*🌹SAWAL:-🌹*
Shab E Barat Se 1 Din Pahle Jo ARFA Manate Hai Ya ARFA Ka Fateha Karte Hai Uske Bare Me Tafsil Se Bataein...❓❓
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Agar Koi Shabe Baraat Se Pahle Mar Jaye To Aane Wali Shabe Baraat Ke Ek Din Pahle Jo Fatiha Dilai Jati He Hamare Yahañ Log Use Arfa Ka Fatiha Kahte Hai.. Jo Bilkul Jaaiz He.
Lekin Isme Ye Samajhna Ki Jab Tak Arfa Ka Fatiha Na Dilaya Jaye Us Mayyat Ke Sath Dusre Ka Naam Shamil Na Kiya Jaye, Alag Se Fatiha Diya Jaye. Ya Shabe Barat Me Aam Roohoñ Ko Fatiha Dilana Munasib Na Samjhe... Ye Sab Jahalat He. Iski Koi Asl Nahi.. Balki Jab Chaheñ Jitni Roohoñ Ko Chahe Sath Fatiha Dilaye Ya Alag Alag Dilaye Arfa Ke Pahle Ya Baad Me Koi Harj Nahi...
Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me He,
Mayyat Ko Isale Sawab Ke Liye Shara'a Ki Janib Se Koi Khas Din Muta'ayyin Nahiñ Isale Sawab Karne Wale Ko Saal Ya Maah Me Jis Din Sahulat Nazar Aaye Vo Din Uske Liye Khas Kar Sakta He Lihaza Mayyat Ko Isale Sawab Ke Liye Shaban Ki Pandrahviñ Raat Se Pahle Chaudhviñ Raat Ko Khas Karne Me Koi Harj Nahi...
Neez Agar Vo Fatiha Sunnat Tareeqa Par Kiya Jata He Or Usme Koi Amr Khilafe Shara'a Anjam Nahi Pata To Ye Fatiha Mahmood W Mustahasan He..
Or Ye Khayal Rakhna Ki Jab Tak Is Saal Ki Mayyat Ke Liye Arfa Ka Makhsoos Fatiha Nahi Ho Jata Shabe Barat Me Aam Roohoñ Ko Fatiha Dilana Munasib Nahiñ Batil Khayal He Ki Ahaadise Mubarak Me Shabe Baraat Ki Ibadat W Fatiha Ki Bahut Zyada Fazilat Warid He.
Fatawa Razviya Shareef Me He,
Arfa Tak Ya Baad Tak Agar Alag Hamesha Fatiha De To Harj Nahi, Shamil Rakhe To Harj Nahi , Ye Samajhna Ki Arfa Tak Alag Ka Hukm He Phir Shamil Ka Ye Galat W Jahalat He.
*📚(Fatawa Razviya, J-4, S-213)*
*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-1, S-382)*
Or Huzur Allama Abdul Mannan Aazmi Alaihir Rahma Farmate Hai,
Arfa Karna Na Sunnat He, Na Wajib, Ye Isale Sawab He Or Ye Mustahasan He Jiska Jee Chahe Kare Or Jiska Jee Chahe Na Kare.
*📚(Fatawa Bahrul Uloom, J-2, S-95)*
Lihaza Arfa Ka Fatiha Karna Mustahasan He, Kare To Sawab Payega.. Na Kare To Gunah Bhi Nahi...
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓14 March 2022, 10 Shaban 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment