Mobile Me Naat Ya Azan Ko Ringtone Rakhna

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum, Mobile Me Naat Shareef Ya Azan Ko Ringtone Rakhna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahma Se Sawal Hua Ki Kya Mobile Me Naat, Azan Ya Qura'ani Aayat As A Ringtone Rakh Sakte He,

Aap Farmate He, Not Allowed Yaani Iski Ijazat Nahi He.
http://jamiaturraza.com/session/21June09/9.mp3

Or Mobile Phone Ke Zaroori Masail Me He,

Ehtiyat Or Adab Ka Taqaza Yahi He Ki Mobile Ki Ghanti Me Hamdo Na'at, Or Salamo Azan Wagairah Set Na Kiye Jaye.

Call Kab Aa Jaye Or Us Waqt Mobile Ki Ghanti Bajne Lage Kuchh Nahi Kaha Ja Sakta.

Baar hañ Aysa Hota He Ki Aadmi Baytul Khala'a Ya Istenja Khana Me Hota He Or Mobile Ki Ghanti Bajne Lagti He, Ab Agar Mobile Ki Ghanti Me Hamdo Na'at, Or Azan w  Salam Ya Qura'ani Aayat Wagairah Set Ho To Zaroor Un Muqaddas Kalimat Ki Be Adbi Or Yak guna Tauheen Hogi, Is Liye Bahetar Or Ehtiyat Isi Me He Ki Mobile Me Aam Qism Ki Saada Ghanti Lagaye Or Hamdo Na'at Qura'ani Aayat Ya Azan w Salam Set Na Kare.
*📚(Mobile Phone Ke Zaroori Masail, S-87)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+9184

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts