Talqeene Mayyat Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Talqeen e mayyath..
Yaani jis tarah zikr aaya hai hadees shareef me ke marhoom ke sarhane theherkar marhum ko bolte hain ke kalima padho wagera... wo ham log kyu nahi karte? Kya ye karna mana hai?

*🌹JAWAB:-🌹*
Talqeene Mayyat Jo Dafan Ke Baad Qbr Ke Sarhane Khade Ho Kar Murde Koo Kalma e Tayyabah Padhana Jaiz He.

_Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He_

Dafan Ke Baad Murde Ko Talqeen Karna Ahle Sunnat Ke Nazdik Mashroot He Yaani Jaiz He.
*📚(Zohratun Nira Kitabus Salat Babul Janaiz, S-130)*

Ye Jo Aksar Kitabo Me He Ki Talqeen Na Ki Jaye Ye Mo'atazla (Ek Badmazhab Firqe Ka Naam) Ka Mazhab He Ki Unhone Hamari Kitabo Me Ye Izafa Kar Diya.
*📚(Raddul Mohtar, J-3, S-94)*

Hadis Me Huzure Aqdas ﷺ Farmate He,
Jab Tumhara Koi Musalman Bhai Mare Or Uski Mitti De Chuko, To Tum Me Ek Shakhs Qabr Ke Sarhane Khada Ho Kar Kahe Ya Fulañ Bin Fulañ Vo Sune Ga Or Jawab Na Dega Fir Kahe Ya Fulañ Bin Fulana Vo Sidha Ho Kar Beth Jayega Fir Kahe Ya Fulañ Bin Fulana Vo Kahega, Hame Irshad Kar Allah ﷻ Tujh Par Raham Farmayega, Magar Tumhe Is Ke Kahne Ki Khabar Nahi Hoti Fir Kahe,
اذکر ما خرجت من الدنیا شھادۃ ان لا الہ الا اللہ وان محمدا عبدہٗ ورسولہٗ صلی اللہ تعالی علیہ وسلم وانک رضیت باللہ ربا وبالاسلام دینا و بمحمد صلی اللہ تعالی علیہ وسلم نبیا و بالقران اماما

*Tarjama:* Tu Use Yaad Kar, Jis Par Tu Dunya Se Nikla Yaani Ye Gawahi Ki Allah Ke Siwa Koi Ma'abood Nahi Or Muhammad  ﷺ Uske Bande Or Rasool He Or Ye Kah  Tu Allah Ke Rab Or Islam Ke Deen Or Muhammad ﷺ Ke Nabi Or Qura'an Ke Imam Hone Par Raazi Tha.

Nakirain ek dusre ka hath pakad kar kahege, chalo ham iske paas kya bethe jise log uski hujjat sikha chuke, is par kisi ne Huzur ﷺ Se Arz Ki, Agar Uski Maañ ka Naam Ma'aloom Na Ho ? Farmaya: Hawwa Ki Taraf Nisbat Kare. Is Hadees Ko Tabrani Ne Kabeer Me Or Ziya Ne Ahkam Me Or Dusre Muhaddissin Ne Riwayat Kiya.
*📚(Al-Moajamul Kabeer Lil Tibrani, Hadis-7979, J-8, S-249, 250)*

Ba'az Bade Bade Tabe'een Imam Farmate He Jab Kabr Par Mitti Barabar Kar Chuke Or Wapas Jaaye To Mustahab Samja Jata ki Mayyat Se Uski Kabr Ke Paas Khade Ho Kar Ye Kaha Jaye.
يا فلان بن فلان قل لا الہ الا اللہ .
Ya Fulañ Bin Fulañ Qul Laa Ilaha illallah
*Tarjama:* Ay Fulañ Bin Fulañ Tu Keh ki Allah Ke Siwa Koi Ma'abood Nahi.

3 Baar Fir Kaha Jaaye?

Fir
قل ربی اللہ ودینی الاسلام ونبی محمد صلی اللہ تعالی علیہ وسلم
*Tarjama:* Mera Rab Allah ﷻ He Or Mera Deen Islam He Or Mere Nabi Muhammad ﷺ He.

Aala Hazrat Ashshah Imam Ahmad Raza Khan Alaihir Rahma Ne Is Par itna or izafa kiya.
واعلم ان ھذین الذین اتیاک اویأ تیانک انما ھما عبدان للہ لا یضران ولا ینفعان الا باذن اللہ فلا تخف ولا تحزن واشھد ان ربک اللہ ودینک الاسلام ونبیک محمد صلی اللہ تعالی علیہ وسلم ثبتنا اللہ وایاک بالقول الثابت فی الحیوۃ الدنیا وفی الاخرۃ انہٗ ھو الغفور الرحیم .
*Tarjama:* Or Jaan Le Ke Ye Do Shakhs Jo Tere Paas Aaye Ya Aayege Ye Allah ﷻ Ke Bande He Bagair Khuda Ke Hukm ke Na Zarar Pahunchaye, Na Nafa'a Pas na khauf kar or na gam kar or tu gawahi de ki tera Rab Allah He Or Tera Deen Islam He Or Tere Nabi Muhammad ﷺ He Allah Ham Ko Or Tujh Ko Qaule Sabit Par Sabit Rakhe, Dunya Ki Zindagi Me Or Aakhirat Me BeShak Vo Bakhsh Ne Wala Maharban He..
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-4,  Kabro Dafan Ka Bayan)*

_Or Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,_

Talqeeen Ka Sabab Ye He Ki Us Waqt Shaytan Aadami Ka Iman Bigad ne Aata He, Or Laa Ilaha illallah Se Pura Kalma Tayyabah Murad He.
*📚(Majama'a Bahaarul Anwaar, J-3, S-262)*

Fathul Qadeer Me He,
المقصودمنہ التذکیر فی وقت تعرض الشیطان.
Talqeen Se Maqsood Ta'arruze Shaytan Ke Waqt Iman Taad Dilana He.
*📚 (Fathul Qadeer, J-2, S-68)*

*📚(FATAWA RAZVIYA, J-9, S-82)*

Mazeed Tafsil Ke Liye Fatawa Razviya Jild-9 Babul Janajaiz Mulaheza Farmaye.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts