*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualaikum
Bazaar Se Kharid Kr Laayi Hui Machli Ko Paka Kr Uspe Fatiha Dilana Kesa H .. Kuch Aetraaz Bhi Karte He Sahi Masla Bataye..
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Koi Haraj Nahi, Fatiha De Sakte He, Or Usko Kha Bhi Sakte He, Albtta Wo Machhli Jo Taalab Ya Dariya Me Mar Kar Upar Aakar Terne Lage Usko Samak E Tafi Kehte He Uska Khana Jaaaiz Nahi.
Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,
Machhli Tar Ho Ya Khushk Mutlaqan Halal He.
قال تعالی واحل لکم صید البحر ۳؎۔
Allah Ta'ala Ne Farmaya: Halal Kiya Gaya Tumhare Liye Bahri Shikar Ko.
*📚(Al Qura'an, 5/96)*
Siwa E Taafi Ke Jo Khud Bakhud Bagair Kisi Sababe Zahir Ke Darya Me Mar Kar Upar Aati He.
Aalamgiri Me He,
:السمک یحل اکلہ الاماطفا منہ۔
Yaani Machhali Khana Halal He Masiwa E Paani Par Terne Wale Mar Kar.
*📚(فتاوی ہندیۃ کتاب الذبائح الباب الثانی نورانی کتب خانہ پشاور ۵ /۲۸۹)*
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-20, Mas'ala-169)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Ddewgadh Bariya Dahod Gujarat*
*🗓️30 July 2021, 19 Zulhijja 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment