Kapdo Par Najasate Galiza Lage To Namaz Ka Kya Hukm He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kisi Shakhs Ke Kapde Me Najasate Galeeza Lag Gai Or Uska Kapda Najasat Ke Paani Ko Jazb Kar Liya He or Fir Vo Kapda Sukh Gaya Or Vo Shakhs Us Najasat Wale Kapde Ko Pahan Kar Namaz Ada karega To Namaz Hogi ya Nahi ??

*🌹JAWAB:-🌹*
Najasate Galiza Ka Hukm Ye He Ki Agar Kapde Ya Badan Me Ek Dirham Se Zyada Lag Jaye, To Uska Paak Karna Farz He, Be Paak Kiye Namaz Parh Li To Hogi Hi Nahi Or Qasdan Parhi To Gunah Bhi Huva Or Agar Ba Naiyyate Istekhfaaf(Yaani Halka Samaj Kar) He To Kufr Huva Or Agar Dirham Ke Barabar He To Paak Karna Wajib He Ki Be Paak Kiye Namaz Parhi To Makroohe Tahrimi Hui Yaani Aysi Namaz Ka Eaada Wajib He Or Qasdan Parhi To Gunahgar Bhi Huva Or Agar Dirham Se Kam He To Paak Karna Sunnat He, Ki Be Paak Kiye Namaz Ho Gai Magar Khilafe Sunnat Hui Or Uska Eaada Behtar He.
*📚(BAHARE SHARIYAT, HISSA-2)*

*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲8
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts