*Saal Mukammal Hone Se Pahle Maal Nisab Se Kam Ho Gaya Fir Dubara Nisab Bhar Maala Aaya To Zakat Ka Hukm?*
*🌹SAWAL:-🌹*
السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُه
Muhammad Emran Hanfi Razvi
From Kolkata
Zaid Muharram Ke Mahine Me Sahibe Nisaab Hua Aur Dhul Hijjah Ke Mahine Me Wapas Faqeer Ho Gaya (Aur Jab Saal Barabar Hua to Wo Faqeer Hi Raha) Aur Phir Safar Ke Mahine Me Sahibe Nisaab Ho Gaya to Ab Zaid Par Zakat Dena Farz Hai Ya Phir Dobara Jab Pura Saal Guzar Jayega Tab Farz Hoga ??
جَزَاكَ ٱللّٰهُ خَيْرًا
*🌹JAWAB:-🌹*
وعلیکم السلام ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
الجواب بعون الملک الوھاب
Sawal Mein Bayan Ki Gayi Soorat Ke Mutabiq Nisab Ka Saal Tabdeel Ho Kar Safar Se Shuru Ho Chuka Hai, Kyunki Zakat Ke Wajib Hone Ke Liye Saal Ke Shuru Aur Aakhir Mein Maal Ka Baqadre Nisab Hona Zaroori Hai. Agar Saal Ke Shuru Mein to Baqadre Nisab Ho, Magar Aakhir Mein Na Ho to Us Saal Ki Zakat Wajib Nahiñ Hoti.
Lekin Jab Dobara Kabhi Us Maal Mein Mazeed Itni Raqam Shamil Ho Jaye Ke Woh Raqam Mil Kar Nisab Ke Barabar Ho Jaye to Usi Din Se Zakat Ka Naya Saal Shuru Ho Jata Hai.
Lihaza Jab Zilhijja Ko Saal Mukammal Hua to Aap Ki Raqam Baqadre Nisab Nahiñ, Balki Kam Thi, Lihaza Zakat Wajib Na Rahi Aur Woh Saal Kaladam Ho Gaya. Lekin Jab Safar Ko Dobara Itni Raqam Aa Gayi Ke Aap Sahib-E-Nisab Ho Gaye to Ab Safar Se Zakat Ke Naye Saal Ka Aghaz Ho Chuka Hai.
Mas’Oola Surat Ke Mutalliq Shamshul A'immah, Imam Sarakhsi Rahmatullahi Ta‘Ala Alayh (Saal-E-Wafat: 483h/1090ء) Likhte Hain
لوأن رجلا لہ مائتا درھم فضاع نصفھا قبل کمال الحول بیوم۔۔۔فإن تم الحول ولم یستفد ھذہ المائۃ ثم مضت السنۃ الثانیۃ إلا یوما ثم استفاد مائۃ ثم تم الحول فلا شیء علیہ فی الحولین لأنہ تم الحول الأول ومالُہ دون النصاب فلم تلزمہ الزکاۃ ولم ینعقد الحول الثانی علی مالہ لنقصان النصاب فی أول ھذا الحول، وإنما استفاد المائۃ ولیس علی مالہ حول ینعقد فلا تلزمہ الزکاۃ ولکن ینعقد الحول من حین استفاد المائۃ لأنہ تم نصابہ الآن فإذا تم الحول من ھذا الوقت زکی المائتین
Tarjuma: Ek Shakhs Ke Paas 200 Dirham Thay, Lekin Nisabi Aitibar Se Saal Mukammal Hone Se Ek Din Pehle 100 Dirham Zaya Ho Gaye. Ab Agar Saal Ka Yeh Ek Baqi Din Bhi Nisab Ki Kami Ke Sath Hi Guzar Gaya, Lekin 100 Dirham Mein Izafa Ho Kar Maal Dobara Nisab Ki Miqdar Na Hua Aur Phir Doosra Saal Bhi Mukammal Hone Wala Tha Aur Ek Din Baqi Tha, Magar 100 Dirham Mazeed Aa Gaye Aur Saal Mukammal Ho Gaya to Us Shakhs Par Donoñ Saaloñ Mein Kuch Bhi Wajib Nahin, Kyunki Jab Pehla Saal Mukammal Hua Tha to Us Ka Maal Nisab Se Kam Tha Aur Yeh Baat Maloom Hai Ke Aakhir-E-Saal Miqdar-E-Nisab Mein Kami Ki Wajah Se Zakat Wajib Nahin Hoti.
(Aur Jahañ Tak Doosre Saal Bhi Zakat Wajib Na Hone Ka Ta‘Alluq Hai to Us Ki Wajah Yeh Hai Ke) Maal Par Nisab Ke Aitibar Se Doosra Saal Munaqid Hi Nahin Hua Tha, Kyunki Saal Ke Shuru Mein Nisab Mukammal Na Tha. Aur Jab 100 Dirham Mein Mazeed 100 Dirham Mile to Zakat Phir Bhi Lazim Na Hogi, Kyunki Us Maal Par Saal Shuru Hi Na Hua Tha.
Haañ Albatta Ab Jab Se 100 Dirham Mazeed Mile Hain to Nisabi Aitibar Se Naya Saal Shuru Ho Chuka. Lihaza Jab Dobara 200 Dirham Milne Wale Din Ke Lihaz Se Saal Mukammal Hoga to in Do Sau Dirham Ki Zakat Dega.
*📚(Al-Mabsoot, Jild 2, Kitab Nawadir-Uz-Zakat, Safha 32, Matboo‘a Dar-Ul-Kutub Al-‘Ilmiyyah, Beirut)*
Wallahu Aalamu Bisswab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Saiyed Shadab Ali Qadri Razvi Sahab, Meerut, Up*
*🗓️21 Feb 2026, 3 Ramzan 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
Comments
Post a Comment