*Reedh Ki Haddi (Back Bone) Me Takleef Ho To Namaze Taraweeh Ka Hukm?*
*🌹SAWAL:-🌹*
Aslamau Alekum Hazrat ,
Agar Kisi Ki Reedh Ki Haddi Me Takleef Yaani Gap Aa Gaya He Aur Doctor Ne Use Aaram Karne Ka Kaha He Zyada Der Khade Rahene Aur Bethne Se Mana Kara He
Wo Kis Tarah Namaz Aur Taraweeh Padhe Kiya Wo Taraweeh Ki Namaz Chhor Sakta He ?
Rehunami Farmye Hazrat
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Taraweeh Sunnat E Muakkadah Hai, Bila Kisi Sharai Uzr Ke Chhodna Gunaah E Kabeera Hai, Jis Shakhs Ki Reerh Ki Haddi Me Is Qadar Takleef Hai Ki Na Zyada Der Khada Rah Sakta Hai Na Zyada Der Baith Sakta Hai, to Taraweeh Tark Kar Sakta Hai, Lekin Agar Itna Khada Ya Baith Sakta Ho Ki Tanha Taraweeh Ada Kar Sake to Kare, Kyunki Jama'at Ke Sath Taraweeh Sunnat E Muakkadah Alal Kifaya Hai Agar Muhalle Ke Chand Ashkhaas Ne Padh Li to Sab Bari Uzzimma Ho Gaye Aur Agar Kisi Ek Ne Bhi Na Padhi to Sab Gunahgar Hue, Chunanche Jis Ko Aisi Takleef Hai Wo Koshish Kare Ki Tanha Padhe Aur Wo Bhi Mumkin Na Ho To Vo Mazoor He.. Lihaza Agar Uski Aisi Condition Hai Ki Zyada Der Nahi Uth Baith Sakte to Chhod Sakte Hai Albatta Agar Itni Der Baith Sakte Ho Kursi Wagairah Par Ki 20 Rakat Soorah Ikhlas Se Padh Sakne Ke Layaq Ho to Na Chhodi Jaye..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Saiyed Shadab Ali Qadri Razvi Sahab, Meerut, Up*
*🗓️21 Feb 2026, 3 Ramzan 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
Comments
Post a Comment