Biwi Ko Maañ Ya Bahan Se Tasbeeh Dena Ya Biwi Maañ Ya Bahan Ki Tarah Kahna Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum, Apni Biwi Ko Maañ Ya Bahen Se Tasbeeh Dena Kesa Ya Biwi Ko Meri Maañ Ya Bahan Kahna Ya Ye Kahna Ki Tu Meri Maañ Ki Tarah He Ya Bahan Ki Tarah He Kya Isse Nikah Me Koi Farq Aayega ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Shohar Ka Apni Biwi Ko Maañ, Bahan, Beti Wagairah Kah Kar Pukarna Ya Yuñ Kahna Ki Tum Meri Maañ, Bahan Wagairah Ho To Ye Najaaiz W Gunah He Jisse Taubah Karna Us Par Laazim He Albatta Isse Nikaah Par Kuchh Asar Na Hoga Or Na Hi Zuhaar Wagairah Laazim Hoga.. Haañ Agar Yuñ Kaha Ki Tu Meri Maañ Ya Bahan Ki Tarah He Ya Beti Ki Maanind He Agar Baniyyat Talaq Kaha To Ek Talaaqe Baain Ho Gai Or Aurat Nikah Se Nikal Gai Or Ba Niyyat Zihaar Yaani Ye Murad Ki Misl Maañ Bahan Ke Mujh Par Haram He To Zihaar Ho Gaya Ab Jab Tak Kaffara Na De Aurat Us Par Haraam Hogi.. Or Kaffara Ye He Ki Ek Gulaam Aazad Kare Ya Lagaatar 2 Mahina Ke Roze Rakhe, Iski Bhi Quwwat Na Ho To 60 Miskeenoñ Ko Sadqa E Fitr Ki Tarah Anaaj Ya Khana De.. Or Agar Kuchh Bhi Niyyat Nahiñ Thi Ayse Hi Kah Diya To Agarche Aysa Kahna Jaaiz Nahiñ Albatta Nikah Me Farq Na Aayega..

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Zauja Ko Maañ Bahan Kahna (Khwah Yuñki Use Maañ Bahan Kah Kar Pukare, Ya Yuñ Kahe Tu Meri Maañ Bahan He, Sakht Gunaah W Najaaiz He.
قال اللہ تعالیٰ،
الَّذِينَ يُظَاهِرُونَ مِنكُم مِّن نِّسَائِهِم مَّا هُنَّ أُمَّهَاتِهِمْ ۖ إِنْ أُمَّهَاتُهُمْ إِلَّا اللَّائِي وَلَدْنَهُمْ ۚ وَإِنَّهُمْ لَيَقُولُونَ مُنكَرًا مِّنَ الْقَوْلِ وَزُورًا ۚ
Vo Jo Tumme Apni Bibiyoñ Ko Apni Maañ Ki Jagah Kah Bethte Hai Vo Unki  Maayeñ Nahiñ Unki Maayeñ To Wahi Hai Jinhone Unheñ Jana He Or Vo Beshak Buri Or Jhuti Baat Kahte Hai.
*📚(Surah Mujaadalah, Aayat-2)*

Magar Isse Na Nikah Me Khalal Aaye, Na Taubah Ke Siwa Kuchh Or Laazim Ho..

Or Aage Farmate Hai,
Haañ Agar Yuñ Kaha Ho Ki Tu Misl Ya Maanind Ya Bajaye Maañ Bahan Ke He To Agar Baniyyat Talaq Kaha To Ek Talaqe Baain Ho Gai Or Aurat Nikah Se Nikal Gai Or Ba Niyyat Zihaar Ya Tahreem Kaha Yaani Ye Murad He Ki Misl Maañ Bahan Ke Mujh Par Haraam He To Zihaar Ho Gaya Ab Jab Tak Kaffara Na De Le Aurat Se Jima'a Karna Ya Shahwat Ke Sath Uska Bosa Lena Ya Banazar Shahwat Uske Kisi Badan Ko Chhuna Ya Banigaahe Shahwat Uski Sharmgaah Dekhna Sab Haram Ho Gaya, Or Uska Kaffara Ye He Ki Jima'a Se Pahle Ek Gulam Aazad Kare, Uski Taqat Na Ho To Lagatar Do Mahina Ke Roze Rakhe, Iski Bhi Quwwat Na Ho To Saath 60 Miskeenoñ Ko Sadqa E Fitr Ki Tarah Anaaj Ya Khana De.. Or Agar Inme Se Koi Niyyat Na Thi To Ye Lafz Bhi Lagw W Mahmul Hoga Jisse Talaq Ya Kaffara Wagairah Kuchh Laazim Na Aayega.

Durre Mukhtar Me He,
ان نوی بانت علیّ مثل امی وکامی وکذا لوحذف ''علیّ'' خانیۃ ،برا اوظہارا اوطلاقا صحت نیتہ ووقع مانواہ لانہ کنایۃ والالغا۔
Agar (Talaq Ki) Niyyat Karega To Biwi Baain Ho Jayegi, Jab Yuñ Kahe Tu Mujh Par Meri Maañ Ki Misl Ya Maañ Ki Tarah He, Ya Harf علی (Mujh Par) Ko Hazaf Karke Kahe..Khaniya. 
In Alfaaz Se Karamat Zauja Ya Zihaar Ya Talaq Ki Niyyat Kare To Uski Niyyat Sahih Hogi Jo Bhi Niyyat Kare Wahi Hukm Hoga Kyuñ Ki Ye Kinaya He Or Agar Koi Niyyat Na Ki Ho To Ye Baat Lagw Hogi.
*📚( درمختار باب الظہار مطبع مجتبائی دہلی ۱ /۲۴۹)*
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, Baabuz Zihaar, J-13, Mas'ala-42)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓6 March 2023, 13 Shabanul Muazzam 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts