Aurto Ko Masjid Me Jana Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Aurto Ko Masjid Me Jakar Namaz padhna kesa ? Shariyat ka kya hukm he or kyu nahi ja sakti ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Raat Ho ya din, Aurat jawan ho ya burhi, juma ho ya eid ya jama'ate PanjGana Aurto ko Masjid Jana Mutlaqan mana'a he. Hamare mashaikh ne mumane'at ki wajah ye batai he ki unke nikalne me fitne ka andesha he, or ye haram ka sabab he, or jo haram tak le jane wala ho vo haram he. Khusoosan is zamane me is liye ki ab logo me kharabi or barai aam ho gai he.

_Jaisa Ki Imame Ahele Sunnat, Saiyedi Aala Hazrat Ashshah Imam Ahmad Raza Khan Fazile Barailvy Alaihir Rahemato Ridwan Farmate He_

Sahih bukhari w sahih muslim w sunan abi dawood me ummul Mua'mineen Hazrate Siddiqa RadiAllahu Ta'ala Anha ka irshad apne zamana me tha:
لو ادرک رسول اﷲ صلی اﷲ تعالٰی علہ وسلم مااحدث النساء لمنعھن المسجد کما منعت نساء نبی اسرائیل.

Agar nabi Sallallahu alaihi w sallam mulaheza farmate jo bate aurto ne ab paida ki he to zaroor unhe masjid se mana'a na farma dete jese bani israil ki aurte mana'a kar di gai.
*📚(Sahih Muslim Baab Khuroojun Nisa'a Alal Masjid, J-1, S-183)*

Fir Tabe'in hi ke zamane se a'imma ne mumane'at shuru'a farmadi, pahle jawan aurto ko fir burhi ko bhi, pahle din me fir raat ko bhi, yaha tak ki hukm mumane'at aam ho gaya, kya us zamane ki aurte garbe waliyo ki tarah gaane nachne waliya ya fahisha dalala thi ab salihat he ya jab fahishat zaaid thi ab salihat zyada he ya jab fuyoozo barkaat na the ab he ya jab kam the ab zaaid he, hasha balki qat'an yaqeenan ab muamla bil aks he. Ab agar ek saliha he to jab hazar thi, jab agar ek fasiqa thi ab hazar he, ab agar ek hissa faiz he jab hazar hisse the, RasoolAllah ﷺ farmate he,
لا یأتی عام الاوالذی بعدہ شرمنہ
Jo Saal Bhi Aaye us ke baad wala ussee bura hoga
*📚(Sahihul Bukhari, J-2, S-1047)*
*📚(Fathul Bari Sharahul Bukhari, 13/17)*

Balki anaya akmaluddin babarti me he ki Ameerul Mua'mineen Farooqe Aazam RadiAllahu Ta'ala Anhu ne aurto ko masjid se mana'a farmaya, vo ummul Mua'mineen hazrate Siddiqa RadiAllahu Anha ke paas shikayat le gaye, farmaya: Agar zamana e aqdas me halat ye hoti huzur aurto ko masjid me aane ki ijazat na dete.
حیث قال ولقد نہی عمر رضی اﷲ تعالٰی عنہ النساء عن الخروج الی المساجد فشکون الٰی عائشۃ رضی اﷲ تعالٰی عنہا فقالت لو علم البنی صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم ماعلم عمرمااذن لکن فی الخروج  ۔
Vo farmate he: hazrat Umar RadiAllahu Anhu ne aurto ko masjid jane se rok diya, vo hazrate aaysha Siddiqa RadiAllahu Ta'ala Anha ke paas shikayat le kar gaye, unhone farmaya: agar nabi Sallallahu alaihi w sallam ye dekhte jo hazrat umar ne dekha to vo bhi masjid jane ki ijazat na dete.
*📚(العنایہ علی ھامش فتح القدیر باب الامامۃ نوریہ رضویہ سکھر ۱ /۳۱۷)*

قال صاحب الہدایۃ یکرہ لھن حضور الجماعات وقالت (عہ) الشراح یعنی الشواب منھن و قولہ الجماعات یتناول الجمع والاعیاد والکسوف والاستسقاء وعن الشافعی یباح لھن الخروج قال اصحابنالان فی خروجھن خوف الفتنۃ وھو سبب للحرام ومایفضی الی الحرام فھو حرام فعلی ھذا قولھم یکرہ مرادھم یحرم لاسیما فی ھذا الزمان الشیوع الفساد فی اھلہ ۲؎ ۔
Sahibe Hidaya ne farmaya: aurto ke Liye jama'ato ki hazri makrooh he. Ba'az shariheen ne kaha yaani jawan aurto ke liye or 'jama'ato' ka lafz juma'a, eidain, kusoof, istasqa'a sabhi ko shamil he, or imam shafaee se riwayat he ki unke liye jane ki ijazat he. Hamare mashaikh ne mumane'at ki wajah ye batai he ki unke nikalne me fitne ka andesha he, or ye haram ka sabab he, or jo haram tak le jane wala ho vo haram he. Khusoosan is zamane me is liye ki ab logo me kharabi or barai aam ho gai he.
*📚(Umdatul Qari Sharahul Bukhari, Baab Khuroojun Nisa'a Alal Masjid, 6/156)*

Fir Usi safha par Abdullah bin umar RadiAllahu Anhuma ka jumaa ke din aurto ko kankariya maar kar masjid se nikalna or imam ajal ibrahim nakh'ee tabaee ka Apne yaha ki mastooraat ko jumaa w jama'at me na jane dena zikr kiya.

Sahihain me Hazrat atya RadiAllahu anhuma se he,
نھینا عن اتباع الجنائز ولم یعزم علینا
Hame Janazo ke pichhe jane se mana'a farmaya gaya magar qata'ee mumane'at na thi.

Isi par gunya ki is ibarat me farmaya ke ye us waqt tha jab hazri masjid unhe jaiz thi ab haram qata'ee mamnoo'a he.
*📚(Gunya AlMustamil Sharah Munya, S-595)*

Makhuz:
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-9, S-537-540)*

Aurto ko Masjid se zyada kothri me namaz padhne ka sawab he, jaisa ki hadish shareef me he,

Hazrat abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu se riwayat he ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya ki aurto ki namaz kothri me beroni kamrah ki namaz se bahetar he, or kothri ke andar ki namaz kothri ki namaz se bahetar he.
*📚(Abu Dawood Shareef)*

Or Ibne Masood RadiAllahu anhu se riwayat he ki aurat ki koi namaz, khuda ko us namaz se zyada mahboob nahi, jo unki tareek kothri me ho.
*📚(MAJMA UL ZAWAID)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

📲
===========➖➖➖➖=========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts