Sajda E Tilawat Makrooh Awqaat Me Karna, Uski Niyyat Or Tareeqah

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Aleykum 
Mera Ye Sawal Hai 
Ki Kuran Shareef K Sajde Kis Time Dene Chahiye 
Mai Aksar Jiyadatar Asar Ki Namaz K Bad Padhti Hu Ya Fazar Ki Namaz K Bad 
To 14 Sajde Aek Sath Mai Nahi De Pati Tabiyat Ki Wajah Se 
To Jab Bhi Kuran Shareef Padhti Hu Sajda Aata Hai Sajda Kar Leti Hu 
To Kisi Nai Kaha Ki Fazar Ki Namaz K Bad Aur Asar Ki Namaz K Bad Sajda Nahi Karna Chahiye 
Aur Sajde Ki Niyyat B Bata Dijiye Koi Kaheta Niyyat Nahi Karni Chahiye Koi Kaheta Karni Chahiye Mai Niyyat Nahi Karti Hu 

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sajda E Tilawat Uske Liye Vahi Tamam Sharaait He Jo Namaz Ke Liye He, Haañ Tahrima Yaani Allahu Akbar Kahna Uske Liye Shart Nahiñ He, Maslan Taharat, Isteqbale Qibla, Niyyat, Waqt, Satre Aurat Ye Saari Cheezeñ Sajda E Tilawat Ke Liye Shart He..

Niyyat Ye Zaroori Nahiñ He Ki Fulaañ Aayat Ka Sajdah He Me Us Aayat Ka Sajda Kar Raha Huñ Balki Mutlaqan Sajda E Tilawat Ki Niyyat Karle To Niyyat Kaafi He. Or Niyyat Ke Alfaaz Zaban Se Kah Lena Musatahab, Or Zaban Se Na Kahe To Dilke Pukhta Irade Ko Niyyat Kahte Hai..

Sajda E Tilawat Ka Masnoon Tareeqah Ye He Ki Khade Ho Kar Allahu Akbar Kahte Huve Sajde Me Jaye Or Kam Az Kam 3 سُبْحٰنَ رَبِّیَ الْاَعْلٰی Kahe, Fir Allahu Akbar Kahta Huaa Khara Ho Jaye Ye Aapka Sajda E Tilawat Ho Gaya, 

Iska Masnoon Waqt Jabki Waqte Makrooh Na Ho Asr Ki Namaz Ke Baad Suraj Dubne Se Pahle 20 Minute Tak Makrooh Waqt He, Or Fajr Ki Namaz Ke Baad Suraj Ugne Se Le Kar 20 Minute Tak Ye Bhi Waqte Makrooh He To In 2 Waqtoñ Me Yaani Suraj Dubne Ke Pahle 20 Minute Pahle Or Suraj Nikalne Ke Baad 20 Minute Tak Sajda E Tilawat Na Kare, Agar Kar Liya To Usko Fir Dohra Le, Chuñki Ye Dono Waqte Makrooh He Is Wajah Is Awqaate Makrooha Me Kisi Qism Ki Namaz Sajda E Shukr Hatta Ki Sajda E Tilawat Bhi Jaaiz Nahiñ He..
Makhuz Az: *📚(Bahare Shariyat, H-4, Sajda E Tilawat Ka Bayan, Mas'ala:19 Ta 26)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️21 Feb 2023, 29 Rajab 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts