BLOOD DONATION CAMP ME BLOOD(KHOON) DENA KESA ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Blood Donation camp me blood donate karna kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
```Blood donation camp me blood donate karna jaiz nahi..```

Insaan apne jism ka malik nahi hai. Balki haqiqat mein ye us ke paas Allah Ta’ala ki di hui amanat hai. Isi liye ye jaa’iz nahi ki koi insaan apne jism ke kisi hisse ko kaat daale.Ya us ko kisi ke haath se bech de. Kyunki aisa karne mein amanat mein khayanat ke saath saath insaniyat ko zalil karna bhi hai. Jis ki shari’at mein koi ijaazat nahi.  Khoon bhi insaan ke jism ka ek hissa hai.is liye ise bhi dena jaiz nahi sirf zaroorat ki buniyad par dena jaiz he Kyunki zarurat ki bunyad par haraam chiz bhi halaal ho jaati hai.Jaisa ki Allah ta’ala ne irshad farmaya ki:

وَ قَدْ فَصَّلَ لَکُمۡ مَّا حَرَّمَ عَلَیۡکُمْ اِلَّا مَا اضْطُرِرْتُمْ  اِلَیۡہِ

Mafhoome:- Jo chizein tum par haraam ki gayi hai Allah Ta’ala ne un ko tafseel se tumhare liye bayan kar diya hai.Elawah is ke ki tum zarurat ki bunyad par tum un ka istemal karo.
*📚(Surah An’aam,Aayat No.119)*

👉Kisi Beemaar Ko Khoon Dena Chand Sharaayet Ke Saath Jaayez Hai……

1).Agar Khoon Na Diya Jaaye To Beemaar Ke Fauran Mar Jaane Ya Beemaari Ke Itna Badh Jaane Ka Darr Ho Ke Wo Kuch HI Dinon Me MAR Sakta Hai….ALBATTA KHOON DENE KI SOORAT ME US KE BACHNE KI UMMEED HO…..

2).Khoon Dene Ke Alaawa Us Ko Bachaane Ka Koi Aur Raasta Na Ho…..

3).Khoon Dene Ki Soorat Me Khud Khoon Dene Waala Beemaar Na Ho Jaaye…Ya Us Ki Jaan Ko Khtra Na Ho….

4)).Khoon Dene Waala Us Ke Badle Me Paise Na Le…

5)).Jin Logon Ke Paas Donate Kiya Hai Wo Log Bhi Ise Bechte Na Hon….

6)).Khoon Ko Sirf Stock Kar Ke Na Rakhaa Jaata Ho , Balke Waaqetan Koi Beemaar Shakhs Hai Jise Khoon Ki Zaroorat Hai To Hi Khoon Dena Jaayez Hai….Warna Jo Donate Camps Lagte Hain jahan Koi BhI Beemaar Nahi Hota Hai , Sirf Beemaaron Ko Khoon Chadhaane Ka Waada Kiya Jaata Hai , Aisi Jagah Par Khoon Dena Jaayez Nahi Hai , Balke Un Ke Paas Sirf Blood Group Likha Diya Jaaye Aur Kaha Jaaye Ke Zaroorat Padne Par Phon Kar Ke Bulaa Len……

To In Tamaam Sharaayet Ke Saath Khoon Dene Ki Ijaazat Hai, vo bhi usi miqdar me khoon chadhane ki he jitne se kaam chal sake.……Agar Aisi Majboori Na Ho Aur Khoon De Diya Jaaye To Dene Waala Aur Lene Waala Donon Hi Gunahgaar Honge…..

*📚Majlise Sharai ke faisle ke chatte seminar me tay huaa ki* mareez ko jab khoon chadhane ki zaroorat ya hajat ho to uske liye khoon chadhana jaiz ho jata he.

Or *📚FATAWA RAZVIYA SHAREEF J-10, S-200 NISF AAKHIR*  me he ki dusre muslim ki zaroorat ka bhi aetbar he, jaise doobte ko bachane ke liye namaz padhne wale ko namaz todna wajib ho jata he, ia liye jab kisi muslim ko zaroorat ya hajat dar paish  he to dusre shakhs ke liye jaiz he ki apna khoon use bachane ke liye dede.

Blood donation ki Majeed tafsil or uske sharait janne ke liye *MAJLISE SHARAI KE FAISLE, S-195,196* dekhe

👉Or blood donation Camp me jo blood dete he us blood ko blood bank me jama kiya jata he, or us waqt koi sharai hajat nahi hoti is liye blood donation camp me blood ya khoon dena jaiz nahi.

Wallaahu A’lamu Bis’sawaab….
==========➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*

==========➖➖➖➖==========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts