*Namazi Se Aage Teen Saf Se Guzarna Kesa ?*
*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Agar Masjid Badi Ho to Teen Saf Ke Aage Se Nikal Sakte Hain Kya?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Masjide Kabir (Yaani Badi Masjid, Jaise Masjide Haraam Aur Masjide Nabawi Sharif Ke Fi Zamana Apne Azeem Raqbe Ki Wajah Se Masjid-E-Kabir Hain) Mein Agar Koi Namaz Ada Kar Raha Ho, to Baghair Sutrah Mauza-E-Sajdah (Qayam Ki Haalat Me Sajda Ki jagah Ki Taraf Nazar Kareñ, To Jitnj Door Tak Nigah Ihata Mare Us) Tak Guzarna Jaaiz Nahiñ. Albatta Mauza-E-Sajdah Ke Bahar Se Guzar Sakte Hain. Neez Agar Koi Shakhs La-Ilmi Mein Namazi Ke Aage Se Guzar Gaya to Woh Gunahgar Nahiñ Hoga. Aur Tahqiq Yeh Hai Ke Mauza-E-Sujood Teen Gaz Hai. To Shehar Ki Jame'a Masjid Agar Raqbe Ke Hisab Se Badi Ho, Aur Badi Masjid Se Murad Woh Hai Jo Nihayat Wasee O Areez Ho, Jis Mein Misl-E-Sehra Ittisal-E-Sufuf Zaruri Ho, Jaise Masjid-E-Khwarizm Ke Solah Hazar Sutoon Hain Aur Masjid-E-Quds, Aur Aaj Kal Masjide Nabawi Sharif Aur Masjid-E-Haram Sharif Bhi Badi Masjidein Hain.
Chunanche Masjid-E-Kabir Ki Wazahat Karte Hue Imame Ahle Sunnat Imam Ahmad Raza Khan رحمۃ اللہ علیہ Irshad Farmate Hain:
“Masjid-E-Kabir Sirf Woh Hai Jis Mein Misl-E-Sehra Ittisal-E-Sufoof Shart Hai, Jaise Masjid-E-Khwarizm Ke Solah Hazar Sutoon Par Hai. Baqi Aam Masajid Agarche Das Hazar Gaz Mukassar Hon Masjid-E-Saghir Hain Aur Un Mein Deewar-E-Qibla Tak Bila Haail Murur (Guzarna) Najaaiz.”
*📚(Fatawa Razawiyyah, Jild-7, Safha-257)*
Sharai Council of Bareilly Sharif Ke Faisle Mein Hai:
“Baaz Fuqaha-E-Kiram Ka Qaul-E-Mukhtar Yeh Hai Ke 60 Gaz Wasee O Areez Masjid, Masjid-E-Kabir Hai, Magar Aala Hazrat Ka Mukhtar Yeh Hai Ke Jo Masjid Nihayat Wasee O Areez Ho Jis Mein Misl-E-Sehra Ittisal-E-Sufuf Shart Hai, Jaise Masjid-E-Quds Aur Masjid-E-Khwarizm Hai, Un Ke Ilawa Masjidein Masjid-E-Saghir Hain... Bittifaq-E-Raaye Yeh Tay Hua Ke Ab Masjid-E-Nabawi Aur Masjid-E-Haram Masjid-E-Kabir Ho Gayi Hain, Kyun Ke Aala Hazrat Ne Jame'a Quds Ko Masjid-E-Kabir Maana Jis Ka Kul Raqba (Area) 144000 Ek Lakh Chawalis Hazar Meter Hai Aur Masjid-E-Nabawi Aur Masjid-E-Haram Ka Kul Raqba Jame'a Quds Se Kai Guna Zyada Hai. Masjid-E-Haram Ka Kul Raqba (Area) 356000 Teen Lakh Chhappan Hazar Murabba Meter Hai Aur Masjid-E-Nabawi Ka Kul Raqba (Area) 365000 Teen Lakh Painsath Hazar Murabba Meter Hai. To Yeh Dono Masjidein Badarja Awla Masjid-E-Kabir Hain. Wallahu Ta'Ala a'Lam Bis Sawab.”
*📚(Pandrahwan Salana Fiqhi Seminar, Sharai Council of India, Bareilly Sharif)*
Chunanche Shehar Ki Jame'a Masjid Agar Is Qadr Wasee O Areez Ho to Beshak Us Mein Teen Saf Ke Aage Se Guzarna Durust Hai, Warna Agar 10000 Gaz Mukassar Bhi Ho to Deewar-E-Qibla Tak Nikalna Jaaiz Nahin Hai,
Jaisa Ke Sarkar Aala Hazrat Imam Ahl-E-Sunnat Imam Ahmad Raza Khan Fazil-E-Barelvi علیہ الرحمہ Farmate Hain,
“Aam Masajid Agarche Das Hazar Gaz Mukassar Hoñ Masjid-E-Saghir Hain Aur Un Mein Deewar-E-Qibla Tak Bila Haail Murur (Guzarna) Najaaiz.”
*📚(Fatawa Razawiyyah, Jild 7, Safha 257, Raza Foundation, Lahore)*
Wallahu a'Lam Bis Sawab
Katabahu
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Saiyed Shadab Ali Qadri Razvi Sahab, Meerut, Up*
*🗓️5 March 2026, 15 Ramzanul Mubarak 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
Comments
Post a Comment