Background Me Zikr Ke Sath Naat Padhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Background Me Allah Ke Zikr Ke Sath Naato Manqabat Padhna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Naato Manqabat Me Jis Tarah Background Me Allah Ka Zikr Kiya Jata He Sakht Najaizo Gunah, Be Adbi Or Khas Zikrullah Ke Sath Sakht BeAdbi He Or Ye Fasiqo Ka Kaam He, Aysi Naat Sunna Or Padhna Jaiz Nahi.

Musaddiqate Tajushshariya Kitab Me He,

Qura'an Sharef Me He,
وَاسْتَفْزِزْ مَنِ اسْتَطَعْتَ مِنْهُم بِصَوْتِكَ
Yaani Daga De(Hata De) Un Me Se Jis Par Qudrat Payeñ Apni Aawaz Se.
*📚(Surah Bani Israil, Aayat-64)*

Yaani Waswase Daal Kar Mo'asiyat Ki Taraf Bula Kar. Ba'az Aulma Ne Farmaya Ke Murad isse Gaane Baaje Lahw La'eeb Ki Aawaze He.

Ibne abbas RadiAllahu Anha Se Manqool He Ki Jo Aawaz Allah Ta'ala Ki Marzi Ke Khilaf Munh Se Nikle Vo Shaytani Aawaz He.
*📚(Khazainul Irfan)*

Or Hadis Shareef Me He
عن ابی رضی اللہ تعالیٰ عنہ قال سمعت رسول اللہ صلی اللہ علیہ و سلم یقول عن الغناء ینبت النفاق فی القلب۔
Yaani Mausiqi Dil Me Nifaq Paida Karti He.

Imame Ahle Sunnat Aala Hazrat Ashshah Imam Ahmad Raza Khan Fazile Barailvy Apni asnif ''Al Kashful Shaafiaa" Me Taheir Farmate He Ki,
Yaani Har Aql Mand Janta He Ki isme Kisi Khas Qism Ke Aala Se Aawaz Paida Hogi, Vo Uske Rang Me Rang Jayegi(Mushabeh Ho Jayegi) Ma'aloom Hona Chahiye Ki Mausiqi Shariyat Me Najaiz he. Yuñ hi Har Vo Tariqa Jisse Mausiqi Paida Hoti Vo Bhi Shar'an Najaiz He, Soorate Mas'ula Me Na'at Shareef Ke Background Me is Tariqe Par Zikrullah Ki Takraar Karna Jisse Sunne Wale Ko Mausiqi Ma'aloom Ho Ya Mausiqi Ke Sath Mushabehat Ho Jaiz Nahi, Na'at Khwañ Hazraat Or Sama'een Hazraat Ko Isse Gurez Karna Chahiye Taki Na'at Shareef Or Zikre Allah Ka Taqaddus Barqarar Rahe.

*_Or Huzur Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He_*

Daf Jaisi Aawaz Nikalna Agar Che Bagair Iste'amale Daff Ho Najaiz He Or Agar Ye Qasdan He to talhi he Jo Mutlaqan Haram He. Or Agar Aysi Aawaz Munh Se Bila Qasd Nikalti He To Vo Soorat Lahw Ke Mushabah He Lihaza Is se Bhi Guraiz Chahiye Khususan Zikr W Na'at Me Is Baat Ka Lihaz Zaroori He Ki Qasde Lahw Or Soorate Lahw Dono Se Parhez Kiya Jaye. Daff Ke Istemal Ki Rukhsat Ba'az Ahadis Se Agar Sabit Bhi He to Un Ash'aar Me He Jin Ka Ta'alluq Zikro Na'at Se Nahi Isi Liye Hadis Me Aata He Ki,

Huzur ﷺ Ki Ijazat Se Huzur Ki Khidmat Me Jab Ek Gaane Waali Ne Daff Bajaya Or Minjumla Ash'aar Ke Ye Misra Parha,
و فینا نبی یعلم ما فی غد
Huzur ﷺ Ne Farmaya
دعی ہذہ و قولی بالذی  ما کنت یقولین
Ye Rahne Do Or Jo Parh Rahi Thi Wahi Parhti Raho Ki Soorate Lahw Par Na'at Shareef Shayane Shaan Na Tha Ab Hukme Mas'ala Saaf Ho gaya or vo ye ki aysi aawaz Jo Daff Wagairah Ke Musabeh Ho Munh Se Nikalna Jaiz Nahi Ki Tariqa e Fussaq He Or Zikr Wagairah Me Ashad Najaiz He.

*Or Huzur Muhaddise Kabeer Allama Ziya Ul Mustafa Sahab Qibla Farmate He*

Na'ato Manqabat Or Qasida Khwani Me Daff Bajana Soo'a Adab Or Makrooh W Mamnoo'a He Isi Tarah Aysi Aawaz Munh Se Banana Or Nikalna Or Nikalwana Jis Se Mahsoos Ho Ki Daff Ya Digar Aalate Mausiqi Bajaye Ja Rahe He Mamnoo'a W NaRawañ Or Be Adbi He, Lahw La'eeb Ki Aawaze Munh Se Nikalna Umooman Fasiqo Ka Tariqa He Jis Se Ijtenab. Wagana W Aawaze Mazamir Ba Andaze Mazamir Najaiz He Na'at Shareef Me Or Khas Isme Jalalat Ke Sath Andaze Soorate Mazamir Ikhtiyar Karne Me Noo'a Ahanat Bhi Is Liye Iska Adame Jawaz Shadeed He Agarche Niyate Khair Ho.
*Makhuz 📚(MUSADDIQATE TAJUSHSHARIYA, S-42-48)*

Mazeed Tafsil Kitabe Mazkoor Me Dekhe.

Lihaza Munh Se Is Tarah Aawaz Nikal Kar Na'at Padhna Najaizo Be adbi He, Or Khas Allah Ke Zikr Ke Sath To Sakht Be Adbi w sakht Najaiz He Or Ye Fasiqo Ka Tariqa He. isse Ijtenab Lazim He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts