*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam O Alaikum
Hazrat Baz Surtu Mein Hamal Girana Ka Kya Hukum Hai Agar Aurat Kamjor Hai Hai Aur Uski Bahut Jyada Tabiyat Kharab Hai Use Surat Mein Ya Kam Karna Kaisa Aur Agar Aurat Sehat Mand Hai Uske Bawjud Bhi Agar Yah Kam Karti Hai Hamal Girana Ke To Donon Surat Mein Kya Hukum Hai Iske Upar Hazrat Jawab Rehnumai Farmaye
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Jab Aurat Ummid Se Hoti He To Use Allah Ki Taraf Se Atiya Or Nemat Milti He..
Lihaza Isqate Hamal Se Bachna Zaroori He Warna Ne'amat Se Mahroom Ho Jayeñge..
Jab Aurat Hamila Hoti He To Uske Pet Me Maujud Bachche Ke Andar 4 Maah Yaani 120 Din Tak Rooh Nahiñ Daali Jati 4 Maah Ke Baad Rooh Daali Jati He.
Agar 120 Din Ho Gaye Ho To Kisi Soorat Me Isqate Hamal Ki Ijazat Nahiñ Agar Gira Dega To Bachche Ka Qatl Karne Wala Kahlayega.
Or 120 Din Se Pahle Agar Uzr Ho To Gira Sakte Hai..
Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Isqate Hamal Ke Liye Dawa Karna Ya Daai Se Hamal Saqit Karana Mana'a He. Bachche Ki Soorat Bani Ho Ya Na Bani Ho Donoñ Ka Ek Hukm He, Haañ Agar Uzr Ho Maslan Aurat Ke Sher Khwar Bachche He Or Baap Paas Itna Nahiñ K Daya Muqarrar Kare Ya Daya Dastiyab Nahiñ Hoti Or Hamal Se Dudh Khushk Ho Jayega Or Bachcha Ke Halaak Hone Ka Andesha He To Is Majboori Se Hamal Saqit Kiya Ja Sakta He, Basharteki Uske Aaza Na Bane Hoñ Or Uski Muddat Ek So Bees 120 Din He.
*📚(Bahare Shariyat, H-16, Ayadat W Ilaj Ka Bayan, Mas'ala-15)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️8 March 2022, 4 Shaban 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment