BAAT BAAT PE KASAM KHANA KESA ? OR USKA KAFFARA KYA

*🌹SAWAL:-🌹*
Baat baat par kasam khana kesa ? Or uspar kya sharai hukm hoga or uska kaffara kya hoga ?

*🌹JAWAB:-🌹*
```APNI KASMO KI HIFAZAT KARNE KA HUKM QURAAN SHAREEF ME BHI MAUJUD HE```

Baat baat par kasam uthana shar'an layike malamat or qabile mazammat fe'al he. Kyu ke ba-kasrat kasme khane se jahaN aadmi ke dil me sharai hudood w quyood se gaflat w laa-parwahi payda hoti he vaha us ki baat me bhi wazan or aetemad barqarar nahi rahta. Isi liye nabi e kareem sallallahu alaihi w sallam ko qura'ane majeed me hukm diya gaya ke "aap kisi bhi ayse shakhs ki baat na mane jo bahut zyada qasme uthata ho"
*📚(SURA E QALAM, AAYAT-10)*
Or Musalmano ko paband kiya gaya ke " tum allah ko apni kasmo ka nishana na banao.
*📚(SURA E BAQAR, AAYAT-22)*
Ba'az mufassireen ke nazdik is se murad ye he ki baat baat par qasam na uthaya karo.
*📚(TAFSIRE QURTIBI, W KHAZAINUL IRFAN)*
Isi tarah ek or maqam par farmaya " apni qasmo ki hifazat kiya karo.
*📚(SURA E MAAIDA, AAYAT-89)*
Sadrul afazil farmate he "ye bhi hifazat se he ki qasam khane ki aadat tarq kar di jaae.

Mazkura tamam tar tafsil se wazeh ho gaya ki baat baat par qasam uthana shariyate mutahara ki nazar me ek mazmoom or bura fe'al he. Jaha tak us shakhs ke liye sharai hukm (yaani qasam ke kaffara wagairah) ka ta'alluk he to uski tafsil ye he ke agar vo shakhs maazi(past) ya haal(present) ke kisi waqe'aa par jaan bujh kar qasam uthae or us me vo Jhutha ho to vo gunahe kabeera ka murtakib hoga or us par taubah karna lazim hoga. Is me kaffara nahi he. Or agar vo shakhs mustaqbil(future) ke kisi kaam ko karne ki qasam khaae to us par us qasam ko pura karna lazim hoga. ba-shart ye ki vo kisi najaiz kaam ki qasam na ho. Agar vo shakhs qasam ko torh de to us par kaffara lazim hoga. Kaffara ye he ke 10 miskeeno ko 2 waqt ka khana de diya jae ya unhe kapda de diya jaae. Agar in baato ko taqat na ho to 3 din musalsal roze rakhe jaae.yahi kaffara us soorat me he jab koi shakhs mustaqbil me gunah ki qasam khae. Yaani aysi soorat me lazim ho jata he ki aadmi us qasam ko torh kar kaffara de. Kyu ke nabi e kareem sallallahu alahi w sallam ne irshad farmaya " jis shakhs ne kisi cheez ki qasam khai fir vo us cheez ke khilaf karne ko bahetar jaane to vo us qasam ke khilaf kare or us ka kaffara de.
*📚(SAHIH MUSLIM, 650)*

*📖BA-HAWALA:-(📚ANWARUL FATAWA, SAFA-517,518)*

Or Hazrat Saiyed Shah Turabul Haqq Qadri Alahir Rahma ek sawal ke jawab me farmate he ki iska kaffara ye he ki 10 aadmio ko 2 waqt ka khana khilae ya 2.25(sava doso) aante ki keemat 10 fakeero me taksim kare..Misal ke taur par agar 2.25 (sava doso) aante ki kimat 25 rupye banti(misal ke taur par) he to 25-25 rupye 10 faqeero ko jo zakat khairat ke mustahiq he unhe dede.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
==========➖➖➖➖==========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*

==========➖➖➖➖===========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts