Islam Me Kinnar (Third Gender) Ki Dua Ya Baddua Lena Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*

Islam Me Kinnar (Third Gender) Ki Dua Ya Baddua Lena Kesa ?

Train Wagairah Ke Safar Me Kinnar Paise Mangne aate he or Kuchh log Ye Samaj kar dete he Ki vo dua dege to jaldi Qubool Hogi Ya Is Wajah se Bhi Dete he Ki Unki Baddua Na Leni Chahiye Uska Asar Jaldi Hota He. Or kuchh log kinnaro ko majburi me bhi paise de dete he, aysa karna kesa kya unki dua ya baddua is tarah ke a jaiz he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Sunni sahihul aqida gair fasiq paidaishi khunsa (third gender) ki dua lene me bazahir koi harj nahi. Lekin Aap dekhe to aksar jo is qaum ke hai  banavati hai, Aiso pe to Allah Ta'ala ki la'anat utarti hai unki dua baddua kya mana rakhti hai ? Abhi aksar is qaum ke afrad ki kamai  haram ki hoti hai aur jo haram kamata hai uski dua hi qubul nahi. Aur agar ye kafir ho to phir dua baddua ka sawal hi nahi..

Hadis sharif me he,
انا لا نستعین بمشرک (او کما قال رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم )
Aur agar Muslim mile bhi bahut se fasiq e moalin...

Lihaza suni Muslim halal kamai vala gair fasiq sahi khunsa mile aap dua le sakte hai..

Isi Tarah Aap Ne Ye Bhi Puchha Ki Train Wagairah Ke Safar Me Kinnar Paise Mangne Aate He, To Usme Baaz logo ka guman ye he ki  unko paise de dena chahiye warna ye Baddua Dete he, Baddua Dete he to Waisa Hi Hota He Ye Jahalat He.

Rab Ta'ala Par Bharosa Nahi, Agar Rab Par Bharosa Karte To Yaqinan Achchai Burai Rab Tabarak W Ta'ala Ki Taraf Se Hoti He.

Hamne Kitabo Me Padha Ki Agar Puri dunya Aap Ko Nuqshan Pahochana Chahti ho or Agar Rab Tabarak W Ta'ala Aap Ko Fayda Pahuchana Chahta Ho Aap Ke Sath Bhalai Or Achchai Se Pesh Aana Chahta Ho To Fir Dunya Me Koi Aysa Nahi He Jo Aap Ko Nuqshan Pahucha Sake. Or Agar Aap Ke Nasib Me Aap Par Burai Pahuchna He, Ya Aap Ko Nuqshan Hona He To Puri Dunya Bhi Mil Kar Aap Ko Khushi Nahi Pahucha sakti.

Lihaza Ye Jo Guman He Ki Unko Paise De Dena Chahiye Unki Baddua e Nahi Lena Chahiye Ye Mahaz Jahalat He, Usse bachna Chahiye, Or Isi Tarah Aksaro Beshtar Kinnar Kafir Hote He, Fasiq Hote He, Or Kafiro Ko Waise Bhi Sadqa Ya Paisa Dena Najaiz He.

Hatta Ki Amirul Mu'amineen Maula e Kaynat Ali Ul Murtuza RadiAllahu Anhu W Digar Sahaba E Kiram Se Ye Bhi Marwi He Ki Jisne Kisi Gair Mohtaj Ko, Jo Mohtaj Nahi He Usko Rupya Diya To Us Rupya Dene Ke Badle 1 Rupya Or Sadqa Kare Or Vo Kisi garib Faqeer Miskin Musalman ko de.

Yaani usalmano Ko De Sakte He, Usme Bhi Jo Garib, Faqeer, Mohtaj, Miskin Ho Unko De Sakte He unke Alawa Harbi Kafir Ko Dena Mana He Hatta Ki Zimmi Kafir Ko Bhi Dena Mana He..

Yaha Se Do Mas'ale Hal Ho Gaye Ki Ek To Is Wajah Se Dena Ki Baddua Dege To Kuchh Ho Jayega To Ye Bhi Jahalat He, Or Dusra Mas'ala Ye Ki Unko Khushi Khushi Dena Isse Bhi Mas'ala Hal Ho Gaya Ki Na Unse Duaa e Leni Chahiye Na Unko Rupya Paisa Dena Chahiye Kyu Ki vo Mohtaj Hote Hi Nahi He.

Uske Alawa Jo Kuchh Log Majburi Me Bhi Paisa De Dete he, Agar Nahi Dete To Vo Log Badi Besharmi Se Pesh Aate He, Or Be Hayai Ke Kaam Bhi Kar Dete He, To Is Soorat Me Agar Jaan Maal, Izzato Aabru Ka Khatra Ho To Us Waqt Dede.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲8
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts