*🌹SAWAL:-🌹*
Sadqa E Fitr Kab Wajib Hota Hai.. ?
Ramzan Ka Chand Dikhne Ke Baad Ya Eid Ka Chand Dikhne Ke Baad ?
Agar Eid Ka Chand Dikhne Ke Baad Wajib Hota Hai To Fir Jo Log Ramzan Hi Main Sadq E Fitr Dete Hai Unke Liye Kya Huqm Hai...? Kya Sadqa E Fitr Wajib Hone Se Pahele De Sakte Hain... ?
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Sadqa E Fitr Ka Wujub Na Hi Ramzan Ka Chand Nazar Aane Par Hota He Aur Na Hi Shawwal Yaani Eid Ul Fitr Ka Chand Nazar Aane Ke Baad Hota He, Balki Eid Ke Din Subah Sadiq Tulu'a Hote Hi Sadqa E Fitr Wajib Hota He..
*📚Bahar E Shariat Hissa-5, Sadqa E Fitra Ka Bayan, Mas'ala-3 Me He,*
Eid Ke Din Subah Sadiq Tulu'a Hote Hi Sadqa E Fitr Wajib Hota He.
Jis Tarh Zakat Advance Me Nikal Sakte He Isi Tarah Sadqa E Fitr Yani Fitra Ko Bhi Eid Se Pahle Yaani Ramzan Ke Mahine Me Hi Ada Karna Chahe To Kar Sakte He. Magar Eid Ki Namaz Se Pehle Ada Karna Afzal He. Aur Baad Me Ada Kiya Tab Bhi Ada Hi Hoga Qaza Nahi Hoga.
Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Fitra Ka Muqddam Karna Mutlaqan Jaaiz He Jabki Vo Shakhs Maujud Ho, Jis Ki Taraf Se Ada Karta Ho Agar Ramzan Se Peshtar Ada Karde Or Agar Fitra Ada Karte Waqt Malike Nisab Na Tha Phir Ho Gaya To Fitra Sahih He Or Bahetar Ye He Ki Eid Ki Subah Sadiq Hone Ke Baad Or Eidgaah Jane Se Pahle Ada Kare.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Sadqa E Fitra Ka Bayan, Mas'ala-32)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*
*🗓️11 May 2021, 28 Ramzanul Mubarak 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment