AALA HAZRAT PAR AITRAAZ TARIKHE WILADATE NABI ALAIHISSALAM

*🌹SAWAL:-🌹*

AalaHazrat per Ilzam lagane wale Wahabi Kehte hain ki AalaHazrat ne Fatawae Razviya me Nabi alaihe salam ki wiladat 8 Rabiul Awwal hi likhi hai, or 12 rabiul awwal ko wishal likha
kya ye sahih he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Ye ek Jhuta Ilzam hai,. Aur Wahabiyo ki Makkari hai.

AalaHazrat ne tamam aqwal ko shumar kiya, ki Wiladat par 2, 8, 10, 12, 17, 22 tarikh ke aqwal bhi maujud hain,

fir iske baad Mawahibul Laduniya aur Madarijun Nabuwwa ke Hawale se 12 Rabiul Awwal ko hi mash'hur aur zyada sahi qarar diya hai,

*_📚(Fatawae Razviya, J-26, Pg.411)_*

Andhe WAHABIYO, dekho Fatwae Razviya me kya likha hai??

Aaiye kuch aur Aimma-e-Mujtehdeen ke aqwal par bhi nazar dalte hain ki 12 rabiul awwal hi wiladat ka din he,

  Imam Ibn-e-Ishaq (85-151 H): Allah ke Nabi (صلى الله عليه وآله وسلم) 12 Rabi-ul-Awal ko Aam-ul -Feel me paida hue.

*📚(Ibn-e-Jozi in Al-Wafa, Page 87)*

 Allama Ibn-e-Hisham (213 H): Allah ke Nabi (صلى الله عليه وآله وسلم) Peer ke din 12 Rabi-ul-Awal me Aam-ul-Feel me paida hue.

*📚(Ibn-e-Hasham in As-Sirat-un-Nabawiya, Vol. 1, Page 158)*

Imam Ibn-e-Jareer Tabari (224-310 H): Allah ke Nabi (صلى الله عليه وآله وسلم) Peer ke dina 12 Rabi-ul-Awal ko Aam-ul-Feel me paida hue.

*📚(Tarikh-ul-Umam-wal-Muluk, Vol. 2, Page 125)*

 Allama Abu-ul-Hasan Ali Bin Muhammad Al-Mawardi (370-480 H): Allah ke Nabi (صلى الله عليه وآله وسلم) Ashab-ul-Feel ke waqeye ke 50 din ke baad aur apne waalid ke wisal ke baad 12 Rabi-ul-Awal ko paida hue.

*📚(Ailam-un-Nabuwa, Page 192)*

 Sheikh Abdul-Haq Muhaddis Dehlvi (950-1052 H): Ye Jaan len ki Tarikho ko Jaanne wali ek badi Jamaat (i.e. biographers and historians) ki tehqiq hai ki Hazrat ( Mohammed صلى الله عليه وآله وسلم) Aam-ul-Feel me paida hue … aur Ye achhi tarah jaana jaata hai ki Rabi-ul-Awal ka Mahina tha aur 12 Tarikh thi.

Is Tarikh par bahot sare Ulama ka Ijma hai.

*📚(Madarij-un-Nabuwa, Vol. 2, Page 14)*

~::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑 grp*
*📬Khadim:- Pathan MoinRaza, Petlad*
📲
~::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts