AURAT KE LIYE EYEBROWS BANANA YA THREADING KARANA KESA

*🌹SAWAL:-🌹*
Aurto Ka Eyebrow Banana Kesa ? Jo Aaj Kal Beauty Parlour Wagairah Me Threading Karati He Us Par Kya Hukm He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Eyebrow Ke Baal Nauch  (Threading Kara) Kar Khoob Soorat Banana Aurto Ke Liye Najaizo Haram He. Or Agar Bahut Zyada Ho Gaye Ho Ki Dikhne Me Bahut Bure W Bad Soorat Lagte Ho To Tarashwane Ki Ijazat He.

Hadis Shareef Me He,

Allah Azza w Jal Ki La'anat He Godne Waliyoñ Aur Godwane Waliyoñ Par Or Baal Nauchne Waliyoñ Or Khoob soorati Ke Liye Daant Ko Kushadah Karne Waliyoñ Or Allah Ki Khalqat Me Tabdeel Karne Waliyoñ Par.
*📚(Sahih Muslim, J-2, S-205)*

Hadis Shareef والنامصاں Ka Matlab Bahare Shariyat Me Mazkoor He Yaani Jo Aurat Bhawoñ Ke Baal Nauch Kar Abroo (Eye Brow) Ko Khub Soorat Banati He Us Par La'anat He.
*📚(BAHARE SHARIYAT APPLICATION, H-16, S-238)*

Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He

Tabrani Mo'ajmul Kabeer Me Basanad Hasan Abdullah Bin Abbas RadiAllahu Anhuma Se Raawi, RasoolAllah ﷺ Farmate He,
من مثلہ بالشعر فلیس لہ عنداﷲ خلاق.
Jo Baalo Ke Sath Musla (Yaani Hulya Bigadna) Kare Allah Ta'ala Ke Yahañ Us ka Kuchh Hissa Nahi.
*📚(Al-Moajamul Kabeer Lil Tibrani, Hadis-10988, J-11, S-41 Maktaba Alfaisalya Bayroot)*

Ye Hadis Khas Mas'ala Musla Moo Me He Balo Ka Musla Yahi Jo Kalimate A'imma Se Mazkoor Huva Ki Aurat Sar ke Baal Ya Mard Darhi Ya Mard Khwañ Aurat Bhaweñ
کما یفعلہ کفرۃ الھند فی الحداد
(Jaise Hindustan Ke Kuffar Log Sog Manate Huye Aysa Karte He) Ya Siyah Khizab Kare
کما فی المناوی والعزیزی والحفنی شروح الجامع الصغیر،
Ye Sab Soorte Musla Moo Me Dakhil He Or Sab Haram.

(Yaani Eyebrow Banana Bhi Musla Me He Jo Haram He.)

RasoolAllah ﷺ Farmate He
لاتمثلوا بعباداﷲ
Allah Ke Bando Par Musla Na Karo.
*📚(Al-Moajamul Kabeer, Hadis-697, J-22, S-282, Maktaba Alfaisalya Bayroot)*

Hazrat Ummul Mu'amineen Siddiqa RadiAllahu Anha or Ibne Abhi Shayba Musnaf Me Ata Se Mursala Raawi RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya
لاامثل بہ کذا فیمثل اﷲ بی یوم القیمۃ.
Hasil Ye Ki Jo Yahañ Musla (Hulya Bigadega) Karega Roze Qayamat Use Allah Ta'ala Musla (Hulya Bigda Hua) Banayega.
*📚(Kanzul Ummal, Hadis-13337, J-5, S-408, Mausisur Risala Bayroot)*

(Isi Tarah Sarkar Aala Hazrat Ne Kai Ahadis Bayan Kiye Ki Kisi Shakhs Ke Sath Ya Janwar Ke Sath Musla( hulya Bigadna) Mana'a He.)

Fir Aala Hazrat Farmate He,
Chopayo Se Musla Haram, Chupaye Dar Kinar katkhane kutte se najaiz kutte se bhi guzarye Harbi Kafir se bhi Mana'a To Musalman Ka khud Munh Ke Sath Musla Kis Darja Ashad Haram W Maujube La'anat w Inteqam He.

*Makhuz 📚FATAWA RAZVIYA, J-22, S-652, 655)*

Ba'az Aurto Me Ye Waham Hota He Ki Mujhe Achchi Nahi Lagti Is Wajah Se Banana Majboori He. Aysi Aurte Upar Bayan Karda Hadis Ko Bagaur Baar Baar Parhe Ki Hadis Me La'anat Usi Aurto Par Aai Jo Use Bataure Khub Soorti Ke Karegi.

Jaisa Ki Fat'hul Baari Sharah Sahih Bukhari Me He,

Hadis Se Ye Baat Mafhoom He Ki Unhi Aurto Ki Mazammat He Jo Mazkoora Kaam Khubsoorti Ke Husool Ki Khatir Kare.
*📚(Fat'hul Baari Sharah Sahih Bukhari, J-10, S-372, Darul Muarrifa, Bayroot)*

Jesa Ki Aajkal Aam Taur Par Dhaga Ke Zariye Bhawoñ Ke Baalo Ko Ek Ragarh Se Nocha Jata He Yahañ Tak ki Vo Baal Ragarh Ki Wajah Se Bhawoñ Se Gayib Ho Jate he. Isi Taraharah Bhawoñ ke Baalo Ko Barik Kar Diya Jata He Or Hasbe Zaroorat Aurte Use Apni Khub Soorti Ke Liye Mota Ya Bareek Karti He.
Isi Tarah Chimti Ya Threading Machine Se Karte He. Ye Sab Bhi Usi Me Dakhil He Jiska Zikr Hadis Shareef Me Aaya He. Jis Par Allah Ta'ala Ne La'anat Farmai.

Al-Batta Agar Kasrat Se He Ki Dekhne Me Bahut Zyada Bure Lagte He To Baqadre Zaroorat Sirf Tarashne Ki Ijazat He.

Jaisa Ki Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahma Farmate He,

Bhawoñ Ke Baal Agar Bade Ho Gaye To Unko Tarashwa Sakte He.
*📚(Raddul Muhtar, J-9, S-670)*
*📚(BAHARE SHARIYAT APPLICATION, H-16, S-228)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts