*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamu Alaykum
Agar Koi Aalima Fazila Sayyed Ki Tazim Ko Yu Kehkar Tark Karde Ke Hum Bhi Ambiya Ke Waris He To Uske Baare Me Kya Kahoge?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Saiyed Sunni Ul Mazhab Ki Tazeem Lazim He Agarche Uske Aamal Kaise Hoñ Un Aamal Ke Sabab Usse Tanaffar (Yaani Nafrat) Na Kiya Jaye Nafse Aamal Se Nafrat Ho Balki Uske Mazhab Me Bhi Qaleel Farq Ho Ki Hadde Kufr Tak Na Pahunche Jaise Tafzeeli To Is Halat Me Bhi Uski Tazeeme Siyadat Na Jayegi Haañ Agar Uski Bad Mazhabi Hadde Kufr Tak Pahunche Jaise Rafzi Wahabi Qadiyani Nechri Wagairahum To Ab Uski Tazeem Haram He Ki Jo Wajhe Tazeem Thi Yaani Siyadat Wahi Na Rahi.
قَالَ یٰنُوْحُ اِنَّهٗ لَیْسَ مِنْ اَهْلِكَۚ-اِنَّهٗ عَمَلٌ غَیْرُ صَالِحٍ
Allah Ta'ala Ne Irshad Farmaya Ay Nooh (Alaihis Salam) Vo Yaani Tera Beta Tere Khandan Or Ghar Waloñ Me Se Nahiñ Is Liye Uske Kaam Achhe Nahi.
*📚(Surah Hud, Aayat-46)*
Shariyat Ne Taqwa Ko Fazilat Di He,
اِنَّ اَكْرَمَكُمْ عِنْدَ اللّٰهِ اَتْقٰىكُمْؕ
Allah Ta'ala Ke Nazdeek Tum Me Sab Se Zyada Ba Izzat Vo He Jo Tumme Sabse Zyada Parhezgaar Ho.
*📚(Surah Hujurat, Aayat-13)*
Magar Ye Fazle Zaati He Fazle Nasab Muntaha E Nasab Ki Afzaliyat Par He, Sadate Kiram Ki Inteha E Nasab Huzur Saiyede Aalam ﷺ Par He. Is Fazle Intesab Ki Tazeem Har Mutaqqi Par Farz He Ki Vo Uski Tazeem Nahiñ Huzur ﷺ Ki Tazeem He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-22, Mas'ala-184)*
Lihaza Kisi Aalim Ya Aalima Ka Saiyed Sahihul Mazhab Ki Tazim Se Inkar Karna Be Adbi He. Unka Is Tarah Jumla Istemal Karna Bhi Durust Nahi.. Saiyed Sahihul Mazhab Ki Tazeem Har Haal Me Har Mutaqqi Par Bhi Lazim He.. Lihaza Is Tarah Ka Jumla Istemal Karne Se Ruju'a Kare.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓2 Nov 2021, 26 Rabi Ul Awwal 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment