Assalato Me'arajul Muamineen Hadis Nahi

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalato Me'arajul Muamineen Kya Ye Hadis He Ya Nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Assalato Me'arajul Muamineen Hadis Nahi He Aulma e Kiram Ka Bayyan Karda Qaul He, Ye Ahle Ilm Ki Kitabo Me Bataure Maqula Darj He, Or Jin Muhaddissin Ne Bayan Kiya He Unhone Bhi Hadis Hone Ki Sarahat Nahi Farmai He, Or Na Zakhaire Ahadis Me Is Riwayat Ka Koi Zikr Milta He.

Assalato Me'arajul Muamineen Hi Ke Ham Ma'ana Ek Sahih Hadis He, Jis Ko Muhaddis Ibne Rajab Hambali Ne Zikr Kiya He,
إنَّ أحدَكُم إذا قام يصلِّي, فإنما يناجي ربَّهُ, أو ربُّهُ بينَهُ وبينَ القبلةِ, وقولُهُ : ( إنَّ اللَّهَ قِبلَ وجهِهِ إذا صلَّى) , وقولُهُ : ( إنَّ اللَّهَ ينصِبُ وجهَهُ لوجهِ عبدِهِ في صلاتِهِ ما لَم يلتفِتْ)
*📚(JAME UL ULOOM WAL HIKAM, J-1, S-130)*

Muhaddis Ibne Rajab Hambali Ki Riwayat Karda Hadis Mishkat Shareef Me Bhi Maujud He. Jis ki Sharah Karte Huye Mulla Ali Qari Hanfi Alaihir Rahma Ne Likha He,
أي: يخاطبه بلسان القال؛ كالذكر والدعاء ،وبلسان الأحوال ؛  كأنواع أحوال الإنتقال. *ولذا قيل : الصلاة معراج المؤمن*... الخ

*📚(MIRQATUL MAFATIH, J-2, S-452)*

Mulla Ali Qari Alaihir Rahma Ne Is Ko قیل Kah Kar Bayan Kiya He, Jis Se Maqula e Aulma Ya Maqula e Naas Hone Ka Pata Chalta He.

Mashhoor Mufassir Allama Mahmood Aaloosi Likhte He Ki Logo Ka Bayan He Ki Namaz Mo'amin Ki Me'araj He.
وقد ذکروا: أن الصلوٰۃ معراج المؤمن
*📚(TAFSIRE ROOHUL MA'AANI, SURAH MO'AMIN, AAYAT-118)*

Khulasa e Kalam Zahir Yahi He Ki Ye Hadis Nahi Ye Ahle Ilm Ki Kitabo Me Bataure Maqula Darj He. Or Jin Muhaddissin Ne Bayan Kiya He Unhone Bhi Hadis Hone Ki Sarahat Nahi Farmai He. Balki Ayse Alfaz Se Zikr Kiya He Ki us ka Maqula e Naas Se Hona Ma'aloom Hota He, Lihaza Hadis Kah Kar Isko Bayan Karne Ki Ijazat Nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲8487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?

 *Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?* *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Qurbani Kis Din Krana Zyada Afzal Aur Bhtr Hai

Popular Posts