*🌹SAWAL:-🌹*
Asslato WasSalamu Alaika Ya Muhammadur RasoolAllah Padhna Kesa He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Assalato WasSalamu Alaika Ya Muhammadur RasoolAllah Padhna Jaaiz Nahi Balki Is ki Jagah Assalato WasSalamu Alaika Ya RasoolAllah Padhe, Ya 'Ya Habiballah' , Ya 'Nabiyallah' Wagairah Padhe. Ya Muhammad Kahna Jaiz Nahi.
_Jaisa Ki Huzur Shareh Bukhaari Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He_
Ya Muhammad Jaiz Nahi Jis Tarah Maañ Baap Ko Naam Le Kar Pukarna Be Adbi He Usi Tarah Huzure Aqdas ﷺ Ko Bhi Naam Le Kar Pukarna Be Adbi He. is Liye Bajaye Ya Muhammad Al-Madad Ke Ya RasoolAllah Al-Madad Kahna Chahiye.
*📚(FATAWA SHAREH BUKHARI, J-1, S-285)*
Or Farmate he,
Ya Harf Nida He Yaani Arbi Me Kisi Ko Pukarne Ke Liye Bola Jata He. Jaise Urdu Zaban Me "Ay" Is Liye, Ya Muhammad Ke Ma'ana Huye 'Ay Muhammad' Yaani Ye Kahne Wala Huzure Aqdas ﷺ Ko Unka Naam Le Kar Pukar Raha He. is me Huzur Ki Be Adbi He. Jaise Maañ Baap Ka Naam Le Kar Pukarna Be Adbi He, Koi Ladka Agar Apne Baap Ko Uska Naam Le Kar Pukare To Vo Gustakh Samjha Jayega. Baap Ko Pukara Jata He To Naam Nahi Liya Jata Balki Abba Ya Baba Kaha Jata He Jo Unka Mansab He. Ayse Hi Huzure Aqdas ﷺ Ko Naam Le Kar Pukarna Or Ya Muhammad Kahna Huzur Ki Be Adbi He, Agar Huzure Aqdas ﷺ Ko Pukarna He To Unka Mansab Zikr Kar Ke Pukaro. Yaani Ya NabiAllah, Ya Habiballah, Ya RasoolAllah Kah Kar Pukaro.
*📚(FATAWA SHAREH BUKHARI, J-1, S-284)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:
Post a Comment