Imame Ke Pech Par Sajda Karne Se Namaz Ka Hukm

 *Imame Ke Pech Par Sajda Karne Se Namaz Ka Hukm*

*🌹SAWAL:-🌹*
hazrat Aap Ki Bargah Mai Ye Sawaal Arz Hai Ki Mai Imama Shareef Baandh Ke Namaaz Padhta Hu to Sajde Mai Meri Paishaani Zameen Mai Touch Nhi Hoti Balki Mera Imama Zameen Mai Touch Hota Hai to Kya Mera Sajda Durust Hoga Ya Nahi Rehnumai Farmai

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Imama Pahan Kar Is Tarah Sajda Kiya Ki Peshani Zameen Par Jam Jaaye to Sajda W Namaz Ho Jayegi, Agarche Imama Ka Pech Zameen Par Lage... Or Agar imama Pahne Hua Tha or Sajde Ki Halat Me Imame Ki Pech Ki Wajah Se Peshani Zameen Par Na Jami Ya Dabane Se Aur Dabegi, Faqat Chhu Gaya Ya Faqat Sar Ka Koi Hissa Laga to Sajda Na Hoga...

Hidaya Me He,
فان سجد علی کور عمامتہ او فاضل ثوبہ جاز لان النبی صلی اللہ علیہ وسلم کان یسجد علی کور عمامتہ
*📚(Hidaya, J-1, S-109)*

Or Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Imama Ke Pech Par Sajda Kiya Agar Maatha Khub Jam Gaya, Sajda Ho Gaya or Maatha Na Jama Balki Faqat Chhu Gaya Ki Dabane Se Dabega Ya Sar Ka Koi Hissa Laga, To Na Huva.
*📚(Bahare Shariyat, H-3, S-515)*
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓19 Sep 2023, 3 Rabi Ul Awwal 1445*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Badmazhab Se Rishta Qayam Karne Wale Se Rishta Rakhne Ka Ta'alluq Se

 *_Badmazhab Se Rishta Qayam Karne Wale Se Rishta Rakhne Ka Ta'alluq Se_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Huzur Zaid Ka Koi Rishte Daar, Maslan Zaid Ke Mama to Sunni He, Lekin Unhone Nikah 'Gair Muqalid' Larki Se Kiya to Kya Ab Zaid Apne Mama Ya Koi Bhi Aisa Rishte Daar, Jo He to Sunni Lekin Uska Nikah Gair Muqalid Se Huaa He Unse Rishta Rakh Sakte Hai...?
Hazrat Rhenumai Farmaden...

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Agar Usne Aqaaid Ke Ta'alluq Se Laa Ilmi Me Us Ladki Se Nikah Kiya He Ya Fir Ayse Aqaaid Waaloñ Ka Kya Hukm He? Is Baare Me Jaankari Kam Hone Ki Wajah Se Nikah Kiya He to Ek Martaba Izmaame Hujjat Ke Liye Samjha Leñ.. Or Fir Agar Vo Ladki Jiske Yahañ Rishta Kiya Yaani Vo Jiski Zaujiyat Me Vo He Vahi Gair Muqallid Ho to Aysi Soorat Me Vo Fauran Judaaigi Ikhtiyar Kare, or Agar Samjhane Ke Baad Bhi Judaaigi Ikhtiyar Nahiñ Karta Ya Vo Taubah Nahiñ Kar Leti to Aysi Soorat Me Usse Bhi Qat'e Ta'alluq Laazim He..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Juned Raza Azhari Sahab Qibla*
*_📬Fazile Jame'a Azhar Misr, Nadiyad Gujarat_*
*🗓️12 Sep 2023, 25 Safarul Muzaffar 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Shohar Ke Inteqal Par Biwi Par Iddat W Sog He Magar Biwi Ki Maut Par Shohar Par Iddat W Sog Kyuñ Nahiñ ?

 *Shohar Ke Inteqal Par Biwi Par Iddat W Sog He Magar Biwi Ki Maut Par Shohar Par Iddat W Sog Kyuñ Nahiñ ?*

Kya Farmate Hai Aulma E Kiram W Muftiyane Izaam Is Mas'ala Me Ki,
Agar Shohar Ka Inteqal Ho to Uski Biwi Us Par Iddat Karti He Par Biwi Ka Inteqal Hota He To Shohar Aysa Kuchh Kyuñ Nahiñ Karta He ? Donoñ Ka Hukm Barabar He to Shohar Ko Kya Karna Chahiye ? Bara E Karam Jawab Inayat Farma Kar Shukriya Ka Mauka Deñ..

*Al-Mustafti:* Muhammad Naved Raza, *Saakin:* Laal Poor Patti Qadar Khan, Rampur, Up

*بسم الله الرحمن الرحيم*
*حامداومصليا و مسلما الجواب اللهم هداية الحق والصواب*

Maut Ahdul Zaujain Se Sirf Aurat Par Iddat Wajib He Mard Par Iddat Nahiñ Is Ki Kai Wajheñ Hai.. 

1 Wajah Ye He Ki Allah عَزَّوَجَلَّ  Ne Aurtoñ Par Iddat Guzarne Ka Hukm Diya He Mardoñ Ko Nahiñ, 

Allah Ta'ala Qur'aan Majeed Me Irshad Farmata He,
وَ الَّذِیۡنَ یُتَوَفَّوۡنَ مِنۡکُمۡ وَ یَذَرُوۡنَ اَزۡوَاجًا یَّتَرَبَّصۡنَ بِاَنۡفُسِہِنَّ اَرۡبَعَۃَ اَشۡہُرٍ وَّ عَشۡرًا ۚ
Tarjama: or Tum Me Jo Mareñ or Bibiyañ Chhore Vo Char Mahine Das Din Apne Aapko Roke Raheñ
*📚(Surah Baqrah, Aayat-234)*

Sharah Mukhtasar Al-Tahawi Me He,
العدة واجبة من يوم الطلاق ويوم الموت، وذلك لقول الله تعالى: يَتَرَبَّصْنَ بِأَنْفُسِهِنَّ أَرْبَعَةَ أَشْهُرٍ وَّعَشْرًا 
*📚[باب العدة والاستبراء، ج۵، ص۲۳۸]*

Ek or Maqam Par Irshad Farmaya,
وَاللَّاتِي يَئِسْنَ مِنَ الْمَحِيْضِ مِنْ نِّسَائِكُمْ إِنِ ارْتَبْتُمْ فَعِدَّتُهُنَّ ثَلَاثَةَ أَشْهُرٍ وَّاللَّائِي لَمْ يَحِضْنَ وَأُولاتُ الْأَحْمَالِ أَجَلُهُنَّ أَنْ يَضَعْنَ حَمْلَهُنَّ وَمَنْ يَّتَّقِ اللهَ يَجْعَل لَّهُ مِنْ أَمْرِهِ يُسْرًا 
Tarjama: Aur Tumhari Aurtoñ Me Jinheñ Haiz Ki Ummid Na Rahi Agar Tumheñ Kuchh Shak Ho to Unki Iddat 3 Mahine He or Unki Jinheñ Abhi Haiz Na Aaya or Hamal Waaliyoñ Ki Meaad Ye He Ki Vo Apna Hamal Jan Leñ Aur Vo Allah Se Dare Allah Uske Kaam Me Aasani Farma Dega.
*📚(Surah Talaq, Aayat-4)*

2 (Dusri) Wajah Ye He Ki Nikah Aurat Ke Haq Me Ek Azeem Ne'amat He Ki Ba-Wajhe Nikah Shohar Uski Hifazat W Siyaanat, Uska Nafqah, Kapda Or Maskan Ka Kharcha Bardasht Karne Ka Mukallaf Ho Jata He to Uske Faut Hone Par Aurat Par Iddat Wajib He Ki Us Ne'amate Azma Ke Faut Hone Par Gam Ka Izhaar Kare,

Imam Alauddin Abu Bakar Bin Mas'aood Kaasani رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ Raqam Taraaz He,
" ان العدة تجب لاظهار الحزن بفوت نعمة النكاح اذ النكاح كان نعمة عظيمة في حقهافان الزوج كان سبب صيانتها وعفافها وايفائها بالنفقة والكسوة والمسكن فوجب عليها العدة اظهار اللحزن بفوت النعمة وتعريف القدرها"
*📚(بدائع الصنائع في ترتيب الشرائع، فصل في عدة الاشهر، ج۴، ص۴۹۴)*

3 (Tisri) Wajah Ye He Ki Iddat Aurat Par Wajib He Taa Ki Waazeh Ho Jaye Ki Aurat Ke Raham Me Faut Shuda Mard Ka Nutfa He Ya Nahiñ ?,

Shaikhul Islam Burhanuddin Ali Bin Abu Bakar Margeenani  رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ Tahreer Farmate Hai,
"ان العدة للتعرف عن براءة الرحم لا لقضاء حق النكاح" و فيه ايضا : "يجب اظهار اللتاسف على فوت نعمة النكاح الذي هو سبب لصونهاو كفاية مؤنها"
*📚(ہدایہ اولین ، کتاب الطلاق، باب العدة، ص۴۰۴ تا ۴۰۷، مجلس برکات مبارک پور)*

Muhaqqiq Alal Itlaaq Imam Kamaaluddin Ibne Humaam رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ Raqam Farmate Hai,
"ان العدة تجب للتعرف وانها ايضا تجب لقضاء حق النكاح باظهار الاسف عليه"
*📚(فتح القدير، كتاب الطلاق، باب العدة، ج۴، ص۲۷۶)*

Durre Mukhtar Ma'a Tanweerul Absaar Me He,
"ثلاث حيض كوامل لعدم تجزى الحيضة، فالاولى لتعرف براءة الرحم والثانية لحرمة النكاح والثالثة لفضيلة الحرية" و في حاشيته الشامية: "بيان لحكمة كونها ثلاثا مع ان مشروعية العدة التعرف براءة الرحم أى خلوه عن الحمل وذلك يحصل بمرة فبين ان حكمة الثانية لحرمة النکاح ای لاظهار حرمته و اعتباره حيث لم ينقطع اثره بحيضة واحدة في الحرة والامة وزيد في الحرة ثالثة لفضيلتها"
 *📚(شامی، کتاب الطلاق، باب العدة ، ج۵، ص۱۸۲ ، زکریا)*

Imam Alauddin Abu Bakar Bin Mas'ood Kaasani رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ  Raqam Taraaz Hai,
"انما قدرت هذه العدة بهذه المدة لان الولد يكون في بطن امه اربعين يوما نطفة ثم اربعين يوما علقة ثم اربعين يوما مضغة ثم ينفخ فيه الروح في العشر فامرت بتربص هذه المدة ليستبين الحبل ان كان بها حبل"
*📚(بدائع الصنائع في ترتيب الشرائع، فصل في عدة الاشهر ، ج۴، ص۵۰۲)*

Or لباب فی شرح الکتب Me He,
"ان العدة للتعرف عن براءة الرحم لا قضاء حق النكاح والحيض هو المعرف والاشهر قائمة مقام الحيض"
*📚(کتاب العدۃ، الجزء الثالث، ص٨٥)*

Sadrushshariyah Allama Mufti Muhammad Amjad Ali Aazmi رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ  Isi Tarah Ke Ek Sawal Ke Jawab Me Tahreer Farmate Hai,
"Aurat Ke Liye Iddat Isi Liye He Taa Ki Wazeh Ho Jaye Ki Usko Hamal He Ki Agar Hamal Huva or Nikah Ho Gaya to Bachcha Ke Nasab Me Dushwari Paida Hogi or Iddat Ke Digar Asbaab Bhi Hai Jo Mard Me Nahiñ Paaye Jate.
*📚(فتاویٰ امجدیہ، کتاب الطلاق، باب العدۃ، ج٢، ص٢٩٠ تا ٢٩١)*

Aala Hazrat Imam Ahmad Raza قدس سرہ Tahreer Farmate Hai,
"Us Par Chaar Mahine Das Din Iddat Farz He, 
Durre Mukhtar Me He,
" وللموت اربعة اشهر وعشر مطلقا وطںٔت اولا ولو صغيرة او كتابية تحت مسلم ولو عبدافلم يخرج عنها الا الحامل"
Ahkaame Ilaahi Me Chuñ Chara Nahiñ Karte, الاسلام گردن  نہادن نہ کہ زبان بجرأت کشدان Bahut Ahkaame Ilaahi Ta'addi Hote Hai or Jo Ma'aqool Al-ma'ani Hai Unki Hikmateñ Bhi Man W Tan Ki Samajh Me Nahiñ Aateñ, Subah Ki Do Magrib Ki Tin Baaqi Char Char Rak'ateñ Kyuñ Hai, Ta'arruf Baraate Raham Ke Liye Ek Haiz Kaafi Tha Teen Agar Ehtiyatan Rakhe Gaye to Iddate Wafat Haizoñ Se Badal Kar Mahine Kyuñ Hui or Hoti to Teen Mahine Hoti Jis Tarah Aaysa Sageerah Me Tin Haiz Ki Jagah Teen Mahine Qaaim Farmaye Hai Ek Mahina Das Din or Zaaid Kyuñ Farmaye Gaye, *Garz Ayse Behooda Sawaloñ Ka Darwaza Kholna Uloomo Barkaat Ka Darwaza Band Karna He,* Musalman Ki Shaan Ye He:
 "سمعنا واطعنا غفرانک ربنا و الیک المصیر“
Iddate Talaq Ta'arruf Bara'ate Raham Ke Liye He Qabl Khalwat Baraa'at Khud Ma'aloom Phir Iddat Kyuñ Ho or Iddate Wafaat Me Sirf Yahi Maqsood Nahiñ Balki Maute Shohar Ka Sog Bhi, or Usme Khalwat Hone Na Hone Ko Kuchh Dakhal Nahiñ, Rasoolallah ﷺ Farmate Hai,
"لا يحل لامرأةتومن بالله واليوم الآخر ان تحد على ميت فوق ثلث ليال الا على زوج اربعة اشهر وعشرا"
 رواه البخارى ومسلم عن ام المومنين ام حبيبة و زینب بنت جحش رضی الله تعالى عنهما
*📚(فتاوی رضویہ قدیم ، کتاب الطلاق، باب العدة، ج۵، ص۸۳۷ تا ۸۳۸).*
 واللہ تعالی اعلم۔
*✍️Mujeeb: Hazrat Muhammad Arif Husain Alghausi Rampuri*
*📬Al-Mutakhassis Fil-Fiqhe Al-Hanfi, Imam Ahmad Raza learning & Research Centre Nashik, Maharashtra*
*🗓️18 Safar Ul Muzaffar 1445, 5 Sep 2023*

*✅Al-Jawabus Sahih, Wal Mujibun Najeeh, Wahuw Ta'ala Aa'alam*
*Abul Akhtar, Hazrat Allama Mufti Mushtaq Ahmad Amjadi Sahab Qibla*
*📬Khadim: Azhari Darul Ifta, Nashik*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Deeni Ijtema'a Ke Liye Wahabiyoñ Deobandiyoñ Se Chanda Lene or Unki Khatir W Tawaazeh Karne Wale Imaam Ke Pichhe Namaz Hogi Ya Nahiñ ?

 *Deeni Ijtema'a Ke Liye Wahabiyoñ  Deobandiyoñ Se Chanda Lene or Unki Khatir W Tawaazeh Karne Wale Imaam Ke Pichhe Namaz Hogi Ya Nahiñ ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Farmate Hai Aulma E Kiram W Muftiyane Izaam Is Mas'ala Ke Bare Me Ki Zaid Sarzameene Akola Me Ek Jagah Ijtema'a Mun'aqid Kiya Jis Me Kamo Besh Hazar Se Zaaid Ta'adad Maujud Thi Jisme Ijtema'a Ke Zimme Daar Hafiz Sunni Saheehul Aqeedah Ne Deobandi Se 10 Hazar or Ek Dusre Shakhs Se 5 Hazar Naqad Raqam Liya or Us Raqam Ko Sunni Ijtema'a Me Shamil Kiya Or Unhiñ Paisoñ Par Program Karwaya or Wahabiyoñ Ke Khane Chay Paani Ka Intezam Kiya or Unhiñ Deobandiyoñ Ko Program Me Mad'aoo Kiya or Sunni Saheehul Aqeedah Musalmanoñ or Ijtema'a Me Maujud Khas Taur Par Aulma E Kiram W Muftiyane Izaam Ko Deobandiyoñ or Wahabiyoñ Ka Khana Chaye Paani Khilaya or Pilaya To Ab Aysi Soorat Me Shar'an Kya Hukm Lazim Aayega to Agar Yahi Shakhs Imamat Kare to Uska Imamat Karana Durust He ? Az-raahe Karam Jawab Inayat Farmayeñ..
Al-Mustafti : Muhammad Mahboob Raza, Saakin: Haidar Pura Akola, Maharashtra

*🌹JAWAB:-🌹*
Wahabiyoñ Se Mel Jol, Salam O Kalam, Aklo Shurb Bahukme Hadees Najaaiz W Gunah He..

Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Ta'ala Anhu Se Marwi He Ki Rasoolallah ﷺ Irshad Farmate Hai:
"اياكم واياهم لا يضلونكم ولا يفتنونكم ان مرضو افلا تعودهم وان ماتوافلاتشهدوهم وان لقيتموهم فلاتسلموهم ولا تجالسوهم ولاتشاربوهم ولا تواكلوهم ولاتناكحوهم ولاتصلواعليهم ولاتصلوامعهم"
Yaani Unse Door Raho or Khud Ko Unse Door Rakho Kahiñ Vo Tumheñ Gumrah Na Kardeñ Kahiñ Vo Tumheñ Fitna Me Na Daal Deñ Agar Vo Bimar Hoñ To Unki Ayadat Na Karo, Vo Mar Jaayeñ to Unke Janaza Me Hazir Na Ho, Agar Unse Mulaqat Ho to Unheñ Salam Na Karo, Unke Sath Nashisto Barkhaast, Khana, Paan Na Karo, or Na Unke Sath Shadi Biyah Karo, or Na Unki Namaze Janaza Parho or Na Unke Sath Namaz Parho.
*📚(Kanzul Ummal, J-11, S-25)*

Deeni Ijlaas Ke Liye Unse Chanda Lena Unse Raaho Rasm or Deegar Ta'alluqat Ko Hamwaar Karke Badmazhaboñ Ko Taqwiyat Dena or Sunniyat Ko Kamzor Karna He Jo Deeno Sunniyat Ko Dhaane Ke Mutraadif He..

Hadees Shareef Me He:
"من وقرصاحب بدعةفقداعان على ھدم الإسلام"
Yaani Jisne Bid'ati W Badmazhab Ki Ta'azeem W Tauqeer Ki Usne Islam Ko Dhaane Par Uski Madad Ki.
*📚(مرقاۃ المفاتیح شرح مشکوٰۃالمصابیح، کتاب الایمان، باب الاتعصام بالکتاب والسنتہ، ج١، ص٢٧١)*

Zaid Be Qaid Wahabiyoñ Deobandiyoñ Se Chanda Wasoolne or Unki Ta'azeem W Tauqeer Karne Ke Sabab Sakht Mujrim W Gunahgaar or Faasiqe Muallin He Us Par Lazim He Ki Apne Jurm Se Ailaniya Taubah W Astagfaar Kare, Jab Tak Vo Sachchi Taubah Na Karle Hargiz Imamat Ke Laaiq Nahiñ..

Raddul Muhtaar Me He:
"و اماالفاسق فقد عللواكراهة تقديمه بانه لايهتم لامردينه وبان في تقديمه للامامة تعظيمه وقدوجب عليهم اهانته شرعاً"
*📚(شامى، كتاب الصلوة، باب الامامة، ج۲، ص۲۹۹ ، زکریا)۔*
 واللہ تعالی اعلم
*✍🏻 Mujeeb: Abul Akhtar, (Mufti) Mushtaq Ahmad Amjadi Sahab Qibla*
*📬 Azhari Darul Ifta, Nashik*
*imam Ahmad Raza Learning And Research Centre,, Nashik*
*🗓️12 Safarul Muzaffar 1445, 30 August 2023*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Namaz Me Ruku'a Sajda 'Allahu Akbar' Kahne Ke Sath Kare Ya Baad Me Ya Pahle

 *Namaz Me Ruku'a Sajda 'Allahu Akbar' Kahne Ke Sath Kare Ya Baad Me Ya Pahle*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَّلامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اَللّٰهِ وَبَرَكاتُهُ
Hazrat Aap Ki Bargah Mai Sawal Hai Ki Namaz Mai Buland Awaz Mai Allahu Akbar Bolne Ke Baad Haat Uthake Niyyat Kare , Allahu Akbar Kahne Ke Baad Ruqu Mai Jayenge , Allahu Akbar Kahne Ke Baad Sajda Karenge Ya Allahu Akbar Kahne Ke Saath Hi Saath Niyyat Mai Hat Bandhenge , Ruku Mai Jayenge Sajda Karenge , Ya Pahle Haath Bandhenge , Ruku Mai Jayenge Sajda Karenge Fir Allahu Akbar Kahenge ? Konsa Sahi Tariqa Hai Imam Aur Musalli Ke Liye , Hadees Ki Roushni Mai Boliye Meherbani .

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Takbeerate Inteqal Yaani Namaz Me Ek Haalat Se Dusri Halat Ki Taraf Muntaqil Hote Waqt Jo Takbeer Kahi Jaati He, Yuñhi Ruku'a Se Uthte Waqt Tasmee'a Yaani Samee'a Allahu Liman Hamidah Kaha Jata He, in Tamam Me Sunnat Ye He Ki Jab Ek Halat Se Dusri Halat Ki Taraf Muntaqil Hone Lage Maslan Qayam Se Ruku'a Ki Taraf Jaane Lage to Us Waqt Takbeer Yaani Allahu Akbar Ke "Alif" Se Aagaz Kare or Jaise Hi Halat Tabdeel Ho Jaye Maslan Qayam Se Ruku'a Me Pahunch Jaaye to Takbeer Khatam W Mukammal Karde. Sawal Me Mazkoor Donoñ Tareeqe Yaani Mukammal Takbeer Isi Saabqa Halat (Maslan Qayam) Me Kah Kar Phir Khamoshi Se Ek Halat Se Dusri Halat (Maslan Qayam Se Ruku'a) Ki Taraf Muntaqil Hona or Ek Halat Se Dusri Halat Ki Taraf Muntaqil Hone Ke Baad (Maslan Qayam Se Ruku'a Me Pahunch Ne Ke Baad) Takbeer Ka Aagaz Karna, Khilfe Sunnat or Makroohe Tanzeehi Hai, Lihaza Musalmanoñ Ko Chahiye Ki in Donoñ Tareeqoñ Se Ijtenab Kareñ or Shuru'a Me Bayan Karda Sunnat Tareeqe Par Amal Kareñ..

Matan Tanweerul Absaar or Sharah Durre Mukhtar Me He,
"(ثم)کما فرغ( یکبر)مع الانحطاط (للرکوع)
Phir Jaise Qiraat Se Farig Ho, Ruku'a Ke Liye Jhukte Sath Hi Takbeer Kahe.
*📚(Matan Tanweerul Absaar W Sharah Durre Mukhtar Ma'a Raddul Muhtaar, J-2, a-239, 240, Matbooah Koitah)*

Allama Muhaqqiq Ibne Aabedin Ash-shaami Alaihir Rahma Durre Mukhtar Ki Ibarat (مع الانحطاط) Ke Tahat Farmate Hai,
"افاد ان السنۃ کون ابتداء التکبیر عند الخرور و انتھائہ عند استواء الظھر ۔وقیل انہ یکبر قائماً و الاول ھو الصحیح کما فی المضمرات و تمامہ فی القھستانی"

(Is Ibarat Me) Is Baat Ka Ifaada Farmaya Ki Sunnat Ye He Ki Takbeer Ki Ibteda, Ruku'a Ke Liye Jhukte Waqt Ho or Inteha Peeth Barabar Hote Waqt Ho or Ye Bhi Kaha Gaya He Ki Takbeer, Qayaam Me Kahi Jaye Lekin Pahla Qaul Hi Sahih He Jaisa Ki Mazmuraat Me He, Iski Mukmmal Bahas Qahstaani Me He.
*📚(Raddul Muhtaar, J-2, S-240, Matbooah Koitah)*

Saiyedi Aala Hazrat Ash-shah Imam Ahmad Raza Khan Alaihir Rahma Irshad Farmate Hai,
Sunnat Ye He Ki Sameea Allahu Ka 'seen' Ruku'a Se Sar Uthane Ke Sath Kaheñ or Hamidah(حمده) Ki 'haa (ہ) ' Sidha Hone Ke Sath Khatam, Isi Tarah Har Takbeere Inteqaal Me Hukm He Ki Ek Fe'al Se Dusre Fe'al Ko Jaane Ki Ibteda Allahu Akbar Ka Alif Shuru'a Ho or Khatam Ke Sath Khatam.
*📚(Fatawa Razviya, J-6, S-188, Matbooah Raza Foundation Lahor)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Naazim Ta'alimaat W Shaikhul Hadees W Naaib Sadarul Mudarriseen Darul Uloom Mustafwiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️6 Sep 2023, 19 Safarul Muzaffar 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Shohar Ki Waqaf Ki Hui Jagah Par Biwi Ka Rahne Ke Liye Jagah Mangna Kesa ?

 *_Shohar Ki Waqaf Ki Hui Jagah Par Biwi Ka Rahne Ke Liye Jagah Mangna Kesa ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم
Mas'ala Ye Arz He Ki Ek Shakhs Ne Apne Makan Ko Masjid Me Waqaf Kar Diya Inteqaal Ke Kai Saaloñ Baad Waqfi Kagzaat Hath Aaye.
Uske Baad Masjid Ke Muntazimeen Ne Masjid Ki Raqam Se Uska Kaam Karwaya or Us Makan Ko Imam Ke Rahne Ke Liye De Diya..

Lekin Us Shakhs Ki Biwi Jo Ki Zinda He Usne Ye Shart Lagaai He Ki Me Jab Tak Hayat Rahuñ Ek Kamra Mere Rahne Ke Liye Mujhe Supurd Kardo..

To Kya Is Tarah Shart Laga Sakte He?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Yaqeenan Ye Shart Lagana Najaaizo Haram He, Aur Unka Is Tarah Se Us Makaan Par Qabza Karke Rahna Bhi Najaaizo Haram He... Ye Makan Masjid Ka He Masjid Ki  Aamdani Se Banaya Hua He or Isme Wahi Shakhs Rah Sakta He Jo Masjid Ka Imam Ho.
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_🎙 Al-jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️2 Sep 2023, 15 Safarul Muzaffar 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Artificial Daant Lagana Kesa Or Wuzu W Gusl Ka Hukm?

 *_Artificial Daant Lagana Kesa Or Wuzu W Gusl Ka Hukm?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

Artificial Dant Lagwana Kaisa Hai

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Masnooi Daant Lagva Sakte Hai Or Daant Aysa Laga Ho Ki Ba-Aasani Use Nikala Ja Sake to Gusl Me Use Nikaalna Farz or Wuzu Me Nikalna Mustahab He or Agar Na Nikal Sake to Nikalna Zaroori Nahiñ..

Jaisa Ki Fatawa Razviya Shareef Me He,
Hilta Hua Daant Agar Taar Se Jakrha He Muaafi Honi Chahiye Agarche Paani Taar Ke Niche Na Bahe Ki Baar Baar Kholna Zarar Dega Na Usse Har Waqt Bandish Ho Sakegi.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-1, S-608)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻 Al-Jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Ziyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬Khadim Sadrushshariyah Darul Ifta W Darul Uloom Raza E Mustafa, Bharuch, Gujarat*
*🗓️31 Aug 2023, 13 Safarul Muzaffar 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Masjid Ki Pahli Ya Dusri Manzil Par Imam Ke Liye Hujra Banana Kesa ?

 *_Masjid Ki Pahli Ya Dusri Manzil Par Imam Ke Liye Hujra Banana Kesa ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kya Farmate Hai Aulma E Deen W Muftiyane Kiram Is Mas'ala Ke Bare Me Ki, Masjid 2 Manzil Ki He Jis Me Wuzu Khana Nahiñ He, Masjid Ki Pahli Manzil Ke Upar Hujra Banana Kesa He ?
Isi Tarah Masjid Ke Dusri Manzil Ke Upar Hujra Banana Kaisa ?
Jawab Qur'aan W Hadees Ki Roshni Me Inayat Farmayeñ.
Saail: Hafiz Nooruddin, Up

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Soorate Mas'ula Me Masjid Ki Pahli Manzil Ya Dusri Manzil Ke Upar Imaam Sahab Ke Liye Hujra Banana Najaaiz W Mamnoo'a He, Balki Agar Bana Diya Ho to Usko Torna Wajib Ki Ba'ade Tamam Masjidiyat Hudoode Masjid Me Khilafe Masjid Kisi Amal Ki Ijazat Nahiñ Agarche Vo Kaam Masjid Ki Masaaleh Hi Se Hoñ Maslan Wuzu Khana Ya Imam Ke Liye Hujra Wagairah Banana..

Durre Mukhtar Ma'a Tanweerul Absaar Me He,
واذا جعل تحته سردابابالمصالحة اى المسجد جاز كمسجد القدس ولو جعل لغيرها او جعل فوقه بيتا وجعل باب المسجد الى طريق وعزله عن ملكه لا يكون مسجدا ولو بنى فوقه بيتا للامام لا يضر لانه من المصالح اما لو تمت المسجدية ثم اراد البناء منع ولو قال عنيت ذلك لم يصدق تاتر خانية ، فاذا كان هذا فى الواقف فكيف بغيره فيجب هدمه ولو على جدار المسجد وفي حاشيته الشامية: "ظاهره انه لا فرق بين ان يكون البيت للمسجد اولا الا انه يوخذ من التعليل ان محل عدم كونه مسجدا فيما اذالم يكن وقفا على مصالح المسجد وبه صرح في الاسعاف
فقال: واذا كان السرداب او العلو لمصالح المسجد اواکانا وقفا عليه صار مسجدا 
*📚[ شامی، کتاب الوقف ، مطلب فی احکام المسجد، ج ۶، ص ۵۴۷، زکریا ]*

Sadrushshariyah Allama Mufti Amjad Ali Aazmi  Rahematullahi Ta'ala Alaihi Is Ibarat Ki Tarjamaani Yuñ Raqam Farmate Hai,
Masjid Ki Chhat Par Imam Ke Liye Baala Khana Banana Chahta He Agar Qable Tamaame Masjidiyat Ho to Bana Sakta He or Masjid Ho Jane Ke Baad Nahiñ Bana Sakta Agarche Kahta Ho Ki Masjid Hone Ke Pahle Se Meri Niyyat Banane Ki Thi Balki Agar Diware Masjid Par Hujra Banana Chahta Ho to Uski Bhi Ijazat Nahiñ to Dusre Badarja Awla Nahiñ Bana Sakte Agar Is Qism Ki Koi Najaaiz Imarat Chhat Ya Diwar Par Bana Di Gai Ho to Use Gira Dena Wajib He.
*📚(Bahare Shariyat Mukharraja, Masjid Ka Bayan, J-2, S-599 Ta 560)*

Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Quddassirahu Raqam Taraaz Hai,
Masjid Ke Upar Waaqif Ne Tamame Masjidiyat Se Pahle Rahaaish Banadi To Ye Jaaiz He Kyuñ Ki Ye Masaaleh Masjid Se He Albatta Tamame Masjid Ke Baad Ye Jaaiz Nahiñ or Uska Girana Wajib He.
*📚(Fatawa Razviya, J-8, S-505)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍️Mujeeb: Hazrat Muhammad Arif Husain Alghausi Rampuri*
*📬Al-Mutakhassis Filfiqhe Alhanfi, Imam Ahmad Raza learning & Research Centre Nashik, Maharashtra*
*🗓️31 Aug 2023, 13 Safar Ul Muzaffar 1445*

*✅Al-Jawabus Sahih, Wal Mujibun Najeeh, Wahuw Ta'ala Aa'alam*
*Abul Akhtar, Hazrat Allama Mufti Mushtaq Ahmad Amjadi Sahab Qibla*
*📬Khadim: Azhari Darul Ifta, Nashik*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aasoob Chashme Wale Shaksh Ke Liye Namaz Ka Hukm

 *_Aasoob Chashme Wale Shaksh Ke Liye Namaz Ka Hukm_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Farmate Hai Aulma E Kiram W Muftiyane Izaam Is Mas'ala Me Ki Shahar Me Aasoob Chashm Ki Bimari Phaili Hui He to Is Bimari Me Daurane Namaz Agar Aankh Se Paani Nikle to Namaz Ka Kya Hukm Hoga ? Shariyat Ki Roshni Me Jawab Inayat Farmayeñ..

*🌹JAWAB:-🌹*
Daurane Namaz Bimari Ke Sabab Aankh Se Paani Nikle to Uski Namaz Nahiñ Hogi Ki Sababe Bimari Aankh Se Paani Nikalna Naaqise Wuzu He or Jab Bimari Ke Sabab Aankh Se Paani Nikalne Se Wuzu Chala Jayega to Usse Namaz Bhi Nahiñ Hogi Jab Tak Hadde Uzr Ko Na Pahuñche Us Par Laazim He Ki Dubara Wuzu Karke Namaz Parhe..

Fatawa Hindiya Me He,
 والغرب في العين بمنزلة الجرح فما يسيل منه ينقض الوضوء كذا في فتاوى قاضی خان ولو كان في عينه رمدااو عمش يسيل منها الدموع قالوا : يومر بالوضوء لوقت كل صلوة لاحتمال ان یکون سدیدا او فیحا كذافی التبیین۔۔
*📚(Fatawa Aalamgiri, Kitabut Taharat, J-1, S-62, Jadeed)*

Sadrushshariyah Allama Mufti Amjad Ali Aazmi Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,
Aankh, Kaan, Naaf, Pistan Wagairaha Me Dana Ya Nasoor Ya Koi Bimari Ho in Wajhoñ Se Jo Aansu Ya Paani Bahe Wuzu Tod Dega  Wafiyah Aydan: "Aankh Dukhte Me Jo Aansu Bahta He Najis W Naqize Wuzu He Isse Ehtiyaat Zaroori He"
*📚(Bahare Shariyat, Wuzu Ka Bayan, J-1, S-305 Ta 310, Mulakhkhsan)*

Agar Ye Aarza Hadde Uzr Ko Pahuñch Jaaye Yaani Musalsal Paani Nikalta Rahe Hatta Ki Ek Namaz Ka Pura Waqt Paani Nikalta Raha or Itni Muhlat Na Mili Jis Me Ba Wuzu Farz Waqt Ada Kar Sake to Shara'a Ki Nazar Me Ye Shakhs Ma'azoor He or Ma'azoor Ka Hukm Ye He Ki Jab Namaz Ka Waqt Shuru'a Ho Wuzu Karle or Us Wuzu Se Us Waqt Me Jis Qadar Chahe Namaz Wagairah Parh Sakta He Agarche Aasoob Chashm Ke Sabab Paani Nikalta Rahe Ki Ab Sababe Ma'azoori Is Wuzu Se Nahiñ Tutega Haañ Mazkoora Uzr Ke Maa-siwa Koi Naaqize Wuzu Paya Jaye to Uska Wuzu Toot Jayega Yuñhi Us Namaz Ka Waqt Khatm Ho Jaye to Use Hukm He Ki Dubara Wuzu Kare Ki Uske Haq Me Waqte Namaz Ka Khatm Hona Bhi Naaqize Wuzu He..

Tanweerul Absaar Ma'a Durre Mukhtar Me He,
"وصاحب عذر من به سلس بول لا يمكنه امسا که او استطلاق بطن او انفلات ريح او استحاضة او بعينه رمد او عمش او غرب ، وكذا كل ما يخرج بوجع ولو من اذن وثدى و سرة ان استوعب عذره تمام وقت صلاة مفروضة بان لا يجد في جميع وقتها زمنا يتوضا و يصلى فيه خاليا عن الحدث ولوحكما لان انقطاع اليسير ملحق بالعدم وهذا شرط العذر في حق الابتداء وفي حق البقاء كفى وجوده في جزءمن الوقت ولو مرة وفي حق الزوال يشترط استيعاب الانقطاع تمام الوقت حقيقة لانه الانقطاع الكامل - وحكمه الوضوء لا غسل ثوبه ونحوه الكل فرض اللام للوقت كما فى لدلوك الشمس ثم يصلى به فيه فرضا و نفلا فدخل الواجب بالاولى فاذا خرج الوقت بطل *📚[ شامی ، کتاب الطهارة ، باب الحیض ، ج۱، ص ۵۰۴ تا ۵۰۵، زکریا]*

Sadrushshariyah Allama Ahmad Ali Aazmi Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,
Har Vo Shakhs Jisko Koi Aysi Bimari He Ki Ek Waqt Pura Aysa Guzar Gaya Ki Wuzu Ke Sath Namaze Farz Ada Na Kar Saka Vo Ma'azoor He or Uska Bhi Yahi Hukm He Ki Waqt Me Wuzu Karle or Aakhri Waqt Tak Jitni Namazeñ Chahe Us Wuzu Se Parhe Us Bimari Se Uska Wuzu Nahiñ Jata Jaise Qatre Ka Marz Ya Dast Aana, Ya Hawa Kharij Hona, Ya Dukhti Aankh Se Paani Girna Ya Phore Ya Nasoor Se Har Waqt Ratoobat Bahna, Ya Kaan, Naaf, Pistan Se Paani Nikalna Ki Ye Sab Bimariyañ Wuzu Todne Waali Hai Unme Jab Pura Ek Waqt Aysa Guzar Gaya Ki Har Chand Koshish Ki Magar Taharat Ke Sath Namaz Na Parh Saka to Uzr Sabit Ho Gaya.
*📚(Bahare Shariyat Mukharraja, Istehaza Ka Bayan, J-1, S-385)*

Is Soorat Me Jo Paani Aankh Se Nikle Vo Najis W Napaak Bhi He Lihaza Ye Paani Kapde Ya Badan Par Ek Dirham Se Zaaid Lag Jaye to Uska Izala Farz He Aysi Najasat Ko Door Kiye Bagair Namaz Sare Se Nahiñ Hogi or Agar Dirham Ke Barabar Ho to Uska Door Karna Wajib He or Is Najasat Ke Sath Namaz to Ho Jayegi Magar Makroohe Tahreemi or Wajibul Ae'aada Hogi or Agar Dirham Se Kam Ho to Namaz Ho Jayegi Magar Khilafe Sunnat W Tarke Awla Aysi Namaz Ka Ae'aada Mustahab He.

Aalamgiri Me He,
"النجاسة ان كانت غليظة وهى اكثر من قدر الدرهم فغسلها فريضة والصلوة بها باطلة وان كانت مقدار الدرهم فغسلها واجب والصلوة معها جائزة وان كانت اقل من الدرهم فغسلها سنة 
*📚(فتاوی عالمگیری ، کتاب الصلوۃ، ج ۱، ص ۱۱۵)*

Sadrushshariyah Allama Amjad Ali Aazmi Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,
Najasate Galeeza Ka Hukm Ye He Ki Agar Kapde Ya Badan Par Ek Dirham Se Zyada Lag Jaye to Uska Paak Karna Farz He, Be Paak Kiye Namaz Parhli to Hogi Hi Nahiñ or Qasdan Parhi to Gunahgaar Bhi Hoga or Agar Ba Niyyate Istekhfaaf He to Kufr Huva Aur Agar Dirham Ke Barabar He to Paak Karna Wajib He Be Paak Kiye Namaz Parhi to Makroohe Tahreemi He Yaani Aysi Namaz Ka Ae'aada Wajib He or Qasdan Parhi to Gunahgaar Bhi Huva or Agar Dirham Se Kam He to Paak Karna Sunnat He Be Paak Kiye Namaz Ho Gai Magar Khilafe Sunnat Hui or Uska Ae'aada Bahetar He.
*📚(Bahare Shariyat Mukharraja, Najasatoñ Ka Bayan, J-1, S-389)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Mujeeb: Hammad Raza Hanfi Sahab*
*📬Al-Mutakhassis Fil-Fiqhe Al-Hanfi, Imam Ahmad Raza Learning & Research Centre Nashik, Maharashtra*
*🗓️24 Aug 2023, 17 Muharram Ul Haraam1445*

*✅Qadd SahhalJawab, Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab*
*_Abul Akhtar, Hazrat Allama Mufti Mustaq Ahmad Amjadi Sahab Qibla_*
*📬Khadim: Azhari Darul Ifta, Nasik*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aalima (Aurat) Ke Bayanat Social media Par Share Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Hazrate Se Ek Sawal Hai

Social Media Per Bohat Se Ahle Ilm (Aalima) Ke Video Aur Audio Bayan Log Share Karte Jisme Female Aalima Islamic Baatein Bata Rahe Hote

To Hazrat Se Sawal Hai Ki Female Aalima Ke Video Aur Audio Bayan Share Karna Kaisa ?

Note - Aise Video Aur Audio to Male/female Sab Hi Sunenge Aur Dekhenge

*🌹JAWAB:-🌹*
Aurat Ka Takarir W Bayan Ya Milad Wagairah Karna Jaaiz W Durust He, Lekin Is Tarah Ki Uski Aawaz Namahramoñ Tak Na Pahunche... Aurat Ka Itni Baland Aawaz Se Bayan Ya Milad Karna Ki Gair Mahramoñ Ko Uski Aawazeñ Pahuñche To Ye Najaaiz W Gunah He.. Ki Aurat Ki Aawaz Bhi Aurat He Uski Khush Ilhaani Ajnabi Sune Mahalle Fitna He... 

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ek Sawal Ki Aurat Ka Is Tarah Mahefile Milad Parhna Ki Gair Mahram Aawaz Sune Jiske Jawab Me Farmate Hai,
Najaaiz He, Ki Aurat Ki Aawaz Bhi Aurat He, Aurat Ki Khush Ilhaani Ki Ajnabi Sune Mahalle Fitna He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-22, S-240, Mas'ala-99, Raza Foundation)*

Dusre Maqam Par Farmate Hai,
Aurat Ka Khush Ilhaani Se Ba-aawaz Aysa Parhna Ki Namahramoñ Ko Uske Nagma Ki Aawaz Jaaye, Haram He. 

نوازل میں فقیہ ابواللیث میں ہے:
نغمۃ المرأۃ عورۃ
Yaani Aurat Ka Khush Aawaz Karke Kuchh Parhna Aurat Yaani Mahalle Satar He.
*📚(ردالمحتار بحوالہ النوازل باب شروط الصلوٰۃ داراحیاء التراث العربی بیروت ۱/ ۲۷۲)*

کافی امام ابوالبرکات نسفی میں ہے:
لاتلبی جھرا لا ن صوتھا عورۃ
Yaani Aurat Baland Aawaz Se Talbiyah Na Parhe, Is Liye Ki Uski Aawaz Qabile Satar He.
*📚(ردالمحتار بحوالہ الکافی باب شروط الصلوٰۃ داراحیاء التراث العربی بیروت ۱/ ۲۷۲)*
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-22, S-242, Mas'ala-103)*

Lihaza Aurat Ki Aawaz Bhi Aurat He.. Aurtoñ Ko Social Media Par Apne Bayanat Share Karna Najaaizo Gunah He... Or Logoñ Ka Bhi Is Tarah Na Mahram Aurtoñ Ke Bayanat Share Karna, Sunna Sunana Najaaizo Gunah He. Or Agar Usme Jandar Ki Tasweer Ho to Aur Bhi Sakht Gunah....

(Or Khas Ye Ki Social Media Ya Youtube Wagairah Par Is Tarah Jo Aurtoñ Ke Bayanat Hote He Vo Badmazhaboñ Ke Hi Zyada Hote He, Jisse Bachna Zaroori He..)
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab 
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
*🗓️30 Aug 2023, 12 Safar Ul Muzaffar 1445*
📲+
*🌹 SAWAL-O-JAWAB 🌹 F.T.S👑 Grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gair Zaroori Sawal Hargiz Na Kare

 *_❌GAIR ZAROORI SAWAL HARGIZ NA KARE❌_*

 فَسْــٴَـلُوْۤا اَهْلَ الذِّكْرِ اِنْ كُنْتُمْ لَا تَعْلَمُوْنَۙ 
Ay Logo ! Agar Tum Nahiñ Jante to Ilm Waaloñ Se Puchho...
*📚(Surah Nahal, Aayat-43)*

Lekin Bila Zaroorat Ayse Fuzool Sawalat Karne Se Bachna Chahiye Jinka Ta'alluq Na to Aqeede Se Ho or Nahi Amal Se.. Gair Zaroori or Fuzool Sawalat Karne Wale Ki Niyyat Agar Aulma E Kiram Se Bahas W Mubaahisa Karne, Sawalat Ke Zariye Ilm Hasil Karke Awam Ko Pareshan Karne or Shohrat Hasil Karne Ki Ho to Use Is Farmane Rasool ﷺ Par Gaur Karke Darna Chahiye...

Jo Is Liye Ilm Talab Kare Taaki Uske Zariye Aulma Se Muqabla Kare, Jahiloñ Se Jhagre Ya Logoñ Ki Tawajjeh Hasil Kare to Allah Paak Use Dozakh Me Dakhil Farmayega..
*📚(Tirmizi, 4/297, Hadees-2663)*

Huzur Shareh Bukhari Mufti Shariful Haq Amjadi Alaihir Rahma Fuzool Sawalat ki Misaale Bayan Karte Huve Farmate Hai,
Vo Baateñ Jinke Janne Ke Ham Mukallaf (Yaani Paband) Nahiñ, Jaise Hazrat Aadam Alaihis Salam Ne Jannat Me Sabse Pahle Kya Khaya Tha ? Dunya Me Aakar Sabse Pahle Kya Khaya ? Hazrat Hawwa Se Aapki Mulaqat Hui to Pahli Guftagu Kya Hui ? Hazrat Ismaail Alaihis Salaam Ke Fidye Ke Gosht Ka Kya Hua ? Wagairah Wagairah... Ye Sawalat Mamnoo'a Hai or Isi Kasrate Sawalat Me Dakhil He..
*📚(Nuzhatul Qaari, J-2, S-959)*

*Lihaza Gair Zaroori Sawalat Grp Me Hargiz Na Kare...  Jo Aqaaid or Zaroori Masaail Ke Ta'alluq Se Ho Wahi Sawalat Grp Me Kare..*

*_Jab Aulma E kiram Se Sawal Karne Ka Mauqah Mayassar Aaye To Faaltu Sawal Karke Waqt Zaaya Na Kiya Jaye Balki Zaroori Sawal Kiya Jaye Jiska Jawab Mufeed Sabit Ho_*

Kya Hazrate Fatima Ki Sahabzadi Ka Nikah Hazrate Umar Se Hua Tha ?

 *_Kya Hazrate Fatima Ki Sahabzadi Ka Nikah Hazrate Umar Se Hua Tha ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum.
Saiyyada Fatimah Radiyallahu Anha Ki Sahabzadi Ka Nikah Hazrat Umar Radiyallahu Anhu K Sath Huwa Tha? jin Ka Naam Umme Qulsoom Bataya Gaya He.. (Radiyallahu Anha)

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ji Haañ, Hazrate Fatima Radiallahu Ta'ala Anha Ki Sahabzadi Hazrate Umme Qulsoom Ka Nikah Hazrate Umar Farooque Aazam Radiallahu Anhu Se Hua Tha...

Jaisa Ki Seerate Khulfa E Rashideen Me He,
Umme Kulsum Binte Ali Ibne Abi Talib Ye Binte Rasool ﷺ Ki Sahabzaadi Thi, Hazrat Umar Farooque Ne Khandane Nabuwwat Se Ta'alluq Jodne Ke Liye 17 Hijri Me Unse Chalees Hazar Mahar Par Nikah Kiya...
*📚(Seerate Khulfa e Rashideen, S-63)*
*✍️Al-Qalam: Hazrat Mufti  Muhammad Arif Husain Alghausi Rampuri*
*📬Al-Mutakhassis Filfiqhe Alhanfi, Imam Ahmad Raza learning & Research Centre Nashik, Maharashtra*
*🗓️24 Aug 2023, 6 Safar Ul Muzaffar 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujarat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Background Me Music Wali Naat Sunna Ya Parhna Kesa ?

 *Background Me Music Wali Naat Sunna Ya Parhna Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Ahle Ilm Ki Bargah Me Saval Ye Hai Ke Naat E Pakk Ya Digar Manqabat Me Back Ground Music LagaTe H Vo Kesa Hai Kitaboki Roshnime Javab Inayat Farmaae .

*🌹JAWAB:-🌹*
وعلیکم السلام 
Naat Ke Dauran Beech Me Mukhtalif Qism Ki Aawazeñ Shamil Karna Jo Ki Dar Haqeeqat Music Ki Tarah Hoti Ho Aysi Na'atoñ Ka Sunna or Parhna Donoñ Durust Nahiñ He or Naat Ke Aadab Ke Khilaf He, Unse Bachna Lazim He..

*📚Mo'ajamul Awsat Tabraani Ki Ek Hadees (Number:7223)* Me Rasoolallah ﷺ Ne Qur'aane Kareem Ko Gaane Ki Dhun Ke Mutabiq Parhne Se Mana'a Farmaya He, or Aysa Karne Waloñ Ki Mazammat Farmaai He, Is Hadees Se Ye Rahenumaai Milti He Ki Naat Ko (Jo Ki Ek Ibadat He) Gaane Ke Andaaz Par Nahiñ Parhna Chahiye..
*✍️Al-jawab: Hazrat Allama Mufti Alfaz Quraishi Najmi Sahab Qibla*
*📬Khatibo Imam Lasha Masjid, Karnataka*
*🗓️17 July 2023, 28 Zul Hijja 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Dukandaar Ka Barik Ya Fashion Wale Kapde Bechna Kesa ?

*Dukandaar Ka Barik Ya Fashion Wale Kapde Bechna Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Hazrat Se Ek Sawal Hai 
Banda Ladies Kapde Ka Business Karte Usme Kuch Kapde Is Tarah Ke Hote Jo Barik Hote Aur Aise Kapde Aurton Ke Liye Mana Hai Pehanna to Aise Kapde Bech Kar Kamai Rakam Ka Kya Huqm Hoge?

*🌹JAWAB:-🌹*
 وعلیکم السلام و رحمۃ اللہ
Jaaiz Hai Bechna Is Liye Ke Us Ka Istemaal Kisi Jagah Jaaiz Hai Our Kisi Jagah Haraam to Jaaiz Na Jaaiz Istemaal Me Hai Na Ke Bechne Me Jese Ki Koi Insaan Nikar Bechta Hai Us Ka Bechna Jaaiz Hai Ab Koi Insaan Sirf Nekar Pehan Kar Ghume Us Ka Ye Amal Haraam Hoga Na Ke Dukaan Daar Ka Bechna..
*✍️Al-Jawab: Hazrat Mufti Suhail Raza Markazi*
*📬Khadimut Tadrees Al-Jamiatul Qadariyah, Richha, Bareilly Shareef, Up*
*🗓️19 July 2023, 30 Zulhijja 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Taziya Banana Kesa?

 *_Taziya Banana Kesa?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Taziya Banana Kaisa Kuchh Aulma Kahte Hai Jaaiz or Kuchh Kahte Hai Ye Najaaiz O Haram Hai Is Par Rahenumai Farmaye...

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Murawajjah Taziya Daari Najaaizo Haram He Ki Usme Bahut Si Baateñ Aysi Hai Jin Ka Shariyat Se Koi Ta'alluq Nahiñ Maslan Taaziya Ka Juloos Aage Pichhe Dhol Taashe Baaje Filmi Geet Aurtoñ Ka Hujoom or Isi Tarah Ke Aur Khurafat Jo Aajkal Ki Taaziya Daari Me Kiye Jate Hai Ye Najaaizo Haram He Log in Behooda Baatoñ Ka Ehtemam Karte Hai or Jo Log Uski Taaid Karte Hai Sab Gunahgaar Hai...

Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai Ki,
Taaziya Ki Asl Is Qadar Thi Ki Roza E Imame Husain Ki Sahih Naql Bana Kar Baniyyate Tabarruk Makaan Me Rakhna Isme Koi Kharabi Na Thi Jahañ Pe Khurd Ne Is Asl Jaaiz Ko Neisto Nabood Karke Sad'ha Khurafat Tarasheñ Ki Shariyate Mutahhara Se Al-Amaañ Al-Amaañ Ki Sadayeñ Aane Lagiñ

Awwal to Nafse Taaziya Me Roza E Mubarak Ki Naql Malhooz Na Rahi Har Jagah Nai Tarash Kahiñ Ilaqana Nisbat Wagairah

Phir Kucha Bakucha Gali Bagali Isha'ate Gam Ke Liye Phiraana Unke Gird Matam Zani Karna Isse Mannateñ Maangna Uspe Koi Cheez Charhana or Raatoñ Me Dhol Baaje Ke Sath Tarah Tarah Ke Khel Karna Wagairah Wagairah

Ab Jabki Taaziya Daari Is Tareeqah Namarziyah Ka Naam He Jo Qat'an Bid'at Najaaiz W Haram He.
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-513)*

*✍️Al-Jawab: Hazrat Mufti Suhail Raza Markazi*
*📬Khadimut Tadrees Al-Jamiatul Qadariyah, Richha, Bareilly Shareef, Up*
*🗓️18 July 2023, 29 Zulhijja 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mushrikeen Ke Chhote Bachche Ki Tajheezo Tadfeen Ka Hukm

 *_Mushrikeen Ke Chhote Bachche Ki Tajheezo Tadfeen Ka Hukm_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hindu Mard Aurat Ne Zina Kiya or Is Se Hamal Raha or Bachcha Paida Huwa. beizzati K Sabab in Logo Ne Us Bachche Ko Maar Dala or Musalmano Ki Aabadi Ki Taraf Lawaris Chhod Diya Musalmano Ko Jab Ye Bachcha Mila or Kisi Tarah Ye Baat Malum Hui K Ye Kisi Hindu Ki Olad He or Ye Ise Lawaris Chhod Diya He.
To Is Ki Tadfin Tajhiz or Namaze Janza Padhi Jayegi?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Chhote Bachche Apne Walidain Ke Taabe'a Hote Hai Is Liye Mushrikeen Ke Bachchoñ Ki Namaze Janaza Parhna Jaaiz Nahiñ He.

*📚(Baharur Raaiq, J-2, S-189 Par He)*
*لایصلی علیه لانه تبع لهما للحدیث کل مولود یولدعلی الفطر ة فابواه یهو دانه*
Lihaza Agar Waqaee Vo Bachcha Mushrikeen Ka He To Us Bachche Ko Uske Walidain Ko Ye Na Hoñ to Azeezo Aqaarab Ya Uske Ham Mazhab Ko Wapas Kar Diya Jaaye Vo Jo Chaheñ Kareñ Ya Agar Vo Na Le Jayeñ to Bawajhe Majboori Ek Kapde Me Lapet Kar Musalmanoñ Ke Madfan Se Bahar Ek Garhe Me Daba Deñ.
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab 
*✍️Al-Jawab: Hazrat Mufti Suhail Raza Markazi*
*📬Khadimut Tadrees Al-Jamiatul Qadariyah, Richha, Bareilly Shareef, Up*
*🗓️16 July 2023, 27 Zul Hijja 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mazar Ka Tawaaf Karna Kesa?

 *_Mazar Ka Tawaaf Karna Kesa ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

Kya Husul E Barkat Ke Liye Mazar E Paak Par Tawaf Karna Jaiz Hai?

Gulam Masoom Raza Qadri
Bokaro Jharkhand

*🌹JAWAB🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Mazar Ka Tawaf E Tazimi Mana He, Albatta Barkat Hasil Karne Ke Liye Mazar Ke Gird Chakkar Lagae to Haraj Nahiñ... Magar Awam Ko Roka Jaae, Balki Awam K Samne Chakkar Na Lagae..

Bahaar E Shariat Me He,
Qabar Ko Bosa Dena Ba'az Aulma Ne Jaaiz Kaha He, Magar Sahih Ye He Ki Mana'a He.. Or Qabar Ka Tawafe Ta'azeemi Mana'a He or Agar Barkat Lene Ke Liye Girde Mazaar Phira to Harj Nahiñ.. Magar Awam Ko Mana'a Kiye Jayeñ Balki Awam Ke Samne Kiya Bhi Na Jaye Ki Kuchh Ka Kuchh Samjheñge
  *📚(Bahare Shariyat, H-4, Baab Ziyarate Quboor, Mas'ala-41)*

Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,
Mazar Ka Tawaaf Ki Mahaz Ba-Niyyate Taazim Kiya Jaye Najaaiz He, Ki Ta'azeem Bit Tawaaf Makhsoos Ba-Khana E Kaaba He..
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-9, S-529, Mas'ala-162)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Al-jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️20 July 2023, 1 Muharram 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Hazrat Tajul Awliya Nagpuri Ki Nisbat Se Kahna Ki Vo Ayyame Me Muharram Me Hare ( Green ) Rang Ka Libaas Pahante The To Kya Awam Ko Jaaiz He ?

 *_Hazrat Tajul Awliya Nagpuri Ki Nisbat Se Kahna Ki Vo Ayyame Me Muharram Me Hare ( Green ) Rang Ka Libaas Pahante The To Kya Awam Ko Jaaiz He ?_*
*🌹SAWAL:-🌹*
Muharram Me Hara (Green) Libas Pahanne Ke Ta'alluq Se Ek Hawala Diya Jata He Ki Tajul Awliya Hazrat Baba Nagpuri Rahematullah Alaihi 10 Muharram Ko Sabz (Hara) Jubba Pahan Kar Maidan Me Tashreef Laate the.... Iski Kya Haqeeqat He ?
*🌹JAWAB🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kyoñ Ki Ye Mushabihat He Taziya Daaro Se...
Our Kisi Buzurg Ka Libas Hi Kyoñ Dekha Jaae Ke Unhone Kab Kya Pehna... Balki Ye Dekhiye... Ke Kya Unhone Apni Puri Life Me Namaz, Roza, Ibadaat Our Tilawat E Quran Wagairah Chhod Diya... Ya Us Par Sakhti Se Amal Kiya...?
Lihaza Buzurgo Se Sachchi Mahanat Ye He Ke Un Ki Zindagi Ko Namuna E Amal Banaya Jaae... Our Ek Baat Hamesha Yaad Rakkhe Wo Sab Allah Wale He Awliya E Kiram He Un Par Kabhi Apne Ko Qayas Nahi Karna Chahiye....
Dusri Ye Baat Dhyan Me Rakkhe Ke Buzurgoñ Ki Sawaneh Likhne Me Bahut Se Ilhaqat Bhi Hote He.. Lihaza Koi Baat Khilaf E Shara'a Mile Kahiñ Kisi Kitab Me Likkhi Hui to Wo Baat Hargiz Us Buzurg Ki Taraf Se Nahi Mani Jaaegi... Ke Awliya E Kiram Shariat Ka Khub Se Khub Tar Paas O Lihaz Rakhte the...الحمد للہ۔۔۔
Al Batta Jo Qoul Ya Amal Jazb O Shukr Me Ada Huwe Unka Bhi Etebar Nahi... Balki Etebar Har Haal Me Shariat Ka He ...
Fir Ye Kahañ Likkha He Ke Aap Muharram Ke Alawa Nahi Pahente the Khas Muharram Hi Me Is Ka Ehtemam Farmate the Our Agar Bil Farz Aysa Ho Bhi to Wo Awam Ke Liye Hujjat Nahiñ... Wallahu Ta'ala Aa'alam 
*✍🏻Al-jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️20 July 2023, 1 Muharram 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Paani Me Billi Ne Muñh Daal Diya To Usse Wuzu Ya Gusl Ka Hukm

 *_Paani Me Billi Ne Muñh Daal Diya To Usse Wuzu Ya Gusl Ka Hukm_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

Wuzu Karne Ke Liye Pani Rakha Tha Kisi Lote Me Jis Me Se Billi Cat Ne Pani Piliya 

Issi Surat Me Kya Wuzu Ho sakta Hai Us Pani Se ?

Hawale Ke Sath Jawab Miljaye to Behtar Hoga

*🌹JAWAB:-🌹*

Bade Janwar Me Ek Hissa Haram Ki Kamaai Wale Ka Ho To Qurbani Ka Hukm

 *_Bade Janwar Me Ek Hissa Haram Ki Kamaai Wale Ka Ho To Qurbani Ka Hukm_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum.
7 Hisse Wale Janwer Ki Qurbani Me Kisi Ek Ke Rupay Haram K He To Us Qurbani Ka Kya Hukm He?

Sarkash Janwar Ki Qurbani Kis Tarah Kare ?

 *_Sarkash Janwar Ki Qurbani Kis Tarah Kare ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Huzur Zaid Ka Kehna Hai Ke Agr Koi Sarkas Janvar Hai Or Ausko Khade Khade Zibah Kardiya To Qurbani Hogai Kya Ye Call Sahi Hai Rehnumai Farmaae .
Yaha Sarkas Se Murad Bell Vagera Hai .

Qurbani Ka Gosht Badmazhab Ghar De Jaye Fir Kya kare ?

 *_Qurbani Ka Gosht Badmazhab Ghar De Jaye Fir Kya kare ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum
Hazrat se ek sawal hai
Bad Mazhab wahabi, devbandi, ahle hadis ke waha se Qurbani ka Gosht aaya hai aur zabiha bhi inhi bad aqeeda ka hai

To aise Gosht ka kya karna chahiye ? Or bande ne gosht le liya he to ab kya un Badmazhab ki community ke gareeboñ me taqseem kar sakte he ?

Sharab Faroshi Or Juva Ke Adde Par Chokidar Ki Naukri Karna Kesa ?

 *_Sharab Faroshi Or Juva Ke Adde Par Chokidar Ki Naukri Karna Kesa_*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Aulma E Kiram Ki Bargah Me Sawal Arz He Ki Jahañ Sharab Bechi Jati Or Juva Khela Jata Ho Aysi Jagah Chokidar Ki Naukri Karna Kesa ?

Pahle Hi Tawafe Wida Kar Liya To Baad Me Tawaf Or Umrah Ka Kya Hukm He ?

 *_Pahle Hi Tawafe Wida Kar Liya To Baad Me Tawaf Or Umrah Ka Kya Hukm He_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat,
Zaid Ko Ilm Nahi Tha Or Bakar Ne Uske Paas Tawafe Wida Kara Liya .. Or Zaid Ko Makkah Me 15 Din Thaharna He..to Kya Ab Umrah Or Tawaf Kar Sakta He ? Usko Ilm Na Tha Or Tawafe Wida Ki Niyyat Se Bakar Ne Uske Paas Tawafe Wida Kara Liya... Aysi Soorat Me Kya Kiya Jaye.  ? 

6 Mahina Baad Qarza Chukana Ho To Qurbani Wajib Hogi ?

 *_6 Mahina Baad Qarza Chukana Ho To Qurbani Wajib Hogi ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamo Alekum Hazrat Aalime Din Ki Bargha Me Mera Ek Swal He.. Zed Ke Pass Kuch Takriban 2 Lakh Rupye He.. Jo Use 6 mahine Ke Baad Qarze Ke Tor Par Chukane  He.. To Zaid Par Qurbaani Farz He Ya Nhi...

*🌹JAWAB:-🌹*

Zabah Karne Ke Baad Tilli, Paaye, Bheja Wagairah Alag Kar Sakte He Ya 3 Hisse Karne Hoge ?

*_Qurbani Ke Jamwar Ke Paaye, Tilli, Bheja Alag Nikal Le Ya Uske Bhi 3 Hisse Kare?_*

 *🌹SAWAL:-🌹*
Aulma E Kiram Ki Bargah Me Saval Ye Hai Ke Kya Qurbani Ke Jaanvar Ko Zhibah Karne Ke Baad Uske Paae ,bheja, Tilli, vagerah Alag Nikal Sakte Rehnumai Farmaae ..

*🌹JAWAB:-🌹*

Kya Musalmanoñ Ke Vo Ghar Jisme Koi Na Ho Vahañ Huzur ﷺ Ki Rooh Mubarak Hoti He ?

 *_Kya Musalmanoñ Ke Vo Ghar Jisme Koi Na Ho Vahañ Huzur ﷺ Ki Rooh Mubarak Hoti He ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat Kisi Ke Ghar Me Agar Koi Na Ho To Kya Vahañ Jin Ya Shaitan Rahte He Ya Sunne Me Aaya He Ki Huzur ﷺ Ki Rooh Musalmanoñ Ke Ghar Me Hoti He Is Ki Kya Haqeeqat He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Kya Hazrate Usman Gani Ki Naani Or Huzur ﷺ Ke Walide Majid Judva Ya Bhai Bahan He ?

 *_Kya Hazrate Usman Gani Ki Naani Or Huzur ﷺ Ke Walide Majid Judva Ya Bhai Bahan  He ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Hazrat Usmane Gani Radiyallahu Anh Ki Naani Jaan huzur Alaihissalam Ke Walide Majid Ki Judwa Bahen He. baraye Karam Zawab Irshad Ferma Ker Shukr Guzari Ka Moqaa Ataa Kare.

*🌹JAWAB:-🌹*

Naqshe Na'alain Wali Topi Pahanna Kesa Or Uska Adab Kis Tarah Kare

 *_ Naqshe Na'alain Wali Topi Pahanna Kesa Or Uska Adab Kis Tarah Kare_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Agar Topi Par Nalain Paak Bana Ho To Vo Topi Laga Sakte Hai Aur Uski Adab Kaise Karein 
Rahnumahi Farmaiye Hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*

Qurbani Ke Janwar Ka Khun Kapdo Par Lag Jaye To Namaz Ka Hukm

 *_Qurbani Ke Janwar Ka Khun Kapdo Par Lag Jaye To Namaz Ka Hukm_*

*🌹SAWAL:-🌹*
*السلام عليكم و رحمة الله و بركاته*
Mai Ijtimai Qurbani Me Janwar Zibah Karta Hu Kaseer Tadad Me Zibah Karte Waqt Khoon K Chete Kapde Par Lag Jate Is Surat Me Namaz Ka Kya Huqm Hoga Q K Gurbani Gah Se Masjid Kareeb Hai Lekin Ghar Dur Hai Kapde Badalne Jana Mushkil Hota Hai.

Qurbani K Janwar K Khoon Kapde Par Lag Jay To Kya Huqm Hoga.

2 Lakh Rupya Ho Jo Qarza Jo Qarza Ke Taur Par Kuchh Mahina Baad Lotana Ho To Qurbani Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Aslamu Alaikum Hazrat Aalime Din Ki Bargha Me Mera Ek Swal He.. Zaid Ke Paas Takriban 2 Lakh Rupye He.. Jo Use 6 Mahine Ke Baad Karze Ke Tour Par Chukane  He.. To Zaid Par Qurbaani Farz He Ya Nhi...?

Dukan Me Limbu Mirch Latkana Jaaiz He Ya Nahi?

 *_Nazre Bad Se Hifazat Ke Liye Dukan Makan Me Nimbu Mirch Latkane Ka Sharai Hukm_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Sawal : Dukaan Wa Makaan Me Nazre Bad Se Bachne Ke Liye Log Neebu Mirch Darwaze Pe Latka Dete Hain Shariyat Me Iska Kya Huqm Hai

*🌹JAWAB:-🌹*

Beta Paise Kamata Ho To Baap Ke Naam Se Qurbani Ya Khudke Naam Se Kare

 *_Beta Paise Kamata Ho To Baap Ke Naam Se Qurbani Ya Khudke Naam Se Kare_*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Baad Salam Arz Ye He Ki Agar Beta Paisa Kamaye Or Paisa Bete Ke Paas He To Beta Apne Naam Se Qurbani Karayega Ya Apne Walid Sahab Ke Naam Se ? Qurbani Kis Par Wajib Be Bete Par Ga Bete Ke Baap Par ? Jawab Inayat Farmayeñ..

*🌹JAWAB:-🌹*

Sirf Gosht Hasil Karne Ki Niyyat Se Qurbani Kare To Qurbani Ka Hukm

 *_Sirf Gosht Hasil Karne Ki Niyyat Se Qurbani Kare To Qurbani Ka Hukm_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Wa Rahmatullahi Ta'ala Barkatahu

Agar Qurbani Karne Wala Ghost Ki Niyat Se Qurbani Karata Kya Uski Qurbani Ho Jayegi

*🌹JAWAB:-🌹*

Kya Masjid Me Eid Ki Namaz Ho Sakti He ?

 *_Kya Masjid Me Eid Ki Namaz Ho Sakti He ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Salaam 
Kya Masjid Me Eid Ki Namaz Pdne Se Sawab Kam Milta Hai ? Masjid Me Eid Ki Namaz Durust Ho Jayegi ?
Kisi Ka Kehna Hai Ke Masjid Me Eid Ki Namaz Prna Khilaaf E Sunnat Hai

*🌹JAWAB:-🌹*

Saanp Ko Marna Kesa ? Or Agar Saanp Jin Ki Shakl Me Ho To ?

 *_Saanp Ko Marna Kesa ? Or Agar Saanp Jin Ki Shakl Me Ho To ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Saanp Ko Marne Ka Huqm Hai Kya Dikhe to Mardena Chahiye Kuch Kahte Hai Ki Nhi Marna Chahiye Koi Buzurg Hote Hai to Hazrat Ham Kaise Jaane 
Aur Koi Jin Ki Shakl Ikhtiyar Karte Hai Jispe Bola Gaya Hai Suleman Alaihslam Ka Wasta Dena Chahiye ?

Paytm Google Pay Wagairah App Se Milne Wala Cash Back Lena Kesa ?

 *_Paytm Google Pay Wagairah App Se Milne Wala Cash Back Lena Kesa ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Warhematullahi Wabarkatahu

Hazrat Ki Bargah Me Mera Sawal Ye Hai Ke Aj Kal Log Cash Less Ke Zariye Len Den Kar Rahe Hain,jese Upi, ptym, gpay, phone Pay, wagera Qr Code Ke Zariye Is Me Cash Back Bhi Milta Hai Kya Ye Jaez Hai Ya Haram Hai Hadis Ki Roshni Se Humari Rehnumai Farmaye

Jazak Allah

Iftekhar Ahmed Ansari
Mumbai

Qurbani Ka Pura Gosht Apne Liye Rakh Lene Wale Par Kya Hukm He

 *_Qurbani Ka Pura Gosht Apne Liye Rakh Lene Wale Par Kya Hukm He_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Alaikum
Qurbani Ke Gosht Teen Hisson Me Taksim Karne Ka Hukum Hai Log Sahi Se Ek Hissa Bhi Taksim Nahin Karte or Sara Ka Sara Apne Pass Rakh Lete Hai Aise Karne Wale Ke Upar Kya Hukum Hai Shariyat Mein

Biwi Ko Talaq Dene Ke Baad Nikah Karne Ka Mas'ala

 *_Biwi Ko Talaq Dene Ke Baad Nikah Karne Ka Mas'ala_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Va Rahmatullahi Va Barakatuhu
  
 Hazrat Ustazul Ulma Ustaze Mohtaram *Mufti Tofik Sahab* Ki Bargah Me Ye Sawal Hai Ki Zaid Ne Apni Biwi Ko Talaq De Diya Ab Zaid Ko Usse Hi Nikah Karna Hai to Is Ka Masala Kiya Hai 
Rehnumaee Farmaiye Badi Navazish Hogi 
Muhammad Shamil Razvi

Kya Aqeeqah Ke Liye Do Janwar Zabah Karne He Ya Ek Hi Bade Janwar Me Do Hisse Rakh Sakte He

 *_Kya Aqeeqah Ke Liye Do Janwar Zabah Karne He Ya Ek Hi Bade Janwar Me Do Hisse Rakh Sakte He_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Alaikum

Kya Aqeeqah Me Ek Ladke Pe Do Jaan Dena Esa Kehte He to Kya Ek Pada Yani Bhens Me 7 Hisse Hote He to Kya Wo Sahi Hoga Ya Fir Do Jaan Hi Dena Hoga

*🌹JAWAB:-🌹*
Aqeeqe Me Ladke Ki Taraf Se Do Bakre Our Ladki Ki Taraf Se Ek Bakri Yani Ladke Me Nar Janwar Our Ladki Me Maada Janwar Zabah Kiya Jae to Munasib He.

Agar Kisi Ne Ladke Me Bakriyañ Our Ladki Me Bakra Zabah Kiya Tab Bhi Haraj Nahiñ... Hanfiyoñ Ke Nazdik Aqeeqah Mubah W Mustahab He...
      
Bade Janwar Ko Aqeeqe Me Zabah Kiya to Ladka W Ladki Ke Liye Alag Alag Janwar Zabah Karna Ye Zaroori Nahiñ Balki Ek Bade Janwar Me Do Hisse Ladke Ke Our Ek Hissa Ladki Ka Rakkha to Sahih He..

Jaisa Ke Bahaar E Shariat Me He,
Ladke Ke Aqeeqah Me Do Bakre or Ladki Me Ek Bakri Zabah Ki Jaye Yaani Ladke Me Nar Janwar or Ladki Me Maada Munasib He. Or Ladke Ke Aqeeqah Me Bakriyañ or Ladki Me Bakra Kiya Jab Bhi Harj Nahiñ. Or Aqeeqah Me Gaaye ( Ya Bada Janwar) Zabah Ki Jaye to Ladke Ke Liye Do Hisse or Ladki Ke Liye Ek Hissa Kaafi He Yaani 7 (Saat) Hissoñ Me Do Hisse Ya Ek Hissa...
*📚(Bahare Shariyat, H-15, Aqeeqah Ka Bayan, Mas'ala-7)*

Ladke Ke Aqeeqah Me Do Bakriyoñ Ki Jagah Ek Hi Bakri Kisi Ne Ki to Ye Bhi Jaaiz He. Ek Hadees Se Bazaahir Aysa Ma'aloom Hota He Ki Aqeeqah Me Ek Mendha Zabah Huva.
*📚(Bahare Shariyat, H-15, Aqeeqah Ka Bayan, Mas'ala-14)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️25 June 2023, 6 Zul Hijja 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ek Hi Janwar Me Qurbani Or Aqeeqah Ki Shirkat Ka Hukm

 *_Ek Hi Janwar Me Qurbani Or Aqeeqah Ki Shirkat Ka Hukm_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum 
Hazrat Mera Sawal Hai Ki Kya Qurbani Ke Janwar Mai Aqeeqa Kar Sakte Hai Hissa Leke Ya Qurbani Ka Janwar Leke

*🌹JAWAB:-🌹*

Qurbani Ke Pahle Dadhi Or Nakhun Katane Ka Mana He To Kya Isme Munchh Or Dadhi Setting Karana Bhi He

 *_Qurbani Ke Pahle Dadhi Or Nakhun Katane Ka Mana He To Kya Isme Munchh Or Dadhi Setting Karana Bhi He ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Alaikum
Qurbani Karne Wale Ke Liye Ye Sunnat Hai Nakhun Aur Bal Na Kate Kiya Isme Muchhe Aur Dadi Setting Karna Bhi Sumar Hai

*🌹JAWAB:-🌹*

Hadees Me Rishtedari Todne Wale Par Waeed He To Agar Badmazhab Rishtedar Ho To Kya Hukm He

 *Hadees Me Rishtedari Todne Wale Par Waeed He To Agar Badmazhab Rishtedar Ho To Kya Hukm He ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Asalam Alaikum Hazrat Mera Suwaal Hai Ki Hmaare Rishtedar Me Wahabi Devbandi Sullehkulli Hai To Hm Unke Yahaa Bht Km Aate Jaate H Koshish Yahi Karte Hai Unse Door Rahe Lekin Hamare Nabi Ki Hadees H Hmne Suna Hai Ki Jo Rishtedari Todega Uski Sakht Pakad Hai To Iski Wazaahat Farma De Ki Ky Shi H

*🌹JAWAB:-🌹*

Kya Musta'amal Paani Ko Baytul Khala Me Istemaal Kar Sakte Hai

 *_Kya Musta'amal Paani Ko Baytul Khala Me Istemaal Kar Sakte Hai ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kya Farmae Hai Aulma E Kiram W Muftiyane Izaam Is Mas'ala Par Ki, 
Halate Napaaki Me Ma'a Raakib Ko Mas Karne Se Paani Ma'e Musta'amal Gair Mutahhar Ho Jata He to Baytul Khala Me Aysa Napaak Shakhs Ka Mas Kiya Huva Paani Se Dusra Paak Shakhs Apni Taharat Le Sakta He Ya Nahiñ Jabki Vo Paak Shakhs Ke Is Baat Se Nawaqif He Ki Vo Bartan Ka Paani Mas Huva He ya Nahiñ Jabki Ye Amal Saari Duniya Me Ho Raha He, Jawab Inayat Farmayeñ..

Deobandi Zaujain Ke Nikah Me Shirkat Karne Wale Imam W Saamain Par Kya Hukm He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Asslamualikum, Bakar Jo Ki Ek Sunni Aalim He Or Ek Masjid Ka Imam He Uske Gaanw Me Ek Shadi Hui Jisme Zaujain Deobandi Hai Or Samaeen Sunni Imam Jisne Nikah Parhaya Vo Bhi Bakar Sunni To Is Soorat Me Nikah Hoga Ki Nahiñ Or Imam Or Samaeen Par Shariyate Mutahhara Ka Kya Hukm He?

*🌹JAWAB:-🌹*

Darji Ka Aurat Ke Fashion Wale Ya Be Parda Kapde Sina Or Uski Ujrat Ka Hukm

 *_Darji Ka Aurat Ke Fashion Wale Ya Be Parda Kapde Sina Or Uski Ujrat Ka Hukm_*

*🌹SAWAL:-🌹*
الســـلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
Aj Kal Jo  Ledies Tailor Ka Kam Karte Hai Ye Amdani Jaiz Hai Jab Ke Tailor Ko Pata Hai Ki Aj Kal Ki Aurate (Muslim) Achhi Achhi Desain Wale Kapde Bana Kar Sadi Me Jayegi or Waha Be Parda Rahe Gi or Woh Aurte Kapde Aise Hi Banati Hai K Waha Sab Hamko Dekhe Hamare Kapde Dusri Aurto Se Achhi Design Wale Lage
Ye Pata Hone K Bawajud Tailor Aisi Aurato K Kapde Siye to Kya Ye Silai Ki Ujarat Le Sakte Hai.or Is Tarha Ka Kam Jo Gunah Me Madad Ho Karna Kaisa Us Kya Huqm Hai ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Masjid Pahuchne Tak Jama'at Chhutne Ka Khof Ho To Ghar Par Namaz Parhna Kesa?

 *_Masjid Pahuchne Tak Jama'at Chhutne Ka Khof Ho To Ghar Par Namaz Parhna Kesa?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum 
Hazrat Mera Ek Sawal Hai 
Ghar Par Namaz Ada Karna Kaisa Agr Jamaat Chhuth Jaaye Ya Hume Lag Raha Hai Ke Masjib Pahochte Pahochte Namaz Chhuth Jayengi to Kya Hum Ghar Par Namaz Ada Kar Sakte Hai ?
Jawab Inayat Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*

Namaze Panjgana Me Awwal Saf Ko Or Janaza Me Aakhri Saf Ko Fazilat Kyuñ ?

 *_Namaze Panjgana Me Awwal Saf Ko Or Janaza Me Aakhri Saf Ko Fazilat Kyuñ ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
5 Waqt Ki Namaz Mein Pahli Safh Ko  Afzal Mani Gai Lekin Namaz e Janaja Mein Pichhali Safh Ko  Zyada Afzal Mani Gai Aisa Kyon??

*🌹JAWAB:-🌹*

3 Din Pahle Quraan Mukammal Khatm Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum 

Hazrat Sawal Yeh Tha Ki Zaid Ek Din Ya Do Din Mein Quran Mukkamal Kar Sakta Hai Ya 3 Din Pure Hone Jaruri Hai

Kya Wife Ki Jwellery Ki Zakat Husband Nikal Sakta He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Assalamu Alaikum 
Mera Ek Sawal Hai Ye Hai
Agar Wife Job Nahi Karti to Uska Husband Uski Jwellery Par Zakat Nikal Sakta Hai ?

Walidain Or Buzurgoñ Ki Qadam Bosi Karna Kesa ?

 *_❇️Walidein Or Buzurgoñ Ki Qadam Bosi Karna Kesa?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Mera Sawal Hai Ke Aaj Kal Yeh Fail Aam Hua Hai Ke Waliden Khususan Maa or Buzurgon Ke Kadmo Ka Bosa Lete Hai Yeh Jaiz Hai .....rehnumai Farmaye
Sail:Sayyid muhammad 
Hashim Mumbai. 
*بسم اللہ الرحمن الرحیم* 
*🌹JAWAB:-🌹*

Gair Muslim Ko Happy Birthday Wish Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

Kya Gair Musalman Ko Happy Birthday Wish Ker Skte He Ya Nahi ??

*🌹JAWAB:-🌹*

Sharai Safar Me Namaz Nahi Parhi Or Namaz Ke Usi Waqt Me Ghar Pahuch Gaya To Namaz Qasr Kare Ya Pur

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaykum Warahmatullahi Wabarkatuh 

Hazarat Safar Ki Namaz Ke Mutalliq Sawal Hai..

Hum Aise Jagah Ho Jaha pe Agar Kisi Namaz Ka Waqt Hua to Safar Ki Namaz Ada Karni Hogi Magar Kisi Bhi Wazah Us Waqt Namaz Ada Nahi Hue Aur Ghar Ke Liye Nikal Aaye. Aur Ghar Pahoch Ke Bhi Usi Namaz Ka Waqt Abhi Hai to Konsi Namaz Ada Hogi Safar Ki Ya Puri Namaz.  Aur Agar Namaz Ka Waqt Guzar Gaya Ho to Safar Ki Kaza Padhe Ge Ya Puri Kaza Padhni Hogi?
Rehnumayi Farmaye....

Ek Jagah Se Dusri Jagah Safar Kiya Dusri Jagah Pahuch Jaaye To Safar Ki NAmaz Qasr Kare Ya Puri ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaykum Warahmatullahi Wabarkatuh 

Agar Hum Makami Shehar Se Safar Ke Liye Nikle Ho Aur Safar Suru Hi Kiya Ho Aur Kisi Bhi Namaz Ka Waqt Ho Jaye to Jab Humara Safar Khatam Ho to Waha Agar Hum Namaz Ada Kare to Konsi Ada Kare? Safar Ki Namaz Ya Puri Namaz?

Wuzu Khane Me Gila Rumal Bichha Kar Namaz Parhna?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Alaikum
Jume Ki Namaz Me Log Derse Ate Hai Jaga Na Milne Ki Wajese  Wazu Khane Me Gile Toliye Utar Kar Us Par Namaz Pad Te Hai  Unki Namaz Ka Kiya Hukum Hai

*🌹JAWAB:-🌹*

Gair Muslim Ke Ango Ko Muslim Ke Jism Me Dalna ? aa'aza E Jism.Ki Pewandkaari Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*
Kya Kisi Gair Muslim Ke Ango Ko Kisi Muslim Ke Jism Me Dakhil Kar Sakte Hai Yaani Koi Gair Muslim Ke Angdaan Ko Kubul Kar Sakte Hai????

Takht Ya Charpaai Ko Aage Karke Namaz Parhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Mera Sawal H 
Ghar Me Takht Ya Charpai H or Namazi Usko Age Kr K Namaz Padta H to Kiya Namaz Ho Jayegi Ya Usko Hata Kr Namaz Ada Kare

*🌹JAWAB:-🌹*

Chickenpox Hua Ho To Ghar Se Bahar Jana Or Ye Kahna Ki Harijan ki Padchhai Nahi Padni Chahiye ???

 *🌹SAWAL:-🌹*
Agar Choti Ladki Ko Chicken Pox (Achhab) Ho to Kya Woh Aek Ghar Se Bahar Ganv  Koi Aur Ghar Me Travel Kar Sakti Hai???

Logo Ka Kehna Hai K Woh Ghar Se Bahar Nahi Nikal Sakte Aur Koi Harizan Ka Shadow Bhi Nahi Padna Chahye Aesa Bolte Hai ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Naam Likhe Huve Musalle Par Namaz Parhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualikum 
Kiya Musalle Par Apna Nam Likha Huaa Ho Us Par Namaz Ada Kr Sakte H

*🌹JAWAB:-🌹*

Bakar Ne Tahband Pahanna Huzur Ki Sunnat Nahi Ho Sakti Isme Behayai Hoti He ? Bakar Par Kya Hukm he ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
الســـلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
Ek Sawal Arz Hai Ki Zaid Kehta Hai Tahbond Pahan Na Huzoor Ki Sunnat Hai To Isi Baat Pe Bakar Kahta Hai Ki Ye Be Hayai Wala Libas Hai Aur Aise Be Haya Sunnat Huzoor Ki Nahi Ho Sakti To Is Bat Par Bakar Ke Liye Kya Hukm Jawab De Kar Shukriya Ka Mauka De

Kya RasoolAllah ﷺ Hame Naam Ke Sath Jante He ? Rasool Ka Ilme Gayb Badmazhab Ko Jawab

*🌹SAWAL:-🌹*
Kuch Wahabi Kahte Hai Ki Kya Rasool Allah ﷺ Hamey Jante Hain Aisa Kaise Ho Skta Hai Bhai Ispe Jawab Dena Hai Ap Inayat Frmay Daleel Se With Detail

Kya wo hmko hmare maa baap sath jante he، ham jb musibat me hote unko pukare wo jante sunte hai wo kahte ye sirf Allah ki shan hai

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Huzure Aqdas ﷺ Bila Shaqqo Subah Hame Jante Pahechante Hai, Unhe Har Shay Ka Allah Ta'ala Ne Ilm Ata Kiya He... Or Huzur ﷺ Hamari Imdaad Bhi Farmate Hai, Yahi Aqeedah Hame Qur'aan Or Ahaadise Kareema Or Muhaddiseen Se Milta He... 

Chunanche Qur'aane Paak Me Rab Tabarak W Ta'ala Irshad Farmata He,
وَ  مَا  كَانَ  اللّٰهُ  لِیُطْلِعَكُمْ  عَلَى  الْغَیْبِ  وَ  لٰـكِنَّ  اللّٰهَ  یَجْتَبِیْ  مِنْ  رُّسُلِهٖ  مَنْ  یَّشَآءُ   ۪-  فَاٰمِنُوْا  بِاللّٰهِ  وَ  رُسُلِهٖۚ-وَ  اِنْ  تُؤْمِنُوْا  وَ  تَتَّقُوْا  فَلَكُمْ  اَجْرٌ  عَظِیْمٌ.
Tarjama: Or (Ay Aam Logo) Allah Tumhe Gaib Par Matla'a Nahiñ Karta Albatta Allah Apne Rasooloñ Ko Muntakhab Farma Leta He, Jinheñ Pasand Farmata He To Tum Allah Or Uske Rasooloñ Par Imaan Laao Or Agar Tum Imaan Laao Or Mutaqqi Bano To Tumhare Liye Bara Ajr He.
*📚(Surah Aale Imran, Aayat-179)*

Is Aayate Karima Ka Shane Nuzool Kuchh Is Tarah He Ki,
Tajdare Risalat ﷺ Ne Farmaya Ki, Meri Ummat Ki Pedaish Se Pahle Jab Meri Ummat Mitti Ki Shakl Me Thi Us Waqt Vo Mere Samne Apni Soortoñ Me Pesh Ki Gai Jaisa Ki Hazrat Aadam Alaihis Salam Par Pesh Ki Gai Or Mujhe Ilm Diya Gaya Ki Kon Mujh Par Imaan Layega Or Kon Kufr Karega.. Ye Khabar Jab Munafiqeen Ko Pahunchi To Unhoñ Ne Istihza Ke Taur Par Kaha Ki Muhammad ﷺ Ka Guman He Ki Vo Ye Jante Hai Ki Jo Log Abhi Paida Bhi Nahiñ Huve Unme Se Kon Un Par Iman Layega Or Kon Kufr Karega, Jabki Ham Unke Sath Rahte Hai Or Vo Hameñ Pahchante Nahiñ..

Is Par Huzur Saiyedul Mursaleen ﷺ Mimbar Par Khare Huve Or Allah Ki Hamd W Sana Ke Baad Farmaya, 
"in Logoñ Ka Kya Haal He Jo Mere Ilm Me Ta'an (Aitraaz) Karte Hai, 
: لَا تَسْألُونِي عَن شَيءٍ فِيما بَينَكُم وَبَينَ السَّاعَةِ اِلّا نَبَّاْ تُكُم بِهٖ
Yaani Aaj Se Qayamat Tak Jo Kuchh Hone Wala He Usme Se Koi Cheez Aysi Nahiñ He Jiska Tum Mujhse Sawal Karo Or Me Tumheñ Uski Khabar Na De Dun..

Hazrat Saiyeduna Abdullah Bin Huzafa Sahmi رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُ Ne Khare Ho Kar Kaha:
مَنْ اَبِيْ يَا رَسُولَ اللّٰه؟
Yaani Ya Rasoolallah ﷺ ! Mera Walid Kon He? Irshad Farmaya: Huzafa..

Phir Hazrat Umar رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُ Ne Khare Ho Kar Arz Ki Ya Rasoolallah ﷺ Ham Allah Ke Rab Hone, Islam Ke Deen Hone, Qur'an Ke Imam W Peshwa Hone Or Aap ﷺ Ke Nabi Hone Par Raazi Huve, Allah Paak Aapke Darjaat Baland Farmaye Hameñ Muaaf Farma Dijye.. Nabi E Kareem ﷺ Ne Do Martaba Farmaya: 
فَهَلْ اَنْتُمْ مُّنْتَهُوْنَ
To Kya Tum Baaz Aaye ? Phir Mimbar Se Niche Tashreef Le Aaye Is Par Allah Ta'ala Ne Ye Aayat Naazil Farmai.
*📚(Khazin, Surah Aale Imran, Tahat Aayat-179, J-1, S-328)*
Isi Tarah Ki Hadees 
*📚(بخاری، کتاب العلم، باب الغضب فی الموعظۃ والتعلیم۔۔۔ الخ، ۱ / ۵۱، الحدیث:۹۲)*
Me Bhi Mazkoor He...

Is Aayate Kareema Ke Shane Nuzul Or Is Tarah Ki Kai Ahadise Kareema Se Wazeh He Ki Allah Ne Huzur ﷺ Ko Qayamat Tak Hone Wali Har Shay Ka Ilm Ata Kiya Kon Imaan Layega Or Kon Nahiñ... To Isse Yaqeeni He Ki Huzur ﷺ Beshak Hame Jante Pahechante Hai... Or Huzur ﷺ Ke Ilme Gayb Ka Inkar Karne Wale Munafiqeen Me Se He Jo Ki Huzur ﷺ Ke Zamane Me Bhi The... Or Aap ﷺ Ke Ilme Gayb Par Imaan Lane Wale Sahaba E Kiram Ki Jama'at Me Se He....

Or Ek Aayate Kareema Me Rab Tabarak W Ta'ala Irshad Farmata He,
وَ عَلَّمَكَ مَا لَمْ تَكُنْ تَعْلَمُؕ-وَ كَانَ فَضْلُ اللّٰهِ عَلَیْكَ عَظِیْمًا
Or Tumheñ Sikha Diya Jo Kuchh Tum Na Jante The Or Allah Tum Par Bada Fazl He.
*📚(Surah Nisa, Aayat-113)*

Is Par Ijma'a He Ki Allah Ke Diye Se Ambiya E Kiram Ko Kaseer W Waafir Gayboñ Ka Ilm He Ye Bhi Zaroorite Deen Se He Jo Iska Munkar Ho Kafir He Ki Sare Se Nabuwwat Ka Hi Munkar He.

Or Is Par Bhi Ijma'a He Ki Is Fazle Jaleel Me Muhammad Mustafa ﷺ Ka Hissa Tamam Ambiya W Tamam Jahan Se Atamm W Aazam He,.. Allah Ki Ata Se Habeebe Kareem ﷺ Ko Itne Gayboñ Ka Ilm He Jinka Shumar Allah Hi Janta He.
*📚(فتاوی رضویہ، ۲۹ / ۴۵۰-۴۵۱، ملخصاً)*

Yahañ مَا لَمْ تَكُنْ تَعْلَمُ Me Vo Sab Kuchh Dakhil He Jo Aap Nahiñ Jante,  Moatabar Tafaasir Me Iski Sarahat Maujud He, Chunanche Chand Darj Zail He,
1)… تفسیر البحر المحیط، النساء، تحت الایۃ: ۱۱۳،۳ / ۳۶۲ 
(2)…تفسیر طبری، النساء، تحت الایۃ: ۱۱۳، ۴ / ۲۷۵، 
(3)…نظم الدرر ، النساء، تحت الایۃ: ۱۱۳،۲ / ۳۱۷،
(4)… زاد المسیر فی علم التفسیر، النساء، تحت الایۃ: ۱۱۳، ص۳۲۴، 
(5)…روح المعانی، النساء، تحت الایۃ: ۱۱۳، ۳ / ۱۸۷

Is Aayat Se Saaf Wazeh Ki Huzur ﷺ Ko Allah Ta'ala Ne Vo Sab Kuchh Sikha Diya Jo Aap Nahiñ Jante The ... Jab Jo Nahiñ Jante The Sikha Diya To Ab Kuchh Unse Poshida Raha Hi Na... Lihaza Huzur ﷺ Ko Allah Ne Har Shay Ka Ilm Ata Kiya Or Aap ﷺ Hameñ Jante Pahechante Or Hamari Imdaad Bhi Farmate Hai...

Iske Alawa abhi Kai Qur'ani Aayat Or Ahaadise Kareema Or Muhaddiseen Ke Aqwaal se Huzur ﷺ Ka Allah Ki Ata Se Ilme Gayb Sabit He....
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️10 June 2023, 10 Zul Qa'ada 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Zaid Ne Kisi Ko 52.5 Tola Chandi Ki Maliyat Ka Qarz Diya To Zaid Par Qurbani Ka Hukm?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Agar Kisine Dusre Shakhs Ko Sare bawan 52.5 Tola Chandi ki maliyat ke barabar qarz de rakha ho to kya ayse shakhs par qurbani wajib hogi ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Masjid Ke Second Floor Pe Madarsa Banana Or Uske Liye Chanda Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum

Ek Masjid K Second Flore Par Masjid K Imam Saheb Ne Madarsa Banaye Hai Jahan Bachche Hafiz E Quran Banege 
Imam Saheb Madarse K Naam Se Us Ka Chanda Kar Rahe Hai Aur Chanda Tameeri Kaam K Liye Kiya Ja Raha Hai Jab K Madarse Ka Naam Alag Hai Masjid Ka Naam Alag Hai 

Kya Yahan Madarse K Naam Par Imam Saheb Ka Chanda Lene Durust Hai? Kya Hamen Tameeri Kaam K Liye Yahan Chanda Dena Chahiye? 

Rehnumayi Huzur

Tarashe Huve Nakhun Ko Ghar Ke Aangan Me Dafn Kare Ya Bahar ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Nakhun Tarash(katne) Ne Ke Bad  Unko Ghar Ke Aangan Me Gadna Kaisa Hai Kya Aangan Me Gad Sakte Hai Ya Fir Bahar Gadna Hoga

*🌹JAWAB:-🌹*

Gause Aazam Ka Naam Bagair Wuzu Lena Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Is Baat Ki Kya Sadaaqat He ki "Gause Aazam Ka Naam Bagair Wuzu Liya Jaye To Baal Jhar Jaate Hai" ? Rahenumai farmayeñ

*🌹JAWAB:-🌹*

Crypto Currency Ka Paisa Halal Ya Haram ??

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Kya Cryptocurrency Se Paisa Kamana Halal or Jaiza Hai Ya Na Zaij O Haram Hai???

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Crypto Currency, Bit Coin, Onecoine Ya Is Jesi Online Currency Ya Virtual Currency Ka Karobar Ya Kharido Farokht Ya Uska Lein Den Karna Jaaiz Nahiñ... Is Liye Ki Ye Ek Farzi Currency He, Jo Sirf Internet Tak Mahdood He, Iska Khaarij Me Koi Wujood Nahiñ Or Dunya Ki Aksar Hukumateñ Bataure Currency Ise Tasleem Bhi Nahiñ Karti, Falihaza Is Par Na To Maal Ki Sharai Istelaahi Ta'areef Sadiq Aati He Na Hi Ise Saman Kaha Ja Sakta He.. Or Isme Kai Soorte Qamaar Yaani Juaa Ki Bhi He Jo Najaaizo Haram He... Iske Jawaz Ki Koi Soorat Nahiñ...

Allama Zain Ibne Najeem Misri Hanfi Muwaffa 970 H Farmate Hai,
"المال اسم لغيرالآدمى خلق لمصالح الادمى وأمكن احرازہ والتصرف فيه على وجه الاختيار "
Yaani Maal Aadmi Ke Alawa Us Cheez Ka Naam He Jis Ka Wujood Aadmi Ke Masaaleh Ke Liye Ho Use Jama'a Rakhna Or Usme Tasarruf Karna Ikhtiyari Taur Par Mumkin Ho..
*📚(البحر الرائق ، کتاب البیع ، تحت قولہ:ھومبادلۃالمال بالمال بالتراضی ، ۵/۲۷۷ ، مطبوعۃ: شرکۃعلاؤالدین بیروت)*

Or Saman Ke Bare Me He,
*"وأما في الاصطلاح فالثمن ، ما يكون بدلا للمبيع ويتعين في الذمة، ویطلق الأثمان أيضا على الدراهم والدنانير"*
Yaani Istelaah Me Saman Vo He Jo Mubee'a Ka Badal Ho Or Zimma Me Muta'ayyin Ho, Dirham W Dinaar Par Bhi Iska Itlaaq Hota He.
*(الموسوعۃالفقھیۃ،حرف الثاء ، ثمن ، ۱۵/۲۵ )*

Or Iske Liye Shart He Ki Vo Maal Ho, Mushtari Ki Milkiyat Me Ho, مقدورالتسلیم ، معلوم القدر والوصف ہو Ho.

Chunanche موسوعہ فقہیہ Me He,
*"اتفق الفقهاء على وجوب تسمية الثمن في عقد البيـع، وأن يكون مالا ، ومملوكـا للمشتري ، ومقدور التسليم، ومعلوم القـدر والوصف،"*
Yaani Aqad Bee'a Me Saman Ke Taqreeri Ke Wujoob Par Fuqha Ka Ittefaq He Or Ye Ki Vo Maal Ho, Mushtari Ka Mamlook Ho, مقدورالتسلیم ہو ، معلوم القدر والوصف ہو ،ho...
*(الموسوعۃالفقھیۃ ، حرف الثاء ، ۱۵/۲۶)*

Ye Sari Sifaat Crypto Currency Ke Andar Nahiñ Paai Jaati, Jis Ki Wajah Se Use Na Maal Qaraar Diya Ja Sakta He, Na Saman, Or Jab Ye Maal W Saman Nahiñ To Usse Uska Karobar Bhi Durust Nahiñ..

Or Ye Qamaar Yaani Juaa Ke Jumre Me Bhi Shamil He,
Ki Achanak Kisi Crypto Currency Ka Rate Net Par Barh Jata He Or Kabhi Uska Rate Ghat Jata He, Babut Sari Companyañ To Doob Bhi Jaati He, Or Isi tarah Unme Paisa Lagane Waloñ Ke Paise Bhi Doob Jate Hai Bahut Sara Khaasara Bhi Hota He, Yaani Usme Apne Maal Ko Khatre Me Daalna He Or Yahi Juaa He.. Or Juaa Najaaizo Haram He...

Bareilly Shareef Me Mustanad Aulma E Kiram Ki Maujudgi Me Mun'aqid Hone Wale Fiqhi Seminar Ke 15ve Fiqhi Seminar Me Is Ke Ta'alluq Se Tafseeli Hukm Shadir Farmaya He,

Chunanche Fiqhi Seminar Me Bitcoin Or Onecoine Wagairah Virtual Currency Ke Ta'alluq Se Tay Hua Ki,
Virtual Currency Ke Muta'alliq Jitni Ma'aloomat Hasil Hui Unki Roshni Me Bahas W Tahqeeq Ke Baad Ba Ittefaqe Raaye Ye Tay Hua Ki Virtual Currency Maadi Nahiñ Or Uska Koi Wujood Kharji Nahiñ To Shar'an Vo Maal Nahiñ He Ki Maal Ka Az Qabeel A'ayaan Hona Zaroori He, 
Or Jab Vo Currency Maal Nahiñ To Vo Samane Istelaahi Bhi Nahiñ He..

Bee'a Ke Liye Mubee'a Ka Maal Hona Zaroori He, Or Jab Mazkoora Currency Maal Nahiñ He To Uski Kharido Farokht Bhi Jaaiz Nahiñ He..

Or Tamam Membaran Ke Coins Ko Kisi Muqarra Tarikh Par Dugna Karne Ke Ta'alluq Se Sawal Ke Jawab Me He Ki Ye Qamaar (Juaa) Ke Hukm He..

Bar Bina E Urf W Ta'amil Jawaz Ki Koi Soorat Nahiñ...
*📚 Makhuz Az: (15va Fiqhi Seminar, Sharai Council Of India Bareily Shareef)*

Lihaza Crypto Currency Ya BitCoin Ya Is Jesi Virtual Currency Ki Kharido Farokht Uska Len Den Najaaiz He.. Musalman Ko Isse Bachna Zaroori He....
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️9 June 2023, 19 Zul Qa'ada 1444*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Masjid Me Khana Khane Ke Liye 2 Rakat Padhni Padhegi ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Salaam hazart 

Kya masjid me khana khane pr 2 rakat namaz padhni padti hai?

Halal Janwar Ki Kitne Cheeze Khana Mana He?

 *🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kya Farmate Hai Aulma E Kiram Is Mas'ala Me Ki Halal Janwar Me Kitni Cheezeñ Khana Haram Hai Or Vo Kon Kon Si Hai Bara E Karam Tasalli Bakhsh Jawab Inayat Farmayeñ..

Jumuah Ki Sirf 2 Farz Parh Kar Masjid Se Chale Jana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Mera Dost Jumuah Ki Namaz Ki Bas 2 Farz Padhke Ghar Chala Jata Hai Or Baki Ki Sunnat Nafal Nahi Padhta Uske Lye Kya Hukum He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Saiyed Ka Kahna Ki Shariyat Hamare Ghar Ki He Ham Jesa Chahe Use Mod de.??

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuh

Ek Sayyed Sahab Hai, Wo Khilaf E Shari'at Amal Karte Hai 
Unki Islah Karne Par Wo Kehte Hai Shari'at To Hamare Ghar Ki Hai Ham Jaisa Chahe Usko Modh Kar Amal Kare, Aur Wo Kehte Hai Kuch Shari'at Ke Hukom Sayyedo Par Nahi Lagte 

Aur Wo Sayyedo Ki Misaal Sanp Se Dete Hai, Wo Kehte Hai Sanp Chahe Zindagi Bhar Teda Chale Magar Marne Baad Wo Sidha Hoke Marega

To Unpar Kya Hukum Lagega

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Shariyat Ka Qanoon Sab Ke Liye Barabar Hai Syed Ho Ya Ghaire Syed Jisne Bhi Aisa Kaha Ghalat Kaha, Usse Tauba Aur Rujoo'a Lazim Hai..
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Saiyed Qafeel Hashmi Sahab Qibla*
*📬Markazi Darul Ifta Manzare Islam Baraily Shareef*
*🗓️2 June 2023, 12 ZUL QADA 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aurat Karobar Me Itni Masroof Ho Jaye Ki Ghar Ki Or Shohar Ki Zimmedari Puri Na Karti Ho To Aysa Karobar Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
الســـلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
Aj Kal Dekha Jata Hai Ki Aurate Online Karobar Karti Hai Jaisa Ki Kapde Household Chije Online Bechana Woh Ghar Baithe Karti Hai Fir Ye Hota Hi Ki Us Kam Me Itna Buzzy Ho Jati Hai Ki Ghar Ka Kam Kamwali Karti Hai Bachhe Ki Padhai Shohar K Jimmedari Sab Ek Taraf Hojati Hai Bas Us Kam Me Lagi Raheti Hai to Ek Shadi Shuda Aurat Par Kya Firz Hai ?  Ki Aisa Woh Karobar Kar Sakti Hai Jab Ki Us Ka Shohar Kamakar La Kar Us Ko Khilata Pilata Ho ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aurat Jab Aqde Nikaah Se Munsalik Hoti He to Uske Naano Nafqa W Sukna Wagairah Ki Zimmedaari Uske Shohar Par Hoti He or Biwi Ke Zimma Jaaiz Kaamoñ Me Shohar Ki Ita'at W Farma Bardaari He Karobar Karna Biwi Ki Zimma Daari Nahiñ Or Farman Bardaari Biwiyoñ Ke Muta'alliq Ahaadees Me Bahut Saari Fazilateñ Aai Hai,

Jaisa Ki Nabi E Paak ﷺ Ne Irshad Farmaya,
"Aurat Jab Paanchoñ Namazeñ Parhe, Ramzaan Ke Roze Rakhe, Apni Sharmgaah Ki Hifazat Kare or Apne Shohar Ki Ita'at Kare To Usse Kaha Jayega Ki Jannat Ke Jis Darwaze Se Chaho Dakhil Ho Jaao."
*📚(Musnad Imam Ahmad, J-1, S-406)*

Neez Farmane Mustafa ﷺ He,
Jo Aurat Is Haal Me Mare Ki Uska Shohar Usse Raazi Ho Vo Jannat Me Dakhil Hogi.
*📚(Tirmizi, J-2, S-386)*

Lihaza Vo Aurteñ Jo Apne Shohar or Apne Bachchoñ Ki Zimma Daariyañ Chhor Kar Karobar Me Mashgool Rahti Hai Unheñ Apni Zimma Daariyoñ Ka Khayal Rakhna Chahiye Shohar Ki Ita'at W Farman Bardaari or Uske Huqooq Ki Pasdaari Karni Chahiye Haañ Agar Ashad Zaroorat Ho to Sharai Had Me Rah Kar Karobar Kar Sakti He Is Taur Par Ki Gair Mahram Se Milna Julna Unse Baat Cheet Karna Na Parta Ho..
واللہ تعالیٰ اعلم
*✍🏻 Al-jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Zaiyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬Khadim Sadrushshariyah Darul Ifta W Darul Uloom Raza E Mustafa, Bharuch, Gujarat*
*🗓️2 June 2023, 12 Zul Qada 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Snooker Game Khelna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Snooker Game Khelna Kisa Hai?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Waqt Guzarne Ke Liye Snookar Game Khelne Ke Ta'alluq Se Sarkar Tajushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Ek Sawal Ke Jawab Me Farmate Hai,
Iski Ijazat Nahiñ He..
https://jamiaturraza.com/session/2Jan11/12.mp3

Or Ek Dusre Sawal Ke Jawab Me Farmate Hai,
Ye Lahw Laeeb Hai, Aur Shar'an Ye Najaaiz O Haraam Hai, Agarche Bagair Shart Ke Khele, Agar Shart Laga Kar Ke Khele To Ye Mazeed Haraam Dar Haraam Hai, Haraame Qatayi Hai Isliye Ki Ismein Juaa Bhi Shaamil Hai, Or Bagair Juwe Ke Bagair Shart Ke Khele To Uski Ijazat Nahiñ, Aur Mobile Wagairah Par Jo Game Hai Unka Bhi Yahi Hukm Hai.
http://jamiaturraza.com/session/5Feb11/6.mp3
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,petlad_*
*🗓️26 May 2023, 6 Dhul Qa'ada 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Farze Kifaaya Kise Kahte he ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum,
Farz E Kifayyah Kya Hota Hai ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Farz 4 Ki Char Rak'at Me 3ri Rak'at Me Surah Milali To Kya Hukm He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat, Hazrat Zaid Ne 4 Rakat Farz Namaz Me Tisri Rakat Me Bhi Surah Fatiha Ke Baad Koi Surah Padh Liya Fir Ruko Me Usko Yaad Aaya To Zaid Ne Sazda E Saw Kiya.??
Hazrat Is'se Zaid Ki Namaz Ho Jayegi.??

Paisa Sadqa Karte Waqt Sar Se 3 Baar Guma Ke Dena Zaroori He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat,
Hazrat Log Paisa Sadka Karte Waqt Paise Se 3 Baar Unke Sir Ko Ghumate Hai Jinke Naam Se Sadqa Dena Ho.
Hazrat Iski Hakikat Hai.??
Aap Wazahat Kar Den.

*🌹JAWAB:-🌹*
Ye Sab Jahilana Tariqa He... Allah Ta'ala Niyyatoñ Ko Janne Wala He, Lihaza Sadqa Wagairah Ke Paise Sar Se Ghumana Our Ye Samajhna Ke Nahiñ Ghumaenge To Sadqa Nahiñ Ada Hoga Sakht Jahilana Khayal He... Sirf Dete Waqt Niyyat Kar Lena (Yaani Dil Me Irada Kar Lena) Kaafi He, Zaban Se Kehna Bhi Zaroori Nahi, Kyoñ Ke Allah Ta'ala Sab Janta He.... Albtta Kisi Ki Janib Se Ada Kar Raha Ho To Zaban Se Keh Le Ke Fulañ Ki Janib Se Ye Sadqa He (Jab Ki Ye Bhi Zaruri Nahi)..
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️12 May 2023, 22 Shawwal Ul Mukarram 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Peer Ko Asl Me Khuda Kahna ? Mufti Qasim Sahab

 *🌹SAWAL:-🌹*
السلام عليكم ورحمه الله
Zaid Ne Kaha Ki Pir O Murshid Hi Asl Me Khuda Hai Aur Usne Kaha Ki Ek Silsila Hain Silsila E Sattariya Jisme Mureed Apne Pir Ko Sajda Karne Ko Kehte Iski Wazahat Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*

Kya Sone Ki Baali Gir Jaye To Musibat Aati He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalaam Walaikum 
Hazrat Mera Sawal Hai 
Agar Sone Ki Baali Ya Naak Ki Kil Kahiñ Gir Ke Gum Ho Jaye To Kya Musibat Aati Hai Baaz Logo Ka Kahna Hai Ki Sone Ka Gum Hona Musibat Ka Aana Hai To Agar Aysa Hai To Kya Karna Chahiye Jawab Inayat Farmaiye Badi Maherbani Hogi

Peer Ko Khuda Kahna Kesa ? Aysa Silsila Me Bayat Hona Jaha Peer Ko Sajda Karte Ho

 *🌹SAWAL:-🌹*
السلام عليكم ورحمه الله

Suwal :-

Zaid Ne Kaha Ki Pir o Murshid Hi Asl Me Khuda Hai Aur Usne Kaha Ki Ek Silsila Hain Silsila e Sattariya Jisme Mureed Apne Pir Ko Sajda Karne Ko Kehte Iski Wazahat Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*

Hindu Ki Grah Prawish Ki Dawat Me Jana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Alaikum Hazrat*
Hazrat Hindu Log Jab Ghar Banate To (griha Pravesh) Karte Aur Apne Jan'ne Walo Ko Dawat Dete 

Agar Koi Karibi Hai Aur Wo Dawat Deta Hai To Waha Jana Chahiye Dawat Ke Liye.???

*🌹JAWAB:-🌹*

Aysi Watch Jis Par Gumbad Wagairah Bana Ho Use Pahan Kar Toilet Me Jana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Aaj Kal Market Me Ek Asi Watch Nikli Hai Jisme Ala Hazrat Imam E Ahle Sunnat Ashah Imam Ahmed Raza Khan K Gumbad Mubarak Ki Tasveer Hoti Hai To Kya Ye Watch Pehen Kar Pakhane Me Ja Sakte Hai??islaah Kare Agr By Mistake Le Gaye To Kya Hukm Hai??

*🌹JAWAB:-🌹*

Badmazhab Umrah Se Wapsi Par Hadiya De To Lena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaykum
Koi Vahabi Umra Se Wapsi Par Hadiya De To Us Ka Qabul Karna Kaisa..?
Agar Le Liya To Ab Kya Kare?

*🌹JAWAB:-🌹*

Jahañ Dhol W Naach Gana Ho Vahañ Khana Khana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Kisi Sunni K Walime Ka Khana Khasakte Hai Jab K Usme Dhol Baja Naach O Gana Ho?

*🌹JAWAB:-🌹*

Gusse Me Kaha "Munakr Nakeer Ki Tarah Sawal Na Karo" To Kya Hukm He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualikum 
Zaid Se Kisi Ne Pucha Kaha Ja Rahe Ho Zaid Ne Gusse Mein Jawab Diya Main Kahi Bhi Jau Tum Q Munkir Nakir Ban Krr Mujhse Suwal Krrne Khade Hojate Ho Zaid Par Kya Huqm Hai ?

Kya Darji Bacha Hua Kapda Rakh Sakta He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Wa Rahmatullahi Ta'ala Barkatahu

Kisi Kapda Silne Wale Darji Ko Apne Costomer Ka Kapda Chori Karna Kaisa Hai Ya Bacha Huwa Kapda Rakh Sakta Hai Ke Wapis Karna Zaruri Hai

Shohar Ne Biwi Ko Kaha "Agar Tu Is Chiz Se Baaz Nahi Aai To Tujhe Talaq De Duga" Se Talaq Ka Kya Hikm He

 *🌹SAWAL:-🌹*
Asalam Alaikum Hazrat
Ek Shakhs Apni Biwi Ko Yun Kahta Hai Ki *agar Tu Is Chiz Se Baaz Nhi Aayi To Me Tuje Talaq Dunga* (us Shakhs Ki Niyat Ye Hai Ki Mera Aise Darane Se Meri Biwi Us Chiz Baaz Aa Jayegi)

To Hazrat Kya Is Se Unke Bich Talaq Ho Jaygi Kya.??

3 Din Pahle Quraan Khatm Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum 

Hazrat Sawal Yeh Tha Ki Zaid Ek Din Ya Do Din Mein Quran Mukkamal Kar Sakta Hai Ya 3 Din Pure Hone Jaruri Hai

Biwi Ki Taraf Se Shohar Zakat Ada Kar Sakta He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Assalamu Alaikum 
Mera Ek Sawal Hai Ye Hai
Agar Wife Job Nahi Karti to Uska Husband Uski Jwellery Par Zakat Nikal Sakta Hai ?

Mukabbir Na Banaya Or Kisi Ne Apne Aap Hi Takbir Keh di To Kya Hukm He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum.
Jumaa Ye Eidain Ki Namaz Me Kisi Ko Mukabbir Qarar Na Kiya.
Or Usne Apne Aap Hi Taqbiraat Kahi To Is Masle Me Kya Hukme Sharah Hoga?

Eid Ki Namaz Se Pahle Ishraq Ki Namaz Parhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Asslam Alaikum
Hazrat Eid Ki Namaz Se Phle Ishraq Ki Namaz Pdh Skte Hain

*🌹JAWAB:-🌹*

Kya Zakat Ramzan Me Hi Ada Karni He Ya Ramzan Ke Baad Ya Pahle Kar Sakte he ? Or Ramzan Me Hi Kyuñ Zakat Nikalte He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alikum 
Kya Jakat Ramadan Me Hi Sab De Ya Fir Ramadan Ke Baad Bhi De Sak Te He Agar Ramadan Me Sab Nahi Di To. ? Hazrat Is Ta'alluq Se Bhi Farma Dijye Ki Zyadatar Ramzan Me Zakat Ada Q Karte He.. Or Maal Ke Howlane Hol Guzarne Se Pahls Agar Ramzan Aa Jaye To Usme Bhi Zakat Ada Kar Sakte He...??

*🌹JAWAB:-🌹*

Saiyed Sadat Ki Tazeem Kab Tak Kar Sakte Hai ? Or Saiyed Agar Sunni Na Ho To Kya Hukm He ? Or Saiyed Sadat Ki Tauheen Karna Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Syed Ki Tajim Kab Tak Kar Sakte He ? Aur Syed He Pr Sunni Nahi To Uske Liye Kya Huqm He ? Aur Syed Ki Tohin Karna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Kya Sirf Aitekaf Ki Niyyat Se Masjid Me Khana Pina Sona Jaaiz Ho Jayega ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Hamari Masjid Me Shab Bedari Me Sehri Karai Jaati Hai Jisme Log Khate Peete Hai To Hame Imam Kahte Hai Ki Aitikaf Ki Niyyat Karlo Phir Khao Piyo Iski Wazahat Farmaye, Kya Aisa Hai Ki Etikaf Ki Niyyat Karke Masjid Me So Sakte Hai Jitni Der Chahe Khaa Pee Skte, Sirf Itna Padhne Se Sare Kaam Jaaiz Hojate Hain Mehrbani Krke Iska Jawab Zaroor De Q Ki Ye Roz Hora Hai...

1 Ramzan Ko Sahibe Nisab Hua To Zakat Kab Ada Kare ? Fauran Ya Saal Baad ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualikum Wa Rahmatulahi Wa Barkatuhu 

Missal Ke Taur Pe Agar Kisi Ke Paas Itna Sona Aagya Ki Usse 52.5 Tola Chandi Khareed Sakta Hai Aur Kuch Cash Bhi Hai Toh Jis Din Aaya Jaise 1 Ramadan Ko Aaya Toh Ab Saal Guzarne Ke Baad Yani Agle Saal 1 Ramadan Ko Zakat Farz Hogi Na ? Ya Jis Din Aa Gaya Uss Hi Din Zakat Farz Ho Gayi?

Jis Ganw Me Masjid Na Ho Vahañ Aitekaf Ka Hukm ?

 

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمۃ اللہ وبرکاتہ
Jis gaon me masjid na ho waha Aitikaaf ka kya hukm hai ? fermaye

Sief 2 Tola Sona Uske Alawa Kuchh Na Ho To Zakat Ka Hukm ?

 

*🌹SAWAL:-🌹*
Agar  2 Tole Sona Hay To Zakat Deni Padegi Kya? Aur Uske Pas Paise Nahi Hay To Dene Ke Liye Qarza Leker Zakat De Sakte He Kya Hazrat Javab Inayat Farmaye Is Masle Ka..

Ilaaj Ke Liye Zakat Ki Raqam Dena Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم
Hazrat Suwal
-
Ek Khatoon Hai Jo (Last Stage) Cancer Ki Mariz Hai Jiska 2/3 Months Ilaj Ka Kharch 1 Lakh Or Usse Zyada Ka Hai Our Khatoon Ke Paas Rehne Keliye Khud Ka Ghar Bhia Hai
.
Toh Kya Aise Khatoon Ko Ilaj Ke Liye Zakat De Sakte Hai Kya ?
-
Baraahe Karam... Jawab Inayat Farmaiye

*🌹JAWAB:-🌹*

Zakat Bol Kar Dena Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat Ek Sawal Hai 

Zaid Ney Zakat Key Paise Nikal Kar Jis Ko Zakat Deni Hai Usko Bol Key Paise Diye Ye Aap Ko Zakat Key Paise De Raha Hu Aisa Bol Key Dena Durust Hai Ya Nahi ?

Ek Hi Shakhs Ko 1 Lakh Rupya Zakat Me Dena Kesa Or Zakat Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum ,
Umar Ka Bhai Zakat Ke Mustahik Hai To Kya Jitna Chahe Zakat Ka Rakam De Sakta Hai ,  Jaise Umar Ke Yaha 2 Lakh Zakat Ka Rakam Nikla To Apne Bhai Ko 1 Lakh De Sakta Hai,,

*🌹JAWAB:-🌹*

Safar Me Qasr Ki Jagah Farz Namaz Puri Parhli To Kya Hukm He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Safar Me Hu Bhul Se Zohr Ki 4 Rakat Namaz Pd Li To Kya Namaz Ho Jayegi

*🌹JAWAB:-🌹*

Nakeerain Hazrat Ali Se Pahle Qabr Me Nahi Aa Sakte Is Tarah Ka Sher Parhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمۃ اللہ وبرکاتہ
Wo Aa Hi Na Sakege Kabr Me Mere Ali Se Pehle
Nakiren Agar Aa Bhi Gye Mere Ali Se Pehle
Keh Duga 

Ali Imam Manasto Manam Ghulam E Ali
Hazaar Jaan E Girami Fida E Naam E Ali

Muftiyane Kiraam Ki Bargaah Mea Sawal Arz Hai Ye 

Ye Sahih Hai @

Aurat Ko Aadat Ke Din Pure Na Huve Or Haiz Band Ho Jaye To Usse Jima'a Karne Kesa Or Uska Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Hazrat Sawal H K Kisi Aurat Ko Haiz Kbhi 5 Din To Kbhi 6 Din Ata H Is baar 5ve Din Usko Nai Aya Wo Pak Ho Gai Rat Ko Shohar Se Mili Subah Sehri Me Bhi Nai Aya Lekin Din Me Use Fir Aa Gaya Aur Sham Ko Fir Wo Pak Hui Puchna Ye H Hazrat K Miya Biwi Ne Jo Jima Kiya Uska Kya Hukm Hoga Kya Wo Gunahgar Honge ? Rahnumayi Farmaye Hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*

Zameen kharidne ke Liye Jama'a Ki Hui Raqam Par Zakat La Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat Mera Sawal H Koi Paise Jod Raha Ho Uska Apna Ghar Nahi Kiraye Ke Makan Me Rahta H Ab Uske Pas 3 Lakh Rupiya Jama Ho Gaye H Aur Ek Sal Pura Hogaya H Lekin Abhi Tak Le Nhi Paya H Kyu Ki Plot 8 Lakh Tak Ho Payega Ab Jo 3 Lakh Usne Jama Kiya Uspe Jakat Lazim Hogi Ya Nhi

Jahañ Sunni Masjid Na Ho Vahañ Kya Badmazhab Ke Pichhe Jumuah Padh Sakte He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Zaid Saudi Arab Me Shift Hua India Se Ab Wo Waha Namaz Kaisi Ada Kare Jumme Ki Waha Ahlesunnat Ki Masjid Nahi Hain Aur Usne Ahlesunnat Ke Mufti Se Pucha To Unhone Kaha Ki Koi Masjid Nahi To Tumhe Wahabiyo Ke Piche Namaz Padh Sakte Hain

Hamila Aurat Ko Sajda Karne Me Dushwari Ho To Kis Tarah Namaz Padhe ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat  Mera Sawa Hai 
Ki Jab Koi Hamila Namaaz Padhe To Wo Kis Tarike Se Padhe Jab Use Sajda Karte Waqt Pet Me Dard Ho Aor Wo Baith Kar Sajda Na Kar Paye To Kya Kisi Aor Tarike Se Sajda Kar Sakti Hai 
Jawab Inayat  Farma Dijiye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Kisi Uzr Ki Wajah Se Peshani Zameen Par Nahiñ Rakh Sakte To Naak Par Sajda Kare Magar Naak Ki Nok Par Sajda Kiya To Nahi Chalega Balki Naak Ki Haddi Ko Zameen Par Lagaye.
Aur Ye Bhi Nahi Kar Sakta To Ishare Se Kare .
Lihaza Soorat E Masoula Me Hamal Wali Aurat Khade Ho Kar Ruku'a Sajda Nahiñ Kar Sakti To Beth Kar Ruku'a Sajda Kare Our Beth Kar Ruku'a Sajde K Liye Pura Nahiñ Jhuk Sakti To Ishare Se Ruku'a Sajda Kare Our Agar Beth Kar Bhi Nahi Padh Sakti To Let Kar Ishare Se Namaz Ada Kare Aur Iski Bhi Taqat Nahi To Us Par Se Namaz Saqit He.

Bahare Shariyat Me He,
Agar Kisi Uzr Ke Sabab Peshani Zameen Par Nahiñ Laga Sakta, To Sirf Naak Se Sajdah Kare Phir Faqat Naak Ki Nok Lagna Kaafi Nahiñ, Balki Naak Ki Haddi Zameen Par Lagna Zaroor He.

Rukhsarah Ya Thori Zameen Par Lagaane Se Sajdah Na Hoga Khwah Uzr Ke Sabab Ho Ha Bila Uzr, Agar Uzr Ho To Ishara Ka Hukm He.
*📚(Bahare Shariyat, H-3, Faraaize Namaaz, Mas'ala-33,34)*

Agar Mareez Bethne Par Bhi Qaadir Nahiñ To Let Kar Ishara Se Parhe, Khwah Dahini Ya Baayiñ Ka Karwat Par Let Kar Qibla Ko Muñh Kare Khwah Chat Let Kar Qibla Ko Paanw Kare Magar Paanw Na Phailaye, Ki Qibla Ko Paanw Phailana Makrooh He Balki Ghutne Khare Rakhe Or Sar Ke Niche Takiya Wagairah Rakh Kar Uncha Karle Ki Muñh Qibla Ko Ho Jaye Or Ye Soorat Yaani Chat Let Kar Parhna Afzal He.
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Namaze Mareez Ka Bayan, Mas'ala-13)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Masjide Hazrat Bilaal, Nadiyad Gujarat*
*🗓️10 Apr 2023, 18 Ramzanul Mubarak 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Murda dafnane Ke Baad Hath Me Lagi Mitti Ko Saaf Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kya Farmate Hai Aulma E Deen Is Mas'ala Ke Bare Me Ba'az Jagah Qabrastanoñ Me Dekha Gaya He Ki Log Kahte Hai Murde Ko Qabr Me Mitti Dene Ke Baad Ki Tum Apne Hath Mat Jharo Jo Gard Logoñ Ke Hath Par Murde Ko Mitti Dalte Waqt Lag Jati He Uske Bare Me Kya Sharaee Hukm He ?

Naat Me Huzur ﷺ Ke Liye "Tum, Tera, Teri, Tujhse" Wagairah Alfaaz Istemal Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Asslam Alaikum
Hazrat Ek Swal Hai Ki Huzur Mustufa ﷺ Ko Tum Kah Kar Nahi Mansoob Kar Sakte Jaise Naat Me Kai Jagah "Tum Noor E Khuda Ho" Aisa Kah Kar Nahi Pukar Skte "Aap" Kah Kar Pukarna Chahiye, Kya Naat Me Tu Tera Tum Wagairah Alfaaz Istemal Kar Sakte He ? Iski Tashreeh Farma Dijye..

Badmazhab Ka Likha Kalaam Padhna Kesa Jabki Usme Sharai Giraft Bhi Na Ho ??

 *🌹SAWAL:-🌹*
Naat Shareef/Mankabat Likhne Wala Ahle Sunnat Se Naho To Use....

Qa. Padh Ya Sun-Sakte He....???

Qb. Aalime Din Ko Us Kalam Me Koi Sharre Giraft Napaee Phir Us Ka Sunna Ya Padhna Likhna ....???

*🌹JAWAB:-🌹*

Khana Khilane Ki Mannat Or Nafl Namaz Ki Mannat Puri Karna Zaroori He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمۃ اللہ وبرکاتہ 

Khana Khilane Ki Ya Namaz E Nafl Ki Mannat Maangna Kaisa ?
Kya Ue Dono Mannat Sharai Mannat Hai, Aur Is Mamnat Ko Poora Na Kerne Per Hukm E Shar'a Kya Hoga ?

Rehnumai Fermaye

Deg Utar Ne Ki Mannat Maani Usko Pura Karne Ka Hukm Neez Us Paiso Ko Ahlo Ayaal Par Kharch Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Agar Kisi Ne Koi Mannat Maani Ki Mera Falañ Kaam Ho Jaye To Mai Allah Ke Naam Ki Deg Utaruga (Neez Ke Logo Ko Khana Khilauga Allah Ke Naam Ka ) Or Usne Nhi Kiya Toh Kya Wo Un Paiso Se Apni Behon Ka Roza Khulwa Sakta Hai Ya Deg Utarni Lazim Hai 
Tafseel Se Baten

*🌹JAWAB:-🌹*

Bank Me Fix Rakhi Hui Raqam Par Zakaat Ka Hukm Or Uski Adayegi ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Aalikum Bhai

Zaid Ney 2012 May Rs 20000 Fix Deposite Kiya Or 2016 May 40000 Ho Gaya Ab 2023 Tak Wo Amount 40000 Hai Kya Is Par Kitni Zakat Deni Hogi 2012 Se Leke 2023 Tak Us Paise Par Zakat Deni Hogi Par Wo Paisa Abhi Tak Hath May Nahi Aaya Hai❓

Hazrat Ameer Muawya Ke Kandhe Par Yazeed Ko Dekh Huzur ﷺ Ne Kaha Jannati Ki Kandhe Par Dozakhi Is Waqeaa Ki Haqeeqat Kya He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Hazrat Kya Ye Waqeaa Sahih He ?
Ek Baar Hazrat Muaawya Yazeed Ko Apne Kandhe Pe Bitha Ke Le Ja Rahe The Tab Kisi Ne Ya Huzur ﷺ Ne Kaha Ki Ye Kya Jannati Ke Kandhe Par Dozakhi Betha He.... 

*🌹JAWAB:-🌹*

Gusl Me Gargarah Karna Sunnat He Ya Farz ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Alaikum
Gusl Me Garara Karna Sunnat Hai Ya Farz ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Gargarah Kahte Hai Halq Me Paani Ghumane Ko Gusl Me Gargarah Sunnat He Or Kulli Karna Farz Halq Ki Jar Tak Muñh Ke Har Hisse Har Purza Or Taalo Or Daantoñ Daarhoñ Zaban Ke Upar Niche Sab Jagah Paani Pahunch Jaye Magar Rozadaar Ko Gargarah Na Chahiye.
Bahare Shariyat Me He,
Roza Daar Na Ho To Gargarah Kare.
*📚(Fatawa Jamea Ashrafiya, J-1, S-326)*
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️31 March 2023, 8 Ramzanul Mubarak 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ramzan Me Kabeerah Gunah Bhi Muaaf Hote He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
السلام عليكم ورحمه الله

Ramzanul Mubarak Me Magfirat Ho Jati Hai To Kya Ramzan Me Qabeera Gunah Bhi Maaf Ho Jate Hai

Saf Khali Ho Or Imam Ka Maherab Me Namaz Padhana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Alaikum,
Agar Masjid Me 1 ya 2 Saf Khali Ho Aur Imam Meharab Me Namaz Padaye To Kiya Namaz Hogi Ya Nahi

Zaid Apne Business Ki Raqam Walidain Ko Deta Ho Walidain Uski Zakat Ada Karte Ho To Zaid Oar Zakaat Ka Kya Hukm Hoga ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat,
Hazrat Zaid Ki Ek Chhoti Si Shop Hai Zaid Ke Waledain Abhi Hayaat  He(alhamdulillah)

Us Shop Se Zaid Ko Jitni Bhi Income Hoti Hai Wo Zaid Apne Waledain Ko De Deta Hai Us Income Pe Zaid Ka Koi Haq Nhi Hota Waledain Zakat Dete Hain 
To Kya Hazrat Zaid Ko Bhi Zakat Deni Hogi.?
Rehnumai Kijiye

Kisi Par Qarza Ho Use Zakat Samajh Kar Muaaf Karna?

 *🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمته الله وبرکاته
Kisi Ko Humne 1000 Rupiye Diye Ab Woh Lauta Nahi Raha Hai Buht Koshish Kare Magr Nahi Deraha Hai Toh Kya Hum Usko Woh Paisa Sadka Ya Fitra Ki Niyyat Karke Usi Ko De Sakte Haiñ

Rehnumaai Farmaaeñ
Saail : Írfan Ansari, Mumbai...

Wahabi Ka Zabiha Khana? Aysa Gosht Khana Jiska Ilm Na Ho Ki Kisne Zabah Kiya ? Sunni Ka Zabah Kiya Hua Gosht Wahabi Pakaye To Khana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Wahabi Badmazhab Ka Zabeeha Khana Kesa ? Or Aysa Gosht Jiske Bare Me Ilm Na Ho Ki Kisne Zabah Kiya He, Ayse Gosht Ka Khana Kesa ? Kya Kisi Sunni Ke Hath Ka Zabah Kiya Hua Gosht Agar Wahabi Pakaye To Usko Kha Sakte He ? Aksar Log Zabeeha Ke Mas'ala Me Ye Dekhte Hai Ki Daawat Dene Wala Ya Hameñ Khilane Wale Sunni He Itna Kaafi He Kya Aysa Amal Durust He ? Rahenumai Farmaye Hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*

Kya Makkah Jane Wale Ke Liye Umrah Karna Zaroori He Or Koi Bagair Ahraam Ke Makka Me Dakhil Ho Gaya Fir Kya Kare ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ek Banda Saudi Kaam Ke Silsile Me Gaya He... Usko Ye Rules Abhi Maloom Hua Ki Soudi Government Ne Rule Banaya He Ki Bina akaama Ke Aap Makkah Me Umrah Nahiñ Kar Sakte To Iska Akaama Nahiñ Banaya, To Usne Abhi Tak Umrah Nahiñ Kiya He Kisi Ne Usse Kaha Ki Agar Makkah Gaye Ho To Pahle Umrah Karna Chahiye Or Agar Tumne Abhi Tak Umrah Nahiñ Kiya He To Bakre Pe Dam Dedo... To Kya Ye Dam Dena Zaroori He Kyuñ Ki Niyyat To Uski Kaam Karne Ke Liye Gaya Tha Or Vo Makkah Shareef Me Hudood Ke Andar He.. To Kya Hukm Hoga Rahenumai Farmayeñ..

*🌹JAWAB:-🌹*

Har Namaz Ke Baad Huzur ﷺ Par Salam Parhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Har Namaz Ke Baad Aaqa E Qaainat Muhammad Mustafa Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Ki Bargah Mein Salam Pesh Karna Kaisa Hai ?

*🌹JAWAB:-🌹*

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts