Chipkali Jism Par Lag Jaye To Kya Hukm He ?

*🌹SAWAL:-🌹*

Kya Chipkali(Lizard) jism pr gir jaye tou Kya Gusl karna Chahiye Yaa usi kapdoun pr Namaz padh saktey kya?

*🌹JAWAB:-🌹*

Chhipakli Ka Jism Ya Kapdo Par Lagne Se Jism Ya Kapda Napak Nahi Hota. Or Usse Namaz Padhna Bhi Jaiz He, Albatta Agar Chhipakali Peshab Karde Ya Uske Badan Par Koi Najasat Lagi Ho Jisse Vo Najasat Kapde Ya Badan Me Aa Jaye To Us Najasat Wali Jagah Ko Paak Karna Zaroori He. Bagair Paak Kiye Un Kapdo Me Namaz Padhna Jaiz Nahi. Isse Gusl Farz Ya Wajib Nahi Hota.

_Isi Tarah Huzur Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He_

Chhipakali Agar Kapdo Par Gir Jaye To Un Kapdo Se Namaz Padhna Jaiz He Jab Ki Chhipakli Khushk Ho Or Uske Badan Par Koi Najasat Na Lagi Ho Ki Usse Mutlaqe Ho Kar Ki Kapde Me Aaye Agar Chhipkali Ya Koi Janwar Uske Badan Par Najasat Ho Ya Vo Peshab Wagairah Karde Is Soorat Me Us Kapde Se Namaz Padhna Jaiz Nahi.

http://jamiaturraza.com/session/7Nov10/34.mp3

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts