*🌹SAWAL:-🌹*
Ladkiyo ko kitne lambe baal rakhna chahiye...?Aur kya ladki fation me baal katwa sakti he? Aur mene suna he kuch logo se ke kamar se niche baal nhi rakhna chahiye.. kya he sahi he aur aap mujhe bta sakte he ye masla..
*🌹JAWAB:-🌹*
Aurat Ke Jis Qadar Baal Lambe Or Ghane Ho Mustahsan w Baaise Zinat He. Or Fashion Ke Baal Katwana Jesa ki Nasrani Aurto Ka Tariqa he Najaiz w gunah He, Aysa Karne Walo Par Lanat Farmai He. Al-Batta Agar Kamar se niche ya sureen se bhi Niche tak Sar ke baal aa jaye or ayb maloom hone lage to sireen se niche wale hisse ke baalo ko kaat sakti he.
Aurto Ko Ghane Or Lambe Baal Rakhne Ke Ta'alluk Se Roohul Bayan Me He,
سبحان من زین الرجال باللحی و زین النساء بالذوائب " اھ
Yaani Paak he Vo Zaat Jis Ne Mardo Ko Darhi Se Zinat Bakhshi Or Aurto Ko Lato Or Chotyo Se.
*📚(ROOHUL BAYAN, J-1, S-222)*
Aurto ke liye Jis Qadar Baal lambe ho mustahsan W Baaise Zinat He, Aasmano Par Farishto Ki Tasbih He Jaisa Ki Bidaai'a us Sanaai'a Fi Tartibus Sharaai'a Me He,
ولأن حلق اللحية من باب المثلة لأن الله تعالى زين الرجال باللحى والنساء بالذوائب على ما روي في الحديث " إن لله تعالى ملائكة تسبيحهم سبحان من زين الرجال باللحى، والنساء بالذوائب " ولأن ذلك تشبه بالنصارى فيكره " اھ
Yaani Paak He Vo Zaat Jis ne Mardo Ko Darhi Se Zinat Bakhshi Or Aurto Ko Lato Or Chotyo Se, Is Liye Baalo Ko Chhota Na Kiya Jaye, Albatta Agar Baal Itne Lambe Ho Ki Sureen se Bhi Niche Ho Jaye Or Ayb Maloom Hone Lage To Sureen Se Niche Wale hissa Ke Baalo Ko Kaat sakte He.
*📚(Bidaai'a us Sanaai'a Fee Tartibush Sharaai'a, J-3, S-101, Fasl Fee Ahkamul Halk Wal Takseer)*
_Fashion Ke Baal Karana Najaizo Gunah he Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahma Farmate He_
Aurto Ko Sarke Baal Katwana Jaisa Ke Is Zamane Me Nasrani Aurto Ne Katwane Shuru'a Kar Diye He Najaizo Gunah He Or Us Par Lanat Aai Agar Shohar Ne Aysa Karne Ko Kaha Jab Bhi Yahi Hukm He Ki Aurat Aysa Karne Me Gunah Gaar Hogi Kyu Ki Shariyat Ki Nafarmani Me Kisi Ka Kahna Nahi Mana Jayega.
*📚(Durre Mukhtar)*
Suna He Baaz Musalmano Ke Gharo Me Bhi Aurto Ke Baal Katwane Ki Bala Aa Gai He, Aysi Pur Qabeeh ( Bahut Buri) Aurte Dekhne Me Londa Maloom Hoti He,
Or Hadis Shareef Me He,
Jo Aurat Mardana Hay'at Me Ho Us Par Allah Ki Lanat He, Jab Baal Katwana Aurat Ke Liye Najaiz He To Mundana Badarja Awla Najaiz Ki Ye Bhi Hindustan Ke Mushrikeen Ka Tariqa He Ki Unke Yaha Koi Mar Jata He Ya Tirth Ko Jati He To Baal Munda Deti He.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-16)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:
Post a Comment