Mureed Ke Bay'at Todne Se Toot Jayegi

*🌹SAWAL:-🌹*
Peer Ka Kisi Se Koi Mas'ala Me Ikhtelaf Ho Gaya Mureed Apne Peer Ko Galti Par Jaan Kar Bay'at Tod De Or Kisi Dusre Peer Se Mureed Ho Jaye Ba'ad Me Mureed Ko Ma'aloom Huva Ki Uska Peer Galti Par Nahi Tha To Kya Bay'at Baaqi Rahi Ya Mureed Ke Tod Ne Se Toot Gai Ab Vo Peer Hayat Bhi Nahi He.

*🌹JAWAB:-🌹*
_Aala Hazrat Muhaqqiqe Barailvy Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He_

Peere  Tariqat Jaame'a Sharait Sehate Bay'at Se BilaWajah Sharai Inheraf Irtedade Tariqat He Or Shar'an Mo'asiyat Ki Bila wajah Eeza W Ehteqare Muslim He Or Dono Haram.

Allah  عَزَّوَجَلَّ  Farmata He,
فمن نکث فانما ینکث علی نفسہ.
(To Jisne Ahad Toda Usne Apne Bure Ahad Ko Toda)
*📚(Surah Fatah, Aayat-10)*

*📚(FATAWA RAZVIYA, J-27, S-577, RAZA FOUNDATION)*

Soorate Mas'ula Me Zahir He Ki Peer Sahab Galti Par Nahi The, To Tahqiq Kiye Bagair Bay'at Tod Dena Tariqat Se Inheraf Bhi He Or Kaare Gunah Bhi, Isi Se Ye Bhi Ma'aloom Hua Ki Mureed Ke Bay'at Todne Se Toot Jati He,
Falihaza Bay'at Awwal Baqi Nahi Rahi, Mureed Ko Chahiye Ki Sachchi Taubah Kare Or Naye Sare Se Mureed Ho.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Muhammad Shakeel Akhtar Qadri Barkati Sahab Qibla*
*📬Shaikhul Hadis Ba-Madrastul Banat Maslake Aala Hazrat Sadrus Soofa, Hubli Karnatak*

Isi Tarah Ek Or Jagah Par Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahma Farmate he,

Peer Par Ta'ana W Tashnee'a Irtedade Tariqat He Is se Khilafat Darkinar Bay'at Se Bhi Kharij Ho Jata He.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-6, S-550)*

Lihaza Pahle Peer Se Bila Tahqiq Or Bila Sharai Uzr Bay'at Todne Par Sakht Gunahgar w Fe'ale Haram ka Murtakib Hoga, Magar Bay'at Toot Jayegi, Ab Jab Ki Vo Dusre Peer Se Mureed Ho chuka Or Dusre Peer Bhi Jame'a Sharait He To Ab Unse Bay'at Todne Ki ijazat Nahi, Lihaza Dusre Peer Se Bay'at Qaim Rakhe.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲8487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts