Social Media Par Deen Ki Baate Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

ASSALAMUALAIKUM 


Hazrat Aaj Kal Bahut Hi  Log Social Media Ka Use Krte Lkn Koi Ache Kaam Ke Liye Yani Islamic Messge Ko Aage Badhane Ke Liye Bhi Krte Hai To Log Kehte Hai Ye Social Media Par Acha Nhi Krna Ye Talib Madraso Me Do Yaha Ye Sab Na Kro Kia Ye Kehne Wale Pr Koi Hukum ?? Aur Hazrat Hame Social Media Ke Kese Use Krna Chahiye Jaiz Tarika ? Aur Social Media Ka Use Kaha Mana Hai ?? 


Rahanumai Farmaye


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Social Media Ya Websites Par Paaye Jane Wale Mazaamin Kitabo Ki Hesiyat Rakhte Hai. Jin Me Achchi, Buri Mo'atebar Gair Mo'atebar Har Tarah Ki Kitabat Hoti He. Or Aaj Kal Sabse Zyada Jo Istemal Kiya Jata He Vo Internet, Mobile Or Social Media He, Lihaza Hame Chahiye Ki Iska Sahih Tareeqa Se Istemal Kare, Or Bure Najaaiz Kaamo Se Bach Kar Shariyat Ki Had Me Shariyate Mustafa Ki Jis Tarah Bhi Isha'at Ho Uski Koshish Kare, Social Media Ek Esa Platform He Jahañ Ham Apni Aawaz Aasani Se Sekdo Logo Tak Pahuncha Sakte He. Iska Istemal Karne Ka Bahetar Or Jaaiz Tareeqa Yahi He Ki Zyada Se Zyada Deen Ki Baat Logo Tak Pahuchaye. Social Media Ka Istemal Sirf Lahw Laeeb Or Jokes Or Betuki Baate Karne Ke Liye Nahi, Balki Deen Ki Isha'at Ke Liye Kiya Jaye To Ye Bhi Ek Sadqa Or Kaare Khair Or Baaise Sawab He. Deen Ki Baat Failane Se Rokne Wala Ya To Hasid He Ya Jahil. 


Qura'an Majeed Me He,

 وَقُولُوا لِلنَّاسِ حُسْنًا

Or Logo Se Achchi Baat Kaho.

*📚(Surah Baqrah, Aayat-83)*


Or Dusri Jagah Irshad Farmaya,

قَدْ أَفْلَحَ الْمُؤْمِنُونَ الَّذِينَ هُمْ فِي صَلَاتِهِمْ خَاشِعُونَ وَالَّذِينَ هُمْ عَنِ اللَّغْوِ مُعْرِضُونَ

Beshak Murad Ko Pahunche Iman Wale, Jo Apni Namaz Me Gidgidate He, Or Vo Jo Kisi Behuda Baat Ki Taraf Iltifat Nahi Karte.

*📚(Surah Muaminun, Aayat-1,2,3)*


Yaani Behuda Baato Se Bachne Walo Ka Iman Pukhta He.


Jo Ham Se Door He Hamare Paas Nahi Unko Mobile Ya Social Media Ke Zariya Deen Ki Baat Batana RasoolAllah ﷺ Ka Paigam Pahucha Ne Ka Saboot Hadees Shareef Se Bhi Milta He,


Hadees Shareef Ka Mafhoom He,

 الا فلیبلغ الشاھد الغائب فانہ رب مبلغ یبلغہ اوعنی لہ من سامع۔

Hazrat Abu Bakar RadiAllahu Anhu Se Riwayat He Ki RasoolAllah ﷺ Ne Hujjatul Wida'a Ke Mauqa'a Par Farmaya,  Jo Yahañ Hazir He Vo Isko Pahuncha De Jo Gaaib He, Khuñki Jo Hazir He Vo Shayad Ayse Shakhs Ko Khabar Karde Jo Baat Ko Usse Zyada Yaad Rakhe.

*📚(Bukhari Shareef, 67)*

*📚(Muslim Shareef, 1679)*


Isi Tarah Dusri Hadees Me He,

Abdullah Bin Umar RadiAllahu Anhu Riwayat Karte Hai Ki RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya, 

بلِّغوا عنّي ولو آية

Yaani Agar Aapko Qura'an Ki Ek Aayat Ka Bhi Ilm Ho To Use Dusro Tak Pahuncha Do. 

*📚(Sahih Bukhari, Hadees-3461)*

Yaani Jo Hazir He Vo Jo Gaaib He Un Tak Agar Qura'an Ki Ek Aayat Ka Bhi Ilm Ho To Pahunch De.


Huzur ﷺ Ne Farmaya Achchi Baat Kahna Sadqa He.

*📚(Bukhari, 2589)*


Or Hadeese Mubarika Me He,

RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya Fuzool Baatoñ Ko Chhod Dena, Aadmi Ke Islam Ki Achchai Ki Daleel He.

*📚(Musnad Ahmad, J-1, S-201)*


Lihaza Iman Walo Ki Ye Nishani He Ki Jab Logo Se Baat Kahe To Achhi Baat Kahe Or Buri Or Fuzool Baato Se Door Rahe, Fir Agarche Vo Social Media Ke Zariya Ho. Internet Ka Sahih Istemal Yahi He Ki Is Par Kitabo Sunnat Ki Roshni Me Deeni Baat Kahi Jaye, Or Fahash Baate Jese Faltu Jokes, Hasi Mazak, Be Hayai, Wagairah Se Door Raha Jaye.


Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

📲+9


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts