Shohar Or Biwi Ko Ek Dusre Ka Jhutha Pina Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaykum 

Husband Wife Ka Aur Wife Husband Ka Jhutha Dudh Pi Sakte Hai Ya Nahi.? 
(Ek Hi Bartan Me Ek Dusre Ka Jhootha)

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Pi Sakte He, Isme Koi Harj Nahi... Balki Momin Ka Jhutha Shifa He...

Allama Sakhawi Alaihir Rahma 'al-Maqaasidul Hasna' Me Likhte He,
”حديث: ‌ريق ‌المؤمن شفاء، معناه صحيح، ففي الصحيحين أنه صلى اللہ عليه وسلم كان إذا اشتكى الانسان الشيء، أو كانت به قرحة أو جرح قال بأصبعه يعني سبابته الأرض ثم رفعها وقال: بسم اللہ تربة أرضنا، بريقة بعضنا، أي ببصاق بني آدم، يشفي سقيمنا بإذن ربنا، إلى غير ذلك مما يقرب منه، وأما ما على الألسنة من أن: سؤر المؤمن شفاء، ففي "الأفراد " للدارقطني من حديث نوح ابن ابي مريم عن ابن جريج عن عطاء عن ابن عباس رفعه من التواضع أن يشرب الرجل من سؤر أخيه“
Yaani Ye Hadees Ke Musalman Ke Luaab Me Shifa He, Ma'ana Ke Lihaz Se Sahih He, Saheehain Me He Ki Jab Kisi Insan Ko Takleef Hoti Ya Phora Ya Zakhm Hota, To Nabi E Paak  ﷺ Apni Shahadat Ki Ungli Zameen Par Rakhte Phir Use Utha Kar Ye Padhte,

Allah Ke Naam Se, Hamari Zameen Ki Mitti, Ham Me Se Kisi Ke Luaab Ke Zariye, Hamare Rab Ke Hukm Se, Hamara Mareez Shifa Payega.. Iske Alawa Milte Julte Alfaz Ke Zariya Bhi Dua Mangte.
Baharhaal Ye Jo Hadees Logoñ Me Mash'hoor He Ki Musalman Ke Jhuthe Me Shifa He (Ye Bhi Agarche Lafzi Taur Par Sahih Nahiñ He, Lekin Iski Tasdeeq) Imam Daar Qutni Ki "Alfaraad" Naami Kitab Me Bayan Karda Is Hadeese Paak:
"Kisi Shakhs Ka Apne Bhai Ke Jhuthe Me Se Pina Aajizi Ki Alamat He". Se Ho Jati He..
*📚(Al-Maqaasidul Hasna, Safha-373, Matbuaa Darul Kutub Al-arbi, Bayrut)*

Or Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
"Baaqi Raha Musalman Ka Jhutha Vo Khana Koi Zillat Nahiñ, Hadees Me Use Shifa Farmaya"
*📚(Fatawa Razviya, J-22, S-568, Mas'ala-199)*

Or Allama Shaazli Hindi Ne "Kanzul Ummal" Me Imam Daar Qutni Ne "Alfaraad" Me, Allama Jalaluddin Siyuti Ne "Jame Ul Ahaadis" Me Allama Ibne Hajar Haytami Ne "Alzuwaajir" Me Or Kai Muhaddiseene Kiram Alaihir Rahma Ne Apni Kutub Me Is Riwayat Ko Bayan Kiya:
من التواضع أن يشرب الرجل من سؤر أخيه، فما شرب رجل سؤر أخيه إلا كتب له سبعون حسنة، ومحيت عنه سبعون خطيئة، ورفعت له سبعون درجة 
Yaani Ye Baat Tawaze'a W Aajizi Me Se He Ki Banda Apne Bhai Ka Jhutha Piye, To Jo Apne Bhai Ka Jhutha Piyega Uske Liye Sattar Nekiyañ Likhi Jayeñgi, Sattar Gunah Mita Diye Jayeñge Or Sattar Darjaat Baland Kar Diye Jayeñge.
*📚(Kanzul Ummal, J-3, S-115)*

Lihaza Miya Biwi Ka Ek Dusre Ka Jhutha Khana Ya Dudh Paani Wagairah Pina Ya Ek Musalman Ka Dusre Musalman Ka Jhutha Pina Ya Khana Bilkul Jaaiz W Durust He...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️27 Jan 2023, 4 Rajab 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts