*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualikum, Agar Zaid Ke Pass Properties, Bank Balance, Zewar Wagaira Sab Mila Krr 1 Crore Ka Malik Hai Aur Usne Apne Bank Mein 30 Lakh Rupiye Rakhe Hai Jismein Usne Nominee 2 Gair E Waris Ko Banaya Hai Aur Kaha Hai Ki Meri Maut Ke Baad Ye Rakam Tumhe Mil Jayegi Toh Iska Kuch Hisse Ka Isale Sawab Krrdena Aur Baki Paisa Tum Kharch Krrna Toh Kya In Dono Ko Zaid Ki Wafaat Ke Baad Ye Rakam Istemal Krrne Ki Ijazat Hai Ya Nhi?
*🌹JAWAB:-🌹*
Zaid Ki Ye Ek Wasiyyat He Or Ba'ade Inteqaal Undono Ko Zaid Ki Wasiyyat Ke Mutabiq Un Rupye Paiso Ko Istemal Karne Ki Ijazat Hogi...
Jaisa Ki Bahare Shariyat Me Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Ne Tahreer Farmaya,
Marne Wale Ne Kisi Aadmi Ke Haq Me Apne Chothai Maal Ki Wasiyyat Ki Or Ek Dusre Aadmi Ke Haq Me Apne Nisf Maal Ki, Agar Warsa Ne Us Wasiyyat Ko Jaaiz Rakha To Nisf Maal Usko Milega Jiske Haq Me Nisf Maal Ki Wasiyyat He Or Chothai Maal Use Diya Jayega Jiske Liye Chothai Maal Ki Wasiyyat Ki Or Baaqi Warisoñ Ke Darmiyan Muqarrara Hissoñ Ke Mutabiq Taqseem Kiya Jayega Or Agar Warisoñ Ne Uski Wasiyyat Ko Jaaiz Na Rakha To Is Soorat Me Marne Wale Moosi Ki Wasiyyat Uske Salas Maal Me Sahih Hogi Or Uska Salas (1/3) Maal Saat Hissoñ Me Munqasam Ho Kar Char Hisse Nisf Maal Ki Wasiyyat Wale Or 3 Hisse Chothai Maal Ki Wasiyyat Wale Ko Mileñge..
*📚(Bahare Shariyat, H-19, Salas Maal Ki Wasiyyat Ka Bayan, Mas'ala-1)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️8 Feb 2023, 16 Rajab 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment