mubarak 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Kaba Shareef Ya Masjide Nabwi Ke Imam Ke Pichhe Namaz Parhna Kesa ?

 *Kaba Shareef Ya Masjide Nabwi Ke Imam Ke Pichhe Namaz Parhna Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Farmate Hai Olama E Ikram Wa Muftiyaan E Deen 

Is Time Jo Kaba Shareef Ka Jo Imam Hai Uske Piche Namaz Padhna Kaisa Jabki Duniya Ke Tamam Firqe Ke Log Uske Peeche Namaz Padte Hai Kya Ye Durust H ? (Hamare Ek Sunni Sahi Ul Aqida Bhaii Ne Kaha Ki Namaz Kisi Ke Bhi Peeche Padho Ho Jayegi Namaz Depend Hai Niyat per Isper Hame Pata Hai Namaz Bad-aqida Ke Peeche Nahi Hogii Lekin Isko Tafseel Se Hadees Ki Roshni Me Bata Dein Taki Usko Bataya Ja Sake ....

Aur Masjid E Nabawi Ke Imam Ke Peeche Namaz Padhna Kaisa?

Aur Ek Bhai Ne Kaha Ki Us Imam Ka Martaba Allah Ne Itna Buland O Bala Kardiya Ki Khana E Kaba Ka Imam Hai Uske Peeche Roj 50 Lakh Log Namaz Pad Rhe H Isko Bhi Tafseel Se Bayan Farma Dijiye
محمد سیفی رضوی
Jazak Allah Khair

*🌹JAWAB:-🌹*
 *الجواب بعون الملک الوھاب*
Masjid E Haram Aur Masjid E Nabwi Shareef Ka Jo Is Waqt Imam Hai, Ye Log Apne Aqaaid E Batila Ki Wajah Se Kaafir Haiñ Kharij Az Islam Hai'n, Wo Log Muhammad Bin Abdul Wahab Najdi Ke Pairokaran Me Se Hai Jis Par Bahukme Shara'a Fatwa E Kufr Aaid Hai, Hatta Ki Khud Us Ke Bhai Suleman Bin Abdul Wahaab Ne Us Par Hukm E Kufr Lagaya Aur Us Ke Radd Me Ek Kitab Likhi, " Al Sawaiqul Ilaahiya Fi Radd Alal Wahabiya" Jis Me Us Par Hukm E Kufr Lagaya, 

Allama Ibne Aabideen Shami Rahmatullah Alaih (Wafat 1252 Hijri) Raqam Taraz Hain:
“Yeh Un Logoñ Ki Misaal Hai Jinhoñ Ne Hazrat Ali Radhiyallahu Anhu Ke Khilaf Khurooj Kiya, Warna Un Ke Kharji Hone Ke Liye Sirf Yahi Baat Kaafi Hai Ke Unhoñ Ne Un Logoñ Ko Kafir Kaha Jin Ke Khilaf Unhon Ne Khurooj Kiya Tha.
Jaisa Ke Hamare Zamane Mein Muhammad Bin Abdul Wahhab Ke Pairokar Jo Najd Se Nikle Aur Haramain Sharifain Par Qabiz Ho Gaye. Aur Woh Khud Ko Hanbali Al-Mazhab Kehte the, Lekin Un Ka Aqeeda Yeh Tha Ke Musalman Sirf Woh Aur Un Ke Hamnawa Afrad Hain, Aur Aqeede Mein Jo Un Ke Khilaf Hain Woh Musalman Hi Nahin Balki Mushrik Hain. Isi Bina Par Unhon Ne Ahle Sunnat Aur Ulama-E-Ahl-E-Sunnat Ke Qatl Ko Jaaiz Rakha.”
*📚(Alama Ibn Abideen Shami, Mutawaffa 1252h — Urdu Tarjuma Raddul Muhtar, Jild 3, Safha 427–428)*
 
Sunan Abu Dawood Me Rivayat Hai,
حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ صَالِحٍ، حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ وَهْبٍ، أَخْبَرَنِي عَمْرٌو، عَنْ بَكْرِ بْنِ سَوَادَةَ الْجُذَامِيِّ، عَنْ صَالِحِ بْنِ خَيْوَانَ، عَنْ أَبِي سَهْلَةَ السَّائِبِ بْنِ خَلَّادٍ_ قَالَ أَحْمَدُ مِنْ أَصْحَابِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ_، أَنَّ رَجُلًا أَمَّ قَوْمًا فَبَصَقَ فِي الْقِبْلَةِ وَرَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَنْظُرُ، فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ حِينَ فَرَغ:َ >لَا يُصَلِّي لَكُمْ, فَأَرَادَ بَعْدَ ذَلِكَ أَنْ يُصَلِّيَ لَهُمْ، فَمَنَعُوهُ، وَأَخْبَرُوهُ بِقَوْلِ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَذَكَرَ ذَلِكَ لِرَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَقَالَ: نَعَمْ، وَحَسِبْتُ أَنَّهُ قَالَ: >إِنَّكَ آذَيْتَ اللَّهَ وَرَسُولَهُ
Sayyidna Abu Sahlah Saib Bin Khallad Se Riwayat Hai. Ahmad (Ahmad Bin Salih, Imam Abu Dawood Ke Ustad) Kehte Hain Ke Woh (Saib) Ek Sahabi Hain. Un Se Riwayat Hai Ke Ek Shakhs Ne Apni Qaum Ki Imamat Karai Aur Us Ne Qibla Ki Taraf Thook Diya Jabke Rasool Allah ﷺ Dekh Rahe the.
Jab Woh Namaz Se Farigh Hua to Aap ﷺ Ne (Us Ki Qaum Se) Farmaya: “(Ainda) Yeh Tumhein Namaz Na Padhaye.”
Is Ke Baad Us Ne Unhein Namaz Padhana Chaha to Unhon Ne Use Rok Diya Aur Rasool Allah ﷺ Ka Farman Suna Diya. Phir Us Ne Yeh Baat Rasool Allah ﷺ Se Zikr Ki to Aap ﷺ Ne Farmaya: “Haañ.”
Aur Mera Khayal Hai Ke Aap ﷺ Ne Yeh Bhi Farmaya: “Tum Ne Allah Aur Us Ke Rasool Ko Iza Di Hai.” *📚(Sunan Abu Dawood, Hadees 481)*

Is Hadees Se Pata Chala Ki Jab Qibla Ki Taraf Munh Karke Thokne Wale Par Sarkare Do Alam Sallallahu Alaihi Wasallam Is Qadar Mutashaddid Hue Jabki Us Ne Sirf Itna Jurm Kiya Ki Qibla Ki Taraf Munh Kar Ke Thooka Tha to Phir Us Ka Haal Kya Hoga Jo Sarkar E Do Alam Sallallahu Alaihi Wa Aaallihi Wasallam Ki Shan Me Gustakhiya Kare, Jo Sahi Hil Aqeeda Musalmano Par Kufr Ke Fatwe Lagaye, Aaqa Kareem Ko Bhi Yahi Kah Dena Chahiye Tha Ki Namaz to Niyat Par Hai, Aur Jis Shakhs Ka Ye Kahna Hai Ki Namaz to Kisi Ke Bhi Peeche Ho Jayegi to Use Chahiye Ki Namaz Wo Pandit Aur Padri Ke Peeche Bhi Padh Liya Kare, Jab Uski Namaz Sab Ke Peeche Ho Jati Hai, Kaseer Tadad Me Log Namaz Padhte Hai'N to Kasrat Ki Wajah Se Kisi Badaqeeda Ka Musalman Hona Sabit Na Ho Jayega, Kasrat Se Logo Ka Us Ke Peeche Namaz Padhna Koi Daleel Nahi Hai, Agar Kasrat Ka Hona Haq Hona Hai to Karbala Me 72 Ek Taraf the Aur 22000 Ek Taraf, Kya Unhe Haq Par Samjh Liya Jaye, Nahi! Aur Ek Shakh Jo Imam Kaba Aur Masjid Nabwi Hai Wo Is Wajah Se Aala Martabat Ho Gaya to Jis Shakhs Ne Sarkar Ka Zamana Paaya Ho Uska Bhi to Kuch Na Kuch Rutba Hoga Magar Sarkar E Do Alam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Saaf Saaf Mana Farma Diya Ki Aainda Ye Shakhs Namaz Na Padhaye, Chunanche imam E Haram Aur Imam E Masjid E Nabwi Jo Daur Hazir Ke Hai Un Ke Peeche Namaz Jaaiz Nahiñ.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Saiyed Shadab Ali Qadri Razvi Sahab, Meerut, Up*
*🗓️5 March 2026, 15 Ramzanul Mubarak 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Kisi Ko Application Me Course Bechna Is Shart Ke Sath Ki Kisi Or Ko Na De Jaaiz He Ya Nahiñ ?

 *Kisi Ko Application Me Course Bechna Is Shart Ke Sath Ki Kisi Or Ko Na De Jaaiz He Ya Nahiñ ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Warahmatullah 

Kya Farmatey Hai Ulama O Muftiyane Keram Is Mas'Le Mai 
Ek Shakhs Question Bank Exam Mai Zaroori Question ( Apni Application Mai Banakar Bechta Hai Usne Shart Lagai Hai Jo Usey Khareeday Sirf Wo Hi Is Question Bank Se Padhai Kar Sakta Hai Baki Dusro Ko Share Karne Ki Ijazat Nahi .) 

Ab Zaid Ne Khareed Kar Free Mai Apne Nizam Ko Send Kardiya Ab 

Nizam Ko Malik Se Muafi Mangna Hoga ? Aur Kya Uski Raqam Bhi Ada Karni Hogi

*🌹JAWAB:-🌹*
وعلیکم السلام ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
Shakhs-E-Mazkoor Ka Is Tarah Ki Shart Laga Kar Bai' Karna Najaaiz Hai Aur Agar Zaid Ne Aisi Shart Ke Sath Kharida Hai to Yeh Bai' Wajib-Ul-Radd Hai Aur Usko Tod Dena Laazim. Phir Bhi Agar Zaid Ne Use Kharid Liya to Use Har Tarah Ka Malikana Haq Hasil Hai, Woh Chahe to Beche, Hiba Kare Ya Apne Tasarruf Me Laaye, Shakhse Mazkoor Use Mana'a Nahi Kar Sakta. Is Liye Zaid Par Kuch Ilzam Nahiñ Aur Nizam Ko Muaafi Ki Bhi Zarurat Nahiñ..

Lekin Jis Kisi Ne Yeh Application Banayi Hai Us Ka Maqsad Chunki Paisa Kamana Hai Aur Open Rakhega to Maqsad Faut Ho Jayega, Lihaza Agar Woh Is Se Bachna Chahta Hai to Use Poora Haq Hasil Hai Ke Application Me Koi Aisa Password Ya Security Laga De Ke Log Us Ki Ijazat Ke Bagair Forward Na Kar Sakeñ..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Mufti Nizamuddin Razvi Amjadi Sahab Qibla*
*📬 Khadimut Tadrees Jaamia Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow*
*🗓️24 March 2026, 6 Zulhijja 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Ehraam Me Santra (Orange) Khana Kesa ?

 *Ehraam Me Santra (Orange) Khana Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام عليكم ورحمة الله وبركاته 
a Ques Was Asked to Me:
Can We Eat Oranges in State of Ihram or the Ruling of Lemon Apply to It Aswell ?
(Kya Ehraam Me Orange{Narangi/Mosambi}Kha Sakte He ? )

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Isi Tarah Ke Ek Sawal Ke Jawab Me Mufti Mahmood Akhtar Sahab Qibla Mumbai Farmate Hai,

(Halate Ehraam Me Santra (Orange) Khana) Makrooh He, Unki Khushbu Sunghna Ye Khushbudaar Cheez Khana Ye Makrooh He, or Ilaichi, Long, Daal Chini Ye Agar Khaye to Dam Dena Hoga, Lekin Ye Maalta, Santra (Orange) Iski Khushbu Makrooh He..

Or Bahare Shariyat Me Ehram Ke Makroohaat Me He,
Qasdan Khushboo Sunghna Agarche Khushboo Daar Phal Ya Pitta Ho Jaise Limuñ (Lemon), Narangi (Orange) Pudina, Itrdana. (Ehraam Me Makrooh He.)
*📚(Bahare Shariyat, H-6, Ehraam Ke Makroohat)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab 
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujarat*
*🗓️24 May 2026, 6 Zulhijja 1447*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Ghar Office Ya Kisi Jagah Namaze Panjwaqta Or Jumuah Parhai Jati Ho To Kya Vo Jagah Masjid Ke Hukm Me Hogi ?

 *Ghar Office Ya Kisi Jagah Namaze Panjwaqta Or Jumuah Parhai Jati Ho To Kya Vo Jagah Masjid Ke Hukm Me Hogi ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Farmate Hai Muftiyaan E Deen/Ulma E Kiraam Masla'a Zail Me,

Agar Koi Namaz Padhne Ki Jagah Banali Gayi Kisi Tower K Andar Hi Pehle Manzil Par, Ab Udhr Panj Waqta Namaz Hoti Hai Lekin Jumu'ah Wa Eidain Nahiñ Ab Ispar Kya Sharai Masjid Kay Ehkaam Laagu Hongay ? 

Aur Agar Isi Tarah Ka Dusri Jagah Hai ( Matlab Tower Mai Pehle Manzil Par Masjid Ke Liye Khaas Kardiya Gaya ) Wahañ Eidain Wa Jumuah Padhaya Jata Hai to Kya Ab Yeh Masjid Kay Hukum Mai Ayegi ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
 الجواب بعون الملک الوھاب 
Kisi Jagah Namaz E Jumuah Aur Namaz Eidain Ke Liye Izne Aam Shart Hai,

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me Hai, 
"Badshah Ne Apne Makan Me Jumuah Padha, Aur Darwaza Khol Diya, Logoñ Ko Aane Ki Aam Ijazat Hai, to Ho Gaya Log Aaye Ya Na Aaye, Aur Darawaza Band Kar Ke Padhaya Aur Darbariyoñ Ko Bitha Diya Ki Logoñ Ko Aane Na Deñ to Jumuah Na Hua" 
*📚(Bahar E Shariyat Hissa-4, Safha 99 Qadri Kitab Ghar)*

Lekin Kisi Jagah Namaz E Jumuh Wa Eidain Ya Namaz E Panjgana Hoti Ho Tab Bhi Wo Sharai Taur Par Masjid Me Shumar Na Hogi Kyunki Masjid Ke Liye Waqf Hona Shart Hai, Jaisa Ki Kutub E Fiqah Me Hai 
الوقف لا یملک 
Chunanche Ye Dono Hi Jagah Masjid Ke Hukm Me Nahiñ, Albatta Un Me Namaz Durust Hai, Aur Agar Izne Aam Hai Or Jumuah Ki Digar Sharteñ Paai Jaye to Jumuah Bhi Durust Hai...
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Saiyed Shadab Ali Qadri Razvi Sahab, Meerut, Up*
*🗓️5 March 2026, 15 Ramzanul Mubarak 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Most Popular Posts

KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ? Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ???

```KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ?👇🏻``` *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ??? *🌹JAWAB:-🌹* Hazrat imam ja'afar Sadiq radiallahu anhu ki fatiha kisi bhi tarikh ko kar sakte he lekin aap ke wisal ki tarikh 15 rajab he is lihaz Se15 Rajab ko kare ki hazrat ke wisal ki tarikh 15 rajab hi he to Afzal he. Or Jo Kunde Ki Niyaz Dilai Jaati He Vo 22 Rajab Ko Mash'hoor He, Or 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Ameerul Mu'amineen Hazrat Ameere Muawya RadiAllahu Anhu Ki Tarikhe Wisal He, Is Liye 22 Rajab Ko In Dono Hazraat Ke Naam Se Fatiha Kare Tab Bhi Afzal He. Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He, Hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 rajab ko kare ki hazrat ka wisal 15 rajab hi ko huaa he na ki 22 rajab ko... *📚(FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-2,SAFA-265)* *📚(MIRATUL ASRAR SAFA-213)* *📚(SAWANEH BARAH IMAM SAFA-125)* Mazkura kitab ke Mazkura safa par aap dekh sa...

Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹* Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ? *🌹JAWAB:-🌹* ```Shabe meraj, shabe barat ya jitni bhi shab aati he usme awam ko bataya jata he ki us din nafl namaze padhni chahiye.. ✅LEkin asl me ye nafl Namaze un ke liye he jiske zimme koi bhi Qaza namaz na ho yaani uski 5 waqto me se koi bhi farz namaz baaki na rahi ho. Is raat Agar Namaz padhe to apne zimme jo farz namaz chhuti he(qaza e umri) use pahle ada kare.. Or isi tarah roza ka bhi he Agar nafl roze rakhe to pahle ye niyyat kare ki jo mera farz Roza chhuta use ada kar raha hu. ✍🏻Q ki Jb tk kisi shakhs ke zimma farz baqi rahta hai, uska koi nafl qabool nhi kiya jata.```  Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid EDin O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi  *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua (...

ISLAM ME GANA (MUSIC/SONG) SUNNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹* Assalam O Alaikum.... Hazrat Jo Gana (Song/Music)Sunte hai unke uper Qur_Aan O Hadees ki Roushni me kya Hukm hai Tafsil me Jawab mile to Jayada Behtar hoga .... Hazrat Rahnumai Farmaye... Jazakallaho Khair. *🌹JAWAB:-🌹* Islam me Music sunna najaizo haram w sakht azab he. Quran-e-Paak main ALLAH عزوجل fermata hai: "Aur kuch loog khel ki baate khareedte hain k ALLAH ki rah se behka dein be sumjhe aur esse hassi bana lein, un k liye zillat ka azaab hai". *📚(Sura Luqman, Ayat:6)* Tafseer:Hazrat Syedna Abdullah Bin Abbas رضی الله تعالی عنہ ney es ayat ki tafseer yeh fermai k es sey muraad aalat-e-moseeqi hain. Aik aur jaga irshad hua:"Aur behka dey in main sey jis per qudrat paey apni awaz sey". *📚(Sura Bani Israeil, Ayat:64)* Hazrat Syedna Mujahid رضی الله تعالی عنہ ney eski tafseer gaaney baajon k sath ki. Ahadees: -AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"ALLAH عزوجل tanbura, saaringi, aur dugdugi bajany waly k illawa h...