*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Rastoñ Me Kai Jaghoñ Par Jo Camera Hifazati Taur Par Lagaya Gaya He Uska Kya Hukm He ?
Hamne Bataya Wahañ Rukhsat Di Gai He Majbooran Us Camera Ki... Iska Kya Hukm He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Security Ke Liye Cctv Camera Lagane Ke Ta'alluq Se Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,
Asl Hukm Wahi He Ki Camera Aala He Tasweer Kashi Ka Or Jandar Ki Tasweer Khinchna Khinchwana Banwana Ye Mutlaqan Haramo Najaaiz He Bagair Zaroorate Shadida Jiske Bagair Chara Na Ho Iski Ijazat Nahi, Yahañ Se Mas'ale Ka Hukm Zahir He Jab Ki Hifazat Ka Intezam Dusre Tariqoñ Se Ho Sakta He To Iski Ijazat Nahi Ho Sakti..
Http://jamiaturraza.com/session/8Dec13/9.mp3
Or Camera Se Hifazat Ka Yaqeeni Hona Zaroori Nahi, Ye Tajarba Shahid He Ki Cctv Camera Hone Ke Bawajood Bhi Security Mahfooz Nahi Rahti He Sirf Ek Tasalli He Or Apne Aap Ko Itminan Dena He, Ek Had Tak To Hifazat Ho Jati He Magar Bil Qulliya Yahañ Hifazat Hasil Nahi Hoti Ki Yaqeen Ke Sath Kaha Jaye Ki Cctv Camera Lagane Se Security Hasil Ho Jayegi Or Saman Ya Dusri Chize Mahfooz Ho Jayegi.. Is Liye Ki Jo Log Chori Daketi Karna Chahte He To Camera Hack Karke Ya Camera Se Bach Kar Ke Sare Kaam Anjam De Sakte Hai Ya Muh Wagairah Dhank Kar Bhi Chori Kar Sakte He, Lihaza Camera Se Hifazat Ka Hona Yaqeeni Nahi, Is Liye Haram Kaam Maslan Tasweer Kashi Ki Ijazat Na Di Jayegi. Or Agar Kisi Tarah Zaoorate Shadida Ho Ya Camera Lagane Par Kisi Tarah Majboor Ho Ya Iske Alawa Or Koi Rasta Hi Na Ho To Iski Ijazat Hogi.
Or Agar Saail Ka Sawal Se Murad Ye He Ki Public Place Me Camera Laga Hua Hota He Vahañ Aane Jane Wale Par Kya Hukm He To Ye Camera Lagane Or Lagwane Wale Par Hukm He, Koi Is Camera Se Li Gai Tasweer Ko Najaaizo Haram Hi Manta Ho Or Majbooran Us Public Place Ya Us Jagah Se Guzarna Ho To Isme Us Par Koi Hukm Nahi.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️24 June 2021, 13 Zilqad 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment